Ezra 3 (UGV3)
1 Sātweṅ mahīne kī ibtidā meṅ pūrī qaum Yarūshalam meṅ jamā huī. Us waqt Isrāīlī apnī ābādiyoṅ meṅ dubārā ābād ho gae the. 2 Jamā hone kā maqsad Isrāīl ke Ḳhudā kī qurbāngāh ko nae sire se tāmīr karnā thā tāki mard-e-Ḳhudā Mūsā kī sharīat ke mutābiq us par bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ. Chunāṅche Yashua bin Yūsadaq aur Zarubbābal bin Siyāltiyel kām meṅ lag gae. Yashua ke imām bhāiyoṅ aur Zarubbābal ke bhāiyoṅ ne un kī madad kī. 3 Go wuh mulk meṅ rahne wālī dīgar qaumoṅ se sahme hue the tāham unhoṅ ne qurbāngāh ko us kī purānī buniyād par tāmīr kiyā aur subah-shām us par Rab ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. 4 Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd unhoṅ ne sharīat kī hidāyat ke mutābiq manāī. Us hafte ke har din unhoṅ ne bhasm hone wālī utnī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ jitnī zarūrī thīṅ. 5 Us waqt se imām bhasm hone wālī tamām darkār qurbāniyāṅ bāqāydagī se pesh karne lage, nīz Nae Chāṅd kī Īdoṅ aur Rab kī bāqī maḳhsūs-o-muqaddas īdoṅ kī qurbāniyāṅ. Qaum apnī ḳhushī se bhī Rab ko qurbāniyāṅ pesh kartī thī. 6 Go Rab ke ghar kī buniyād abhī ḍālī nahīṅ gaī thī to bhī Isrāīlī sātweṅ mahīne ke pahle din se Rab ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. 7 Phir unhoṅ ne rājoṅ aur kārīgaroṅ ko paise de kar kām par lagāyā aur Sūr aur Saidā ke bāshindoṅ se deodār kī lakaṛī mangwāī. Yih lakaṛī Lubnān ke pahāṛī ilāqe se samundar tak lāī gaī aur wahāṅ se samundar ke rāste Yāfā pahuṅchāī gaī. Isrāīliyoṅ ne muāwaze meṅ khāne-pīne kī chīzeṅ aur zaitūn kā tel de diyā. Fāras ke bādshāh Ḳhoras ne unheṅ yih karwāne kī ijāzat dī thī. 8 Jilāwatanī se wāpas āne ke dūsre sāl ke dūsre mahīne meṅ Rab ke ghar kī nae sire se tāmīr shurū huī. Is kām meṅ Zarubbābal bin Siyāltiyel, Yashua bin Yūsadaq, dīgar imām aur Lāwī aur watan meṅ wāpas āe hue bāqī tamām Isrāīlī sharīk hue. Tāmīrī kām kī nigarānī un Lāwiyoṅ ke zimme lagā dī gaī jin kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī. 9 Zail ke log mil kar Rab kā ghar banāne wāloṅ kī nigarānī karte the: Yashua apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ samet, Qadmiyel aur us ke beṭe jo Hūdāwiyāh kī aulād the aur Hanadād ke ḳhāndān ke Lāwī. 10 Rab ke ghar kī buniyād rakhte waqt imām apne muqaddas libās pahne hue sāth khaṛe ho gae aur turam bajāne lage. Āsaf ke ḳhāndān ke Lāwī sāth sāth jhāṅjh bajāne aur Rab kī satāish karne lage. Sab kuchh Isrāīl ke bādshāh Dāūd kī hidāyāt ke mutābiq huā. 11 Wuh hamd-o-sanā ke gīt se Rab kī tārīf karne lage, “Wuh bhalā hai, aur Isrāīl par us kī shafqat abadī hai!” Jab hāzirīn ne dekhā ki Rab ke ghar kī buniyād rakhī jā rahī hai to sab Rab kī ḳhushī meṅ zordār nāre lagāne lage. 12 Lekin bahut-se imām, Lāwī aur ḳhāndānī sarparast hāzir the jinhoṅ ne Rab kā pahlā ghar dekhā huā thā. Jab un ke deḳhte deḳhte Rab ke nae ghar kī buniyād rakhī gaī to wuh buland āwāz se rone lage jabki bāqī bahut sāre log ḳhushī ke nāre lagā rahe the. 13 Itnā shor thā ki ḳhushī ke nāroṅ aur rone kī āwāzoṅ meṅ imtiyāz na kiyā jā sakā. Shor dūr dūr tak sunāī diyā.
In Other Versions
Ezra 3 in the ANGEFD
Ezra 3 in the ANTPNG2D
Ezra 3 in the AS21
Ezra 3 in the BAGH
Ezra 3 in the BBPNG
Ezra 3 in the BBT1E
Ezra 3 in the BDS
Ezra 3 in the BEV
Ezra 3 in the BHAD
Ezra 3 in the BIB
Ezra 3 in the BLPT
Ezra 3 in the BNT
Ezra 3 in the BNTABOOT
Ezra 3 in the BNTLV
Ezra 3 in the BOATCB
Ezra 3 in the BOATCB2
Ezra 3 in the BOBCV
Ezra 3 in the BOCNT
Ezra 3 in the BOECS
Ezra 3 in the BOGWICC
Ezra 3 in the BOHCB
Ezra 3 in the BOHCV
Ezra 3 in the BOHLNT
Ezra 3 in the BOHNTLTAL
Ezra 3 in the BOICB
Ezra 3 in the BOILNTAP
Ezra 3 in the BOITCV
Ezra 3 in the BOKCV
Ezra 3 in the BOKCV2
Ezra 3 in the BOKHWOG
Ezra 3 in the BOKSSV
Ezra 3 in the BOLCB
Ezra 3 in the BOLCB2
Ezra 3 in the BOMCV
Ezra 3 in the BONAV
Ezra 3 in the BONCB
Ezra 3 in the BONLT
Ezra 3 in the BONUT2
Ezra 3 in the BOPLNT
Ezra 3 in the BOSCB
Ezra 3 in the BOSNC
Ezra 3 in the BOTLNT
Ezra 3 in the BOVCB
Ezra 3 in the BOYCB
Ezra 3 in the BPBB
Ezra 3 in the BPH
Ezra 3 in the BSB
Ezra 3 in the CCB
Ezra 3 in the CUV
Ezra 3 in the CUVS
Ezra 3 in the DBT
Ezra 3 in the DGDNT
Ezra 3 in the DHNT
Ezra 3 in the DNT
Ezra 3 in the ELBE
Ezra 3 in the EMTV
Ezra 3 in the ESV
Ezra 3 in the FBV
Ezra 3 in the FEB
Ezra 3 in the GGMNT
Ezra 3 in the GNT
Ezra 3 in the HARY
Ezra 3 in the HNT
Ezra 3 in the IRVA
Ezra 3 in the IRVB
Ezra 3 in the IRVG
Ezra 3 in the IRVH
Ezra 3 in the IRVK
Ezra 3 in the IRVM
Ezra 3 in the IRVM2
Ezra 3 in the IRVO
Ezra 3 in the IRVP
Ezra 3 in the IRVT
Ezra 3 in the IRVT2
Ezra 3 in the IRVU
Ezra 3 in the ISVN
Ezra 3 in the JSNT
Ezra 3 in the KAPI
Ezra 3 in the KBT1ETNIK
Ezra 3 in the KBV
Ezra 3 in the KJV
Ezra 3 in the KNFD
Ezra 3 in the LBA
Ezra 3 in the LBLA
Ezra 3 in the LNT
Ezra 3 in the LSV
Ezra 3 in the MAAL
Ezra 3 in the MBV
Ezra 3 in the MBV2
Ezra 3 in the MHNT
Ezra 3 in the MKNFD
Ezra 3 in the MNG
Ezra 3 in the MNT
Ezra 3 in the MNT2
Ezra 3 in the MRS1T
Ezra 3 in the NAA
Ezra 3 in the NASB
Ezra 3 in the NBLA
Ezra 3 in the NBS
Ezra 3 in the NBVTP
Ezra 3 in the NET2
Ezra 3 in the NIV11
Ezra 3 in the NNT
Ezra 3 in the NNT2
Ezra 3 in the NNT3
Ezra 3 in the PDDPT
Ezra 3 in the PFNT
Ezra 3 in the RMNT
Ezra 3 in the SBIAS
Ezra 3 in the SBIBS
Ezra 3 in the SBIBS2
Ezra 3 in the SBICS
Ezra 3 in the SBIDS
Ezra 3 in the SBIGS
Ezra 3 in the SBIHS
Ezra 3 in the SBIIS
Ezra 3 in the SBIIS2
Ezra 3 in the SBIIS3
Ezra 3 in the SBIKS
Ezra 3 in the SBIKS2
Ezra 3 in the SBIMS
Ezra 3 in the SBIOS
Ezra 3 in the SBIPS
Ezra 3 in the SBISS
Ezra 3 in the SBITS
Ezra 3 in the SBITS2
Ezra 3 in the SBITS3
Ezra 3 in the SBITS4
Ezra 3 in the SBIUS
Ezra 3 in the SBIVS
Ezra 3 in the SBT
Ezra 3 in the SBT1E
Ezra 3 in the SCHL
Ezra 3 in the SNT
Ezra 3 in the SUSU
Ezra 3 in the SUSU2
Ezra 3 in the SYNO
Ezra 3 in the TBIAOTANT
Ezra 3 in the TBT1E
Ezra 3 in the TBT1E2
Ezra 3 in the TFTIP
Ezra 3 in the TFTU
Ezra 3 in the TGNTATF3T
Ezra 3 in the THAI
Ezra 3 in the TNFD
Ezra 3 in the TNT
Ezra 3 in the TNTIK
Ezra 3 in the TNTIL
Ezra 3 in the TNTIN
Ezra 3 in the TNTIP
Ezra 3 in the TNTIZ
Ezra 3 in the TOMA
Ezra 3 in the TTENT
Ezra 3 in the UBG
Ezra 3 in the UGV
Ezra 3 in the UGV2
Ezra 3 in the VBL
Ezra 3 in the VDCC
Ezra 3 in the YALU
Ezra 3 in the YAPE
Ezra 3 in the YBVTP
Ezra 3 in the ZBP