Proverbs 24 (UGV3)
1 Sharīroṅ se hasad na kar, na un se sohbat rakhne kī ārzū rakh, 2 kyoṅki un kā dil zulm karne par tulā rahtā hai, un ke hoṅṭ dūsroṅ ko dukh pahuṅchāte haiṅ. 3 Hikmat ghar ko tāmīr kartī, samajh use mazbūt buniyād par khaṛā kar detī, 4 aur ilm-o-irfān us ke kamroṅ ko beshqīmat aur manmohan chīzoṅ se bhar detā hai. 5 Dānishmand ko tāqat hāsil hotī aur ilm rakhne wāle kī quwwat baṛhtī rahtī hai, 6 kyoṅki jang karne ke lie hidāyat aur fatah pāne ke lie muta'addid mushīroṅ kī zarūrat hotī hai. 7 Hikmat itnī buland-o-bālā hai ki ahmaq use pā nahīṅ saktā. Jab buzurg shahr ke darwāze meṅ faislā karne ke lie jamā hote haiṅ to wuh kuchh nahīṅ kah saktā. 8 Bure mansūbe bāndhne wālā sāzishī kahlātā hai. 9 Ahmaq kī chālākiyāṅ gunāh haiṅ, aur log tānāzan se ghin khāte haiṅ. 10 Agar tū musībat ke din himmat hār kar ḍhīlā ho jāe to terī tāqat jātī rahegī. 11 Jinheṅ maut ke hawāle kiyā jā rahā hai unheṅ chhuṛā, jo qasāī kī taraf ḍagmagāte hue jā rahe haiṅ unheṅ rok de. 12 Shāyad tū kahe, “Hameṅ to is ke bāre meṅ ilm nahīṅ thā.” Lekin yaqīn jān, jo dil kī jāṅch-paṛtāl kartā hai wuh bāt samajhtā hai, jo terī jān kī dekh-bhāl kartā hai use mālūm hai. Wuh insān ko us ke āmāl kā badlā detā hai. 13 Mere beṭe, shahd khā kyoṅki wuh achchhā hai, chhatte kā ḳhālis shahd mīṭhā hai. 14 Jān le ki hikmat isī tarah terī jān ke lie mīṭhī hai. Agar tū use pāe to terī ummīd jātī nahīṅ rahegī balki terā mustaqbil achchhā hogā. 15 Ai bedīn, rāstbāz ke ghar kī tāk lagāe mat baiṭhnā, us kī rihāishgāh tabāh na kar. 16 Kyoṅki go rāstbāz sāt bār gir jāe to bhī har bār dubārā uṭh khaṛā hogā jabki bedīn ek bār ṭhokar khā kar musībat meṅ phaṅsā rahegā. 17 Agar terā dushman gir jāe to ḳhush na ho, agar wuh ṭhokar khāe to terā dil jashn na manāe. 18 Aisā na ho ki Rab yih dekh kar terā rawaiyā pasand na kare aur apnā ġhussā dushman par utārne se bāz āe. 19 Badkāroṅ ko dekh kar mushta'il na ho jā, bedīnoṅ ke bāis kuṛhtā na rah. 20 Kyoṅki sharīroṅ kā koī mustaqbil nahīṅ, bedīnoṅ kā charāġh bujh jāegā. 21 Mere beṭe, Rab aur bādshāh kā ḳhauf mān, aur sarkashoṅ meṅ sharīk na ho. 22 Kyoṅki achānak hī un par āfat āegī, kisī ko patā hī nahīṅ chalegā jab donoṅ un par hamlā karke unheṅ tabāh kar deṅge. 23 Zail meṅ dānishmandoṅ kī mazīd kahāwateṅ qalamband haiṅ.Adālat meṅ jānibdārī dikhānā burī bāt hai. 24 Jo qusūrwār se kahe, “Tū bequsūr hai” us par qaumeṅ lānat bhejeṅgī, us kī sarzanish ummateṅ kareṅgī. 25 Lekin jo qusūrwār ko mujrim ṭhahrāe wuh ḳhushhāl hogā, use kasrat kī barkat milegī. 26 Sachchā jawāb dost ke bose kī mānind hai. 27 Pahle bāhar kā kām mukammal karke apne khetoṅ ko taiyār kar, phir hī apnā ghar tāmīr kar. 28 Bilāwajah apne paṛosī ke ḳhilāf gawāhī mat de. Yā kyā tū apne hoṅṭoṅ se dhokā denā chāhtā hai? 29 Mat kahnā, “Jis tarah us ne mere sāth kiyā usī tarah maiṅ us ke sāth karūṅga, maiṅ us ke har fel kā munāsib jawāb dūṅgā.” 30 Ek din maiṅ sust aur nāsamajh ādmī ke khet aur angūr ke bāġh meṅ se guzarā. 31 Har jagah kāṅṭedār jhāṛiyāṅ phailī huī thīṅ, ḳhudrau paude pūrī zamīn par chhā gae the. Us kī chārdīwārī bhī gir gaī thī. 32 Yih dekh kar maiṅ ne dil se dhyān diyā aur sabaq sīkh liyā, 33 agar tū kahe, “Mujhe thoṛī der sone de, thoṛī der ūṅghne de, thoṛī der hāth par hāth dhare baiṭhne de tāki maiṅ ārām kar sakūṅ” 34 to ḳhabardār, jald hī ġhurbat rāhzan kī tarah tujh par āegī, muflisī hathiyār se lais ḍākū kī tarah tujh par ā paṛegī.
In Other Versions
Proverbs 24 in the ANGEFD
Proverbs 24 in the ANTPNG2D
Proverbs 24 in the AS21
Proverbs 24 in the BAGH
Proverbs 24 in the BBPNG
Proverbs 24 in the BBT1E
Proverbs 24 in the BDS
Proverbs 24 in the BEV
Proverbs 24 in the BHAD
Proverbs 24 in the BIB
Proverbs 24 in the BLPT
Proverbs 24 in the BNT
Proverbs 24 in the BNTABOOT
Proverbs 24 in the BNTLV
Proverbs 24 in the BOATCB
Proverbs 24 in the BOATCB2
Proverbs 24 in the BOBCV
Proverbs 24 in the BOCNT
Proverbs 24 in the BOECS
Proverbs 24 in the BOGWICC
Proverbs 24 in the BOHCB
Proverbs 24 in the BOHCV
Proverbs 24 in the BOHLNT
Proverbs 24 in the BOHNTLTAL
Proverbs 24 in the BOICB
Proverbs 24 in the BOILNTAP
Proverbs 24 in the BOITCV
Proverbs 24 in the BOKCV
Proverbs 24 in the BOKCV2
Proverbs 24 in the BOKHWOG
Proverbs 24 in the BOKSSV
Proverbs 24 in the BOLCB
Proverbs 24 in the BOLCB2
Proverbs 24 in the BOMCV
Proverbs 24 in the BONAV
Proverbs 24 in the BONCB
Proverbs 24 in the BONLT
Proverbs 24 in the BONUT2
Proverbs 24 in the BOPLNT
Proverbs 24 in the BOSCB
Proverbs 24 in the BOSNC
Proverbs 24 in the BOTLNT
Proverbs 24 in the BOVCB
Proverbs 24 in the BOYCB
Proverbs 24 in the BPBB
Proverbs 24 in the BPH
Proverbs 24 in the BSB
Proverbs 24 in the CCB
Proverbs 24 in the CUV
Proverbs 24 in the CUVS
Proverbs 24 in the DBT
Proverbs 24 in the DGDNT
Proverbs 24 in the DHNT
Proverbs 24 in the DNT
Proverbs 24 in the ELBE
Proverbs 24 in the EMTV
Proverbs 24 in the ESV
Proverbs 24 in the FBV
Proverbs 24 in the FEB
Proverbs 24 in the GGMNT
Proverbs 24 in the GNT
Proverbs 24 in the HARY
Proverbs 24 in the HNT
Proverbs 24 in the IRVA
Proverbs 24 in the IRVB
Proverbs 24 in the IRVG
Proverbs 24 in the IRVH
Proverbs 24 in the IRVK
Proverbs 24 in the IRVM
Proverbs 24 in the IRVM2
Proverbs 24 in the IRVO
Proverbs 24 in the IRVP
Proverbs 24 in the IRVT
Proverbs 24 in the IRVT2
Proverbs 24 in the IRVU
Proverbs 24 in the ISVN
Proverbs 24 in the JSNT
Proverbs 24 in the KAPI
Proverbs 24 in the KBT1ETNIK
Proverbs 24 in the KBV
Proverbs 24 in the KJV
Proverbs 24 in the KNFD
Proverbs 24 in the LBA
Proverbs 24 in the LBLA
Proverbs 24 in the LNT
Proverbs 24 in the LSV
Proverbs 24 in the MAAL
Proverbs 24 in the MBV
Proverbs 24 in the MBV2
Proverbs 24 in the MHNT
Proverbs 24 in the MKNFD
Proverbs 24 in the MNG
Proverbs 24 in the MNT
Proverbs 24 in the MNT2
Proverbs 24 in the MRS1T
Proverbs 24 in the NAA
Proverbs 24 in the NASB
Proverbs 24 in the NBLA
Proverbs 24 in the NBS
Proverbs 24 in the NBVTP
Proverbs 24 in the NET2
Proverbs 24 in the NIV11
Proverbs 24 in the NNT
Proverbs 24 in the NNT2
Proverbs 24 in the NNT3
Proverbs 24 in the PDDPT
Proverbs 24 in the PFNT
Proverbs 24 in the RMNT
Proverbs 24 in the SBIAS
Proverbs 24 in the SBIBS
Proverbs 24 in the SBIBS2
Proverbs 24 in the SBICS
Proverbs 24 in the SBIDS
Proverbs 24 in the SBIGS
Proverbs 24 in the SBIHS
Proverbs 24 in the SBIIS
Proverbs 24 in the SBIIS2
Proverbs 24 in the SBIIS3
Proverbs 24 in the SBIKS
Proverbs 24 in the SBIKS2
Proverbs 24 in the SBIMS
Proverbs 24 in the SBIOS
Proverbs 24 in the SBIPS
Proverbs 24 in the SBISS
Proverbs 24 in the SBITS
Proverbs 24 in the SBITS2
Proverbs 24 in the SBITS3
Proverbs 24 in the SBITS4
Proverbs 24 in the SBIUS
Proverbs 24 in the SBIVS
Proverbs 24 in the SBT
Proverbs 24 in the SBT1E
Proverbs 24 in the SCHL
Proverbs 24 in the SNT
Proverbs 24 in the SUSU
Proverbs 24 in the SUSU2
Proverbs 24 in the SYNO
Proverbs 24 in the TBIAOTANT
Proverbs 24 in the TBT1E
Proverbs 24 in the TBT1E2
Proverbs 24 in the TFTIP
Proverbs 24 in the TFTU
Proverbs 24 in the TGNTATF3T
Proverbs 24 in the THAI
Proverbs 24 in the TNFD
Proverbs 24 in the TNT
Proverbs 24 in the TNTIK
Proverbs 24 in the TNTIL
Proverbs 24 in the TNTIN
Proverbs 24 in the TNTIP
Proverbs 24 in the TNTIZ
Proverbs 24 in the TOMA
Proverbs 24 in the TTENT
Proverbs 24 in the UBG
Proverbs 24 in the UGV
Proverbs 24 in the UGV2
Proverbs 24 in the VBL
Proverbs 24 in the VDCC
Proverbs 24 in the YALU
Proverbs 24 in the YAPE
Proverbs 24 in the YBVTP
Proverbs 24 in the ZBP