Amos 8 (UGV3)

1 Ek bār phir Rab Qādir-e-mutlaq ne mujhe royā dikhāī. Maiṅ ne pake hue phal se bharī huī ṭokrī dekhī. 2 Rab ne pūchhā, “Ai Āmūs, tujhe kyā nazar ātā hai?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Pake hue phal se bharī huī ṭokrī.” Tab Rab ne mujh se farmāyā, “Merī qaum kā anjām pak gayā hai. Ab se maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. 3 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us din mahal meṅ gīt sunāī nahīṅ deṅge balki āh-o-zārī. Chāroṅ taraf nāsheṅ nazar āeṅgī, kyoṅki dushman unheṅ har jagah phaiṅkegā. Ḳhāmosh!” 4 Ai ġharīboṅ ko kuchalne wālo, ai zarūratmandoṅ ko tabāh karne wālo, suno! 5 5-6 Tum kahte ho, “Nae Chāṅd kī Īd kab guzar jāegī, Sabat kā din kab ḳhatm hai tāki ham anāj ke godām khol kar ġhallā bech sakeṅ? Tab ham paimāish ke bartan chhoṭe aur tarāzū ke bāṭ halke banāeṅge, sāth sāth saude kā bhāw baṛhāeṅge. Ham faroḳht karte waqt anāj ke sāth us kā bhūsā bhī milāeṅge.” Apne nājāyz tarīqoṅ se tum thoṛe paisoṅ meṅ balki ek joṛī jūtoṅ ke ewaz ġharīboṅ ko ḳharīdte ho. 7 Rab ne Yāqūb ke faḳhr kī qasam khā kar wādā kiyā hai, “Jo kuchh un se sarzad huā hai use maiṅ kabhī nahīṅ bhūlūṅgā. 8 Unhīṅ kī wajah se zamīn laraz uṭhegī aur us ke tamām bāshinde mātam kareṅge. Jis tarah Misr meṅ Dariyā-e-Nīl barsāt ke mausam meṅ sailābī sūrat iḳhtiyār kar letā hai usī tarah pūrī zamīn uṭhegī. Wuh Nīl kī tarah josh meṅ āegī, phir dubārā utar jāegī.” 9 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Us din maiṅ hone dūṅgā ki sūraj dopahar ke waqt ġhurūb ho jāe. Din urūj par hī hogā to zamīn par andherā chhā jāegā. 10 Maiṅ tumhāre tahwāroṅ ko mātam meṅ aur tumhāre gītoṅ ko āh-o-bukā meṅ badal dūṅgā. Maiṅ sab ko ṭāṭ ke mātamī libās pahnā kar har ek kā sar munḍwāūṅgā. Log yoṅ mātam kareṅge jaisā un kā wāhid beṭā kūch kar gayā ho. Anjām kā wuh din kitnā talḳh hogā.” 11 Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Aise din āne wāle haiṅ jab maiṅ mulk meṅ kāl bhejūṅgā. Lekin log na roṭī aur na pānī se balki Allāh kā kalām sunane se mahrūm raheṅge. 12 Log laṛkhaṛāte hue ek samundar se dūsre tak aur shimāl se mashriq tak phireṅge tāki Rab kā kalām mil jāe, lekin besūd. 13 Us din ḳhūbsūrat kuṅwāriyāṅ aur jawān mard pyās ke māre behosh ho jāeṅge. 14 Jo is waqt Sāmariya ke makrūh but kī qasam khāte aur kahte haiṅ, ‘Ai Dān, tere dewatā kī hayāt kī qasam’ yā ‘Ai Bair-sabā, tere dewatā kī qasam!’ Wuh us waqt gir jāeṅge aur dubārā kabhī nahīṅ uṭheṅge.”

In Other Versions

Amos 8 in the ANGEFD

Amos 8 in the ANTPNG2D

Amos 8 in the AS21

Amos 8 in the BAGH

Amos 8 in the BBPNG

Amos 8 in the BBT1E

Amos 8 in the BDS

Amos 8 in the BEV

Amos 8 in the BHAD

Amos 8 in the BIB

Amos 8 in the BLPT

Amos 8 in the BNT

Amos 8 in the BNTABOOT

Amos 8 in the BNTLV

Amos 8 in the BOATCB

Amos 8 in the BOATCB2

Amos 8 in the BOBCV

Amos 8 in the BOCNT

Amos 8 in the BOECS

Amos 8 in the BOGWICC

Amos 8 in the BOHCB

Amos 8 in the BOHCV

Amos 8 in the BOHLNT

Amos 8 in the BOHNTLTAL

Amos 8 in the BOICB

Amos 8 in the BOILNTAP

Amos 8 in the BOITCV

Amos 8 in the BOKCV

Amos 8 in the BOKCV2

Amos 8 in the BOKHWOG

Amos 8 in the BOKSSV

Amos 8 in the BOLCB

Amos 8 in the BOLCB2

Amos 8 in the BOMCV

Amos 8 in the BONAV

Amos 8 in the BONCB

Amos 8 in the BONLT

Amos 8 in the BONUT2

Amos 8 in the BOPLNT

Amos 8 in the BOSCB

Amos 8 in the BOSNC

Amos 8 in the BOTLNT

Amos 8 in the BOVCB

Amos 8 in the BOYCB

Amos 8 in the BPBB

Amos 8 in the BPH

Amos 8 in the BSB

Amos 8 in the CCB

Amos 8 in the CUV

Amos 8 in the CUVS

Amos 8 in the DBT

Amos 8 in the DGDNT

Amos 8 in the DHNT

Amos 8 in the DNT

Amos 8 in the ELBE

Amos 8 in the EMTV

Amos 8 in the ESV

Amos 8 in the FBV

Amos 8 in the FEB

Amos 8 in the GGMNT

Amos 8 in the GNT

Amos 8 in the HARY

Amos 8 in the HNT

Amos 8 in the IRVA

Amos 8 in the IRVB

Amos 8 in the IRVG

Amos 8 in the IRVH

Amos 8 in the IRVK

Amos 8 in the IRVM

Amos 8 in the IRVM2

Amos 8 in the IRVO

Amos 8 in the IRVP

Amos 8 in the IRVT

Amos 8 in the IRVT2

Amos 8 in the IRVU

Amos 8 in the ISVN

Amos 8 in the JSNT

Amos 8 in the KAPI

Amos 8 in the KBT1ETNIK

Amos 8 in the KBV

Amos 8 in the KJV

Amos 8 in the KNFD

Amos 8 in the LBA

Amos 8 in the LBLA

Amos 8 in the LNT

Amos 8 in the LSV

Amos 8 in the MAAL

Amos 8 in the MBV

Amos 8 in the MBV2

Amos 8 in the MHNT

Amos 8 in the MKNFD

Amos 8 in the MNG

Amos 8 in the MNT

Amos 8 in the MNT2

Amos 8 in the MRS1T

Amos 8 in the NAA

Amos 8 in the NASB

Amos 8 in the NBLA

Amos 8 in the NBS

Amos 8 in the NBVTP

Amos 8 in the NET2

Amos 8 in the NIV11

Amos 8 in the NNT

Amos 8 in the NNT2

Amos 8 in the NNT3

Amos 8 in the PDDPT

Amos 8 in the PFNT

Amos 8 in the RMNT

Amos 8 in the SBIAS

Amos 8 in the SBIBS

Amos 8 in the SBIBS2

Amos 8 in the SBICS

Amos 8 in the SBIDS

Amos 8 in the SBIGS

Amos 8 in the SBIHS

Amos 8 in the SBIIS

Amos 8 in the SBIIS2

Amos 8 in the SBIIS3

Amos 8 in the SBIKS

Amos 8 in the SBIKS2

Amos 8 in the SBIMS

Amos 8 in the SBIOS

Amos 8 in the SBIPS

Amos 8 in the SBISS

Amos 8 in the SBITS

Amos 8 in the SBITS2

Amos 8 in the SBITS3

Amos 8 in the SBITS4

Amos 8 in the SBIUS

Amos 8 in the SBIVS

Amos 8 in the SBT

Amos 8 in the SBT1E

Amos 8 in the SCHL

Amos 8 in the SNT

Amos 8 in the SUSU

Amos 8 in the SUSU2

Amos 8 in the SYNO

Amos 8 in the TBIAOTANT

Amos 8 in the TBT1E

Amos 8 in the TBT1E2

Amos 8 in the TFTIP

Amos 8 in the TFTU

Amos 8 in the TGNTATF3T

Amos 8 in the THAI

Amos 8 in the TNFD

Amos 8 in the TNT

Amos 8 in the TNTIK

Amos 8 in the TNTIL

Amos 8 in the TNTIN

Amos 8 in the TNTIP

Amos 8 in the TNTIZ

Amos 8 in the TOMA

Amos 8 in the TTENT

Amos 8 in the UBG

Amos 8 in the UGV

Amos 8 in the UGV2

Amos 8 in the VBL

Amos 8 in the VDCC

Amos 8 in the YALU

Amos 8 in the YAPE

Amos 8 in the YBVTP

Amos 8 in the ZBP