Job 5 (UGV3)
1 Beshak āwāz de, lekin kaun jawāb degā? Koī nahīṅ! Muqaddasīn meṅ se tū kis kī taraf rujū kar saktā hai? 2 Kyoṅki ahmaq kī ranjīdagī use mār ḍāltī, sādālauh kī sargarmī use maut ke ghāṭ utār detī hai. 3 Maiṅ ne ḳhud ek ahmaq ko jaṛ pakaṛte dekhā, lekin maiṅ ne fauran hī us ke ghar par lānat bhejī. 4 Us ke farzand najāt se dūr rahte. Unheṅ shahr ke darwāze meṅ raundā jātā hai, aur bachāne wālā koī nahīṅ. 5 Bhūke us kī fasal khā jāte, kāṅṭedār bāṛoṅ meṅ mahfūz māl bhī chhīn lete haiṅ. Pyāse afrād hāṅpte hue us kī daulat ke pīchhe paṛ jāte haiṅ. 6 Kyoṅki burāī ḳhāk se nahīṅ nikaltī aur dukh-dard miṭṭī se nahīṅ phūṭtā 7 balki insān ḳhud is kā bāis hai, dukh-dard us kī wirāsat meṅ hī pāyā jātā hai. Yih itnā yaqīnī hai jitnā yih ki āg kī chingāriyāṅ ūpar kī taraf uṛtī haiṅ. 8 Lekin agar maiṅ terī jagah hotā to Allāh se dariyāft kartā, use hī apnā muāmalā pesh kartā. 9 Wuhī itne azīm kām kartā hai ki koī un kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā, itne mojize ki koī unheṅ gin nahīṅ saktā. 10 Wuhī rū-e-zamīn ko bārish atā kartā, khule maidān par pānī barsā detā hai. 11 Pasthāloṅ ko wuh sarfarāz kartā aur mātam karne wāloṅ ko uṭhā kar mahfūz maqām par rakh detā hai. 12 Wuh chālākoṅ ke mansūbe toṛ detā hai tāki un ke hāth nākām raheṅ. 13 Wuh dānishmandoṅ ko un kī apnī chālākī ke phande meṅ phaṅsā detā hai to hoshyāroṅ kī sāzisheṅ achānak hī ḳhatm ho jātī haiṅ. 14 Din ke waqt un par andherā chhā jātā, aur dopahar ke waqt bhī wuh ṭaṭol ṭaṭol kar phirte haiṅ. 15 Allāh zarūratmandoṅ ko un ke muṅh kī talwār aur zabardast ke qabze se bachā letā hai. 16 Yoṅ pasthāloṅ ko ummīd dī jātī aur nāinsāfī kā muṅh band kiyā jātā hai. 17 Mubārak hai wuh insān jis kī malāmat Allāh kartā hai! Chunāṅche Qādir-e-mutlaq kī tādīb ko haqīr na jān. 18 Kyoṅki wuh zaḳhmī kartā lekin marham-paṭṭī bhī lagā detā hai, wuh zarb lagātā lekin apne hāthoṅ se shifā bhī baḳhshtā hai. 19 Wuh tujhe chhih musībatoṅ se chhuṛāegā, aur agar is ke bād bhī koī āe to tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchegā. 20 Agar kāl paṛe to wuh fidyā de kar tujhe maut se bachāegā, jang meṅ tujhe talwār kī zad meṅ āne nahīṅ degā. 21 Tū zabān ke koṛoṅ se mahfūz rahegā, aur jab tabāhī āe to ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī. 22 Tū tabāhī aur kāl kī haṅsī uṛāegā, zamīn ke wahshī jānwaroṅ se ḳhauf nahīṅ khāegā. 23 Kyoṅki terā khule maidān ke pattharoṅ ke sāth ahd hogā, is lie us ke janglī jānwar tere sāth salāmatī se zindagī guzāreṅge. 24 Tū jān legā ki terā ḳhaimā mahfūz hai. Jab tū apne ghar kā muāynā kare to mālūm hogā ki kuchh gum nahīṅ huā. 25 Tū dekhegā ki terī aulād baṛhtī jāegī, tere farzand zamīn par ghās kī tarah phailte jāeṅge. 26 Tū waqt par jamāshudā pūloṅ kī tarah umrrasīdā ho kar qabr meṅ utregā. 27 Ham ne tahqīq karke mālūm kiyā hai ki aisā hī hai. Chunāṅche hamārī bāt sun kar use apnā le!”
In Other Versions
Job 5 in the ANGEFD
Job 5 in the ANTPNG2D
Job 5 in the AS21
Job 5 in the BAGH
Job 5 in the BBPNG
Job 5 in the BBT1E
Job 5 in the BDS
Job 5 in the BEV
Job 5 in the BHAD
Job 5 in the BIB
Job 5 in the BLPT
Job 5 in the BNT
Job 5 in the BNTABOOT
Job 5 in the BNTLV
Job 5 in the BOATCB
Job 5 in the BOATCB2
Job 5 in the BOBCV
Job 5 in the BOCNT
Job 5 in the BOECS
Job 5 in the BOGWICC
Job 5 in the BOHCB
Job 5 in the BOHCV
Job 5 in the BOHLNT
Job 5 in the BOHNTLTAL
Job 5 in the BOICB
Job 5 in the BOILNTAP
Job 5 in the BOITCV
Job 5 in the BOKCV
Job 5 in the BOKCV2
Job 5 in the BOKHWOG
Job 5 in the BOKSSV
Job 5 in the BOLCB
Job 5 in the BOLCB2
Job 5 in the BOMCV
Job 5 in the BONAV
Job 5 in the BONCB
Job 5 in the BONLT
Job 5 in the BONUT2
Job 5 in the BOPLNT
Job 5 in the BOSCB
Job 5 in the BOSNC
Job 5 in the BOTLNT
Job 5 in the BOVCB
Job 5 in the BOYCB
Job 5 in the BPBB
Job 5 in the BPH
Job 5 in the BSB
Job 5 in the CCB
Job 5 in the CUV
Job 5 in the CUVS
Job 5 in the DBT
Job 5 in the DGDNT
Job 5 in the DHNT
Job 5 in the DNT
Job 5 in the ELBE
Job 5 in the EMTV
Job 5 in the ESV
Job 5 in the FBV
Job 5 in the FEB
Job 5 in the GGMNT
Job 5 in the GNT
Job 5 in the HARY
Job 5 in the HNT
Job 5 in the IRVA
Job 5 in the IRVB
Job 5 in the IRVG
Job 5 in the IRVH
Job 5 in the IRVK
Job 5 in the IRVM
Job 5 in the IRVM2
Job 5 in the IRVO
Job 5 in the IRVP
Job 5 in the IRVT
Job 5 in the IRVT2
Job 5 in the IRVU
Job 5 in the ISVN
Job 5 in the JSNT
Job 5 in the KAPI
Job 5 in the KBT1ETNIK
Job 5 in the KBV
Job 5 in the KJV
Job 5 in the KNFD
Job 5 in the LBA
Job 5 in the LBLA
Job 5 in the LNT
Job 5 in the LSV
Job 5 in the MAAL
Job 5 in the MBV
Job 5 in the MBV2
Job 5 in the MHNT
Job 5 in the MKNFD
Job 5 in the MNG
Job 5 in the MNT
Job 5 in the MNT2
Job 5 in the MRS1T
Job 5 in the NAA
Job 5 in the NASB
Job 5 in the NBLA
Job 5 in the NBS
Job 5 in the NBVTP
Job 5 in the NET2
Job 5 in the NIV11
Job 5 in the NNT
Job 5 in the NNT2
Job 5 in the NNT3
Job 5 in the PDDPT
Job 5 in the PFNT
Job 5 in the RMNT
Job 5 in the SBIAS
Job 5 in the SBIBS
Job 5 in the SBIBS2
Job 5 in the SBICS
Job 5 in the SBIDS
Job 5 in the SBIGS
Job 5 in the SBIHS
Job 5 in the SBIIS
Job 5 in the SBIIS2
Job 5 in the SBIIS3
Job 5 in the SBIKS
Job 5 in the SBIKS2
Job 5 in the SBIMS
Job 5 in the SBIOS
Job 5 in the SBIPS
Job 5 in the SBISS
Job 5 in the SBITS
Job 5 in the SBITS2
Job 5 in the SBITS3
Job 5 in the SBITS4
Job 5 in the SBIUS
Job 5 in the SBIVS
Job 5 in the SBT
Job 5 in the SBT1E
Job 5 in the SCHL
Job 5 in the SNT
Job 5 in the SUSU
Job 5 in the SUSU2
Job 5 in the SYNO
Job 5 in the TBIAOTANT
Job 5 in the TBT1E
Job 5 in the TBT1E2
Job 5 in the TFTIP
Job 5 in the TFTU
Job 5 in the TGNTATF3T
Job 5 in the THAI
Job 5 in the TNFD
Job 5 in the TNT
Job 5 in the TNTIK
Job 5 in the TNTIL
Job 5 in the TNTIN
Job 5 in the TNTIP
Job 5 in the TNTIZ
Job 5 in the TOMA
Job 5 in the TTENT
Job 5 in the UBG
Job 5 in the UGV
Job 5 in the UGV2
Job 5 in the VBL
Job 5 in the VDCC
Job 5 in the YALU
Job 5 in the YAPE
Job 5 in the YBVTP
Job 5 in the ZBP