John 4 (UGV3)

1 Farīsiyoṅ ko ittalā milī ki Īsā Yahyā kī nisbat zyādā shāgird banā rahā aur logoṅ ko baptismā de rahā hai, 2 hālāṅki wuh ḳhud baptismā nahīṅ detā thā balki us ke shāgird. 3 Jab Ḳhudāwand Īsā ko yih bāt mālūm huī to wuh Yahūdiyā ko chhoṛ kar Galīl ko wāpas chalā gayā. 4 Wahāṅ pahuṅchne ke lie use Sāmariya meṅ se guzarnā thā. 5 Chalte chalte wuh ek shahr ke pās pahuṅch gayā jis kā nām sūḳhār thā. Yih us zamīn ke qarīb thā jo Yāqūb ne apne beṭe Yūsuf ko dī thī. 6 Wahāṅ Yāqūb kā kuāṅ thā. Īsā safr se thak gayā thā, is lie wuh kueṅ par baiṭh gayā. Dopahar ke taqrīban bārah baj gae the. 7 Ek Sāmarī aurat pānī bharne āī. Īsā ne us se kahā, “Mujhe zarā pānī pilā.” 8 (Us ke shāgird khānā ḳharīdne ke lie shahr gae hue the.) 9 Sāmarī aurat ne tājjub kiyā, kyoṅki Yahūdī Sāmariyoṅ ke sāth tālluq rakhne se inkār karte haiṅ. Us ne kahā, “Āp to Yahūdī haiṅ, aur maiṅ Sāmarī aurat hūṅ. Āp kis tarah mujh se pānī pilāne kī darḳhāst kar sakte haiṅ?” 10 Īsā ne jawāb diyā, “Agar tū us baḳhshish se wāqif hotī jo Allāh tujh ko denā chāhtā hai aur tū use jāntī jo tujh se pānī māṅg rahā hai to tū us se māṅgtī aur wuh tujhe zindagī kā pānī detā.” 11 Ḳhātūn ne kahā, “Ḳhudāwand, āp ke pās to bālṭī nahīṅ hai aur yih kuāṅ gahrā hai. Āp ko zindagī kā yih pānī kahāṅ se milā? 12 Kyā āp hamāre bāp Yāqūb se baṛe haiṅ jis ne hameṅ yih kuāṅ diyā aur jo ḳhud bhī apne beṭoṅ aur rewaṛoṅ samet us ke pānī se lutfandoz huā?” 13 Īsā ne jawāb diyā, “Jo bhī is pānī meṅ se pie use dubārā pyās lagegī. 14 Lekin jise maiṅ pānī pilā dūṅ use bād meṅ kabhī bhī pyās nahīṅ lagegī. Balki jo pānī maiṅ use dūṅgā wuh us meṅ ek chashmā ban jāegā jis se pānī phūṭ kar abadī zindagī muhaiyā karegā.” 15 Aurat ne us se kahā, “Ḳhudāwand, mujhe yih pānī pilā deṅ. Phir mujhe kabhī bhī pyās nahīṅ lagegī aur mujhe bār bār yahāṅ ā kar pānī bharnā nahīṅ paṛegā.” 16 Īsā ne kahā, “Jā, apne ḳhāwind ko bulā lā.” 17 Aurat ne jawāb diyā, “Merā koī ḳhāwind nahīṅ hai.”Īsā ne kahā, “Tū ne sahīh kahā ki merā ḳhāwind nahīṅ hai, 18 kyoṅki terī shādī pāṅch mardoṅ se ho chukī hai aur jis ādmī ke sāth tū ab rah rahī hai wuh terā shauhar nahīṅ hai. Terī bāt bilkul durust hai.” 19 Aurat ne kahā, “Ḳhudāwand, maiṅ deḳhtī hūṅ ki āp nabī haiṅ. 20 Hamāre bāpdādā to isī pahāṛ par ibādat karte the jabki āp Yahūdī log isrār karte haiṅ ki Yarūshalam wuh markaz hai jahāṅ hameṅ ibādat karnī hai.” 21 Īsā ne jawāb diyā, “Ai ḳhātūn, yaqīn jān ki wuh waqt āegā jab tum na to is pahāṛ par Bāp kī ibādat karoge, na Yarūshalam meṅ. 22 Tum Sāmarī us kī parastish karte ho jise nahīṅ jānte. Is ke muqābale meṅ ham us kī parastish karte haiṅ jise jānte haiṅ, kyoṅki najāt Yahūdiyoṅ meṅ se hai. 23 Lekin wuh waqt ā rahā hai balki pahuṅch chukā hai jab haqīqī parastār Rūh aur sachchāī se Bāp kī parastish kareṅge, kyoṅki Bāp aise hī parastār chāhtā hai. 24 Allāh Rūh hai, is lie lāzim hai ki us ke parastār Rūh aur sachchāī se us kī parastish kareṅ.” 25 Aurat ne us se kahā, “Mujhe mālūm hai ki Masīh yānī Masah Kiyā Huā Shaḳhs ā rahā hai. Jab wuh āegā to hameṅ sab kuchh batā degā.” 26 Is par Īsā ne use batāyā, “Maiṅ hī Masīh hūṅ jo tere sāth bāt kar rahā hūṅ.” 27 Usī lamhe shāgird pahuṅch gae. Unhoṅ ne jab dekhā ki Īsā ek aurat se bāt kar rahā hai to tājjub kiyā. Lekin kisī ne pūchhne kī jurrat na kī ki “Āp kyā chāhte haiṅ?” yā “Āp is aurat se kyoṅ bāteṅ kar rahe haiṅ?” 28 Aurat apnā ghaṛā chhoṛ kar shahr meṅ chalī gaī aur wahāṅ logoṅ se kahne lagī, 29 “Āo, ek ādmī ko dekho jis ne mujhe sab kuchh batā diyā hai jo maiṅ ne kiyā hai. Wuh Masīh to nahīṅ hai?” 30 Chunāṅche wuh shahr se nikal kar Īsā ke pās āe. 31 Itne meṅ shāgird zor de kar Īsā se kahne lage, “Ustād, kuchh khānā khā leṅ.” 32 Lekin us ne jawāb diyā, “Mere pās khāne kī aisī chīz hai jis se tum wāqif nahīṅ ho.” 33 Shāgird āpas meṅ kahne lage, “Kyā koī us ke pās khānā le kar āyā?” 34 Lekin Īsā ne un se kahā, “Merā khānā yih hai ki us kī marzī pūrī karūṅ jis ne mujhe bhejā hai aur us kā kām takmīl tak pahuṅchāūṅ. 35 Tum to ḳhud kahte ho, ‘Mazīd chār mahīne tak fasal pak jāegī.’ Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, apnī nazar uṭhā kar khetoṅ par ġhaur karo. Fasal pak gaī hai aur kaṭāī ke lie taiyār hai. 36 Fasal kī kaṭāī shurū ho chukī hai. Kaṭāī karne wāle ko mazdūrī mil rahī hai aur wuh fasal ko abadī zindagī ke lie jamā kar rahā hai tāki bīj bone wālā aur kaṭāī karne wālā donoṅ mil kar ḳhushī manā sakeṅ. 37 Yoṅ yih kahāwat durust sābit ho jātī hai ki ‘Ek bīj botā aur dūsrā fasal kāṭtā hai.’ 38 Maiṅ ne tum ko us fasal kī kaṭāī karne ke lie bhej diyā hai jise taiyār karne ke lie tum ne mehnat nahīṅ kī. Auroṅ ne ḳhūb mehnat kī hai aur tum is se fāydā uṭhā kar fasal jamā kar sakte ho.” 39 Us shahr ke bahut-se Sāmarī Īsā par īmān lāe. Wajah yih thī ki us aurat ne us ke bāre meṅ yih gawāhī dī thī, “Us ne mujhe sab kuchh batā diyā jo maiṅ ne kiyā hai.” 40 Jab wuh us ke pās āe to unhoṅ ne minnat kī, “Hamāre pās ṭhahreṅ.” Chunāṅche wuh do din wahāṅ rahā. 41 Aur us kī bāteṅ sun kar mazīd bahut-se log īmān lāe. 42 Unhoṅ ne aurat se kahā, “Ab ham terī bātoṅ kī binā par īmān nahīṅ rakhte balki is lie ki ham ne ḳhud sun aur jān liyā hai ki wāqaī duniyā kā Najātdahindā yihī hai.” 43 Wahāṅ do din guzārne ke bād Īsā Galīl ko chalā gayā. 44 Us ne ḳhud gawāhī de kar kahā thā ki nabī kī us ke apne watan meṅ izzat nahīṅ hotī. 45 Ab jab wuh Galīl pahuṅchā to maqāmī logoṅ ne use ḳhushāmdīd kahā, kyoṅki wuh Fasah kī Īd manāne ke lie Yarūshalam āe the aur unhoṅ ne sab kuchh dekhā jo Īsā ne wahāṅ kiyā thā. 46 Phir wuh dubārā Qānā meṅ āyā jahāṅ us ne pānī ko mai meṅ badal diyā thā. Us ilāqe meṅ ek shāhī afsar thā jis kā beṭā Kafarnahūm meṅ bīmār paṛā thā. 47 Jab use ittalā milī ki Īsā Yahūdiyā se Galīl pahuṅch gayā hai to wuh us ke pās gayā aur guzārish kī, “Qānā se mere pās ā kar mere beṭe ko shifā deṅ, kyoṅki wuh marne ko hai.” 48 Īsā ne us se kahā, “Jab tak tum log ilāhī nishān aur mojize nahīṅ deḳhte īmān nahīṅ lāte.” 49 Shāhī afsar ne kahā, “Ḳhudāwand āeṅ, is se pahle ki merā laṛkā mar jāe.” 50 Īsā ne jawāb diyā, “Jā, terā beṭā zindā rahegā.”Ādmī Īsā kī bāt par īmān lāyā aur apne ghar chalā gayā. 51 Wuh abhī rāste meṅ thā ki us ke naukar us se mile. Unhoṅ ne use ittalā dī ki beṭā zindā hai. 52 Us ne un se pūchh-gachh kī ki us kī tabiyat kis waqt se behtar hone lagī thī. Unhoṅ ne jawāb diyā, “Buḳhār kal dopahar ek baje utar gayā.” 53 Phir bāp ne jān liyā ki usī waqt Īsā ne use batāyā thā, “Tumhārā beṭā zindā rahegā.” Aur wuh apne pūre gharāne samet us par īmān lāyā. 54 Yoṅ Īsā ne apnā dūsrā ilāhī nishān us waqt dikhāyā jab wuh Yahūdiyā se Galīl meṅ āyā thā.

In Other Versions

John 4 in the ANGEFD

John 4 in the ANTPNG2D

John 4 in the AS21

John 4 in the BAGH

John 4 in the BBPNG

John 4 in the BBT1E

John 4 in the BDS

John 4 in the BEV

John 4 in the BHAD

John 4 in the BIB

John 4 in the BLPT

John 4 in the BNT

John 4 in the BNTABOOT

John 4 in the BNTLV

John 4 in the BOATCB

John 4 in the BOATCB2

John 4 in the BOBCV

John 4 in the BOCNT

John 4 in the BOECS

John 4 in the BOGWICC

John 4 in the BOHCB

John 4 in the BOHCV

John 4 in the BOHLNT

John 4 in the BOHNTLTAL

John 4 in the BOICB

John 4 in the BOILNTAP

John 4 in the BOITCV

John 4 in the BOKCV

John 4 in the BOKCV2

John 4 in the BOKHWOG

John 4 in the BOKSSV

John 4 in the BOLCB

John 4 in the BOLCB2

John 4 in the BOMCV

John 4 in the BONAV

John 4 in the BONCB

John 4 in the BONLT

John 4 in the BONUT2

John 4 in the BOPLNT

John 4 in the BOSCB

John 4 in the BOSNC

John 4 in the BOTLNT

John 4 in the BOVCB

John 4 in the BOYCB

John 4 in the BPBB

John 4 in the BPH

John 4 in the BSB

John 4 in the CCB

John 4 in the CUV

John 4 in the CUVS

John 4 in the DBT

John 4 in the DGDNT

John 4 in the DHNT

John 4 in the DNT

John 4 in the ELBE

John 4 in the EMTV

John 4 in the ESV

John 4 in the FBV

John 4 in the FEB

John 4 in the GGMNT

John 4 in the GNT

John 4 in the HARY

John 4 in the HNT

John 4 in the IRVA

John 4 in the IRVB

John 4 in the IRVG

John 4 in the IRVH

John 4 in the IRVK

John 4 in the IRVM

John 4 in the IRVM2

John 4 in the IRVO

John 4 in the IRVP

John 4 in the IRVT

John 4 in the IRVT2

John 4 in the IRVU

John 4 in the ISVN

John 4 in the JSNT

John 4 in the KAPI

John 4 in the KBT1ETNIK

John 4 in the KBV

John 4 in the KJV

John 4 in the KNFD

John 4 in the LBA

John 4 in the LBLA

John 4 in the LNT

John 4 in the LSV

John 4 in the MAAL

John 4 in the MBV

John 4 in the MBV2

John 4 in the MHNT

John 4 in the MKNFD

John 4 in the MNG

John 4 in the MNT

John 4 in the MNT2

John 4 in the MRS1T

John 4 in the NAA

John 4 in the NASB

John 4 in the NBLA

John 4 in the NBS

John 4 in the NBVTP

John 4 in the NET2

John 4 in the NIV11

John 4 in the NNT

John 4 in the NNT2

John 4 in the NNT3

John 4 in the PDDPT

John 4 in the PFNT

John 4 in the RMNT

John 4 in the SBIAS

John 4 in the SBIBS

John 4 in the SBIBS2

John 4 in the SBICS

John 4 in the SBIDS

John 4 in the SBIGS

John 4 in the SBIHS

John 4 in the SBIIS

John 4 in the SBIIS2

John 4 in the SBIIS3

John 4 in the SBIKS

John 4 in the SBIKS2

John 4 in the SBIMS

John 4 in the SBIOS

John 4 in the SBIPS

John 4 in the SBISS

John 4 in the SBITS

John 4 in the SBITS2

John 4 in the SBITS3

John 4 in the SBITS4

John 4 in the SBIUS

John 4 in the SBIVS

John 4 in the SBT

John 4 in the SBT1E

John 4 in the SCHL

John 4 in the SNT

John 4 in the SUSU

John 4 in the SUSU2

John 4 in the SYNO

John 4 in the TBIAOTANT

John 4 in the TBT1E

John 4 in the TBT1E2

John 4 in the TFTIP

John 4 in the TFTU

John 4 in the TGNTATF3T

John 4 in the THAI

John 4 in the TNFD

John 4 in the TNT

John 4 in the TNTIK

John 4 in the TNTIL

John 4 in the TNTIN

John 4 in the TNTIP

John 4 in the TNTIZ

John 4 in the TOMA

John 4 in the TTENT

John 4 in the UBG

John 4 in the UGV

John 4 in the UGV2

John 4 in the VBL

John 4 in the VDCC

John 4 in the YALU

John 4 in the YAPE

John 4 in the YBVTP

John 4 in the ZBP