Job 1 (UGV3)
1 Mulk-e-Ūz meṅ ek be'ilzām ādmī rahtā thā jis kā nām Ayyūb thā. Wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā thā. 2 Us ke sāt beṭe aur tīn beṭiyāṅ paidā huīṅ. 3 Sāth sāth us ke bahut māl-maweshī the: 7,000 bheṛ-bakriyāṅ, 3,000 ūṅṭ, bailoṅ kī 500 joṛiyāṅ aur 500 gadhiyāṅ. Us ke beshumār naukar-naukarāniyāṅ bhī the. Ġharz mashriq ke tamām bāshindoṅ meṅ is ādmī kī haisiyat sab se baṛī thī. 4 Us ke beṭoṅ kā dastūr thā ki bārī bārī apne gharoṅ meṅ ziyāfat kareṅ. Is ke lie wuh apnī tīn bahnoṅ ko bhī apne sāth khāne aur pīne kī dāwat dete the. 5 Har dafā jab ziyāfat ke din iḳhtitām tak pahuṅchte to Ayyūb apne bachchoṅ ko bulā kar unheṅ pāk-sāf kar detā aur subah-sawere uṭh kar har ek ke lie bhasm hone wālī ek ek qurbānī pesh kartā. Kyoṅki wuh kahtā thā, “Ho saktā hai mere bachchoṅ ne gunāh karke dil meṅ Allāh par lānat kī ho.” Chunāṅche Ayyūb har ziyāfat ke bād aisā hī kartā thā. 6 Ek din farishte apne āp ko Rab ke huzūr pesh karne āe. Iblīs bhī un ke darmiyān maujūd thā. 7 Rab ne Iblīs se pūchhā, “Tū kahāṅ se āyā hai?” Iblīs ne jawāb diyā, “Maiṅ duniyā meṅ idhar-udhar ghūmtā-phirtā rahā.” 8 Rab bolā, “Kyā tū ne mere bande Ayyūb par tawajjuh dī? Duniyā meṅ us jaisā koī aur nahīṅ. Kyoṅki wuh be'ilzām hai, wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā hai.” 9 Iblīs ne Rab ko jawāb diyā, “Beshak, lekin kyā Ayyūb yoṅ hī Allāh kā ḳhauf māntā hai? 10 Tū ne to us ke, us ke gharāne ke aur us kī tamām milkiyat ke irdgird hifāzatī bāṛ lagāī hai. Aur jo kuchh us ke hāth ne kiyā us par tū ne barkat dī, natīje meṅ us kī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail pūre mulk meṅ phail gae haiṅ. 11 Lekin wuh kyā karegā agar tū apnā hāth zarā baṛhā kar sab kuchh tabāh kare jo use hāsil hai. Tab wuh tere muṅh par hī tujh par lānat karegā.” 12 Rab ne Iblīs se kahā, “Ṭhīk hai, jo kuchh bhī us kā hai wuh tere hāth meṅ hai. Lekin us ke badan ko hāth na lagānā.” Iblīs Rab ke huzūr se chalā gayā. 13 Ek din Ayyūb ke beṭe-beṭiyāṅ māmūl ke mutābiq ziyāfat kar rahe the. Wuh baṛe bhāī ke ghar meṅ khānā khā rahe aur mai pī rahe the. 14 Achānak ek qāsid Ayyūb ke pās pahuṅch kar kahne lagā, “Bail khet meṅ hal chalā rahe the aur gadhiyāṅ sāth wālī zamīn par char rahī thīṅ 15 ki Sabā ke logoṅ ne ham par hamlā karke sab kuchh chhīn liyā. Unhoṅ ne tamām mulāzimoṅ ko talwār se mār ḍālā, sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.” 16 Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki ek aur qāsid pahuṅchā jis ne ittalā dī, “Allāh kī āg ne āsmān se gir kar āp kī tamām bheṛ-bakriyoṅ aur mulāzimoṅ ko bhasm kar diyā. Sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.” 17 Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki tīsrā qāsid pahuṅchā. Wuh bolā, “Bābal ke Kasdiyoṅ ne tīn gurohoṅ meṅ taqsīm ho kar hamāre ūṅṭoṅ par hamlā kiyā aur sab kuchh chhīn liyā. Tamām mulāzimoṅ ko unhoṅ ne talwār se mār ḍālā, sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.” 18 Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki chauthā qāsid pahuṅchā. Us ne kahā, “Āp ke beṭe-beṭiyāṅ apne baṛe bhāī ke ghar meṅ khānā khā rahe aur mai pī rahe the 19 ki achānak registān kī jānib se ek zordār āṅdhī āī jo ghar ke chāroṅ konoṅ se yoṅ ṭakrāī ki wuh jawānoṅ par gir paṛā. Sab ke sab halāk ho gae. Sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.” 20 Yih sab kuchh sun kar Ayyūb uṭhā. Apnā libās phāṛ kar us ne apne sar ke bāl munḍwāe. Phir us ne zamīn par gir kar aundhe muṅh Rab ko sijdā kiyā. 21 Wuh bolā, “Maiṅ nangī hālat meṅ māṅ ke peṭ se niklā aur nangī hālat meṅ kūch kar jāūṅgā. Rab ne diyā, Rab ne liyā, Rab kā nām mubārak ho!” 22 Is sāre muāmale meṅ Ayyūb ne na gunāh kiyā, na Allāh ke bāre meṅ kufr bakā.