Matthew 24 (UGV3)

1 Īsā Baitul-muqaddas ko chhoṛ kar nikal rahā thā ki us ke shāgird us ke pās āe aur Baitul-muqaddas kī muḳhtalif imāratoṅ kī taraf us kī tawajjuh dilāne lage. 2 Lekin Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Kyā tum ko yih sab kuchh nazar ātā hai? Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yahāṅ patthar par patthar nahīṅ rahegā balki sab kuchh ḍhā diyā jāegā.” 3 Bād meṅ Īsā Zaitūn ke pahāṛ par baiṭh gayā. Shāgird akele us ke pās āe. Unhoṅ ne kahā, “Hameṅ zarā batāeṅ, yih kab hogā? Kyā kyā nazar āegā jis se patā chalegā ki āp āne wāle haiṅ aur yih duniyā ḳhatm hone wālī hai?” 4 Īsā ne jawāb diyā, “Ḳhabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de. 5 Kyoṅki bahut-se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘Maiṅ hī Masīh hūṅ.’ Yoṅ wuh bahutoṅ ko gumrāh kar deṅge. 6 Jangoṅ kī ḳhabreṅ aur afwāheṅ tum tak pahuṅcheṅgī, lekin muhtāt raho tāki tum ghabrā na jāo. Kyoṅki lāzim hai ki yih sab kuchh pesh āe. To bhī abhī āḳhirat nahīṅ hogī. 7 Ek qaum dūsrī ke ḳhilāf uṭh khaṛī hogī, aur ek bādshāhī dūsrī ke ḳhilāf. Kāl paṛeṅge aur jagah jagah zalzale āeṅge. 8 Lekin yih sirf dard-e-zah kī ibtidā hī hogī. 9 Phir wuh tum ko baṛī musībat meṅ ḍāl deṅge aur tum ko qatl kareṅge. Tamām qaumeṅ tum se is lie nafrat kareṅgī ki tum mere pairokār ho. 10 Us waqt bahut-se log īmān se bargashtā ho kar ek dūsre ko dushman ke hawāle kareṅge aur ek dūsre se nafrat kareṅge. 11 Bahut-se jhūṭe nabī khaṛe ho kar bahut-se logoṅ ko gumrāh kar deṅge. 12 Bedīnī ke baṛh jāne kī wajah se beshtar logoṅ kī muhabbat ṭhanḍī paṛ jāegī. 13 Lekin jo āḳhir tak qāym rahegā use najāt milegī. 14 Aur bādshāhī kī is ḳhushḳhabrī ke paiġhām kā elān pūrī duniyā meṅ kiyā jāegā tāki tamām qaumoṅ ke sāmne us kī gawāhī dī jāe. Phir hī āḳhirat āegī. 15 Ek din āegā jab tum muqaddas maqām meṅ wuh kuchh khaṛā dekhoge jis kā zikr Dānyāl nabī ne kiyā aur jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai.” (Qārī is par dhyān de!) 16 “Us waqt Yahūdiyā ke rahne wāle bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. 17 Jo apne ghar kī chhat par ho wuh ghar meṅ se kuchh sāth le jāne ke lie na utre. 18 Jo khet meṅ ho wuh apnī chādar sāth le jāne ke lie wāpas na jāe. 19 Un ḳhawātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bachchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ. 20 Duā karo ki tum ko sardiyoṅ ke mausam meṅ yā Sabat ke din hijrat na karnī paṛe. 21 Kyoṅki us waqt aisī shadīd musībat hogī ki duniyā kī taḳhlīq se āj tak deḳhne meṅ na āī hogī. Is qism kī musībat bād meṅ bhī kabhī nahīṅ āegī. 22 Aur agar is musībat kā daurāniyā muḳhtasar na kiyā jātā to koī na bachtā. Lekin Allāh ke chune huoṅ kī ḳhātir is kā daurāniyā muḳhtasar kar diyā jāegā. 23 Us waqt agar koī tum ko batāe, ‘Dekho, Masīh yahāṅ hai’ yā ‘Wuh wahāṅ hai’ to us kī bāt na mānanā. 24 Kyoṅki jhūṭe Masīh aur jhūṭe nabī uṭh khaṛe hoṅge jo baṛe ajīb-o-ġharīb nishān aur mojize dikhāeṅge tāki Allāh ke chune hue logoṅ ko bhī ġhalat rāste par ḍāl deṅ—agar yih mumkin hotā. 25 Dekho, maiṅ ne tumheṅ pahle se is se āgāh kar diyā hai. 26 Chunāṅche agar koī tum ko batāe, ‘Dekho, wuh registān meṅ hai’ to wahāṅ jāne ke lie na nikalnā. Aur agar koī kahe, ‘Dekho, wuh andarūnī kamroṅ meṅ hai’ to us kā yaqīn na karnā. 27 Kyoṅki jis tarah bādal kī bijlī mashriq meṅ kaṛak kar maġhrib tak chamaktī hai usī tarah Ibn-e-Ādam kī āmad bhī hogī. 28 Jahāṅ bhī lāsh paṛī ho wahāṅ giddh jamā ho jāeṅge. 29 Musībat ke un dinoṅ ke ain bād sūraj tārīk ho jāegā aur chāṅd kī raushnī ḳhatm ho jāegī. Sitāre āsmān par se gir paṛeṅge aur āsmān kī quwwateṅ hilāī jāeṅgī. 30 Us waqt Ibn-e-Ādam kā nishān āsmān par nazar āegā. Tab duniyā kī tamām qaumeṅ mātam kareṅgī. Wuh Ibn-e-Ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekheṅgī. 31 Aur wuh apne farishtoṅ ko bigul kī ūṅchī āwāz ke sāth bhej degā tāki us ke chune huoṅ ko chāroṅ taraf se jamā kareṅ, āsmān ke ek sire se dūsre sire tak ikaṭṭhā kareṅ. 32 Anjīr ke daraḳht se sabaq sīkho. Jyoṅ hī us kī shāḳheṅ narm aur lachakdār ho jātī haiṅ aur un se koṅpleṅ phūṭ nikaltī haiṅ to tum ko mālūm ho jātā hai ki garmiyoṅ kā mausam qarīb ā gayā hai. 33 Isī tarah jab tum yih wāqiyāt dekhoge to jān loge ki Ibn-e-Ādam kī āmad qarīb balki darwāze par hai. 34 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is nasl ke ḳhatm hone se pahle pahle yih sab kuchh wāqe hogā. 35 Āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāym raheṅgī. 36 Lekin kisī ko bhī ilm nahīṅ ki yih kis din yā kaun-sī ghaṛī rūnumā hogā. Āsmān ke farishtoṅ aur Farzand ko bhī ilm nahīṅ balki sirf Bāp ko. 37 Jab Ibn-e-Ādam āegā to hālāt Nūh ke dinoṅ jaise hoṅge. 38 Kyoṅki sailāb se pahle ke dinoṅ meṅ log us waqt tak khāte-pīte aur shādiyāṅ karte karāte rahe jab tak Nūh kashtī meṅ dāḳhil na ho gayā. 39 Wuh us waqt tak āne wālī musībat ke bāre meṅ lā'ilm rahe jab tak sailāb ā kar un sab ko bahā na le gayā. Jab Ibn-e-Ādam āegā to isī qism ke hālāt hoṅge. 40 Us waqt do afrād khet meṅ hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā. 41 Do ḳhawātīn chakkī par gandum pīs rahī hoṅgī, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsrī ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā. 42 Is lie chaukas raho, kyoṅki tum nahīṅ jānte ki tumhārā Ḳhudāwand kis din ā jāegā. 43 Yaqīn jāno, agar kisī ghar ke mālik ko mālūm hotā ki chor kab āegā to wuh zarūr chaukas rahtā aur use apne ghar meṅ naqb lagāne na detā. 44 Tum bhī taiyār raho, kyoṅki Ibn-e-Ādam aise waqt āegā jab tum us kī tawaqqo nahīṅ karoge. 45 Chunāṅche kaun-sā naukar wafādār aur samajhdār hai? Farz karo ki ghar ke mālik ne kisī naukar ko bāqī naukaroṅ par muqarrar kiyā ho. Us kī ek zimmedārī yih bhī hai ki unheṅ waqt par khānā khilāe. 46 Wuh naukar mubārak hogā jo mālik kī wāpasī par yih sab kuchh kar rahā hogā. 47 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih dekh kar mālik use apnī pūrī jāydād par muqarrar karegā. 48 Lekin farz karo ki naukar apne dil meṅ soche, ‘Mālik kī wāpasī meṅ abhī der hai.’ 49 Wuh apne sāthī naukaroṅ ko pīṭne aur sharābiyoṅ ke sāth khāne-pīne lage. 50 Agar wuh aisā kare to mālik aise din aur waqt āegā jis kī tawaqqo naukar ko nahīṅ hogī. 51 In hālāt ko dekh kar wuh naukar ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍālegā aur use riyākāroṅ meṅ shāmil karegā, wahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.

In Other Versions

Matthew 24 in the ANGEFD

Matthew 24 in the ANTPNG2D

Matthew 24 in the AS21

Matthew 24 in the BAGH

Matthew 24 in the BBPNG

Matthew 24 in the BBT1E

Matthew 24 in the BDS

Matthew 24 in the BEV

Matthew 24 in the BHAD

Matthew 24 in the BIB

Matthew 24 in the BLPT

Matthew 24 in the BNT

Matthew 24 in the BNTABOOT

Matthew 24 in the BNTLV

Matthew 24 in the BOATCB

Matthew 24 in the BOATCB2

Matthew 24 in the BOBCV

Matthew 24 in the BOCNT

Matthew 24 in the BOECS

Matthew 24 in the BOGWICC

Matthew 24 in the BOHCB

Matthew 24 in the BOHCV

Matthew 24 in the BOHLNT

Matthew 24 in the BOHNTLTAL

Matthew 24 in the BOICB

Matthew 24 in the BOILNTAP

Matthew 24 in the BOITCV

Matthew 24 in the BOKCV

Matthew 24 in the BOKCV2

Matthew 24 in the BOKHWOG

Matthew 24 in the BOKSSV

Matthew 24 in the BOLCB

Matthew 24 in the BOLCB2

Matthew 24 in the BOMCV

Matthew 24 in the BONAV

Matthew 24 in the BONCB

Matthew 24 in the BONLT

Matthew 24 in the BONUT2

Matthew 24 in the BOPLNT

Matthew 24 in the BOSCB

Matthew 24 in the BOSNC

Matthew 24 in the BOTLNT

Matthew 24 in the BOVCB

Matthew 24 in the BOYCB

Matthew 24 in the BPBB

Matthew 24 in the BPH

Matthew 24 in the BSB

Matthew 24 in the CCB

Matthew 24 in the CUV

Matthew 24 in the CUVS

Matthew 24 in the DBT

Matthew 24 in the DGDNT

Matthew 24 in the DHNT

Matthew 24 in the DNT

Matthew 24 in the ELBE

Matthew 24 in the EMTV

Matthew 24 in the ESV

Matthew 24 in the FBV

Matthew 24 in the FEB

Matthew 24 in the GGMNT

Matthew 24 in the GNT

Matthew 24 in the HARY

Matthew 24 in the HNT

Matthew 24 in the IRVA

Matthew 24 in the IRVB

Matthew 24 in the IRVG

Matthew 24 in the IRVH

Matthew 24 in the IRVK

Matthew 24 in the IRVM

Matthew 24 in the IRVM2

Matthew 24 in the IRVO

Matthew 24 in the IRVP

Matthew 24 in the IRVT

Matthew 24 in the IRVT2

Matthew 24 in the IRVU

Matthew 24 in the ISVN

Matthew 24 in the JSNT

Matthew 24 in the KAPI

Matthew 24 in the KBT1ETNIK

Matthew 24 in the KBV

Matthew 24 in the KJV

Matthew 24 in the KNFD

Matthew 24 in the LBA

Matthew 24 in the LBLA

Matthew 24 in the LNT

Matthew 24 in the LSV

Matthew 24 in the MAAL

Matthew 24 in the MBV

Matthew 24 in the MBV2

Matthew 24 in the MHNT

Matthew 24 in the MKNFD

Matthew 24 in the MNG

Matthew 24 in the MNT

Matthew 24 in the MNT2

Matthew 24 in the MRS1T

Matthew 24 in the NAA

Matthew 24 in the NASB

Matthew 24 in the NBLA

Matthew 24 in the NBS

Matthew 24 in the NBVTP

Matthew 24 in the NET2

Matthew 24 in the NIV11

Matthew 24 in the NNT

Matthew 24 in the NNT2

Matthew 24 in the NNT3

Matthew 24 in the PDDPT

Matthew 24 in the PFNT

Matthew 24 in the RMNT

Matthew 24 in the SBIAS

Matthew 24 in the SBIBS

Matthew 24 in the SBIBS2

Matthew 24 in the SBICS

Matthew 24 in the SBIDS

Matthew 24 in the SBIGS

Matthew 24 in the SBIHS

Matthew 24 in the SBIIS

Matthew 24 in the SBIIS2

Matthew 24 in the SBIIS3

Matthew 24 in the SBIKS

Matthew 24 in the SBIKS2

Matthew 24 in the SBIMS

Matthew 24 in the SBIOS

Matthew 24 in the SBIPS

Matthew 24 in the SBISS

Matthew 24 in the SBITS

Matthew 24 in the SBITS2

Matthew 24 in the SBITS3

Matthew 24 in the SBITS4

Matthew 24 in the SBIUS

Matthew 24 in the SBIVS

Matthew 24 in the SBT

Matthew 24 in the SBT1E

Matthew 24 in the SCHL

Matthew 24 in the SNT

Matthew 24 in the SUSU

Matthew 24 in the SUSU2

Matthew 24 in the SYNO

Matthew 24 in the TBIAOTANT

Matthew 24 in the TBT1E

Matthew 24 in the TBT1E2

Matthew 24 in the TFTIP

Matthew 24 in the TFTU

Matthew 24 in the TGNTATF3T

Matthew 24 in the THAI

Matthew 24 in the TNFD

Matthew 24 in the TNT

Matthew 24 in the TNTIK

Matthew 24 in the TNTIL

Matthew 24 in the TNTIN

Matthew 24 in the TNTIP

Matthew 24 in the TNTIZ

Matthew 24 in the TOMA

Matthew 24 in the TTENT

Matthew 24 in the UBG

Matthew 24 in the UGV

Matthew 24 in the UGV2

Matthew 24 in the VBL

Matthew 24 in the VDCC

Matthew 24 in the YALU

Matthew 24 in the YAPE

Matthew 24 in the YBVTP

Matthew 24 in the ZBP