Jonah 1 (UGV3)
1 Rab Yūnus bin Amittī se hamkalām huā, 2 “Baṛe shahr Nīnwā jā kar us par merī adālat kā elān kar, kyoṅki un kī burāī mere huzūr tak pahuṅch gaī hai.” 3 Yūnus rawānā huā, lekin mashriqī shahr Nīnwā ke lie nahīṅ balki maġhribī shahr Tarsīs ke lie. Rab ke huzūr se farār hone ke lie wuh Yāfā Shahr pahuṅch gayā jahāṅ ek bahrī jahāz Tarsīs ko jāne wālā thā. Safr kā kirāyā adā karke Yūnus jahāz meṅ baiṭh gayā tāki Rab ke huzūr se bhāg nikle. 4 Lekin Rab ne samundar par zabardast āṅdhī bhejī. Tūfān itnā shadīd thā ki jahāz ke ṭukṛe ṭukṛe hone kā ḳhatrā thā. 5 Mallāh saham gae. Aur har ek chīḳhtā-chillātā apne dewatā se iltijā karne lagā. Jahāz ko halkā karne ke lie unhoṅ ne sāmān ko samundar meṅ phaiṅk diyā.Lekin Yūnus jahāz ke nichle hisse meṅ leṭ gayā thā. Ab wuh gahrī nīnd so rahā thā. 6 Phir kaptān us ke pās āyā aur kahne lagā, “Āp kis tarah so sakte haiṅ? Uṭheṅ, apne dewatā se iltijā kareṅ! Shāyad wuh ham par dhyān de aur ham halāk na hoṅ.” 7 Mallāh āpas meṅ kahne lage, “Āo, ham qurā ḍāl kar mālūm kareṅ ki kaun hamārī musībat kā bāis hai.” Unhoṅ ne qurā ḍālā to Yūnus kā nām niklā. 8 Tab unhoṅ ne us se pūchhā, “Hameṅ batāeṅ ki yih āfat kis ke qusūr ke bāis ham par nāzil huī hai? Āp kyā karte haiṅ, kahāṅ se āe haiṅ, kis mulk aur kis qaum se haiṅ?” 9 Yūnus ne jawāb diyā, “Maiṅ Ibrānī hūṅ, aur Rab kā parastār hūṅ jo āsmān kā Ḳhudā hai. Samundar aur ḳhushkī donoṅ usī ne banāe haiṅ.” 10 Yūnus ne unheṅ yih bhī batāyā ki maiṅ Rab ke huzūr se farār ho rahā hūṅ. Yih sab kuchh sun kar dīgar musāfiroṅ par shadīd dahshat tārī huī. Unhoṅ ne kahā, “Yih āp ne kyā kiyā hai?” 11 Itne meṅ samundar mazīd mutalātim hotā jā rahā thā. Chunāṅche unhoṅ ne pūchhā, “Ab ham āp ke sāth kyā kareṅ tāki samundar tham jāe aur hamārā pīchhā chhoṛ de?” 12 Yūnus ne jawāb diyā, “Mujhe uṭhā kar samundar meṅ phaiṅk deṅ to wuh tham jāegā. Kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki yih baṛā tūfān merī hī wajah se āp par ṭūṭ paṛā hai.” 13 Pahle mallāhoṅ ne us kā mashwarā na mānā balki chappū mār mār kar sāhil par pahuṅchne kī sirtoṛ koshish karte rahe. Lekin befāydā, samundar pahle kī nisbat kahīṅ zyādā mutalātim ho gayā. 14 Tab wuh buland āwāz se Rab se iltijā karne lage, “Ai Rab, aisā na ho ki ham is ādmī kī zindagī ke sabab se halāk ho jāeṅ. Aur jab ham use samundar meṅ phaiṅkeṅge to hameṅ begunāh ādmī kī jān lene ke zimmedār na ṭhahrā. Kyoṅki jo kuchh ho rahā hai wuh terī hī marzī se ho rahā hai.” 15 Yih kah kar unhoṅ ne Yūnus ko uṭhā kar samundar meṅ phaiṅk diyā. Pānī meṅ girte hī samundar ṭhāṭheṅ mārne se bāz ā kar tham gayā. 16 Yih dekh kar musāfiroṅ par saḳht dahshat chhā gaī, aur unhoṅ ne Rab ko zabah kī qurbānī pesh kī aur mannateṅ mānīṅ. 17 Lekin Rab ne ek baṛī machhlī ko Yūnus ke pās bhejā jis ne use nigal liyā. Yūnus tīn din aur tīn rāt machhlī ke peṭ meṅ rahā.
In Other Versions
Jonah 1 in the ANGEFD
Jonah 1 in the ANTPNG2D
Jonah 1 in the AS21
Jonah 1 in the BAGH
Jonah 1 in the BBPNG
Jonah 1 in the BBT1E
Jonah 1 in the BDS
Jonah 1 in the BEV
Jonah 1 in the BHAD
Jonah 1 in the BIB
Jonah 1 in the BLPT
Jonah 1 in the BNT
Jonah 1 in the BNTABOOT
Jonah 1 in the BNTLV
Jonah 1 in the BOATCB
Jonah 1 in the BOATCB2
Jonah 1 in the BOBCV
Jonah 1 in the BOCNT
Jonah 1 in the BOECS
Jonah 1 in the BOGWICC
Jonah 1 in the BOHCB
Jonah 1 in the BOHCV
Jonah 1 in the BOHLNT
Jonah 1 in the BOHNTLTAL
Jonah 1 in the BOICB
Jonah 1 in the BOILNTAP
Jonah 1 in the BOITCV
Jonah 1 in the BOKCV
Jonah 1 in the BOKCV2
Jonah 1 in the BOKHWOG
Jonah 1 in the BOKSSV
Jonah 1 in the BOLCB
Jonah 1 in the BOLCB2
Jonah 1 in the BOMCV
Jonah 1 in the BONAV
Jonah 1 in the BONCB
Jonah 1 in the BONLT
Jonah 1 in the BONUT2
Jonah 1 in the BOPLNT
Jonah 1 in the BOSCB
Jonah 1 in the BOSNC
Jonah 1 in the BOTLNT
Jonah 1 in the BOVCB
Jonah 1 in the BOYCB
Jonah 1 in the BPBB
Jonah 1 in the BPH
Jonah 1 in the BSB
Jonah 1 in the CCB
Jonah 1 in the CUV
Jonah 1 in the CUVS
Jonah 1 in the DBT
Jonah 1 in the DGDNT
Jonah 1 in the DHNT
Jonah 1 in the DNT
Jonah 1 in the ELBE
Jonah 1 in the EMTV
Jonah 1 in the ESV
Jonah 1 in the FBV
Jonah 1 in the FEB
Jonah 1 in the GGMNT
Jonah 1 in the GNT
Jonah 1 in the HARY
Jonah 1 in the HNT
Jonah 1 in the IRVA
Jonah 1 in the IRVB
Jonah 1 in the IRVG
Jonah 1 in the IRVH
Jonah 1 in the IRVK
Jonah 1 in the IRVM
Jonah 1 in the IRVM2
Jonah 1 in the IRVO
Jonah 1 in the IRVP
Jonah 1 in the IRVT
Jonah 1 in the IRVT2
Jonah 1 in the IRVU
Jonah 1 in the ISVN
Jonah 1 in the JSNT
Jonah 1 in the KAPI
Jonah 1 in the KBT1ETNIK
Jonah 1 in the KBV
Jonah 1 in the KJV
Jonah 1 in the KNFD
Jonah 1 in the LBA
Jonah 1 in the LBLA
Jonah 1 in the LNT
Jonah 1 in the LSV
Jonah 1 in the MAAL
Jonah 1 in the MBV
Jonah 1 in the MBV2
Jonah 1 in the MHNT
Jonah 1 in the MKNFD
Jonah 1 in the MNG
Jonah 1 in the MNT
Jonah 1 in the MNT2
Jonah 1 in the MRS1T
Jonah 1 in the NAA
Jonah 1 in the NASB
Jonah 1 in the NBLA
Jonah 1 in the NBS
Jonah 1 in the NBVTP
Jonah 1 in the NET2
Jonah 1 in the NIV11
Jonah 1 in the NNT
Jonah 1 in the NNT2
Jonah 1 in the NNT3
Jonah 1 in the PDDPT
Jonah 1 in the PFNT
Jonah 1 in the RMNT
Jonah 1 in the SBIAS
Jonah 1 in the SBIBS
Jonah 1 in the SBIBS2
Jonah 1 in the SBICS
Jonah 1 in the SBIDS
Jonah 1 in the SBIGS
Jonah 1 in the SBIHS
Jonah 1 in the SBIIS
Jonah 1 in the SBIIS2
Jonah 1 in the SBIIS3
Jonah 1 in the SBIKS
Jonah 1 in the SBIKS2
Jonah 1 in the SBIMS
Jonah 1 in the SBIOS
Jonah 1 in the SBIPS
Jonah 1 in the SBISS
Jonah 1 in the SBITS
Jonah 1 in the SBITS2
Jonah 1 in the SBITS3
Jonah 1 in the SBITS4
Jonah 1 in the SBIUS
Jonah 1 in the SBIVS
Jonah 1 in the SBT
Jonah 1 in the SBT1E
Jonah 1 in the SCHL
Jonah 1 in the SNT
Jonah 1 in the SUSU
Jonah 1 in the SUSU2
Jonah 1 in the SYNO
Jonah 1 in the TBIAOTANT
Jonah 1 in the TBT1E
Jonah 1 in the TBT1E2
Jonah 1 in the TFTIP
Jonah 1 in the TFTU
Jonah 1 in the TGNTATF3T
Jonah 1 in the THAI
Jonah 1 in the TNFD
Jonah 1 in the TNT
Jonah 1 in the TNTIK
Jonah 1 in the TNTIL
Jonah 1 in the TNTIN
Jonah 1 in the TNTIP
Jonah 1 in the TNTIZ
Jonah 1 in the TOMA
Jonah 1 in the TTENT
Jonah 1 in the UBG
Jonah 1 in the UGV
Jonah 1 in the UGV2
Jonah 1 in the VBL
Jonah 1 in the VDCC
Jonah 1 in the YALU
Jonah 1 in the YAPE
Jonah 1 in the YBVTP
Jonah 1 in the ZBP