Nehemiah 3 (UGV3)
1 Imām-e-āzam Iliyāsib bāqī imāmoṅ ke sāth mil kar tāmīrī kām meṅ lag gayā. Unhoṅ ne Bheṛ ke Darwāze ko nae sire se banā diyā aur use maḳhsūs karke us ke kiwāṛ lagā die. Unhoṅ ne fasīl ke sāth wāle hisse ko bhī Miyā Burj aur Hananel ke Burj tak banā kar maḳhsūs kiyā. 2 Yarīhū ke ādmiyoṅ ne fasīl ke agle hisse ko khaṛā kiyā jabki Zakkūr bin Imrī ne un ke hisse se mulhiq hisse ko tāmīr kiyā. 3 Machhlī kā darwāzā Sanā'āh ke ḳhāndān kī zimmedārī thī. Use shahtīroṅ se banā kar unhoṅ ne kiwāṛ, chaṭaḳhniyāṅ aur kunḍe lagā die. 4 Agle hisse kī marammat Marīmot bin Ūriyāh bin Haqqūz ne kī. Aglā hissā Masullām bin Barakiyāh bin Mashezabel kī zimmedārī thī.Sadoq bin Bānā ne agle hisse ko tāmīr kiyā. 5 Aglā hissā Taqua ke bāshindoṅ ne banāyā. Lekin shahr ke baṛe log apne buzurgoṅ ke taht kām karne ke lie taiyār na the. 6 Yasānā kā Darwāzā Yoyadā bin Fāsih aur Masullām bin Basūdiyāh kī zimmedārī thī. Use shahtīroṅ se banā kar unhoṅ ne kiwāṛ, chaṭaḳhniyāṅ aur kunḍe lagā die. 7 Aglā hissā Malatiyāh Jibaūnī aur Yadūn Marūnotī ne khaṛā kiyā. Yih log Jibaūn aur Misfāh ke the, wuhī Misfāh jahāṅ Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar kā dārul-hukūmat thā. 8 Agle hisse kī marammat ek sunār banām Uzziyel bin Harhiyāh ke hāth meṅ thī.Agle hisse par ek itarsāz banām Hananiyāh muqarrar thā. In logoṅ ne fasīl kī marammat ‘Moṭī Dīwār’ tak kī. 9 Agle hisse ko Rifāyāh bin Hūr ne khaṛā kiyā. Yih ādmī zile Yarūshalam ke ādhe hisse kā afsar thā. 10 Yadāyāh bin Harūmaf ne agle hisse kī marammat kī jo us ke ghar ke muqābil thā.Agle hisse ko Hattūsh bin Hasabniyāh ne tāmīr kiyā. 11 Agle hisse ko Tanūroṅ ke Burj tak Malkiyāh bin Hārim aur Hassūb bin Pakhat-moāb ne khaṛā kiyā. 12 Aglā hissā Sallūm bin Hallūhesh kī zimmedārī thī. Yih ādmī zile Yarūshalam ke dūsre ādhe hisse kā afsar thā. Us kī beṭiyoṅ ne us kī madad kī. 13 Hanūn ne Zanūh ke bāshindoṅ samet Wādī ke Darwāze ko tāmīr kiyā. Shahtīroṅ se use banā kar unhoṅ ne kiwāṛ, chaṭaḳhniyāṅ aur kunḍe lagāe. Is ke alāwā unhoṅ ne fasīl ko wahāṅ se Kachre ke Darwāze tak khaṛā kiyā. Is hisse kā fāsilā taqrīban 1,500 fuṭ yānī ādhā kilomīṭar thā. 14 Kachre kā Darwāzā Malkiyāh bin Raikāb kī zimmedārī thī. Yih ādmī zile Bait-karm kā afsar thā. Us ne use banā kar kiwāṛ, chaṭaḳhniyāṅ aur kunḍe lagāe. 15 Chashme ke Darwāze kī tāmīr Sallūn bin Kulhozā ke hāth meṅ thī jo zile Misfāh kā afsar thā. Us ne darwāze par chhat banā kar us ke kiwāṛ, chaṭaḳhniyāṅ aur kunḍe lagā die. Sāth sāth us ne fasīl ke us hisse kī marammat kī jo Shāhī Bāġh ke pās wāle tālāb se guzartā hai. Yih wuhī tālāb hai jis meṅ pānī nāle ke zariye pahuṅchtā hai. Sallūn ne fasīl ko us sīṛhī tak tāmīr kiyā jo Yarūshalam ke us hisse se utartī hai jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. 16 Aglā hissā Nahmiyāh bin Azbuq kī zimmedārī thī jo zile Bait-sūr ke ādhe hisse kā afsar thā. Fasīl kā yih hissā Dāūd Bādshāh ke qabristān ke muqābil thā aur masnūī tālāb aur sūrmāoṅ ke kamroṅ par ḳhatm huā. 17 Zail ke Lāwiyoṅ ne agle hissoṅ ko khaṛā kiyā: Pahle Rahūm bin Bānī kā hissā thā.Zile Qaīlā ke ādhe hisse ke afsar Hasbiyāh ne agle hisse kī marammat kī. 18 Agle hisse ko Lāwiyoṅ ne Binnūī bin Hanadād ke zer-e-nigarānī khaṛā kiyā jo zile Qaīlā ke dūsre ādhe hisse par muqarrar thā. 19 Aglā hissā Misfāh ke sardār Azar bin Yashua kī zimmedārī thī. Yih hissā fasīl ke us moṛ par thā jahāṅ rāstā aslāhḳhāne kī taraf chaṛhtā hai. 20 Agle hisse ko Bārūk bin Zabbī ne baṛī mehnat se tāmīr kiyā. Yih hissā fasīl ke moṛ se shurū ho kar imām-e-āzam Iliyāsib ke ghar ke darwāze par ḳhatm huā. 21 Aglā hissā Marīmot bin Ūriyāh bin Haqqūz kī zimmedārī thī aur Iliyāsib ke ghar ke darwāze se shurū ho kar us ke kone par ḳhatm huā. 22 Zail ke hisse un imāmoṅ ne tāmīr kie jo shahr ke gird-o-nawāh meṅ rahte the. 23 Agle hisse kī tāmīr Binyamīn aur Hassūb ke zer-e-nigarānī thī. Yih hissā un ke gharoṅ ke sāmne thā.Azariyāh bin Māsiyāh bin Ananiyāh ne agle hisse kī marammat kī. Yih hissā us ke ghar ke pās hī thā. 24 Aglā hissā Binnūī bin Hanadād kī zimmedārī thī. Yih Azariyāh ke ghar se shurū huā aur muṛte muṛte kone par ḳhatm huā. 25 Aglā hissā Fālāl bin Ūzī kī zimmedārī thī. Yih hissā moṛ se shurū huā, aur ūpar kā jo burj shāhī mahal se us jagah nikaltā hai jahāṅ muhāfizoṅ kā sahan hai wuh bhī is meṅ shāmil thā.Aglā hissā Fidāyāh bin Parūs 26 aur Ofal Pahāṛī par rahne wāle Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ke zimme thā. Yih hissā Pānī ke Darwāze aur wahāṅ se nikle hue burj par ḳhatm huā. 27 Aglā hissā is burj se le kar Ofal Pahāṛī kī dīwār tak thā. Taqua ke bāshindoṅ ne use tāmīr kiyā. 28 Ghoṛe ke Darwāze se āge imāmoṅ ne fasīl kī marammat kī. Har ek ne apne ghar ke sāmne kā hissā khaṛā kiyā. 29 Un ke bād Sadoq bin Immer kā hissā āyā. Yih bhī us ke ghar ke muqābil thā.Aglā hissā Samāyāh bin Sakaniyāh ne khaṛā kiyā. Yih ādmī Mashriqī Darwāze kā pahredār thā. 30 Aglā hissā Hananiyāh bin Salamiyāh aur Salaf ke chhaṭe beṭe Hanūn ke zimme thā.Aglā hissā Masullām bin Barakiyāh ne tāmīr kiyā jo us ke ghar ke muqābil thā. 31 Ek sunār banām Malkiyāh ne agle hisse kī marammat kī. Yih hissā Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ aur tājiroṅ ke us makān par ḳhatm huā jo Pahre ke Darwāze ke sāmne thā. Fasīl ke kone par wāqe bālākhānā bhī is meṅ shāmil thā. 32 Āḳhirī hissā Bheṛ ke Darwāze par ḳhatm huā. Sunāroṅ aur tājiroṅ ne use khaṛā kiyā.