2 Kings 1 (UGV3)

1 Aḳhiyab kī maut ke bād Moāb kā mulk bāġhī ho kar Isrāīl ke tābe na rahā. 2 Sāmariya ke shāhī mahal ke bālāḳhāne kī ek dīwār meṅ janglā lagā thā. Ek din Aḳhaziyāh Bādshāh jangle ke sāth lag gayā to wuh ṭūṭ gayā aur bādshāh zamīn par gir kar bahut zaḳhmī huā. Us ne qāsidoṅ ko Filistī shahr Aqrūn bhej kar kahā, “Jā kar Aqrūn ke dewatā Bāl-zabūb se patā kareṅ ki merī sehhat bahāl ho jāegī ki nahīṅ.” 3 Tab Rab ke farishte ne Iliyās Tishbī ko hukm diyā, “Uṭh, Sāmariya ke bādshāh ke qāsidoṅ se milne jā. Un se pūchh, ‘Āp dariyāft karne ke lie Aqrūn ke dewatā Bāl-zabūb ke pās kyoṅ jā rahe haiṅ? Kyā Isrāīl meṅ koī Ḳhudā nahīṅ hai? 4 Chunāṅche Rab farmātā hai ki ai Aḳhaziyāh, jis bistar par tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’”Iliyās jā kar qāsidoṅ se milā. 5 Us kā paiġhām sun kar qāsid bādshāh ke pās wāpas gae. Us ne pūchhā, “Āp itnī jaldī wāpas kyoṅ āe?” 6 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ek ādmī ham se milne āyā jis ne hameṅ āp ke pās wāpas bhej kar āp ko yih ḳhabar pahuṅchāne ko kahā, ‘Rab farmātā hai ki tū apne bāre meṅ dariyāft karne ke lie apne bandoṅ ko Aqrūn ke dewatā Bāl-zabūb ke pās kyoṅ bhej rahā hai? Kyā Isrāīl meṅ koī Ḳhudā nahīṅ hai? Chūṅki tū ne yih kiyā hai is lie jis bistar par tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’” 7 Aḳhaziyāh ne pūchhā, “Yih kis qism kā ādmī thā jis ne āp se mil kar āp ko yih bāt batāī?” 8 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Us ke lambe bāl the, aur kamr meṅ chamṛe kī peṭī bandhī huī thī.” Bādshāh bol uṭhā, “Yih to Iliyās Tishbī thā!” 9 Fauran us ne ek afsar ko 50 faujiyoṅ samet Iliyās ke pās bhej diyā. Jab faujī Iliyās ke pās pahuṅche to wuh ek pahāṛī kī choṭī par baiṭhā thā. Afsar bolā, “Ai mard-e-Ḳhudā, bādshāh kahte haiṅ ki nīche utar āeṅ!” 10 Iliyās ne jawāb diyā, “Agar maiṅ mard-e-Ḳhudā hūṅ to āsmān se āg nāzil ho kar āp aur āp ke 50 faujiyoṅ ko bhasm kar de.” Fauran āsmān se āg nāzil huī aur afsar ko us ke logoṅ samet bhasm kar diyā. 11 Bādshāh ne ek aur afsar ko Iliyās ke pās bhej diyā. Us ke sāth bhī 50 faujī the. Us ke pās pahuṅch kar afsar bolā, “Ai mard-e-Ḳhudā, bādshāh kahte haiṅ ki fauran utar āeṅ.” 12 Iliyās ne dubārā pukārā, “Agar maiṅ mard-e-Ḳhudā hūṅ to āsmān se āg nāzil ho kar āp aur āp ke 50 faujiyoṅ ko bhasm kar de.” Fauran āsmān se Allāh kī āg nāzil huī aur afsar ko us ke 50 faujiyoṅ samet bhasm kar diyā. 13 Phir bādshāh ne tīsrī bār ek afsar ko 50 faujiyoṅ ke sāth Iliyās ke pās bhej diyā. Lekin yih afsar Iliyās ke pās ūpar chaṛh āyā aur us ke sāmne ghuṭne ṭek kar iltamās karne lagā, “Ai mard-e-Ḳhudā, merī aur apne in 50 ḳhādimoṅ kī jānoṅ kī qadar kareṅ. 14 Dekheṅ, āg ne āsmān se nāzil ho kar pahle do afsaroṅ ko un ke ādmiyoṅ samet bhasm kar diyā hai. Lekin barāh-e-karm hamāre sāth aisā na kareṅ. Merī jān kī qadar kareṅ.” 15 Tab Rab ke farishte ne Iliyās se kahā, “Is se mat ḍarnā balki is ke sāth utar jā!” Chunāṅche Iliyās uṭhā aur afsar ke sāth utar kar bādshāh ke pās gayā. 16 Us ne bādshāh se kahā, “Rab farmātā hai, ‘Tū ne apne qāsidoṅ ko Aqrūn ke dewatā Bāl-zabūb se dariyāft karne ke lie kyoṅ bhejā? Kyā Isrāīl meṅ koī Ḳhudā nahīṅ hai? Chūṅki tū ne yih kiyā hai is lie jis bistar par tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’” 17 Waisā hī huā jaisā Rab ne Iliyās kī mārifat farmāyā thā, Aḳhaziyāh mar gayā. Chūṅki us kā beṭā nahīṅ thā is lie us kā bhāī Yahūrām Yahūdāh ke bādshāh Yūrām bin Yahūsafat kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ taḳhtnashīn huā. 18 Bāqī jo kuchh Aḳhaziyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.

In Other Versions

2 Kings 1 in the ANGEFD

2 Kings 1 in the ANTPNG2D

2 Kings 1 in the AS21

2 Kings 1 in the BAGH

2 Kings 1 in the BBPNG

2 Kings 1 in the BBT1E

2 Kings 1 in the BDS

2 Kings 1 in the BEV

2 Kings 1 in the BHAD

2 Kings 1 in the BIB

2 Kings 1 in the BLPT

2 Kings 1 in the BNT

2 Kings 1 in the BNTABOOT

2 Kings 1 in the BNTLV

2 Kings 1 in the BOATCB

2 Kings 1 in the BOATCB2

2 Kings 1 in the BOBCV

2 Kings 1 in the BOCNT

2 Kings 1 in the BOECS

2 Kings 1 in the BOGWICC

2 Kings 1 in the BOHCB

2 Kings 1 in the BOHCV

2 Kings 1 in the BOHLNT

2 Kings 1 in the BOHNTLTAL

2 Kings 1 in the BOICB

2 Kings 1 in the BOILNTAP

2 Kings 1 in the BOITCV

2 Kings 1 in the BOKCV

2 Kings 1 in the BOKCV2

2 Kings 1 in the BOKHWOG

2 Kings 1 in the BOKSSV

2 Kings 1 in the BOLCB

2 Kings 1 in the BOLCB2

2 Kings 1 in the BOMCV

2 Kings 1 in the BONAV

2 Kings 1 in the BONCB

2 Kings 1 in the BONLT

2 Kings 1 in the BONUT2

2 Kings 1 in the BOPLNT

2 Kings 1 in the BOSCB

2 Kings 1 in the BOSNC

2 Kings 1 in the BOTLNT

2 Kings 1 in the BOVCB

2 Kings 1 in the BOYCB

2 Kings 1 in the BPBB

2 Kings 1 in the BPH

2 Kings 1 in the BSB

2 Kings 1 in the CCB

2 Kings 1 in the CUV

2 Kings 1 in the CUVS

2 Kings 1 in the DBT

2 Kings 1 in the DGDNT

2 Kings 1 in the DHNT

2 Kings 1 in the DNT

2 Kings 1 in the ELBE

2 Kings 1 in the EMTV

2 Kings 1 in the ESV

2 Kings 1 in the FBV

2 Kings 1 in the FEB

2 Kings 1 in the GGMNT

2 Kings 1 in the GNT

2 Kings 1 in the HARY

2 Kings 1 in the HNT

2 Kings 1 in the IRVA

2 Kings 1 in the IRVB

2 Kings 1 in the IRVG

2 Kings 1 in the IRVH

2 Kings 1 in the IRVK

2 Kings 1 in the IRVM

2 Kings 1 in the IRVM2

2 Kings 1 in the IRVO

2 Kings 1 in the IRVP

2 Kings 1 in the IRVT

2 Kings 1 in the IRVT2

2 Kings 1 in the IRVU

2 Kings 1 in the ISVN

2 Kings 1 in the JSNT

2 Kings 1 in the KAPI

2 Kings 1 in the KBT1ETNIK

2 Kings 1 in the KBV

2 Kings 1 in the KJV

2 Kings 1 in the KNFD

2 Kings 1 in the LBA

2 Kings 1 in the LBLA

2 Kings 1 in the LNT

2 Kings 1 in the LSV

2 Kings 1 in the MAAL

2 Kings 1 in the MBV

2 Kings 1 in the MBV2

2 Kings 1 in the MHNT

2 Kings 1 in the MKNFD

2 Kings 1 in the MNG

2 Kings 1 in the MNT

2 Kings 1 in the MNT2

2 Kings 1 in the MRS1T

2 Kings 1 in the NAA

2 Kings 1 in the NASB

2 Kings 1 in the NBLA

2 Kings 1 in the NBS

2 Kings 1 in the NBVTP

2 Kings 1 in the NET2

2 Kings 1 in the NIV11

2 Kings 1 in the NNT

2 Kings 1 in the NNT2

2 Kings 1 in the NNT3

2 Kings 1 in the PDDPT

2 Kings 1 in the PFNT

2 Kings 1 in the RMNT

2 Kings 1 in the SBIAS

2 Kings 1 in the SBIBS

2 Kings 1 in the SBIBS2

2 Kings 1 in the SBICS

2 Kings 1 in the SBIDS

2 Kings 1 in the SBIGS

2 Kings 1 in the SBIHS

2 Kings 1 in the SBIIS

2 Kings 1 in the SBIIS2

2 Kings 1 in the SBIIS3

2 Kings 1 in the SBIKS

2 Kings 1 in the SBIKS2

2 Kings 1 in the SBIMS

2 Kings 1 in the SBIOS

2 Kings 1 in the SBIPS

2 Kings 1 in the SBISS

2 Kings 1 in the SBITS

2 Kings 1 in the SBITS2

2 Kings 1 in the SBITS3

2 Kings 1 in the SBITS4

2 Kings 1 in the SBIUS

2 Kings 1 in the SBIVS

2 Kings 1 in the SBT

2 Kings 1 in the SBT1E

2 Kings 1 in the SCHL

2 Kings 1 in the SNT

2 Kings 1 in the SUSU

2 Kings 1 in the SUSU2

2 Kings 1 in the SYNO

2 Kings 1 in the TBIAOTANT

2 Kings 1 in the TBT1E

2 Kings 1 in the TBT1E2

2 Kings 1 in the TFTIP

2 Kings 1 in the TFTU

2 Kings 1 in the TGNTATF3T

2 Kings 1 in the THAI

2 Kings 1 in the TNFD

2 Kings 1 in the TNT

2 Kings 1 in the TNTIK

2 Kings 1 in the TNTIL

2 Kings 1 in the TNTIN

2 Kings 1 in the TNTIP

2 Kings 1 in the TNTIZ

2 Kings 1 in the TOMA

2 Kings 1 in the TTENT

2 Kings 1 in the UBG

2 Kings 1 in the UGV

2 Kings 1 in the UGV2

2 Kings 1 in the VBL

2 Kings 1 in the VDCC

2 Kings 1 in the YALU

2 Kings 1 in the YAPE

2 Kings 1 in the YBVTP

2 Kings 1 in the ZBP