Amos 5 (UGV3)

1 Ai Isrāīlī qaum, merī bāt suno, tumhāre bāre meṅ mere nohā par dhyān do! 2 “Kuṅwārī Isrāīl gir gaī hai aur āindā kabhī nahīṅ uṭhegī. Use us kī apnī zamīn par paṭaḳh diyā gayā hai, aur koī use dubārā khaṛā nahīṅ karegā.” 3 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Isrāīl ke jis shahr se 1,000 mard laṛne ke lie nikleṅge us ke sirf 100 afrād wāpas āeṅge. Aur jis shahr se 100 nikleṅge, us ke sirf 10 mard wāpas āeṅge.” 4 Kyoṅki Rab Isrāīlī qaum se farmātā hai, “Mujhe talāsh karo to tum jīte rahoge. 5 Na Baitel ke tālib ho, na Jiljāl ke pās jāo, aur na Bair-sabā ke lie rawānā ho jāo! Kyoṅki Jiljāl ke bāshinde yaqīnan jilāwatan ho jāeṅge, aur Baitel nest-o-nābūd ho jāegā.” 6 Rab ko talāsh karo to tum jīte rahoge. Warnā wuh āg kī tarah Yūsuf ke gharāne meṅ se guzar kar Baitel ko bhasm karegā, aur use koī nahīṅ bujhā sakegā. 7 Un par afsos jo insāf ko ulaṭ kar zahr meṅ badal dete, jo rāstī ko zamīn par paṭaḳh dete haiṅ! 8 Allāh Sāt Saheliyoṅ ke Jhumke aur Jauze kā Ḳhāliq hai. Andhere ko wuh subah kī raushnī meṅ aur din ko rāt meṅ badal detā hai. Jo samundar ke pānī ko bulā kar rū-e-zamīn par unḍel detā hai us kā nām Rab hai! 9 Achānak hī wuh zorāwaroṅ par āfat lātā hai, aur us ke kahne par qilāband shahr tabāh ho jātā hai. 10 Tum us se nafrat karte ho jo adālat meṅ insāf kare, tumheṅ us se ghin ātī hai jo sach bole. 11 Tum ġharīboṅ ko kuchal kar un ke anāj par had se zyādā ṭaiks lagāte ho. Is lie go tum ne tarāshe hue pattharoṅ se shāndār ghar banāe haiṅ to bhī un meṅ nahīṅ rahoge, go tum ne angūr ke phalte-phūlte bāġh lagāe haiṅ to bhī un kī mai se mahzūz nahīṅ hoge. 12 Maiṅ to tumhāre muta'addid jarāym aur sangīn gunāhoṅ se ḳhūb wāqif hūṅ. Tum rāstbāzoṅ par zulm karte aur rishwat le kar ġharīboṅ ko adālat meṅ insāf se mahrūm rakhte ho. 13 Is lie samajhdār shaḳhs is waqt ḳhāmosh rahtā hai, waqt itnā hī burā hai. 14 Burāī ko talāsh na karo balki achchhāī ko, tab hī jīte rahoge. Tab hī tumhārā dāwā durust hogā ki Rab jo lashkaroṅ kā Ḳhudā hai hamāre sāth hai. 15 Burāī se nafrat karo aur jo kuchh achchhā hai use pyār karo. Adālatoṅ meṅ insāf qāym rakho, shāyad Rab jo lashkaroṅ kā Ḳhudā hai Yūsuf ke bache-khuche hisse par rahm kare. 16 Chunāṅche Rab jo lashkaroṅ kā Ḳhudā aur hamārā āqā hai farmātā hai, “Tamām chaukoṅ meṅ āh-o-bukā hogī, tamām galiyoṅ meṅ log ‘Hāy, hāy’ kareṅge. Khetībāṛī karne wāloṅ ko bhī bulāyā jāegā tāki peshāwarānā taur par sog manāne wāloṅ ke sāth giryā-o-zārī kareṅ. 17 Angūr ke tamām bāġhoṅ meṅ wāwailā machegā, kyoṅki maiṅ ḳhud tumhāre darmiyān se guzarūṅga.” Yih Rab kā farmān hai. 18 Un par afsos jo kahte haiṅ, “Kāsh Rab kā din ā jāe!” Tumhāre lie Rab ke din kā kyā fāydā hogā? Wuh to tumhāre lie raushnī kā nahīṅ balki tārīkī kā bāis hogā. 19 Tab tum us ādmī kī mānind hoge jo sherbabar se bhāg kar rīchh se ṭakrā jātā hai. Jab ghar meṅ panāh le kar hāth se dīwār kā sahārā letā hai to sāṅp use ḍas letā hai. 20 Hāṅ, Rab kā din tumhāre lie raushnī kā nahīṅ balki tārīkī kā bāis hogā. Aisā andherā hogā ki ummīd kī kiran tak nazar nahīṅ āegī. 21 Rab farmātā hai, “Mujhe tumhāre mazhabī tahwāroṅ se nafrat hai, maiṅ unheṅ haqīr jāntā hūṅ. Tumhāre ijtimāoṅ se mujhe ghin ātī hai. 22 Jo bhasm hone wālī aur ġhallā kī qurbāniyāṅ tum mujhe pesh karte ho unheṅ maiṅ pasand nahīṅ kartā, jo moṭe-tāze bail tum mujhe salāmatī kī qurbānī ke taur par chaṛhāte ho un par maiṅ nazar bhī nahīṅ ḍālnā chāhtā. 23 Dafā karo apne gītoṅ kā shor! Maiṅ tumhāre sitāroṅ kī mausīqī sunanā nahīṅ chāhtā. 24 In chīzoṅ kī bajāe insāf kā chashmā phūṭ nikle aur rāstī kī kabhī band na hone wālī nahar bah nikle. 25 Ai Isrāīl ke gharāne, jab tum registān meṅ ghūmte-phirte the to kyā tum ne un 40 sāloṅ ke daurān kabhī mujhe zabah aur ġhallā kī qurbāniyāṅ pesh kīṅ? 26 Nahīṅ, us waqt bhī tum apne bādshāh Sakkūt Dewatā aur apne sitāre Kīwān Dewatā ko uṭhāe phirte the, go tum ne apne hāthoṅ se yih but apne lie banā lie the. 27 Is lie Rab jis kā nām lashkaroṅ kā Ḳhudā hai farmātā hai ki maiṅ tumheṅ jilāwatan karke Damishq ke pār basā dūṅgā.”

In Other Versions

Amos 5 in the ANGEFD

Amos 5 in the ANTPNG2D

Amos 5 in the AS21

Amos 5 in the BAGH

Amos 5 in the BBPNG

Amos 5 in the BBT1E

Amos 5 in the BDS

Amos 5 in the BEV

Amos 5 in the BHAD

Amos 5 in the BIB

Amos 5 in the BLPT

Amos 5 in the BNT

Amos 5 in the BNTABOOT

Amos 5 in the BNTLV

Amos 5 in the BOATCB

Amos 5 in the BOATCB2

Amos 5 in the BOBCV

Amos 5 in the BOCNT

Amos 5 in the BOECS

Amos 5 in the BOGWICC

Amos 5 in the BOHCB

Amos 5 in the BOHCV

Amos 5 in the BOHLNT

Amos 5 in the BOHNTLTAL

Amos 5 in the BOICB

Amos 5 in the BOILNTAP

Amos 5 in the BOITCV

Amos 5 in the BOKCV

Amos 5 in the BOKCV2

Amos 5 in the BOKHWOG

Amos 5 in the BOKSSV

Amos 5 in the BOLCB

Amos 5 in the BOLCB2

Amos 5 in the BOMCV

Amos 5 in the BONAV

Amos 5 in the BONCB

Amos 5 in the BONLT

Amos 5 in the BONUT2

Amos 5 in the BOPLNT

Amos 5 in the BOSCB

Amos 5 in the BOSNC

Amos 5 in the BOTLNT

Amos 5 in the BOVCB

Amos 5 in the BOYCB

Amos 5 in the BPBB

Amos 5 in the BPH

Amos 5 in the BSB

Amos 5 in the CCB

Amos 5 in the CUV

Amos 5 in the CUVS

Amos 5 in the DBT

Amos 5 in the DGDNT

Amos 5 in the DHNT

Amos 5 in the DNT

Amos 5 in the ELBE

Amos 5 in the EMTV

Amos 5 in the ESV

Amos 5 in the FBV

Amos 5 in the FEB

Amos 5 in the GGMNT

Amos 5 in the GNT

Amos 5 in the HARY

Amos 5 in the HNT

Amos 5 in the IRVA

Amos 5 in the IRVB

Amos 5 in the IRVG

Amos 5 in the IRVH

Amos 5 in the IRVK

Amos 5 in the IRVM

Amos 5 in the IRVM2

Amos 5 in the IRVO

Amos 5 in the IRVP

Amos 5 in the IRVT

Amos 5 in the IRVT2

Amos 5 in the IRVU

Amos 5 in the ISVN

Amos 5 in the JSNT

Amos 5 in the KAPI

Amos 5 in the KBT1ETNIK

Amos 5 in the KBV

Amos 5 in the KJV

Amos 5 in the KNFD

Amos 5 in the LBA

Amos 5 in the LBLA

Amos 5 in the LNT

Amos 5 in the LSV

Amos 5 in the MAAL

Amos 5 in the MBV

Amos 5 in the MBV2

Amos 5 in the MHNT

Amos 5 in the MKNFD

Amos 5 in the MNG

Amos 5 in the MNT

Amos 5 in the MNT2

Amos 5 in the MRS1T

Amos 5 in the NAA

Amos 5 in the NASB

Amos 5 in the NBLA

Amos 5 in the NBS

Amos 5 in the NBVTP

Amos 5 in the NET2

Amos 5 in the NIV11

Amos 5 in the NNT

Amos 5 in the NNT2

Amos 5 in the NNT3

Amos 5 in the PDDPT

Amos 5 in the PFNT

Amos 5 in the RMNT

Amos 5 in the SBIAS

Amos 5 in the SBIBS

Amos 5 in the SBIBS2

Amos 5 in the SBICS

Amos 5 in the SBIDS

Amos 5 in the SBIGS

Amos 5 in the SBIHS

Amos 5 in the SBIIS

Amos 5 in the SBIIS2

Amos 5 in the SBIIS3

Amos 5 in the SBIKS

Amos 5 in the SBIKS2

Amos 5 in the SBIMS

Amos 5 in the SBIOS

Amos 5 in the SBIPS

Amos 5 in the SBISS

Amos 5 in the SBITS

Amos 5 in the SBITS2

Amos 5 in the SBITS3

Amos 5 in the SBITS4

Amos 5 in the SBIUS

Amos 5 in the SBIVS

Amos 5 in the SBT

Amos 5 in the SBT1E

Amos 5 in the SCHL

Amos 5 in the SNT

Amos 5 in the SUSU

Amos 5 in the SUSU2

Amos 5 in the SYNO

Amos 5 in the TBIAOTANT

Amos 5 in the TBT1E

Amos 5 in the TBT1E2

Amos 5 in the TFTIP

Amos 5 in the TFTU

Amos 5 in the TGNTATF3T

Amos 5 in the THAI

Amos 5 in the TNFD

Amos 5 in the TNT

Amos 5 in the TNTIK

Amos 5 in the TNTIL

Amos 5 in the TNTIN

Amos 5 in the TNTIP

Amos 5 in the TNTIZ

Amos 5 in the TOMA

Amos 5 in the TTENT

Amos 5 in the UBG

Amos 5 in the UGV

Amos 5 in the UGV2

Amos 5 in the VBL

Amos 5 in the VDCC

Amos 5 in the YALU

Amos 5 in the YAPE

Amos 5 in the YBVTP

Amos 5 in the ZBP