Luke 21 (UGV3)

1 Īsā ne nazar uṭhā kar dekhā ki amīr log apne hadiye Baitul-muqaddas ke chande ke baks meṅ ḍāl rahe haiṅ. 2 Ek ġharīb bewā bhī wahāṅ se guzarī jis ne us meṅ tāṅbe ke do māmūlī-se sikke ḍāl die. 3 Īsā ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is ġharīb bewā ne tamām logoṅ kī nisbat zyādā ḍālā hai. 4 Kyoṅki in sab ne to apnī daulat kī kasrat se kuchh ḍālā jabki is ne zarūratmand hone ke bāwujūd bhī apne guzāre ke sāre paise de die haiṅ.” 5 Us waqt kuchh log Baitul-muqaddas kī tārīf meṅ kahne lage ki wuh kitne ḳhūbsūrat pattharoṅ aur mannat ke tohfoṅ se sajī huī hai. Yih sun kar Īsā ne kahā, 6 “Jo kuchh tum ko yahāṅ nazar ātā hai us kā patthar par patthar nahīṅ rahegā. Āne wāle dinoṅ meṅ sab kuchh ḍhā diyā jāegā.” 7 Unhoṅ ne pūchhā, “Ustād, yih kab hogā? Kyā kyā nazar āegā jis se mālūm ho ki yih ab hone ko hai?” 8 Īsā ne jawāb diyā, “Ḳhabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de. Kyoṅki bahut-se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘Maiṅ hī Masīh hūṅ’ aur ki ‘Waqt qarīb ā chukā hai.’ Lekin un ke pīchhe na lagnā. 9 Aur jab jangoṅ aur fitnoṅ kī ḳhabreṅ tum tak pahuṅcheṅgī to mat ghabrānā. Kyoṅki lāzim hai ki yih sab kuchh pahle pesh āe. To bhī abhī āḳhirat na hogī.” 10 Us ne apnī bāt jārī rakhī, “Ek qaum dūsrī ke ḳhilāf uṭh khaṛī hogī, aur ek bādshāhī dūsrī ke ḳhilāf. 11 Shadīd zalzale āeṅge, jagah jagah kāl paṛeṅge aur wabāī bīmāriyāṅ phail jāeṅgī. Haibatnāk wāqiyāt aur āsmān par baṛe nishān deḳhne meṅ āeṅge. 12 Lekin in tamām wāqiyāt se pahle log tum ko pakaṛ kar satāeṅge. Wuh tum ko Yahūdī ibādatḳhānoṅ ke hawāle kareṅge, qaidḳhānoṅ meṅ ḍalwāeṅge aur bādshāhoṅ aur hukmrānoṅ ke sāmne pesh kareṅge. Aur yih is lie hogā ki tum mere pairokār ho. 13 Natīje meṅ tumheṅ merī gawāhī dene kā mauqā milegā. 14 Lekin ṭhān lo ki tum pahle se apnā difā karne kī taiyārī na karo, 15 kyoṅki maiṅ tum ko aise alfāz aur hikmat atā karūṅga ki tumhāre tamām muḳhālif na us kā muqābalā aur na us kī tardīd kar sakeṅge. 16 Tumhāre wālidain, bhāī, rishtedār aur dost bhī tum ko dushman ke hawāle kar deṅge, balki tum meṅ se bāz ko qatl kiyā jāegā. 17 Sab tum se nafrat kareṅge, is lie ki tum mere pairokār ho. 18 To bhī tumhārā ek bāl bhī bīkā nahīṅ hogā. 19 Sābitqadam rahne se hī tum apnī jān bachā loge. 20 Jab tum Yarūshalam ko faujoṅ se ghirā huā dekho to jān lo ki us kī tabāhī qarīb ā chukī hai. 21 Us waqt Yahūdiyā ke bāshinde bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. Shahr ke rahne wāle us se nikal jāeṅ aur dehāt meṅ ābād log shahr meṅ dāḳhil na hoṅ. 22 Kyoṅki yih ilāhī ġhazab ke din hoṅge jin meṅ wuh sab kuchh pūrā ho jāegā jo kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai. 23 Un ḳhawātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bachchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ, kyoṅki mulk meṅ bahut musībat hogī aur is qaum par Allāh kā ġhazab nāzil hogā. 24 Log unheṅ talwār se qatl kareṅge aur qaid karke tamām Ġhairyahūdī mamālik meṅ le jāeṅge. Ġhairyahūdī Yarūshalam ko pāṅwoṅ tale kuchal ḍāleṅge. Yih silsilā us waqt tak jārī rahegā jab tak Ġhairyahūdiyoṅ kā daur pūrā na ho jāe. 25 Sūraj, chāṅd aur sitāroṅ meṅ ajīb-o-ġharīb nishān zāhir hoṅge. Qaumeṅ samundar ke shor aur ṭhāṭheṅ mārne se hairān-o-pareshān hoṅgī. 26 Log is andeshe se ki kyā kyā musībat duniyā par āegī is qadar ḳhauf khāeṅge ki un kī jān meṅ jān na rahegī, kyoṅki āsmān kī quwwateṅ hilāī jāeṅgī. 27 Aur phir wuh Ibn-e-Ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth bādal meṅ āte hue dekheṅge. 28 Chunāṅche jab yih kuchh pesh āne lage to sīdhe khaṛe ho kar apnī nazar uṭhāo, kyoṅki tumhārī najāt nazdīk hogī.” 29 Is silsile meṅ Īsā ne unheṅ ek tamsīl sunāī. “Anjīr ke daraḳht aur bāqī daraḳhtoṅ par ġhaur karo. 30 Jyoṅ hī koṅpleṅ nikalne lagtī haiṅ tum jān lete ho ki garmiyoṅ kā mausam nazdīk hai. 31 Isī tarah jab tum yih wāqiyāt dekhoge to jān loge ki Allāh kī bādshāhī qarīb hī hai. 32 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is nasl ke ḳhatm hone se pahle pahle yih sab kuchh wāqe hogā. 33 Āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāym raheṅgī. 34 Ḳhabardār raho tāki tumhāre dil aiyāshī, nashābāzī aur rozānā kī fikroṅ tale dab na jāeṅ. Warnā yih din achānak tum par ān paṛegā, 35 aur phande kī tarah tumheṅ jakaṛ legā. Kyoṅki wuh duniyā ke tamām bāshindoṅ par āegā. 36 Har waqt chaukas raho aur duā karte raho ki tum ko āne wālī in sab bātoṅ se bach nikalne kī taufīq mil jāe aur tum Ibn-e-Ādam ke sāmne khaṛe ho sako.” 37 Har roz Īsā Baitul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā aur har shām wuh nikal kar us pahāṛ par rāt guzārtā thā jis kā nām Zaitūn kā Pahāṛ hai. 38 Aur tamām log us kī bāteṅ sunane ke lie subah-sawere Baitul-muqaddas meṅ us ke pās āte the.

In Other Versions

Luke 21 in the ANGEFD

Luke 21 in the ANTPNG2D

Luke 21 in the AS21

Luke 21 in the BAGH

Luke 21 in the BBPNG

Luke 21 in the BBT1E

Luke 21 in the BDS

Luke 21 in the BEV

Luke 21 in the BHAD

Luke 21 in the BIB

Luke 21 in the BLPT

Luke 21 in the BNT

Luke 21 in the BNTABOOT

Luke 21 in the BNTLV

Luke 21 in the BOATCB

Luke 21 in the BOATCB2

Luke 21 in the BOBCV

Luke 21 in the BOCNT

Luke 21 in the BOECS

Luke 21 in the BOGWICC

Luke 21 in the BOHCB

Luke 21 in the BOHCV

Luke 21 in the BOHLNT

Luke 21 in the BOHNTLTAL

Luke 21 in the BOICB

Luke 21 in the BOILNTAP

Luke 21 in the BOITCV

Luke 21 in the BOKCV

Luke 21 in the BOKCV2

Luke 21 in the BOKHWOG

Luke 21 in the BOKSSV

Luke 21 in the BOLCB

Luke 21 in the BOLCB2

Luke 21 in the BOMCV

Luke 21 in the BONAV

Luke 21 in the BONCB

Luke 21 in the BONLT

Luke 21 in the BONUT2

Luke 21 in the BOPLNT

Luke 21 in the BOSCB

Luke 21 in the BOSNC

Luke 21 in the BOTLNT

Luke 21 in the BOVCB

Luke 21 in the BOYCB

Luke 21 in the BPBB

Luke 21 in the BPH

Luke 21 in the BSB

Luke 21 in the CCB

Luke 21 in the CUV

Luke 21 in the CUVS

Luke 21 in the DBT

Luke 21 in the DGDNT

Luke 21 in the DHNT

Luke 21 in the DNT

Luke 21 in the ELBE

Luke 21 in the EMTV

Luke 21 in the ESV

Luke 21 in the FBV

Luke 21 in the FEB

Luke 21 in the GGMNT

Luke 21 in the GNT

Luke 21 in the HARY

Luke 21 in the HNT

Luke 21 in the IRVA

Luke 21 in the IRVB

Luke 21 in the IRVG

Luke 21 in the IRVH

Luke 21 in the IRVK

Luke 21 in the IRVM

Luke 21 in the IRVM2

Luke 21 in the IRVO

Luke 21 in the IRVP

Luke 21 in the IRVT

Luke 21 in the IRVT2

Luke 21 in the IRVU

Luke 21 in the ISVN

Luke 21 in the JSNT

Luke 21 in the KAPI

Luke 21 in the KBT1ETNIK

Luke 21 in the KBV

Luke 21 in the KJV

Luke 21 in the KNFD

Luke 21 in the LBA

Luke 21 in the LBLA

Luke 21 in the LNT

Luke 21 in the LSV

Luke 21 in the MAAL

Luke 21 in the MBV

Luke 21 in the MBV2

Luke 21 in the MHNT

Luke 21 in the MKNFD

Luke 21 in the MNG

Luke 21 in the MNT

Luke 21 in the MNT2

Luke 21 in the MRS1T

Luke 21 in the NAA

Luke 21 in the NASB

Luke 21 in the NBLA

Luke 21 in the NBS

Luke 21 in the NBVTP

Luke 21 in the NET2

Luke 21 in the NIV11

Luke 21 in the NNT

Luke 21 in the NNT2

Luke 21 in the NNT3

Luke 21 in the PDDPT

Luke 21 in the PFNT

Luke 21 in the RMNT

Luke 21 in the SBIAS

Luke 21 in the SBIBS

Luke 21 in the SBIBS2

Luke 21 in the SBICS

Luke 21 in the SBIDS

Luke 21 in the SBIGS

Luke 21 in the SBIHS

Luke 21 in the SBIIS

Luke 21 in the SBIIS2

Luke 21 in the SBIIS3

Luke 21 in the SBIKS

Luke 21 in the SBIKS2

Luke 21 in the SBIMS

Luke 21 in the SBIOS

Luke 21 in the SBIPS

Luke 21 in the SBISS

Luke 21 in the SBITS

Luke 21 in the SBITS2

Luke 21 in the SBITS3

Luke 21 in the SBITS4

Luke 21 in the SBIUS

Luke 21 in the SBIVS

Luke 21 in the SBT

Luke 21 in the SBT1E

Luke 21 in the SCHL

Luke 21 in the SNT

Luke 21 in the SUSU

Luke 21 in the SUSU2

Luke 21 in the SYNO

Luke 21 in the TBIAOTANT

Luke 21 in the TBT1E

Luke 21 in the TBT1E2

Luke 21 in the TFTIP

Luke 21 in the TFTU

Luke 21 in the TGNTATF3T

Luke 21 in the THAI

Luke 21 in the TNFD

Luke 21 in the TNT

Luke 21 in the TNTIK

Luke 21 in the TNTIL

Luke 21 in the TNTIN

Luke 21 in the TNTIP

Luke 21 in the TNTIZ

Luke 21 in the TOMA

Luke 21 in the TTENT

Luke 21 in the UBG

Luke 21 in the UGV

Luke 21 in the UGV2

Luke 21 in the VBL

Luke 21 in the VDCC

Luke 21 in the YALU

Luke 21 in the YAPE

Luke 21 in the YBVTP

Luke 21 in the ZBP