Acts 8 (UGV3)

1 Aur Sāūl ko bhī Stifanus kā qatl manzūr thā.Us din Yarūshalam meṅ maujūd jamāt saḳht īzārasānī kī zad meṅ ā gaī. Is lie siwāe rasūloṅ ke tamām īmāndār Yahūdiyā aur Sāmariya ke ilāqoṅ meṅ titar-bitar ho gae. 2 Kuchh ḳhudātars ādmiyoṅ ne Stifanus ko dafn karke ro ro kar us kā mātam kiyā. 3 Lekin Sāūl Īsā kī jamāt ko tabāh karne par tulā huā thā. Us ne ghar ghar jā kar īmāndār mard-o-ḳhawātīn ko nikāl diyā aur unheṅ ghasīṭ kar qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā. 4 Jo īmāndār bikhar gae the wuh jagah jagah jā kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte phire. 5 Is tarah Filippus Sāmariya ke kisī shahr ko gayā aur wahāṅ ke logoṅ ko Masīh ke bāre meṅ batāyā. 6 Jo kuchh bhī Filippus ne kahā aur jo bhī ilāhī nishān us ne dikhāe, us par sunane wāle hujūm ne yakdil ho kar tawajjuh dī. 7 Bahut-se logoṅ meṅ se badrūheṅ zordār chīḳheṅ mār mār kar nikal gaīṅ, aur bahut-se maflūjoṅ aur langaṛoṅ ko shifā mil gaī. 8 Yoṅ us shahr meṅ baṛī shādmānī phail gaī. 9 Wahāṅ kāfī arse se ek ādmī rahtā thā jis kā nām Shamāūn thā. Wuh jādūgar thā aur us ke hairatangez kām se Sāmariya ke log bahut muta'assir the. Us kā apnā dāwā thā ki maiṅ koī ḳhās shaḳhs hūṅ. 10 Is lie sab log chhoṭe se le kar baṛe tak us par ḳhās tawajjuh dete the. Un kā kahnā thā, ‘Yih ādmī wuh ilāhī quwwat hai jo Azīm kahlātī hai.’ 11 Wuh is lie us ke pīchhe lag gae the ki us ne unheṅ baṛī der se apne hairatangez kāmoṅ se muta'assir kar rakhā thā. 12 Lekin ab log Filippus kī Allāh kī bādshāhī aur Īsā ke nām ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī par īmān le āe, aur mard-o-ḳhawātīn ne baptismā liyā. 13 Ḳhud Shamāūn ne bhī īmān lā kar baptismā liyā aur Filippus ke sāth rahā. Jab us ne wuh baṛe ilāhī nishān aur mojize dekhe jo Filippus ke hāth se zāhir hue to wuh hakkā-bakkā rah gayā. 14 Jab Yarūshalam meṅ rasūloṅ ne sunā ki Sāmariya ne Allāh kā kalām qabūl kar liyā hai to unhoṅ ne Patras aur Yūhannā ko un ke pās bhej diyā. 15 Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne un ke lie duā kī ki unheṅ Rūhul-quds mil jāe, 16 kyoṅki abhī Rūhul-quds un par nāzil nahīṅ huā thā balki unheṅ sirf Ḳhudāwand Īsā ke nām meṅ baptismā diyā gayā thā. 17 Ab jab Patras aur Yūhannā ne apne hāth un par rakhe to unheṅ Rūhul-quds mil gayā. 18 Shamāūn ne dekhā ki jab rasūl logoṅ par hāth rakhte haiṅ to un ko Rūhul-quds miltā hai. Is lie us ne unheṅ paise pesh karke 19 kahā, “Mujhe bhī yih iḳhtiyār de deṅ ki jis par maiṅ hāth rakhūṅ use Rūhul-quds mil jāe.” 20 Lekin Patras ne jawāb diyā, “Āp ke paise āp ke sāth ġhārat ho jāeṅ, kyoṅki āp ne sochā ki Allāh kī nemat paisoṅ se ḳharīdī jā saktī hai. 21 Is ḳhidmat meṅ āp kā koī hissā nahīṅ hai, kyoṅki āp kā dil Allāh ke sāmne ḳhālis nahīṅ hai. 22 Apnī is sharārat se taubā karke Ḳhudāwand se duā kareṅ. Shāyad wuh āp ko is irāde kī muāfī de jo āp ne dil meṅ rakhā hai. 23 Kyoṅki maiṅ deḳhtā hūṅ ki āp kaṛwe pit se bhare aur nārāstī ke bandhan meṅ jakaṛe hue haiṅ.” 24 Shamāūn ne kahā, “Phir Ḳhudāwand se mere lie duā kareṅ ki āp kī mazkūrā musībatoṅ meṅ se mujh par koī na āe.” 25 Ḳhudāwand ke kalām kī gawāhī dene aur us kī munādī karne ke bād Patras aur Yūhannā wāpas Yarūshalam ke lie rawānā hue. Rāste meṅ unhoṅ ne Sāmariya ke bahut-se dehātoṅ meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī. 26 Ek din Rab ke farishte ne Filippus se kahā, “Uṭh kar junūb kī taraf us rāh par jā jo registān meṅ se guzar kar Yarūshalam se Ġhazzā ko jātī hai.” 27 Filippus uṭh kar rawānā huā. Chalte chalte us kī mulāqāt Ethopiyā kī malikā Kandāke ke ek ḳhwājāsarā se huī. Malikā ke pūre ḳhazāne par muqarrar yih darbārī ibādat karne ke lie Yarūshalam gayā thā 28 aur ab apne mulk meṅ wāpas jā rahā thā. Us waqt wuh rath meṅ sawār Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā thā. 29 Rūhul-quds ne Filippus se kahā, “Us ke pās jā kar rath ke sāth ho le.” 30 Filippus dauṛ kar rath ke pās pahuṅchā to sunā ki wuh Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā hai. Us ne pūchhā, “Kyā āp ko us sab kī samajh ātī hai jo āp paṛh rahe haiṅ?” 31 Darbārī ne jawāb diyā, “Maiṅ kyoṅkar samjhūṅ jab tak koī merī rāhnumāī na kare?” Aur us ne Filippus ko rath meṅ sawār hone kī dāwat dī. 32 Kalām-e-muqaddas kā jo hawālā wuh paṛh rahā thā yih thā,‘Use bheṛ kī tarah zabah karne ke lie le gae.Jis tarah lelā bāl katarne wāle ke sāmne ḳhāmosh rahtā hai,usī tarah us ne apnā muṅh na kholā. 33 Us kī tazlīl kī gaī aur use insāf na milā.Kaun us kī nasl bayān kar saktā hai?Kyoṅki us kī jān duniyā se chhīn lī gaī.’ 34 Darbārī ne Filippus se pūchhā, “Mehrbānī karke mujhe batā dījie ki nabī yahāṅ kis kā zikr kar rahā hai, apnā yā kisī aur kā?” 35 Jawāb meṅ Filippus ne kalām-e-muqaddas ke isī hawāle se shurū karke use Īsā ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāī. 36 Saṛak par safr karte karte wuh ek jagah se guzare jahāṅ pānī thā. Ḳhwājāsarā ne kahā, “Dekheṅ, yahāṅ pānī hai. Ab mujhe baptismā lene se kaun-sī chīz rok saktī hai?” 37 [Filippus ne kahā, “Agar āp pūre dil se īmān lāeṅ to le sakte haiṅ.” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki Īsā Masīh Allāh kā Farzand hai.”] 38 Us ne rath ko rokne kā hukm diyā. Donoṅ pānī meṅ utar gae aur Filippus ne use baptismā diyā. 39 Jab wuh pānī se nikal āe to Ḳhudāwand kā Rūh Filippus ko uṭhā le gayā. Is ke bād ḳhwājāsarā ne use phir kabhī na dekhā, lekin us ne ḳhushī manāte hue apnā safr jārī rakhā. 40 Itne meṅ Filippus ko Ashdūd Shahr meṅ pāyā gayā. Wuh wahāṅ aur Qaisariyā tak ke tamām shahroṅ meṅ se guzar kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunātā gayā.

In Other Versions

Acts 8 in the ANGEFD

Acts 8 in the ANTPNG2D

Acts 8 in the AS21

Acts 8 in the BAGH

Acts 8 in the BBPNG

Acts 8 in the BBT1E

Acts 8 in the BDS

Acts 8 in the BEV

Acts 8 in the BHAD

Acts 8 in the BIB

Acts 8 in the BLPT

Acts 8 in the BNT

Acts 8 in the BNTABOOT

Acts 8 in the BNTLV

Acts 8 in the BOATCB

Acts 8 in the BOATCB2

Acts 8 in the BOBCV

Acts 8 in the BOCNT

Acts 8 in the BOECS

Acts 8 in the BOGWICC

Acts 8 in the BOHCB

Acts 8 in the BOHCV

Acts 8 in the BOHLNT

Acts 8 in the BOHNTLTAL

Acts 8 in the BOICB

Acts 8 in the BOILNTAP

Acts 8 in the BOITCV

Acts 8 in the BOKCV

Acts 8 in the BOKCV2

Acts 8 in the BOKHWOG

Acts 8 in the BOKSSV

Acts 8 in the BOLCB

Acts 8 in the BOLCB2

Acts 8 in the BOMCV

Acts 8 in the BONAV

Acts 8 in the BONCB

Acts 8 in the BONLT

Acts 8 in the BONUT2

Acts 8 in the BOPLNT

Acts 8 in the BOSCB

Acts 8 in the BOSNC

Acts 8 in the BOTLNT

Acts 8 in the BOVCB

Acts 8 in the BOYCB

Acts 8 in the BPBB

Acts 8 in the BPH

Acts 8 in the BSB

Acts 8 in the CCB

Acts 8 in the CUV

Acts 8 in the CUVS

Acts 8 in the DBT

Acts 8 in the DGDNT

Acts 8 in the DHNT

Acts 8 in the DNT

Acts 8 in the ELBE

Acts 8 in the EMTV

Acts 8 in the ESV

Acts 8 in the FBV

Acts 8 in the FEB

Acts 8 in the GGMNT

Acts 8 in the GNT

Acts 8 in the HARY

Acts 8 in the HNT

Acts 8 in the IRVA

Acts 8 in the IRVB

Acts 8 in the IRVG

Acts 8 in the IRVH

Acts 8 in the IRVK

Acts 8 in the IRVM

Acts 8 in the IRVM2

Acts 8 in the IRVO

Acts 8 in the IRVP

Acts 8 in the IRVT

Acts 8 in the IRVT2

Acts 8 in the IRVU

Acts 8 in the ISVN

Acts 8 in the JSNT

Acts 8 in the KAPI

Acts 8 in the KBT1ETNIK

Acts 8 in the KBV

Acts 8 in the KJV

Acts 8 in the KNFD

Acts 8 in the LBA

Acts 8 in the LBLA

Acts 8 in the LNT

Acts 8 in the LSV

Acts 8 in the MAAL

Acts 8 in the MBV

Acts 8 in the MBV2

Acts 8 in the MHNT

Acts 8 in the MKNFD

Acts 8 in the MNG

Acts 8 in the MNT

Acts 8 in the MNT2

Acts 8 in the MRS1T

Acts 8 in the NAA

Acts 8 in the NASB

Acts 8 in the NBLA

Acts 8 in the NBS

Acts 8 in the NBVTP

Acts 8 in the NET2

Acts 8 in the NIV11

Acts 8 in the NNT

Acts 8 in the NNT2

Acts 8 in the NNT3

Acts 8 in the PDDPT

Acts 8 in the PFNT

Acts 8 in the RMNT

Acts 8 in the SBIAS

Acts 8 in the SBIBS

Acts 8 in the SBIBS2

Acts 8 in the SBICS

Acts 8 in the SBIDS

Acts 8 in the SBIGS

Acts 8 in the SBIHS

Acts 8 in the SBIIS

Acts 8 in the SBIIS2

Acts 8 in the SBIIS3

Acts 8 in the SBIKS

Acts 8 in the SBIKS2

Acts 8 in the SBIMS

Acts 8 in the SBIOS

Acts 8 in the SBIPS

Acts 8 in the SBISS

Acts 8 in the SBITS

Acts 8 in the SBITS2

Acts 8 in the SBITS3

Acts 8 in the SBITS4

Acts 8 in the SBIUS

Acts 8 in the SBIVS

Acts 8 in the SBT

Acts 8 in the SBT1E

Acts 8 in the SCHL

Acts 8 in the SNT

Acts 8 in the SUSU

Acts 8 in the SUSU2

Acts 8 in the SYNO

Acts 8 in the TBIAOTANT

Acts 8 in the TBT1E

Acts 8 in the TBT1E2

Acts 8 in the TFTIP

Acts 8 in the TFTU

Acts 8 in the TGNTATF3T

Acts 8 in the THAI

Acts 8 in the TNFD

Acts 8 in the TNT

Acts 8 in the TNTIK

Acts 8 in the TNTIL

Acts 8 in the TNTIN

Acts 8 in the TNTIP

Acts 8 in the TNTIZ

Acts 8 in the TOMA

Acts 8 in the TTENT

Acts 8 in the UBG

Acts 8 in the UGV

Acts 8 in the UGV2

Acts 8 in the VBL

Acts 8 in the VDCC

Acts 8 in the YALU

Acts 8 in the YAPE

Acts 8 in the YBVTP

Acts 8 in the ZBP