Luke 14 (UGV3)

1 Sabat ke ek din Īsā khāne ke lie Farīsiyoṅ ke kisī rāhnumā ke ghar āyā. Log use pakaṛne ke lie us kī har harkat par nazar rakhe hue the. 2 Wahāṅ ek ādmī Īsā ke sāmne thā jis ke bāzū aur ṭāṅgeṅ phūle hue the. 3 Yih dekh kar wuh Farīsiyoṅ aur sharīat ke ālimoṅ se pūchhne lagā, “Kyā sharīat Sabat ke din shifā dene kī ijāzat detī hai?” 4 Lekin wuh ḳhāmosh rahe. Phir us ne us ādmī par hāth rakhā aur use shifā de kar ruḳhsat kar diyā. 5 Hāzirīn se wuh kahne lagā, “Agar tum meṅ se kisī kā beṭā yā bail Sabat ke din kueṅ meṅ gir jāe to kyā tum use fauran nahīṅ nikāloge?” 6 Is par wuh koī jawāb na de sake. 7 Jab Īsā ne dekhā ki mehmān mez par izzat kī kursiyāṅ chun rahe haiṅ to us ne unheṅ yih tamsīl sunāī, 8 “Jab tujhe kisī shādī kī ziyāfat meṅ sharīk hone kī dāwat dī jāe to wahāṅ jā kar izzat kī kursī par na baiṭhnā. Aisā na ho ki kisī aur ko bhī dāwat dī gaī ho jo tujh se zyādā izzatdār hai. 9 Kyoṅki jab wuh pahuṅchegā to mezbān tere pās ā kar kahegā, ‘Zarā is ādmī ko yahāṅ baiṭhne de.’ Yoṅ terī be'izzatī ho jāegī aur tujhe wahāṅ se uṭh kar āḳhirī kursī par baiṭhnā paṛegā. 10 Is lie aisā mat karnā balki jab tujhe dāwat dī jāe to jā kar āḳhirī kursī par baiṭh jā. Phir jab mezbān tujhe wahāṅ baiṭhā huā dekhegā to wuh kahegā, ‘Dost, sāmne wālī kursī par baiṭh.’ Is tarah tamām mehmānoṅ ke sāmne terī izzat ho jāegī. 11 Kyoṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz kare use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past kare use sarfarāz kiyā jāegā.” 12 Phir Īsā ne mezbān se bāt kī, “Jab tū logoṅ ko dopahar yā shām kā khānā khāne kī dāwat denā chāhtā hai to apne dostoṅ, bhāiyoṅ, rishtedāroṅ yā amīr hamsāyoṅ ko na bulā. Aisā na ho ki wuh is ke ewaz tujhe bhī dāwat deṅ. Kyoṅki agar wuh aisā kareṅ to yihī terā muāwazā hogā. 13 Is ke bajāe ziyāfat karte waqt ġharīboṅ, langaṛoṅ, maflūjoṅ aur andhoṅ ko dāwat de. 14 Aisā karne se tujhe barkat milegī. Kyoṅki wuh tujhe is ke ewaz kuchh nahīṅ de sakeṅge, balki tujhe is kā muāwazā us waqt milegā jab rāstbāz jī uṭheṅge.” 15 Yih sun kar mehmānoṅ meṅ se ek ne us se kahā, “Mubārak hai wuh jo Allāh kī bādshāhī meṅ khānā khāe.” 16 Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Kisī ādmī ne ek baṛī ziyāfat kā intazām kiyā. Is ke lie us ne bahut-se logoṅ ko dāwat dī. 17 Jab ziyāfat kā waqt āyā to us ne apne naukar ko mehmānoṅ ko ittalā dene ke lie bhejā ki ‘Āeṅ, sab kuchh taiyār hai.’ 18 Lekin wuh sab ke sab māzarat chāhne lage. Pahle ne kahā, ‘Maiṅ ne khet ḳharīdā hai aur ab zarūrī hai ki nikal kar us kā muāynā karūṅ. Maiṅ māzarat chāhtā hūṅ.’ 19 Dūsre ne kahā, ‘Maiṅ ne bailoṅ ke pāṅch joṛe ḳharīde haiṅ. Ab maiṅ unheṅ āzmāne jā rahā hūṅ. Maiṅ māzarat chāhtā hūṅ.’ 20 Tīsre ne kahā, ‘Maiṅ ne shādī kī hai, is lie nahīṅ ā saktā.’ 21 Naukar ne wāpas ā kar mālik ko sab kuchh batāyā. Wuh ġhusse ho kar naukar se kahne lagā, ‘Jā, sīdhe shahr kī saṛakoṅ aur galiyoṅ meṅ jā kar wahāṅ ke ġharīboṅ, langaṛoṅ, andhoṅ aur maflūjoṅ ko le ā.’ Naukar ne aisā hī kiyā. 22 Phir wāpas ā kar us ne mālik ko ittalā dī, ‘Janāb, jo kuchh āp ne kahā thā pūrā ho chukā hai. Lekin ab bhī mazīd logoṅ ke lie gunjāish hai.’ 23 Mālik ne us se kahā, phir shahr se nikal kar dehāt kī saṛakoṅ par aur bāṛoṅ ke pās jā. Jo bhī mil jāe use hamārī ḳhushī meṅ sharīk hone par majbūr kar tāki merā ghar bhar jāe. 24 Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jin ko pahle dāwat dī gaī thī un meṅ se koī bhī merī ziyāfat meṅ sharīk na hogā.” 25 Ek baṛā hujūm Īsā ke sāth chal rahā thā. Un kī taraf muṛ kar us ne kahā, 26 “Agar koī mere pās ā kar apne bāp, māṅ, bīwī, bachchoṅ, bhāiyoṅ, bahnoṅ balki apne āp se bhī dushmanī na rakhe to wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā. 27 Aur jo apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe na ho le wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā. 28 Agar tum meṅ se koī burj tāmīr karnā chāhe to kyā wuh pahle baiṭh kar pūre aḳhrājāt kā andāzā nahīṅ lagāegā tāki mālūm ho jāe ki wuh use takmīl tak pahuṅchā sakegā yā nahīṅ? 29 Warnā ḳhatrā hai ki us kī buniyād ḍālne ke bād paise ḳhatm ho jāeṅ aur wuh āge kuchh na banā sake. Phir jo koī bhī dekhegā wuh us kā mazāq uṛā kar 30 kahegā, ‘Us ne imārat ko shurū to kiyā, lekin ab use mukammal nahīṅ kar pāyā.’ 31 Yā agar koī bādshāh kisī dūsre bādshāh ke sāth jang ke lie nikle to kyā wuh pahle baiṭh kar andāzā nahīṅ lagāegā ki wuh apne das hazār faujiyoṅ se un bīs hazār faujiyoṅ par ġhālib ā saktā hai jo us se laṛne ā rahe haiṅ? 32 Agar wuh is natīje par pahuṅche ki ġhālib nahīṅ ā saktā to wuh sulah karne ke lie apne numāinde dushman ke pās bhejegā jab wuh abhī dūr hī ho. 33 Isī tarah tum meṅ se jo bhī apnā sab kuchh na chhoṛe wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā. 34 Namak achchhī chīz hai. Lekin agar us kā zāyqā jātā rahe to phir use kyoṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? 35 Na wuh zamīn ke lie mufīd hai, na khād ke lie balki use nikāl kar bāhar phaiṅkā jāegā. Jo sun saktā hai wuh sun le.”

In Other Versions

Luke 14 in the ANGEFD

Luke 14 in the ANTPNG2D

Luke 14 in the AS21

Luke 14 in the BAGH

Luke 14 in the BBPNG

Luke 14 in the BBT1E

Luke 14 in the BDS

Luke 14 in the BEV

Luke 14 in the BHAD

Luke 14 in the BIB

Luke 14 in the BLPT

Luke 14 in the BNT

Luke 14 in the BNTABOOT

Luke 14 in the BNTLV

Luke 14 in the BOATCB

Luke 14 in the BOATCB2

Luke 14 in the BOBCV

Luke 14 in the BOCNT

Luke 14 in the BOECS

Luke 14 in the BOGWICC

Luke 14 in the BOHCB

Luke 14 in the BOHCV

Luke 14 in the BOHLNT

Luke 14 in the BOHNTLTAL

Luke 14 in the BOICB

Luke 14 in the BOILNTAP

Luke 14 in the BOITCV

Luke 14 in the BOKCV

Luke 14 in the BOKCV2

Luke 14 in the BOKHWOG

Luke 14 in the BOKSSV

Luke 14 in the BOLCB

Luke 14 in the BOLCB2

Luke 14 in the BOMCV

Luke 14 in the BONAV

Luke 14 in the BONCB

Luke 14 in the BONLT

Luke 14 in the BONUT2

Luke 14 in the BOPLNT

Luke 14 in the BOSCB

Luke 14 in the BOSNC

Luke 14 in the BOTLNT

Luke 14 in the BOVCB

Luke 14 in the BOYCB

Luke 14 in the BPBB

Luke 14 in the BPH

Luke 14 in the BSB

Luke 14 in the CCB

Luke 14 in the CUV

Luke 14 in the CUVS

Luke 14 in the DBT

Luke 14 in the DGDNT

Luke 14 in the DHNT

Luke 14 in the DNT

Luke 14 in the ELBE

Luke 14 in the EMTV

Luke 14 in the ESV

Luke 14 in the FBV

Luke 14 in the FEB

Luke 14 in the GGMNT

Luke 14 in the GNT

Luke 14 in the HARY

Luke 14 in the HNT

Luke 14 in the IRVA

Luke 14 in the IRVB

Luke 14 in the IRVG

Luke 14 in the IRVH

Luke 14 in the IRVK

Luke 14 in the IRVM

Luke 14 in the IRVM2

Luke 14 in the IRVO

Luke 14 in the IRVP

Luke 14 in the IRVT

Luke 14 in the IRVT2

Luke 14 in the IRVU

Luke 14 in the ISVN

Luke 14 in the JSNT

Luke 14 in the KAPI

Luke 14 in the KBT1ETNIK

Luke 14 in the KBV

Luke 14 in the KJV

Luke 14 in the KNFD

Luke 14 in the LBA

Luke 14 in the LBLA

Luke 14 in the LNT

Luke 14 in the LSV

Luke 14 in the MAAL

Luke 14 in the MBV

Luke 14 in the MBV2

Luke 14 in the MHNT

Luke 14 in the MKNFD

Luke 14 in the MNG

Luke 14 in the MNT

Luke 14 in the MNT2

Luke 14 in the MRS1T

Luke 14 in the NAA

Luke 14 in the NASB

Luke 14 in the NBLA

Luke 14 in the NBS

Luke 14 in the NBVTP

Luke 14 in the NET2

Luke 14 in the NIV11

Luke 14 in the NNT

Luke 14 in the NNT2

Luke 14 in the NNT3

Luke 14 in the PDDPT

Luke 14 in the PFNT

Luke 14 in the RMNT

Luke 14 in the SBIAS

Luke 14 in the SBIBS

Luke 14 in the SBIBS2

Luke 14 in the SBICS

Luke 14 in the SBIDS

Luke 14 in the SBIGS

Luke 14 in the SBIHS

Luke 14 in the SBIIS

Luke 14 in the SBIIS2

Luke 14 in the SBIIS3

Luke 14 in the SBIKS

Luke 14 in the SBIKS2

Luke 14 in the SBIMS

Luke 14 in the SBIOS

Luke 14 in the SBIPS

Luke 14 in the SBISS

Luke 14 in the SBITS

Luke 14 in the SBITS2

Luke 14 in the SBITS3

Luke 14 in the SBITS4

Luke 14 in the SBIUS

Luke 14 in the SBIVS

Luke 14 in the SBT

Luke 14 in the SBT1E

Luke 14 in the SCHL

Luke 14 in the SNT

Luke 14 in the SUSU

Luke 14 in the SUSU2

Luke 14 in the SYNO

Luke 14 in the TBIAOTANT

Luke 14 in the TBT1E

Luke 14 in the TBT1E2

Luke 14 in the TFTIP

Luke 14 in the TFTU

Luke 14 in the TGNTATF3T

Luke 14 in the THAI

Luke 14 in the TNFD

Luke 14 in the TNT

Luke 14 in the TNTIK

Luke 14 in the TNTIL

Luke 14 in the TNTIN

Luke 14 in the TNTIP

Luke 14 in the TNTIZ

Luke 14 in the TOMA

Luke 14 in the TTENT

Luke 14 in the UBG

Luke 14 in the UGV

Luke 14 in the UGV2

Luke 14 in the VBL

Luke 14 in the VDCC

Luke 14 in the YALU

Luke 14 in the YAPE

Luke 14 in the YBVTP

Luke 14 in the ZBP