Matthew 16 (UGV3)
1 Ek din Farīsī aur Sadūqī Īsā ke pās āe. Use parakhne ke lie unhoṅ ne mutālabā kiyā ki wuh unheṅ āsmān kī taraf se koī ilāhī nishān dikhāe tāki us kā iḳhtiyār sābit ho jāe. 2 Lekin us ne jawāb diyā, “Shām ko tum kahte ho, ‘Kal mausam sāf hogā kyoṅki āsmān surḳh nazar ātā hai.’ 3 Aur subah ke waqt kahte ho, ‘Āj tūfān hogā kyoṅki āsmān surḳh hai aur bādal chhāe hue haiṅ.’ Ġharz tum āsmān kī hālat par ġhaur karke sahīh natījā nikāl lete ho, lekin zamānoṅ kī alāmatoṅ par ġhaur karke sahīh natīje tak pahuṅchnā tumhāre bas kī bāt nahīṅ hai. 4 Sirf sharīr aur zinākār nasl ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. Lekin use koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā siwāe Yūnus nabī ke nishān ke.”Yih kah kar Īsā unheṅ chhoṛ kar chalā gayā. 5 Jhīl ko pār karte waqt shāgird apne sāth khānā lānā bhūl gae the. 6 Īsā ne un se kahā, “Ḳhabardār, Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ ke ḳhamīr se hoshyār rahnā.” 7 Shāgird āpas meṅ bahs karne lage, “Wuh is lie kah rahe hoṅge ki ham khānā sāth nahīṅ lāe.” 8 Īsā ko mālūm huā ki wuh kyā soch rahe haiṅ. Us ne kahā, “Tum āpas meṅ kyoṅ bahs kar rahe ho ki hamāre pās roṭī nahīṅ hai? 9 Kyā tum abhī tak nahīṅ samajhte? Kyā tumheṅ yād nahīṅ ki maiṅ ne pāṅch roṭiyāṅ le kar 5,000 ādmiyoṅ ko khānā khilā diyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the? 10 Yā kyā tum bhūl gae ho ki maiṅ ne sāt roṭiyāṅ le kar 4,000 ādmiyoṅ ko khānā khilāyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the? 11 Tum kyoṅ nahīṅ samajhte ki maiṅ tum se khāne kī bāt nahīṅ kar rahā? Suno merī bāt! Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ ke ḳhamīr se hoshyār raho!” 12 Phir unheṅ samajh āī ki Īsā unheṅ roṭī ke ḳhamīr se āgāh nahīṅ kar rahā thā balki Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ kī tālīm se. 13 Jab Īsā Qaisariyā-filippī ke ilāqe meṅ pahuṅchā to us ne shāgirdoṅ se pūchhā, “Ibn-e-Ādam logoṅ ke nazdīk kaun hai?” 14 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Kuchh kahte haiṅ Yahyā baptismā dene wālā, kuchh yih ki āp Iliyās Nabī haiṅ. Kuchh yih bhī kahte haiṅ ki Yarmiyāh yā nabiyoṅ meṅ se ek.” 15 Us ne pūchhā, “Lekin tumhāre nazdīk maiṅ kaun hūṅ?” 16 Patras ne jawāb diyā, “Āp zindā Ḳhudā ke Farzand Masīh haiṅ.” 17 Īsā ne kahā, “Shamāūn bin Yūnus, tū mubārak hai, kyoṅki kisī insān ne tujh par yih zāhir nahīṅ kiyā balki mere āsmānī Bāp ne. 18 Maiṅ tujhe yih bhī batātā hūṅ ki tū Patras yānī Patthar hai, aur isī patthar par maiṅ apnī jamāt ko tāmīr karūṅga, aisī jamāt jis par Pātāl ke darwāze bhī ġhālib nahīṅ āeṅge. 19 Maiṅ tujhe āsmān kī bādshāhī kī kunjiyāṅ de dūṅgā. Jo kuchh tū zamīn par bāndhegā wuh āsmān par bhī bandhegā. Aur jo kuchh tū zamīn par kholegā wuh āsmān par bhī khulegā.” 20 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ ko hukm diyā, “Kisī ko bhī na batāo ki maiṅ Masīh hūṅ.” 21 Us waqt se Īsā apne shāgirdoṅ par wāzih karne lagā, “Lāzim hai ki maiṅ Yarūshalam jā kar qaum ke buzurgoṅ, rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ke hāthoṅ bahut dukh uṭhāūṅ. Mujhe qatl kiyā jāegā, lekin tīsre din maiṅ jī uṭhūṅgā.” 22 Is par Patras use ek taraf le jā kar samjhāne lagā. “Ai Ḳhudāwand, Allāh na kare ki yih kabhī bhī āp ke sāth ho.” 23 Īsā ne muṛ kar Patras se kahā, “Shaitān, mere sāmne se haṭ jā! Tū mere lie ṭhokar kā bāis hai, kyoṅki tū Allāh kī soch nahīṅ rakhtā balki insān kī.” 24 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Jo mere pīchhe ānā chāhe wuh apne āp kā inkār kare aur apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe ho le. 25 Kyoṅki jo apnī jān ko bachāe rakhnā chāhe wuh use kho degā. Lekin jo merī ḳhātir apnī jān kho de wuhī use pā legā. 26 Kyā fāydā hai agar kisī ko pūrī duniyā hāsil ho jāe, lekin wuh apnī jān se mahrūm ho jāe? Insān apnī jān ke badle kyā de saktā hai? 27 Kyoṅki Ibn-e-Ādam apne Bāp ke jalāl meṅ apne farishtoṅ ke sāth āegā, aur us waqt wuh har ek ko us ke kām kā badlā degā. 28 Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, yahāṅ kuchh aise log khaṛe haiṅ jo marne se pahle hī Ibn-e-Ādam ko us kī bādshāhī meṅ āte hue dekheṅge.”
In Other Versions
Matthew 16 in the ANGEFD
Matthew 16 in the ANTPNG2D
Matthew 16 in the AS21
Matthew 16 in the BAGH
Matthew 16 in the BBPNG
Matthew 16 in the BBT1E
Matthew 16 in the BDS
Matthew 16 in the BEV
Matthew 16 in the BHAD
Matthew 16 in the BIB
Matthew 16 in the BLPT
Matthew 16 in the BNT
Matthew 16 in the BNTABOOT
Matthew 16 in the BNTLV
Matthew 16 in the BOATCB
Matthew 16 in the BOATCB2
Matthew 16 in the BOBCV
Matthew 16 in the BOCNT
Matthew 16 in the BOECS
Matthew 16 in the BOGWICC
Matthew 16 in the BOHCB
Matthew 16 in the BOHCV
Matthew 16 in the BOHLNT
Matthew 16 in the BOHNTLTAL
Matthew 16 in the BOICB
Matthew 16 in the BOILNTAP
Matthew 16 in the BOITCV
Matthew 16 in the BOKCV
Matthew 16 in the BOKCV2
Matthew 16 in the BOKHWOG
Matthew 16 in the BOKSSV
Matthew 16 in the BOLCB
Matthew 16 in the BOLCB2
Matthew 16 in the BOMCV
Matthew 16 in the BONAV
Matthew 16 in the BONCB
Matthew 16 in the BONLT
Matthew 16 in the BONUT2
Matthew 16 in the BOPLNT
Matthew 16 in the BOSCB
Matthew 16 in the BOSNC
Matthew 16 in the BOTLNT
Matthew 16 in the BOVCB
Matthew 16 in the BOYCB
Matthew 16 in the BPBB
Matthew 16 in the BPH
Matthew 16 in the BSB
Matthew 16 in the CCB
Matthew 16 in the CUV
Matthew 16 in the CUVS
Matthew 16 in the DBT
Matthew 16 in the DGDNT
Matthew 16 in the DHNT
Matthew 16 in the DNT
Matthew 16 in the ELBE
Matthew 16 in the EMTV
Matthew 16 in the ESV
Matthew 16 in the FBV
Matthew 16 in the FEB
Matthew 16 in the GGMNT
Matthew 16 in the GNT
Matthew 16 in the HARY
Matthew 16 in the HNT
Matthew 16 in the IRVA
Matthew 16 in the IRVB
Matthew 16 in the IRVG
Matthew 16 in the IRVH
Matthew 16 in the IRVK
Matthew 16 in the IRVM
Matthew 16 in the IRVM2
Matthew 16 in the IRVO
Matthew 16 in the IRVP
Matthew 16 in the IRVT
Matthew 16 in the IRVT2
Matthew 16 in the IRVU
Matthew 16 in the ISVN
Matthew 16 in the JSNT
Matthew 16 in the KAPI
Matthew 16 in the KBT1ETNIK
Matthew 16 in the KBV
Matthew 16 in the KJV
Matthew 16 in the KNFD
Matthew 16 in the LBA
Matthew 16 in the LBLA
Matthew 16 in the LNT
Matthew 16 in the LSV
Matthew 16 in the MAAL
Matthew 16 in the MBV
Matthew 16 in the MBV2
Matthew 16 in the MHNT
Matthew 16 in the MKNFD
Matthew 16 in the MNG
Matthew 16 in the MNT
Matthew 16 in the MNT2
Matthew 16 in the MRS1T
Matthew 16 in the NAA
Matthew 16 in the NASB
Matthew 16 in the NBLA
Matthew 16 in the NBS
Matthew 16 in the NBVTP
Matthew 16 in the NET2
Matthew 16 in the NIV11
Matthew 16 in the NNT
Matthew 16 in the NNT2
Matthew 16 in the NNT3
Matthew 16 in the PDDPT
Matthew 16 in the PFNT
Matthew 16 in the RMNT
Matthew 16 in the SBIAS
Matthew 16 in the SBIBS
Matthew 16 in the SBIBS2
Matthew 16 in the SBICS
Matthew 16 in the SBIDS
Matthew 16 in the SBIGS
Matthew 16 in the SBIHS
Matthew 16 in the SBIIS
Matthew 16 in the SBIIS2
Matthew 16 in the SBIIS3
Matthew 16 in the SBIKS
Matthew 16 in the SBIKS2
Matthew 16 in the SBIMS
Matthew 16 in the SBIOS
Matthew 16 in the SBIPS
Matthew 16 in the SBISS
Matthew 16 in the SBITS
Matthew 16 in the SBITS2
Matthew 16 in the SBITS3
Matthew 16 in the SBITS4
Matthew 16 in the SBIUS
Matthew 16 in the SBIVS
Matthew 16 in the SBT
Matthew 16 in the SBT1E
Matthew 16 in the SCHL
Matthew 16 in the SNT
Matthew 16 in the SUSU
Matthew 16 in the SUSU2
Matthew 16 in the SYNO
Matthew 16 in the TBIAOTANT
Matthew 16 in the TBT1E
Matthew 16 in the TBT1E2
Matthew 16 in the TFTIP
Matthew 16 in the TFTU
Matthew 16 in the TGNTATF3T
Matthew 16 in the THAI
Matthew 16 in the TNFD
Matthew 16 in the TNT
Matthew 16 in the TNTIK
Matthew 16 in the TNTIL
Matthew 16 in the TNTIN
Matthew 16 in the TNTIP
Matthew 16 in the TNTIZ
Matthew 16 in the TOMA
Matthew 16 in the TTENT
Matthew 16 in the UBG
Matthew 16 in the UGV
Matthew 16 in the UGV2
Matthew 16 in the VBL
Matthew 16 in the VDCC
Matthew 16 in the YALU
Matthew 16 in the YAPE
Matthew 16 in the YBVTP
Matthew 16 in the ZBP