Ezekiel 41 (UGV3)
1 Is ke bād merā rāhnumā mujhe Rab ke ghar ke pahle kamre yānī ‘Muqaddas Kamrā’ meṅ le gayā. Us ne darwāze ke satūn-numā bāzū nāpe to mālūm huā ki sāṛhe das das fuṭ moṭe haiṅ. 2 Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 17 fuṭ thī, aur dāeṅ bāeṅ kī dīwāreṅ paune nau nau fuṭ lambī thīṅ. Kamre kī pūrī lambāī 70 fuṭ aur chauṛāī 35 fuṭ thī. 3 Phir wuh āge baṛh kar sab se andarūnī kamre meṅ dāḳhil huā. Us ne darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ kī paimāish kī to mālūm huā ki sāṛhe tīn tīn fuṭ moṭe haiṅ. Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 10 fuṭ thī, aur dāeṅ bāeṅ kī dīwāreṅ sawā bārah bārah fuṭ lambī thīṅ. 4 Andarūnī kamre kī lambāī aur chauṛāī paintīs paintīs fuṭ thī. Wuh bolā, “Yih Muqaddastarīn Kamrā hai.” 5 Phir us ne Rab ke ghar kī bairūnī dīwār nāpī. Us kī moṭāī sāṛhe 10 fuṭ thī. Dīwār ke sāth sāth kamre tāmīr kie gae the. Har kamre kī chauṛāī 7 fuṭ thī. 6 Kamroṅ kī tīn manzileṅ thīṅ, kul 30 kamre the. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār dūsrī manzil par pahlī manzil kī nisbat kam moṭī aur tīsrī manzil par dūsrī manzil kī nisbat kam moṭī thī. Natījatan har manzil kā wazn us kī bairūnī dīwār par thā aur zarūrat nahīṅ thī ki is dīwār meṅ shahtīr lagāeṅ. 7 Chunāṅche dūsrī manzil pahlī kī nisbat chauṛī aur tīsrī dūsrī kī nisbat chauṛī thī. Ek sīṛhī nichlī manzil se dūsrī aur tīsrī manzil tak pahuṅchātī thī. 8 8-11 In kamroṅ kī bairūnī dīwār paune 9 fuṭ moṭī thī. Jo kamre Rab ke ghar kī shimālī dīwār meṅ the un meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā, aur isī tarah junūbī kamroṅ meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā. Maiṅ ne dekhā ki Rab kā ghar ek chabūtare par tāmīr huā hai. Is kā jitnā hissā us ke irdgird nazar ātā thā wuh paune 9 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 10 fuṭ ūṅchā thā. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār se mulhiq kamre is par banāe gae the. Is chabūtare aur imāmoṅ se mustāmal makānoṅ ke darmiyān khulī jagah thī jis kā fāsilā 35 fuṭ thā. Yih khulī jagah Rab ke ghar ke chāroṅ taraf nazar ātī thī. 12 Is khulī jagah ke maġhrib meṅ ek imārat thī jo sāṛhe 157 fuṭ lambī aur sāṛhe 122 fuṭ chauṛī thī. Us kī dīwāreṅ chāroṅ taraf paune nau nau fuṭ moṭī thīṅ. 13 Phir mere rāhnumā ne bāhar se Rab ke ghar kī paimāish kī. Us kī lambāī 175 fuṭ thī. Rab ke ghar kī pichhlī dīwār se maġhribī imārat tak kā fāsilā bhī 175 fuṭ thā. 14 Phir us ne Rab ke ghar ke sāmne wālī yānī mashriqī dīwār shimāl aur junūb meṅ khulī jagah samet kī paimāish kī. Mālūm huā ki us kā fāsilā bhī 175 fuṭ hai. 15 Us ne maġhrib meṅ us imārat kī lambāī nāpī jo Rab ke ghar ke pīchhe thī. Mālūm huā ki yih bhī donoṅ pahluoṅ kī guzargāhoṅ samet 175 fuṭ lambī hai.Rab ke ghar ke barāmde, Muqaddas Kamre aur Muqaddastarīn Kamre kī dīwāroṅ par 16 farsh se le kar khiṛkiyoṅ tak lakaṛī ke taḳhte lagāe gae the. In khiṛkiyoṅ ko band kiyā jā saktā thā. 17 Rab ke ghar kī andarūnī dīwāroṅ par darwāzoṅ ke ūpar tak taswīreṅ kandā kī gaī thīṅ. 18 Khajūr ke daraḳhtoṅ aur karūbī farishtoṅ kī taswīreṅ bārī bārī nazar ātī thīṅ. Har farishte ke do chehre the. 19 Insān kā chehrā ek taraf ke daraḳht kī taraf deḳhtā thā jabki sherbabar kā chehrā dūsrī taraf ke daraḳht kī taraf deḳhtā thā. Yih daraḳht aur karūbī pūrī dīwār par bārī bārī munaqqash kie gae the, 20 farsh se le kar darwāzoṅ ke ūpar tak. 21 Muqaddas Kamre meṅ dāḳhil hone wāle darwāze ke donoṅ bāzū murabbā the.Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke Sāmne 22 lakaṛī kī qurbāngāh nazar āī. Us kī ūṅchāī sawā 5 fuṭ aur chauṛāī sāṛhe tīn fuṭ thī. Us ke kone, pāyā aur chāroṅ pahlū lakaṛī se bane the. Us ne mujh se kahā, “Yih wuhī mez hai jo Rab ke huzūr rahtī hai.” 23 Muqaddas Kamre meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā aur Muqaddastarīn Kamre kā ek. 24 Har darwāze ke do kiwāṛ the, wuh darmiyān meṅ se khulte the. 25 Dīwāroṅ kī tarah Muqaddas Kamre ke darwāze par bhī khajūr ke daraḳht aur karūbī farishte kandā kie gae the. Aur barāmde ke bāhar wāle darwāze ke ūpar lakaṛī kī chhoṭī-sī chhat banāī gaī thī. 26 Barāmde ke donoṅ taraf khiṛkiyāṅ thīṅ, aur dīwāroṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the.