Luke 15 (UGV3)

1 Ab aisā thā ki tamām ṭaiks lene wāle aur gunāhgār Īsā kī bāteṅ sunane ke lie us ke pās āte the. 2 Yih dekh kar Farīsī aur sharīat ke ālim buṛbuṛāne lage, “Yih ādmī gunāhgāroṅ ko ḳhushāmdīd kah kar un ke sāth khānā khātā hai.” 3 Is par Īsā ne unheṅ yih tamsīl sunāī, 4 “Farz karo ki tum meṅ se kisī kī sau bheṛeṅ haiṅ. Lekin ek gum ho jātī hai. Ab mālik kyā karegā? Kyā wuh bāqī 99 bheṛeṅ khule maidān meṅ chhoṛ kar gumshudā bheṛ ko ḍhūṅḍne nahīṅ jāegā? Zarūr jāegā, balki jab tak use wuh bheṛ mil na jāe wuh us kī talāsh meṅ rahegā. 5 Phir wuh ḳhush ho kar use apne kandhoṅ par uṭhā legā. 6 Yoṅ chalte chalte wuh apne ghar pahuṅch jāegā aur wahāṅ apne dostoṅ aur hamsāyoṅ ko bulā kar un se kahegā, ‘Mere sāth ḳhushī manāo! Kyoṅki mujhe apnī khoī huī bheṛ mil gaī hai.’ 7 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki āsmān par bilkul isī tarah ḳhushī manāī jāegī jab ek hī gunāhgār taubā karegā. Aur yih ḳhushī us ḳhushī kī nisbat zyādā hogī jo un 99 afrād ke bāis manāī jāegī jinheṅ taubā karne kī zarūrat hī nahīṅ thī. 8 Yā farz karo ki kisī aurat ke pās das sikke hoṅ lekin ek sikkā gum ho jāe. Ab aurat kyā karegī? Kyā wuh charāġh jalā kar aur ghar meṅ jhāṛū de de kar baṛī ehtiyāt se sikke ko talāsh nahīṅ karegī? Zarūr karegī, balki wuh us waqt tak ḍhūṅḍtī rahegī jab tak use sikkā mil na jāe. 9 Jab use sikkā mil jāegā to wuh apnī saheliyoṅ aur hamsāyoṅ ko bulā kar un se kahegī, ‘Mere sāth ḳhushī manāo! Kyoṅki mujhe apnā gumshudā sikkā mil gayā hai.’ 10 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki bilkul isī tarah Allāh ke farishtoṅ ke sāmne ḳhushī manāī jātī hai jab ek bhī gunāhgār taubā kartā hai.” 11 Īsā ne apnī bāt jārī rakhī. “Kisī ādmī ke do beṭe the. 12 In meṅ se chhoṭe ne bāp se kahā, ‘Ai bāp, mīrās kā merā hissā de deṅ.’ Is par bāp ne donoṅ meṅ apnī milkiyat taqsīm kar dī. 13 Thoṛe dinoṅ ke bād chhoṭā beṭā apnā sārā sāmān sameṭ kar apne sāth kisī dūr-darāz mulk meṅ le gayā. Wahāṅ us ne aiyāshī meṅ apnā pūrā māl-o-matā uṛā diyā. 14 Sab kuchh zāe ho gayā to us mulk meṅ saḳht kāl paṛā. Ab wuh zarūratmand hone lagā. 15 Natīje meṅ wuh us mulk ke kisī bāshinde ke hāṅ jā paṛā jis ne use suaroṅ ko charāne ke lie apne khetoṅ meṅ bhej diyā. 16 Wahāṅ wuh apnā peṭ un phaliyoṅ se bharne kī shadīd ḳhāhish rakhtā thā jo suar khāte the, lekin use is kī bhī ijāzat na milī. 17 Phir wuh hosh meṅ āyā. Wuh kahne lagā, ‘Mere bāp ke kitne mazdūroṅ ko kasrat se khānā miltā hai jabki maiṅ yahāṅ bhūkā mar rahā hūṅ. 18 Maiṅ uṭh kar apne bāp ke pās wāpas chalā jāūṅgā aur us se kahūṅgā, “Ai bāp, maiṅ ne āsmān kā aur āp kā gunāh kiyā hai. 19 Ab maiṅ is lāyq nahīṅ rahā ki āp kā beṭā kahlāūṅ. Mehrbānī karke mujhe apne mazdūroṅ meṅ rakh leṅ”.’ 20 Phir wuh uṭh kar apne bāp ke pās wāpas chalā gayā.Lekin wuh ghar se abhī dūr hī thā ki us ke bāp ne use dekh liyā. Use tars āyā aur wuh bhāg kar beṭe ke pās āyā aur gale lagā kar use bosā diyā. 21 Beṭe ne kahā, ‘Ai bāp, maiṅ ne āsmān kā aur āp kā gunāh kiyā hai. Ab maiṅ is lāyq nahīṅ rahā ki āp kā beṭā kahlāūṅ.’ 22 Lekin bāp ne apne naukaroṅ ko bulāyā aur kahā, ‘Jaldī karo, behtarīn sūṭ lā kar ise pahnāo. Is ke hāth meṅ angūṭhī aur pāṅwoṅ meṅ jūte pahnā do. 23 Phir moṭā-tāzā bachhṛā lā kar use zabah karo tāki ham khāeṅ aur ḳhushī manāeṅ, 24 kyoṅki yih merā beṭā murdā thā ab zindā ho gayā hai, gum ho gayā thā ab mil gayā hai.’ Is par wuh ḳhushī manāne lage. 25 Is daurān bāp kā baṛā beṭā khet meṅ thā. Ab wuh ghar lauṭā. Jab wuh ghar ke qarīb pahuṅchā to andar se mausīqī aur nāchne kī āwāzeṅ sunāī dīṅ. 26 Us ne kisī naukar ko bulā kar pūchhā, ‘Yih kyā ho rahā hai?’ 27 Naukar ne jawāb diyā, ‘Āp kā bhāī ā gayā hai aur āp ke bāp ne moṭā-tāzā bachhṛā zabah karwāyā hai, kyoṅki use apnā beṭā sahīh-salāmat wāpas mil gayā hai.’ 28 Yih sun kar baṛā beṭā ġhusse huā aur andar jāne se inkār kar diyā. Phir bāp ghar se nikal kar use samjhāne lagā. 29 Lekin us ne jawāb meṅ apne bāp se kahā, ‘Dekheṅ, maiṅ ne itne sāl āp kī ḳhidmat meṅ saḳht mehnat-mashaqqat kī hai aur ek dafā bhī āp kī marzī kī ḳhilāfwarzī nahīṅ kī. To bhī āp ne mujhe is pūre arse meṅ ek chhoṭā bakrā bhī nahīṅ diyā ki use zabah karke apne dostoṅ ke sāth ziyāfat kartā. 30 Lekin jyoṅ hī āp kā yih beṭā āyā jis ne āp kī daulat kasbiyoṅ meṅ uṛā dī, āp ne us ke lie moṭā-tāzā bachhṛā zabah karwāyā.’ 31 Bāp ne jawāb diyā, ‘Beṭā, āp to har waqt mere pās rahe haiṅ, aur jo kuchh merā hai wuh āp hī kā hai. 32 Lekin ab zarūrī thā ki ham jashn manāeṅ aur ḳhush hoṅ. Kyoṅki āp kā yih bhāī jo murdā thā ab zindā ho gayā hai, jo gum ho gayā thā ab mil gayā hai.’”

In Other Versions

Luke 15 in the ANGEFD

Luke 15 in the ANTPNG2D

Luke 15 in the AS21

Luke 15 in the BAGH

Luke 15 in the BBPNG

Luke 15 in the BBT1E

Luke 15 in the BDS

Luke 15 in the BEV

Luke 15 in the BHAD

Luke 15 in the BIB

Luke 15 in the BLPT

Luke 15 in the BNT

Luke 15 in the BNTABOOT

Luke 15 in the BNTLV

Luke 15 in the BOATCB

Luke 15 in the BOATCB2

Luke 15 in the BOBCV

Luke 15 in the BOCNT

Luke 15 in the BOECS

Luke 15 in the BOGWICC

Luke 15 in the BOHCB

Luke 15 in the BOHCV

Luke 15 in the BOHLNT

Luke 15 in the BOHNTLTAL

Luke 15 in the BOICB

Luke 15 in the BOILNTAP

Luke 15 in the BOITCV

Luke 15 in the BOKCV

Luke 15 in the BOKCV2

Luke 15 in the BOKHWOG

Luke 15 in the BOKSSV

Luke 15 in the BOLCB

Luke 15 in the BOLCB2

Luke 15 in the BOMCV

Luke 15 in the BONAV

Luke 15 in the BONCB

Luke 15 in the BONLT

Luke 15 in the BONUT2

Luke 15 in the BOPLNT

Luke 15 in the BOSCB

Luke 15 in the BOSNC

Luke 15 in the BOTLNT

Luke 15 in the BOVCB

Luke 15 in the BOYCB

Luke 15 in the BPBB

Luke 15 in the BPH

Luke 15 in the BSB

Luke 15 in the CCB

Luke 15 in the CUV

Luke 15 in the CUVS

Luke 15 in the DBT

Luke 15 in the DGDNT

Luke 15 in the DHNT

Luke 15 in the DNT

Luke 15 in the ELBE

Luke 15 in the EMTV

Luke 15 in the ESV

Luke 15 in the FBV

Luke 15 in the FEB

Luke 15 in the GGMNT

Luke 15 in the GNT

Luke 15 in the HARY

Luke 15 in the HNT

Luke 15 in the IRVA

Luke 15 in the IRVB

Luke 15 in the IRVG

Luke 15 in the IRVH

Luke 15 in the IRVK

Luke 15 in the IRVM

Luke 15 in the IRVM2

Luke 15 in the IRVO

Luke 15 in the IRVP

Luke 15 in the IRVT

Luke 15 in the IRVT2

Luke 15 in the IRVU

Luke 15 in the ISVN

Luke 15 in the JSNT

Luke 15 in the KAPI

Luke 15 in the KBT1ETNIK

Luke 15 in the KBV

Luke 15 in the KJV

Luke 15 in the KNFD

Luke 15 in the LBA

Luke 15 in the LBLA

Luke 15 in the LNT

Luke 15 in the LSV

Luke 15 in the MAAL

Luke 15 in the MBV

Luke 15 in the MBV2

Luke 15 in the MHNT

Luke 15 in the MKNFD

Luke 15 in the MNG

Luke 15 in the MNT

Luke 15 in the MNT2

Luke 15 in the MRS1T

Luke 15 in the NAA

Luke 15 in the NASB

Luke 15 in the NBLA

Luke 15 in the NBS

Luke 15 in the NBVTP

Luke 15 in the NET2

Luke 15 in the NIV11

Luke 15 in the NNT

Luke 15 in the NNT2

Luke 15 in the NNT3

Luke 15 in the PDDPT

Luke 15 in the PFNT

Luke 15 in the RMNT

Luke 15 in the SBIAS

Luke 15 in the SBIBS

Luke 15 in the SBIBS2

Luke 15 in the SBICS

Luke 15 in the SBIDS

Luke 15 in the SBIGS

Luke 15 in the SBIHS

Luke 15 in the SBIIS

Luke 15 in the SBIIS2

Luke 15 in the SBIIS3

Luke 15 in the SBIKS

Luke 15 in the SBIKS2

Luke 15 in the SBIMS

Luke 15 in the SBIOS

Luke 15 in the SBIPS

Luke 15 in the SBISS

Luke 15 in the SBITS

Luke 15 in the SBITS2

Luke 15 in the SBITS3

Luke 15 in the SBITS4

Luke 15 in the SBIUS

Luke 15 in the SBIVS

Luke 15 in the SBT

Luke 15 in the SBT1E

Luke 15 in the SCHL

Luke 15 in the SNT

Luke 15 in the SUSU

Luke 15 in the SUSU2

Luke 15 in the SYNO

Luke 15 in the TBIAOTANT

Luke 15 in the TBT1E

Luke 15 in the TBT1E2

Luke 15 in the TFTIP

Luke 15 in the TFTU

Luke 15 in the TGNTATF3T

Luke 15 in the THAI

Luke 15 in the TNFD

Luke 15 in the TNT

Luke 15 in the TNTIK

Luke 15 in the TNTIL

Luke 15 in the TNTIN

Luke 15 in the TNTIP

Luke 15 in the TNTIZ

Luke 15 in the TOMA

Luke 15 in the TTENT

Luke 15 in the UBG

Luke 15 in the UGV

Luke 15 in the UGV2

Luke 15 in the VBL

Luke 15 in the VDCC

Luke 15 in the YALU

Luke 15 in the YAPE

Luke 15 in the YBVTP

Luke 15 in the ZBP