Ezra 10 (UGV3)

1 Jab Azrā is tarah duā kar rahā aur Allāh ke ghar ke sāmne paṛe hue aur rote hue qaum ke qusūr kā iqrār kar rahā thā to us ke irdgird Isrāīlī mardoṅ, auratoṅ aur bachchoṅ kā baṛā hujūm jamā ho gayā. Wuh bhī phūṭ phūṭ kar rone lage. 2 Phir Ailām ke ḳhāndān ke Sakaniyāh bin Yihiyel ne Azrā se kahā,“Wāqaī ham ne paṛosī qaumoṅ kī auratoṅ se shādī karke apne Ḳhudā se bewafāī kī hai. To bhī ab tak Isrāīl ke lie ummīd kī kiran bāqī hai. 3 Āeṅ, ham apne Ḳhudā se ahd bāndh kar wādā kareṅ ki ham un tamām auratoṅ ko un ke bachchoṅ samet wāpas bhej deṅge. Jo bhī mashwarā āp aur Allāh ke ahkām kā ḳhauf mānane wāle dīgar log hameṅ deṅge wuh ham kareṅge. Sab kuchh sharīat ke mutābiq kiyā jāe. 4 Ab uṭheṅ! Kyoṅki yih muāmalā durust karnā āp hī kā farz hai. Ham āp ke sāth haiṅ, is lie hauslā rakheṅ aur wuh kuchh kareṅ jo zarūrī hai.” 5 Tab Azrā uṭhā aur rāhnumā imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur tamām qaum ko qasam khilāī ki ham Sakaniyāh ke mashware par amal kareṅge. 6 Phir Azrā Allāh ke ghar ke sāmne se chalā gayā aur Yūhanān bin Iliyāsib ke kamre meṅ dāḳhil huā. Wahāṅ us ne pūrī rāt kuchh khāe-pie baġhair guzārī. Ab tak wuh jilāwatanī se wāpas āe hue logoṅ kī bewafāī par mātam kar rahā thā. 7 7-8 Sarkārī afsaroṅ aur buzurgoṅ ne faislā kiyā ki Yarūshalam aur pūre Yahūdāh meṅ elān kiyā jāe, “Lāzim hai ki jitne bhī Isrāīlī jilāwatanī se wāpas āe haiṅ wuh sab tīn din ke andar andar Yarūshalam meṅ jamā ho jāeṅ. Jo bhī is daurān hāzir na ho use jilāwatanoṅ kī jamāt se ḳhārij kar diyā jāegā aur us kī tamām milkiyat zabt ho jāegī.” 9 Tab Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke tamām ādmī tīn din ke andar andar Yarūshalam pahuṅche. Naweṅ mahīne ke bīsweṅ din sab log Allāh ke ghar ke sahan meṅ jamā hue. Sab muāmale kī sanjīdagī aur mausam ke sabab se kāṅp rahe the, kyoṅki bārish ho rahī thī. 10 Azrā Imām khaṛe ho kar kahne lagā, “Āp Allāh se bewafā ho gae haiṅ. Ġhairyahūdī auratoṅ se rishtā bāndhne se āp ne Isrāīl ke qusūr meṅ izāfā kar diyā hai. 11 Ab Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ke huzūr apne gunāhoṅ kā iqrār karke us kī marzī pūrī kareṅ. Paṛosī qaumoṅ aur apnī pardesī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅ.” 12 Pūrī jamāt ne buland āwāz se jawāb diyā, “Āp ṭhīk kahte haiṅ! Lāzim hai ki ham āp kī hidāyat par amal kareṅ. 13 Lekin yih koī aisā muāmalā nahīṅ hai jo ek yā do din meṅ durust kiyā jā sake. Kyoṅki ham bahut log haiṅ aur ham se sanjīdā gunāh sarzad huā hai. Nīz, is waqt barsāt kā mausam hai, aur ham zyādā der tak bāhar nahīṅ ṭhahar sakte. 14 Behtar hai ki hamāre buzurg pūrī jamāt kī numāindagī kareṅ. Phir jitne bhī ādmiyoṅ kī Ġhairyahūdī bīwiyāṅ haiṅ wuh ek muqarrarā din maqāmī buzurgoṅ aur qāziyoṅ ko sāth le kar yahāṅ āeṅ aur muāmalā durust kareṅ. Aur lāzim hai ki yih silsilā us waqt tak jārī rahe jab tak Rab kā ġhazab ṭhanḍā na ho jāe.” 15 Tamām log muttafiq hue, sirf Yūnatan bin Asāhel aur Yahziyāh bin Tiqwā ne faisle kī muḳhālafat kī jabki Masullām aur Sabbatī Lāwī un ke haq meṅ the. 16 16-17 To bhī Isrāīliyoṅ ne mansūbe par amal kiyā. Azrā Imām ne chand ek ḳhāndānī sarparastoṅ ke nām le kar unheṅ yih zimmedārī dī ki jahāṅ bhī kisī Yahūdī mard kī Ġhairyahūdī aurat se shādī huī hai wahāṅ wuh pūre muāmale kī tahqīq kareṅ. Un kā kām dasweṅ mahīne ke pahle din shurū huā aur pahle mahīne ke pahle din takmīl tak pahuṅchā. 18 18-19 Darj-e-zail un ādmiyoṅ kī fahrist hai jinhoṅ ne Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī kī thī. Unhoṅ ne qasam khā kar wādā kiyā ki ham apnī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅge. Sāth sāth har ek ne qusūr kī qurbānī ke taur par menḍhā qurbān kiyā.Imāmoṅ meṅ se qusūrwār:Yashua bin Yūsadaq aur us ke bhāī Māsiyāh, Iliyazar, Yarīb aur Jidaliyāh, 20 Immer ke ḳhāndān kā Hanānī aur Zabadiyāh, 21 Hārim ke ḳhāndān kā Māsiyāh, Iliyās, Samāyāh, Yihiyel aur Uzziyāh, 22 Fashhūr ke ḳhāndān kā Iliyuainī, Māsiyāh, Ismāīl, Nataniyel, Yūzabad aur Iliyāsā. 23 Lāwiyoṅ meṅ se qusūrwār:Yūzabad, Simaī, Qilāyāh yānī Qalītā, Fatahiyāh, Yahūdāh aur Iliyazar. 24 Gulūkāroṅ meṅ se qusūrwār:Iliyāsib.Rab ke ghar ke darbānoṅ meṅ se qusūrwār:Sallūm, Talam aur Ūrī. 25 Bāqī qusūrwār Isrāīlī:Parūs ke ḳhāndān kā Ramiyāh, Yazziyāh, Malkiyāh, Miyāmīn, Iliyazar, Malkiyāh aur Bināyāh. 26 Ailām ke ḳhāndān kā Mattaniyāh, Zakariyāh, Yihiyel, Abdī, Yarīmot aur Iliyās, 27 Zattū ke ḳhāndān kā Iliyuainī, Iliyāsib, Mattaniyāh, Yarīmot, Zabad aur Azīzā. 28 Babī ke ḳhāndān kā Yūhanān, Hananiyāh, Zabbī aur Atlī. 29 Bānī ke ḳhāndān kā Masullām, Mallūk, Adāyāh, Yasūb, Siyāl aur Yarīmot. 30 Pakhat-moāb ke ḳhāndān kā Adnā, Kilāl, Bināyāh, Māsiyāh, Mattaniyāh, Bazliyel, Binnūī aur Manassī. 31 Hārim ke ḳhāndān kā Iliyazar, Yissiyāh, Malkiyāh, Samāyāh, Shamāūn, 32 Binyamīn, Mallūk aur Samariyāh. 33 Hāshūm ke ḳhāndān kā Mattanī, Mattattāh, Zabad, Ilīfalat, yaremī, Manassī aur Simaī. 34 Bānī ke ḳhāndān kā Mādī, Amrām, Ūel, 35 Bināyāh, Badiyāh, Kalūhī, 36 Waniyāh, Marīmot, Iliyāsib, 37 Mattaniyāh, Mattanī aur Yāsī. 38 Binnūī ke ḳhāndān kā Simaī, 39 Salamiyāh, Nātan, Adāyāh, 40 Maknadbī, Sāsī, Sārī, 41 Azarel, Salamiyāh, Samariyāh, 42 Sallūm, Amariyāh aur Yūsuf. 43 Nabū ke ḳhāndān kā Ya'iyel, Mattitiyāh, Zabad, Zabīnā, Yaddī, Yoel aur Bināyāh. 44 In tamām ādmiyoṅ kī Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī huī thī, aur un ke hāṅ bachche paidā hue the.

In Other Versions

Ezra 10 in the ANGEFD

Ezra 10 in the ANTPNG2D

Ezra 10 in the AS21

Ezra 10 in the BAGH

Ezra 10 in the BBPNG

Ezra 10 in the BBT1E

Ezra 10 in the BDS

Ezra 10 in the BEV

Ezra 10 in the BHAD

Ezra 10 in the BIB

Ezra 10 in the BLPT

Ezra 10 in the BNT

Ezra 10 in the BNTABOOT

Ezra 10 in the BNTLV

Ezra 10 in the BOATCB

Ezra 10 in the BOATCB2

Ezra 10 in the BOBCV

Ezra 10 in the BOCNT

Ezra 10 in the BOECS

Ezra 10 in the BOGWICC

Ezra 10 in the BOHCB

Ezra 10 in the BOHCV

Ezra 10 in the BOHLNT

Ezra 10 in the BOHNTLTAL

Ezra 10 in the BOICB

Ezra 10 in the BOILNTAP

Ezra 10 in the BOITCV

Ezra 10 in the BOKCV

Ezra 10 in the BOKCV2

Ezra 10 in the BOKHWOG

Ezra 10 in the BOKSSV

Ezra 10 in the BOLCB

Ezra 10 in the BOLCB2

Ezra 10 in the BOMCV

Ezra 10 in the BONAV

Ezra 10 in the BONCB

Ezra 10 in the BONLT

Ezra 10 in the BONUT2

Ezra 10 in the BOPLNT

Ezra 10 in the BOSCB

Ezra 10 in the BOSNC

Ezra 10 in the BOTLNT

Ezra 10 in the BOVCB

Ezra 10 in the BOYCB

Ezra 10 in the BPBB

Ezra 10 in the BPH

Ezra 10 in the BSB

Ezra 10 in the CCB

Ezra 10 in the CUV

Ezra 10 in the CUVS

Ezra 10 in the DBT

Ezra 10 in the DGDNT

Ezra 10 in the DHNT

Ezra 10 in the DNT

Ezra 10 in the ELBE

Ezra 10 in the EMTV

Ezra 10 in the ESV

Ezra 10 in the FBV

Ezra 10 in the FEB

Ezra 10 in the GGMNT

Ezra 10 in the GNT

Ezra 10 in the HARY

Ezra 10 in the HNT

Ezra 10 in the IRVA

Ezra 10 in the IRVB

Ezra 10 in the IRVG

Ezra 10 in the IRVH

Ezra 10 in the IRVK

Ezra 10 in the IRVM

Ezra 10 in the IRVM2

Ezra 10 in the IRVO

Ezra 10 in the IRVP

Ezra 10 in the IRVT

Ezra 10 in the IRVT2

Ezra 10 in the IRVU

Ezra 10 in the ISVN

Ezra 10 in the JSNT

Ezra 10 in the KAPI

Ezra 10 in the KBT1ETNIK

Ezra 10 in the KBV

Ezra 10 in the KJV

Ezra 10 in the KNFD

Ezra 10 in the LBA

Ezra 10 in the LBLA

Ezra 10 in the LNT

Ezra 10 in the LSV

Ezra 10 in the MAAL

Ezra 10 in the MBV

Ezra 10 in the MBV2

Ezra 10 in the MHNT

Ezra 10 in the MKNFD

Ezra 10 in the MNG

Ezra 10 in the MNT

Ezra 10 in the MNT2

Ezra 10 in the MRS1T

Ezra 10 in the NAA

Ezra 10 in the NASB

Ezra 10 in the NBLA

Ezra 10 in the NBS

Ezra 10 in the NBVTP

Ezra 10 in the NET2

Ezra 10 in the NIV11

Ezra 10 in the NNT

Ezra 10 in the NNT2

Ezra 10 in the NNT3

Ezra 10 in the PDDPT

Ezra 10 in the PFNT

Ezra 10 in the RMNT

Ezra 10 in the SBIAS

Ezra 10 in the SBIBS

Ezra 10 in the SBIBS2

Ezra 10 in the SBICS

Ezra 10 in the SBIDS

Ezra 10 in the SBIGS

Ezra 10 in the SBIHS

Ezra 10 in the SBIIS

Ezra 10 in the SBIIS2

Ezra 10 in the SBIIS3

Ezra 10 in the SBIKS

Ezra 10 in the SBIKS2

Ezra 10 in the SBIMS

Ezra 10 in the SBIOS

Ezra 10 in the SBIPS

Ezra 10 in the SBISS

Ezra 10 in the SBITS

Ezra 10 in the SBITS2

Ezra 10 in the SBITS3

Ezra 10 in the SBITS4

Ezra 10 in the SBIUS

Ezra 10 in the SBIVS

Ezra 10 in the SBT

Ezra 10 in the SBT1E

Ezra 10 in the SCHL

Ezra 10 in the SNT

Ezra 10 in the SUSU

Ezra 10 in the SUSU2

Ezra 10 in the SYNO

Ezra 10 in the TBIAOTANT

Ezra 10 in the TBT1E

Ezra 10 in the TBT1E2

Ezra 10 in the TFTIP

Ezra 10 in the TFTU

Ezra 10 in the TGNTATF3T

Ezra 10 in the THAI

Ezra 10 in the TNFD

Ezra 10 in the TNT

Ezra 10 in the TNTIK

Ezra 10 in the TNTIL

Ezra 10 in the TNTIN

Ezra 10 in the TNTIP

Ezra 10 in the TNTIZ

Ezra 10 in the TOMA

Ezra 10 in the TTENT

Ezra 10 in the UBG

Ezra 10 in the UGV

Ezra 10 in the UGV2

Ezra 10 in the VBL

Ezra 10 in the VDCC

Ezra 10 in the YALU

Ezra 10 in the YAPE

Ezra 10 in the YBVTP

Ezra 10 in the ZBP