Daniel 1 (UGV3)
1 Shāh-e-Yahūdāh Yahūyaqīm kī saltanat ke tīsre sāl meṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ne Yarūshalam ā kar us kā muhāsarā kiyā. 2 Us waqt Rab ne Yahūyaqīm aur Allāh ke ghar kā kāfī sāmān Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā. Nabūkadnazzar ne yih chīzeṅ Mulk-e-Bābal meṅ le jā kar apne dewatā ke mandir ke ḳhazāne meṅ mahfūz kar dīṅ. 3 Phir us ne apne darbār ke ālā afsar Ashpanāz ko hukm diyā, “Yahūdāh ke shāhī ḳhāndān aur ūṅche tabqe ke ḳhāndānoṅ kī taftīsh karo. Un meṅ se kuchh aise naujawānoṅ ko chun kar le āo 4 jo beaib, ḳhūbsūrat, hikmat ke har lihāz se samajhdār, tālīmyāftā aur samajhne meṅ tez hoṅ. Ġharz yih ādmī shāhī mahal meṅ ḳhidmat karne ke qābil hoṅ. Unheṅ Bābal kī zabān likhne aur bolne kī tālīm do.” 5 Bādshāh ne muqarrar kiyā ki rozānā unheṅ shāhī bāwarchīḳhāne se kitnā khānā aur mai milnī hai. Tīn sāl kī tarbiyat ke bād unheṅ bādshāh kī ḳhidmat ke lie hāzir honā thā. 6 Jab in naujawānoṅ ko chunā gayā to chār ādmī un meṅ shāmil the jin ke nām Dānyāl, Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh the. 7 Darbār ke ālā afsar ne un ke nae nām rakhe. Dānyāl Beltashazzar meṅ badal gayā, Hananiyāh Sadrak meṅ, Mīsāel Mīsak meṅ aur Azariyāh Abadnajū meṅ. 8 Lekin Dānyāl ne musammam irādā kar liyā ki maiṅ apne āp ko shāhī khānā khāne aur shāhī mai pīne se nāpāk nahīṅ karūṅga. Us ne darbār ke ālā afsar se in chīzoṅ se parhez karne kī ijāzat māṅgī. 9 Allāh ne pahle se is afsar kā dil narm kar diyā thā, is lie wuh Dānyāl kā ḳhās lihāz kartā aur us par mehrbānī kartā thā. 10 Lekin Dānyāl kī darḳhāst sun kar us ne jawāb diyā, “Mujhe apne āqā bādshāh se ḍar hai. Unhīṅ ne muta'ayyin kiyā ki tumheṅ kyā kyā khānā aur pīnā hai. Agar unheṅ patā chale ki tum dūsre naujawānoṅ kī nisbat duble-patle aur kamzor lage to wuh merā sar qalam kareṅge.” 11 Tab Dānyāl ne us nigarān se bāt kī jise darbār ke ālā afsar ne Dānyāl, Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh par muqarrar kiyā thā. Wuh bolā, 12 “Zarā das din tak apne ḳhādimoṅ ko āzmāeṅ. Itne meṅ hameṅ khāne ke lie sirf sāg-pāt aur pīne ke lie pānī dījie. 13 Is ke bād hamārī sūrat kā muqābalā un dīgar naujawānoṅ ke sāth kareṅ jo shāhī khānā khāte haiṅ. Phir hī faislā kareṅ ki āindā apne ḳhādimoṅ ke sāth kaisā sulūk kareṅge.” 14 Nigarān mān gayā. Das din tak wuh unheṅ sāg-pāt khilā kar aur pānī pilā kar āzmātā rahā. 15 Das din ke bād kyā deḳhtā hai ki Dānyāl aur us ke tīn dost shāhī khānā khāne wāle dīgar naujawānoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā sehhatmand aur moṭe-tāze lag rahe haiṅ. 16 Tab nigarān un ke lie muqarrarā shāhī khāne aur mai kā intazām band karke unheṅ sirf sāg-pāt khilāne lagā. 17 Allāh ne in chār ādmiyoṅ ko adab aur hikmat ke har shobe meṅ ilm aur samajh atā kī. Nīz, Dānyāl har qism kī royā aur ḳhāb kī tābīr kar saktā thā. 18 Muqarrarā tīn sāl ke bād darbār ke ālā afsar ne tamām naujawānoṅ ko Nabūkadnazzar ke sāmne pesh kiyā. 19 Jab bādshāh ne un se guftgū kī to mālūm huā ki Dānyāl, Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh dūsroṅ par sabqat rakhte haiṅ. Chunāṅche chāroṅ bādshāh ke mulāzim ban gae. 20 Jab bhī kisī muāmale meṅ ḳhās hikmat aur samajh darkār hotī to bādshāh ne dekhā ki yih chār naujawān mashwarā dene meṅ pūrī saltanat ke tamām qismat kā hāl batāne wāloṅ aur jādūgaroṅ se das gunā zyādā qābil haiṅ. 21 Dānyāl Ḳhoras kī hukūmat ke pahle sāl tak shāhī darbār meṅ ḳhidmat kartā rahā.
In Other Versions
Daniel 1 in the ANGEFD
Daniel 1 in the ANTPNG2D
Daniel 1 in the AS21
Daniel 1 in the BAGH
Daniel 1 in the BBPNG
Daniel 1 in the BBT1E
Daniel 1 in the BDS
Daniel 1 in the BEV
Daniel 1 in the BHAD
Daniel 1 in the BIB
Daniel 1 in the BLPT
Daniel 1 in the BNT
Daniel 1 in the BNTABOOT
Daniel 1 in the BNTLV
Daniel 1 in the BOATCB
Daniel 1 in the BOATCB2
Daniel 1 in the BOBCV
Daniel 1 in the BOCNT
Daniel 1 in the BOECS
Daniel 1 in the BOGWICC
Daniel 1 in the BOHCB
Daniel 1 in the BOHCV
Daniel 1 in the BOHLNT
Daniel 1 in the BOHNTLTAL
Daniel 1 in the BOICB
Daniel 1 in the BOILNTAP
Daniel 1 in the BOITCV
Daniel 1 in the BOKCV
Daniel 1 in the BOKCV2
Daniel 1 in the BOKHWOG
Daniel 1 in the BOKSSV
Daniel 1 in the BOLCB
Daniel 1 in the BOLCB2
Daniel 1 in the BOMCV
Daniel 1 in the BONAV
Daniel 1 in the BONCB
Daniel 1 in the BONLT
Daniel 1 in the BONUT2
Daniel 1 in the BOPLNT
Daniel 1 in the BOSCB
Daniel 1 in the BOSNC
Daniel 1 in the BOTLNT
Daniel 1 in the BOVCB
Daniel 1 in the BOYCB
Daniel 1 in the BPBB
Daniel 1 in the BPH
Daniel 1 in the BSB
Daniel 1 in the CCB
Daniel 1 in the CUV
Daniel 1 in the CUVS
Daniel 1 in the DBT
Daniel 1 in the DGDNT
Daniel 1 in the DHNT
Daniel 1 in the DNT
Daniel 1 in the ELBE
Daniel 1 in the EMTV
Daniel 1 in the ESV
Daniel 1 in the FBV
Daniel 1 in the FEB
Daniel 1 in the GGMNT
Daniel 1 in the GNT
Daniel 1 in the HARY
Daniel 1 in the HNT
Daniel 1 in the IRVA
Daniel 1 in the IRVB
Daniel 1 in the IRVG
Daniel 1 in the IRVH
Daniel 1 in the IRVK
Daniel 1 in the IRVM
Daniel 1 in the IRVM2
Daniel 1 in the IRVO
Daniel 1 in the IRVP
Daniel 1 in the IRVT
Daniel 1 in the IRVT2
Daniel 1 in the IRVU
Daniel 1 in the ISVN
Daniel 1 in the JSNT
Daniel 1 in the KAPI
Daniel 1 in the KBT1ETNIK
Daniel 1 in the KBV
Daniel 1 in the KJV
Daniel 1 in the KNFD
Daniel 1 in the LBA
Daniel 1 in the LBLA
Daniel 1 in the LNT
Daniel 1 in the LSV
Daniel 1 in the MAAL
Daniel 1 in the MBV
Daniel 1 in the MBV2
Daniel 1 in the MHNT
Daniel 1 in the MKNFD
Daniel 1 in the MNG
Daniel 1 in the MNT
Daniel 1 in the MNT2
Daniel 1 in the MRS1T
Daniel 1 in the NAA
Daniel 1 in the NASB
Daniel 1 in the NBLA
Daniel 1 in the NBS
Daniel 1 in the NBVTP
Daniel 1 in the NET2
Daniel 1 in the NIV11
Daniel 1 in the NNT
Daniel 1 in the NNT2
Daniel 1 in the NNT3
Daniel 1 in the PDDPT
Daniel 1 in the PFNT
Daniel 1 in the RMNT
Daniel 1 in the SBIAS
Daniel 1 in the SBIBS
Daniel 1 in the SBIBS2
Daniel 1 in the SBICS
Daniel 1 in the SBIDS
Daniel 1 in the SBIGS
Daniel 1 in the SBIHS
Daniel 1 in the SBIIS
Daniel 1 in the SBIIS2
Daniel 1 in the SBIIS3
Daniel 1 in the SBIKS
Daniel 1 in the SBIKS2
Daniel 1 in the SBIMS
Daniel 1 in the SBIOS
Daniel 1 in the SBIPS
Daniel 1 in the SBISS
Daniel 1 in the SBITS
Daniel 1 in the SBITS2
Daniel 1 in the SBITS3
Daniel 1 in the SBITS4
Daniel 1 in the SBIUS
Daniel 1 in the SBIVS
Daniel 1 in the SBT
Daniel 1 in the SBT1E
Daniel 1 in the SCHL
Daniel 1 in the SNT
Daniel 1 in the SUSU
Daniel 1 in the SUSU2
Daniel 1 in the SYNO
Daniel 1 in the TBIAOTANT
Daniel 1 in the TBT1E
Daniel 1 in the TBT1E2
Daniel 1 in the TFTIP
Daniel 1 in the TFTU
Daniel 1 in the TGNTATF3T
Daniel 1 in the THAI
Daniel 1 in the TNFD
Daniel 1 in the TNT
Daniel 1 in the TNTIK
Daniel 1 in the TNTIL
Daniel 1 in the TNTIN
Daniel 1 in the TNTIP
Daniel 1 in the TNTIZ
Daniel 1 in the TOMA
Daniel 1 in the TTENT
Daniel 1 in the UBG
Daniel 1 in the UGV
Daniel 1 in the UGV2
Daniel 1 in the VBL
Daniel 1 in the VDCC
Daniel 1 in the YALU
Daniel 1 in the YAPE
Daniel 1 in the YBVTP
Daniel 1 in the ZBP