Joshua 11 (UGV3)
1 Jab Hasūr ke bādshāh Yābīn ko in wāqiyāt kī ḳhabar milī to us ne Madūn ke bādshāh Yūbāb aur Simron aur Akshāf ke bādshāhoṅ ko paiġhām bheje. 2 Is ke alāwā us ne un bādshāhoṅ ko paiġhām bheje jo shimāl meṅ the yānī shimālī pahāṛī ilāqe meṅ, Wādī-e-Yardan ke us hisse meṅ jo Kinnarat yānī Galīl ke junūb meṅ hai, maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ, maġhrib meṅ wāqe Nāfat-dor meṅ 3 aur Kanān ke mashriq aur maġhrib meṅ. Yābīn ne Amoriyoṅ, Hittiyoṅ, Farizziyoṅ, pahāṛī ilāqe ke Yabūsiyoṅ aur Harmūn Pahāṛ ke dāman meṅ wāqe Mulk-e-Misfāh ke Hiwwiyoṅ ko bhī paiġhām bheje. 4 Chunāṅche yih apnī tamām faujoṅ ko le kar jang ke lie nikle. Un ke ādmī samundar ke sāhil kī ret kī mānind beshumār the. Un ke pās muta'addid ghoṛe aur rath bhī the. 5 In tamām bādshāhoṅ ne Isrāīl se laṛne ke lie muttahid ho kar apne ḳhaime Marūm ke Chashme par lagā die. 6 Rab ne Yashua se kahā, “Un se mat ḍarnā, kyoṅki kal isī waqt tak maiṅ ne un sab ko halāk karke Isrāīl ke hawāle kar diyā hogā. Tujhe un ke ghoṛoṅ kī koṅchoṅ ko kāṭnā aur un ke rathoṅ ko jalā denā hai.” 7 Chunāṅche Yashua apne tamām faujiyoṅ ko le kar Marūm ke Chashme par āyā aur achānak dushman par hamlā kiyā. 8 Aur Rab ne dushmanoṅ ko Isrāīliyoṅ ke hawāle kar diyā. Isrāīliyoṅ ne unheṅ shikast dī aur un kā tāqqub karte karte shimāl meṅ baṛe shahr Saidā aur Misrafāt-māym tak jā pahuṅche. Isī tarah unhoṅ ne mashriq meṅ Wādī-e-Misfāh tak bhī un kā tāqqub kiyā. Āḳhir meṅ ek bhī na bachā. 9 Rab kī hidāyat ke mutābiq Yashua ne dushman ke ghoṛoṅ kī koṅchoṅ ko kaṭwā kar us ke rathoṅ ko jalā diyā. 10 Phir Yashua wāpas āyā aur Hasūr ko apne qabze meṅ le liyā. Hasūr un tamām bādshāhatoṅ kā sadr maqām thā jinheṅ unhoṅ ne shikast dī thī. Isrāīliyoṅ ne shahr ke bādshāh ko mār diyā 11 aur shahr ke har jāndār ko Allāh ke hawāle karke halāk kar diyā. Ek bhī na bachā. Phir Yashua ne shahr ko jalā diyā. 12 Isī tarah Yashua ne un bāqī bādshāhoṅ ke shahroṅ par bhī qabzā kar liyā jo Isrāīl ke ḳhilāf muttahid ho gae the. Har shahr ko us ne Rab ke ḳhādim Mūsā ke hukm ke mutābiq tabāh kar diyā. Bādshāhoṅ samet sab kuchh nest kar diyā gayā. 13 Lekin Yashua ne sirf Hasūr ko jalāyā. Pahāṛiyoṅ par ke bāqī shahroṅ ko us ne rahne diyā. 14 Lūṭ kā jo bhī māl jānwaroṅ samet un meṅ pāyā gayā use Isrāīliyoṅ ne apne pās rakh liyā. Lekin tamām bāshindoṅ ko unhoṅ ne mār ḍālā aur ek bhī na bachne diyā. 15 Kyoṅki Rab ne apne ḳhādim Mūsā ko yihī hukm diyā thā, aur Yashua ne sab kuchh waise hī kiyā jaise Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā. 16 Yoṅ Yashua ne pūre Kanān par qabzā kar liyā. Is meṅ pahāṛī ilāqā, pūrā Dasht-e-Najab, Jushan kā pūrā ilāqā, maġhrib kā nashebī pahāṛī ilāqā, Wādī-e-Yardan aur Isrāīl ke pahāṛ un ke dāman kī pahāṛiyoṅ samet shāmil the. 17 Ab Yashua kī pahuṅch junūb meṅ Saīr kī taraf baṛhne wāle pahāṛ Ḳhalaq se le kar Lubnān ke maidānī ilāqe ke shahr Bāl-jad tak thī jo Harmūn Pahāṛ ke dāman meṅ thā. Yashua ne in ilāqoṅ ke tamām bādshāhoṅ ko pakaṛ kar mār ḍālā. 18 Lekin in bādshāhoṅ se jang karne meṅ bahut waqt lagā, 19 kyoṅki Jibaūn meṅ rahne wāle Hiwwiyoṅ ke alāwā kisī bhī shahr ne Isrāīliyoṅ se sulah na kī. Is lie Isrāīl ko un sab par jang karke hī qabzā karnā paṛā. 20 Rab hī ne unheṅ akaṛne diyā thā tāki wuh Isrāīl se jang kareṅ aur un par rahm na kiyā jāe balki unheṅ pūre taur par Rab ke hawāle karke halāk kiyā jāe. Lāzim thā ki unheṅ yoṅ nest-o-nābūd kiyā jāe jis tarah Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā. 21 Us waqt Yashua ne un tamām Anāqiyoṅ ko halāk kar diyā jo Habrūn, Dabīr, Anāb aur un tamām jaghoṅ meṅ rahte the jo Yahūdāh aur Isrāīl ke pahāṛī ilāqe meṅ thīṅ. Us ne un sab ko un ke shahroṅ samet Allāh ke hawāle karke tabāh kar diyā. 22 Isrāīl ke pūre ilāqe meṅ Anāqiyoṅ meṅ se ek bhī na bachā. Sirf Ġhazzā, Jāt aur Ashdūd meṅ kuchh zindā rahe. 23 Ġharz Yashua ne pūre mulk par yoṅ qabzā kiyā jis tarah Rab ne Mūsā ko batāyā thā. Phir us ne use qabīloṅ meṅ taqsīm karke Isrāīl ko mīrās meṅ de diyā. Jang ḳhatm huī, aur mulk meṅ amn-o-amān qāym ho gayā.