Numbers 1 (UGV3)
1 Isrāīliyoṅ ko Misr se nikle hue ek sāl se zyādā arsā guzar gayā thā. Ab tak wuh Dasht-e-Sīnā meṅ the. Dūsre sāl ke dūsre mahīne ke pahle din Rab mulāqāt ke ḳhaime meṅ Mūsā se hamkalām huā. Us ne kahā, 2 “Tū aur Hārūn tamām Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. Un tamām mardoṅ kī fahrist banānā 3 jo kam az kam bīs sāl ke aur jang laṛne ke qābil hoṅ. 4 Is meṅ har qabīle ke ek ḳhāndān kā sarparast tumhārī madad kare. 5 Yih un ke nām haiṅ: Rūbin ke qabīle se Ilīsūr bin Shadiyūr, 6 Shamāūn ke qabīle se Salūmiyel bin Sūrīshaddī, 7 Yahūdāh ke qabīle se Nahson bin Ammīnadāb, 8 Ishkār ke qabīle se Nataniyel bin Zuġhar, 9 Zabūlūn ke qabīle se Iliyāb bin Helon, 10 Yūsuf ke beṭe Ifrāīm ke qabīle se Ilīsamā bin Ammīhūd, Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle se Jamliyel bin Fadāhsūr, 11 Binyamīn ke qabīle se Abidān bin Jidāūnī, 12 Dān ke qabīle se Aḳhiyazar bin Ammīshaddī, 13 Āshar ke qabīle se Fajiyel bin Akrān, 14 Jad ke qabīle se Iliyāsaf bin Daūel, 15 Naftālī ke qabīle se Aḳhīrā bin Enān.” 16 Yihī mard jamāt se is kām ke lie bulāe gae. Wuh apne qabīloṅ ke rāhnumā aur kunboṅ ke sarparast the. 17 In kī madad se Mūsā aur Hārūn ne 18 usī din pūrī jamāt ko ikaṭṭhā kiyā. Har Isrāīlī mard jo kam az kam 20 sāl kā thā rajisṭar meṅ darj kiyā gayā. Rajisṭar kī tartīb un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq thī. 19 Sab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā Rab ne hukm diyā thā. Mūsā ne Sīnā ke registān meṅ logoṅ kī mardumshumārī kī. Natījā yih niklā: 20 20-21 Rūbin ke qabīle ke 46,500 mard, 22 22-23 Shamāūn ke qabīle ke 59,300 mard, 24 24-25 Jad ke qabīle ke 45,650 mard, 26 26-27 Yahūdāh ke qabīle ke 74,600 mard, 28 28-29 Ishkār ke qabīle ke 54,400 mard, 30 30-31 Zabūlūn ke qabīle ke 57,400 mard, 32 32-33 Yūsuf ke beṭe Ifrāīm ke qabīle ke 40,500 mard, 34 34-35 Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle ke 32,200 mard, 36 36-37 Binyamīn ke qabīle ke 35,400 mard, 38 38-39 Dān ke qabīle ke 62,700 mard, 40 40-41 Āshar ke qabīle ke 41,500 mard, 42 42-43 Naftālī ke qabīle ke 53,400 mard. 44 Mūsā, Hārūn aur qabīloṅ ke bārah rāhnumāoṅ ne in tamām ādmiyoṅ ko ginā. 45 45-46 Un kī pūrī tādād 6,03,550 thī. 47 Lekin Lāwiyoṅ kī mardumshumārī na huī, 48 kyoṅki Rab ne Mūsā se kahā thā, 49 “Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī meṅ Lāwiyoṅ ko shāmil na karnā. 50 Is ke bajāe unheṅ sharīat kī sukūnatgāh aur us kā sārā sāmān saṅbhālne kī zimmedārī denā. Wuh safr karte waqt yih ḳhaimā aur us kā sārā sāmān uṭhā kar le jāeṅ, us kī ḳhidmat ke lie hāzir raheṅ aur rukte waqt use apne ḳhaimoṅ se ghere rakheṅ. 51 Rawānā hote waqt wuhī ḳhaime ko sameṭeṅ aur rukte waqt wuhī use lagāeṅ. Agar koī aur us ke qarīb āe to use sazā-e-maut dī jāegī. 52 Bāqī Isrāīlī ḳhaimāgāh meṅ apne apne daste ke mutābiq aur apne apne alam ke irdgird apne ḳhaime lagāeṅ. 53 Lekin Lāwī apne ḳhaimoṅ se sharīat kī sukūnatgāh ko gher leṅ tāki merā ġhazab kisī ġhalat shaḳhs ke nazdīk āne se Isrāīliyoṅ kī jamāt par nāzil na ho jāe. Yoṅ Lāwiyoṅ ko sharīat kī sukūnatgāh ko saṅbhālnā hai.” 54 Isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
In Other Versions
Numbers 1 in the ANGEFD
Numbers 1 in the ANTPNG2D
Numbers 1 in the AS21
Numbers 1 in the BAGH
Numbers 1 in the BBPNG
Numbers 1 in the BBT1E
Numbers 1 in the BDS
Numbers 1 in the BEV
Numbers 1 in the BHAD
Numbers 1 in the BIB
Numbers 1 in the BLPT
Numbers 1 in the BNT
Numbers 1 in the BNTABOOT
Numbers 1 in the BNTLV
Numbers 1 in the BOATCB
Numbers 1 in the BOATCB2
Numbers 1 in the BOBCV
Numbers 1 in the BOCNT
Numbers 1 in the BOECS
Numbers 1 in the BOGWICC
Numbers 1 in the BOHCB
Numbers 1 in the BOHCV
Numbers 1 in the BOHLNT
Numbers 1 in the BOHNTLTAL
Numbers 1 in the BOICB
Numbers 1 in the BOILNTAP
Numbers 1 in the BOITCV
Numbers 1 in the BOKCV
Numbers 1 in the BOKCV2
Numbers 1 in the BOKHWOG
Numbers 1 in the BOKSSV
Numbers 1 in the BOLCB
Numbers 1 in the BOLCB2
Numbers 1 in the BOMCV
Numbers 1 in the BONAV
Numbers 1 in the BONCB
Numbers 1 in the BONLT
Numbers 1 in the BONUT2
Numbers 1 in the BOPLNT
Numbers 1 in the BOSCB
Numbers 1 in the BOSNC
Numbers 1 in the BOTLNT
Numbers 1 in the BOVCB
Numbers 1 in the BOYCB
Numbers 1 in the BPBB
Numbers 1 in the BPH
Numbers 1 in the BSB
Numbers 1 in the CCB
Numbers 1 in the CUV
Numbers 1 in the CUVS
Numbers 1 in the DBT
Numbers 1 in the DGDNT
Numbers 1 in the DHNT
Numbers 1 in the DNT
Numbers 1 in the ELBE
Numbers 1 in the EMTV
Numbers 1 in the ESV
Numbers 1 in the FBV
Numbers 1 in the FEB
Numbers 1 in the GGMNT
Numbers 1 in the GNT
Numbers 1 in the HARY
Numbers 1 in the HNT
Numbers 1 in the IRVA
Numbers 1 in the IRVB
Numbers 1 in the IRVG
Numbers 1 in the IRVH
Numbers 1 in the IRVK
Numbers 1 in the IRVM
Numbers 1 in the IRVM2
Numbers 1 in the IRVO
Numbers 1 in the IRVP
Numbers 1 in the IRVT
Numbers 1 in the IRVT2
Numbers 1 in the IRVU
Numbers 1 in the ISVN
Numbers 1 in the JSNT
Numbers 1 in the KAPI
Numbers 1 in the KBT1ETNIK
Numbers 1 in the KBV
Numbers 1 in the KJV
Numbers 1 in the KNFD
Numbers 1 in the LBA
Numbers 1 in the LBLA
Numbers 1 in the LNT
Numbers 1 in the LSV
Numbers 1 in the MAAL
Numbers 1 in the MBV
Numbers 1 in the MBV2
Numbers 1 in the MHNT
Numbers 1 in the MKNFD
Numbers 1 in the MNG
Numbers 1 in the MNT
Numbers 1 in the MNT2
Numbers 1 in the MRS1T
Numbers 1 in the NAA
Numbers 1 in the NASB
Numbers 1 in the NBLA
Numbers 1 in the NBS
Numbers 1 in the NBVTP
Numbers 1 in the NET2
Numbers 1 in the NIV11
Numbers 1 in the NNT
Numbers 1 in the NNT2
Numbers 1 in the NNT3
Numbers 1 in the PDDPT
Numbers 1 in the PFNT
Numbers 1 in the RMNT
Numbers 1 in the SBIAS
Numbers 1 in the SBIBS
Numbers 1 in the SBIBS2
Numbers 1 in the SBICS
Numbers 1 in the SBIDS
Numbers 1 in the SBIGS
Numbers 1 in the SBIHS
Numbers 1 in the SBIIS
Numbers 1 in the SBIIS2
Numbers 1 in the SBIIS3
Numbers 1 in the SBIKS
Numbers 1 in the SBIKS2
Numbers 1 in the SBIMS
Numbers 1 in the SBIOS
Numbers 1 in the SBIPS
Numbers 1 in the SBISS
Numbers 1 in the SBITS
Numbers 1 in the SBITS2
Numbers 1 in the SBITS3
Numbers 1 in the SBITS4
Numbers 1 in the SBIUS
Numbers 1 in the SBIVS
Numbers 1 in the SBT
Numbers 1 in the SBT1E
Numbers 1 in the SCHL
Numbers 1 in the SNT
Numbers 1 in the SUSU
Numbers 1 in the SUSU2
Numbers 1 in the SYNO
Numbers 1 in the TBIAOTANT
Numbers 1 in the TBT1E
Numbers 1 in the TBT1E2
Numbers 1 in the TFTIP
Numbers 1 in the TFTU
Numbers 1 in the TGNTATF3T
Numbers 1 in the THAI
Numbers 1 in the TNFD
Numbers 1 in the TNT
Numbers 1 in the TNTIK
Numbers 1 in the TNTIL
Numbers 1 in the TNTIN
Numbers 1 in the TNTIP
Numbers 1 in the TNTIZ
Numbers 1 in the TOMA
Numbers 1 in the TTENT
Numbers 1 in the UBG
Numbers 1 in the UGV
Numbers 1 in the UGV2
Numbers 1 in the VBL
Numbers 1 in the VDCC
Numbers 1 in the YALU
Numbers 1 in the YAPE
Numbers 1 in the YBVTP
Numbers 1 in the ZBP