Ezra 5 (UGV3)
1 Ek din do nabī banām Hajjī aur Zakariyāh bin Iddū uṭh kar Isrāīl ke Ḳhudā ke nām meṅ jo un ke ūpar thā Yahūdāh aur Yarūshalam ke Yahūdiyoṅ ke sāmne nabuwwat karne lage. 2 Un ke hauslā-afzā alfāz sun kar Zarubbābal bin Siyāltiyel aur Yashua bin Yūsadaq ne faislā kiyā ki ham dubārā Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar kī tāmīr shurū kareṅge. Donoṅ nabī is meṅ un ke sāth the aur un kī madad karte rahe. 3 Lekin jyoṅ hī kām shurū huā to Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī aur Shatar-boznī apne hamḳhidmat afsaroṅ samet Yarūshalam pahuṅche. Unhoṅ ne pūchhā, “Kis ne āp ko yih ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī? 4 Is kām ke lie zimmedār ādmiyoṅ ke nām hameṅ batāeṅ!” 5 Lekin un kā Ḳhudā Yahūdāh ke buzurgoṅ kī nigarānī kar rahā thā, is lie unheṅ rokā na gayā. Kyoṅki logoṅ ne sochā ki pahle Dārā Bādshāh ko ittalā dī jāe. Jab tak wuh faislā na kare us waqt tak kām rokā na jāe. 6 Phir Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī, Shatar-boznī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ne Dārā Bādshāh ko zail kā ḳhat bhejā, 7 “Dārā Bādshāh ko dil kī gahrāiyoṅ se salām kahte haiṅ! 8 Shahanshāh ko ilm ho ki sūbā Yahūdāh meṅ jā kar ham ne dekhā ki wahāṅ azīm Ḳhudā kā ghar banāyā jā rahā hai. Us ke lie baṛe tarāshe hue patthar istemāl ho rahe haiṅ aur dīwāroṅ meṅ shahtīr lagāe jā rahe haiṅ. Log baṛī jāṅfishānī se kām kar rahe haiṅ, aur makān un kī mehnat ke bāis tezī se ban rahā hai. 9 Ham ne buzurgoṅ se pūchhā, ‘Kis ne āp ko yih ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī hai?’ 10 Ham ne un ke nām bhī mālūm kie tāki likh kar āp ko bhej sakeṅ. 11 Unhoṅ ne hameṅ jawāb diyā,‘Ham āsmān-o-zamīn ke Ḳhudā ke ḳhādim haiṅ, aur ham us ghar ko az sar-e-nau tāmīr kar rahe haiṅ jo bahut sāl pahle yahāṅ qāym thā. Isrāīl ke ek azīm bādshāh ne use qadīm zamāne meṅ banā kar takmīl tak pahuṅchāyā thā. 12 Lekin hamāre bāpdādā ne āsmān ke Ḳhudā ko taish dilāyā, aur natīje meṅ us ne unheṅ Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā jis ne Rab ke ghar ko tabāh kar diyā aur qaum ko qaid karke Bābal meṅ basā diyā. 13 Lekin bād meṅ jab Ḳhoras bādshāh ban gayā to us ne apnī hukūmat ke pahle sāl meṅ hukm diyā ki Allāh ke is ghar ko dubārā tāmīr kiyā jāe. 14 Sāth sāth us ne sone-chāṅdī kī wuh chīzeṅ wāpas kar dīṅ jo Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar se lūṭ kar Bābal ke mandir meṅ rakh dī thīṅ. Ḳhoras ne yih chīzeṅ ek ādmī ke sapurd kar dīṅ jis kā nām Shesbazzar thā aur jise us ne Yahūdāh kā gawarnar muqarrar kiyā thā. 15 Us ne use hukm diyā ki sāmān ko Yarūshalam le jāo aur Rab ke ghar ko purānī jagah par az sar-e-nau tāmīr karke yih chīzeṅ us meṅ mahfūz rakho. 16 Tab Shesbazzar ne Yarūshalam ā kar Allāh ke ghar kī buniyād rakhī. Usī waqt se yih imārat zer-e-tāmīr hai, agarche yih āj tak mukammal nahīṅ huī.’ 17 Chunāṅche agar shahanshāh ko manzūr ho to wuh taftīsh kareṅ ki kyā Bābal ke shāhī daftar meṅ koī aisī dastāwez maujūd hai jo is bāt kī tasdīq kare ki Ḳhoras Bādshāh ne Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ko az sar-e-nau tāmīr karne kā hukm diyā. Guzārish hai ki shahanshāh hameṅ apnā faislā pahuṅchā deṅ.”
In Other Versions
Ezra 5 in the ANGEFD
Ezra 5 in the ANTPNG2D
Ezra 5 in the AS21
Ezra 5 in the BAGH
Ezra 5 in the BBPNG
Ezra 5 in the BBT1E
Ezra 5 in the BDS
Ezra 5 in the BEV
Ezra 5 in the BHAD
Ezra 5 in the BIB
Ezra 5 in the BLPT
Ezra 5 in the BNT
Ezra 5 in the BNTABOOT
Ezra 5 in the BNTLV
Ezra 5 in the BOATCB
Ezra 5 in the BOATCB2
Ezra 5 in the BOBCV
Ezra 5 in the BOCNT
Ezra 5 in the BOECS
Ezra 5 in the BOGWICC
Ezra 5 in the BOHCB
Ezra 5 in the BOHCV
Ezra 5 in the BOHLNT
Ezra 5 in the BOHNTLTAL
Ezra 5 in the BOICB
Ezra 5 in the BOILNTAP
Ezra 5 in the BOITCV
Ezra 5 in the BOKCV
Ezra 5 in the BOKCV2
Ezra 5 in the BOKHWOG
Ezra 5 in the BOKSSV
Ezra 5 in the BOLCB
Ezra 5 in the BOLCB2
Ezra 5 in the BOMCV
Ezra 5 in the BONAV
Ezra 5 in the BONCB
Ezra 5 in the BONLT
Ezra 5 in the BONUT2
Ezra 5 in the BOPLNT
Ezra 5 in the BOSCB
Ezra 5 in the BOSNC
Ezra 5 in the BOTLNT
Ezra 5 in the BOVCB
Ezra 5 in the BOYCB
Ezra 5 in the BPBB
Ezra 5 in the BPH
Ezra 5 in the BSB
Ezra 5 in the CCB
Ezra 5 in the CUV
Ezra 5 in the CUVS
Ezra 5 in the DBT
Ezra 5 in the DGDNT
Ezra 5 in the DHNT
Ezra 5 in the DNT
Ezra 5 in the ELBE
Ezra 5 in the EMTV
Ezra 5 in the ESV
Ezra 5 in the FBV
Ezra 5 in the FEB
Ezra 5 in the GGMNT
Ezra 5 in the GNT
Ezra 5 in the HARY
Ezra 5 in the HNT
Ezra 5 in the IRVA
Ezra 5 in the IRVB
Ezra 5 in the IRVG
Ezra 5 in the IRVH
Ezra 5 in the IRVK
Ezra 5 in the IRVM
Ezra 5 in the IRVM2
Ezra 5 in the IRVO
Ezra 5 in the IRVP
Ezra 5 in the IRVT
Ezra 5 in the IRVT2
Ezra 5 in the IRVU
Ezra 5 in the ISVN
Ezra 5 in the JSNT
Ezra 5 in the KAPI
Ezra 5 in the KBT1ETNIK
Ezra 5 in the KBV
Ezra 5 in the KJV
Ezra 5 in the KNFD
Ezra 5 in the LBA
Ezra 5 in the LBLA
Ezra 5 in the LNT
Ezra 5 in the LSV
Ezra 5 in the MAAL
Ezra 5 in the MBV
Ezra 5 in the MBV2
Ezra 5 in the MHNT
Ezra 5 in the MKNFD
Ezra 5 in the MNG
Ezra 5 in the MNT
Ezra 5 in the MNT2
Ezra 5 in the MRS1T
Ezra 5 in the NAA
Ezra 5 in the NASB
Ezra 5 in the NBLA
Ezra 5 in the NBS
Ezra 5 in the NBVTP
Ezra 5 in the NET2
Ezra 5 in the NIV11
Ezra 5 in the NNT
Ezra 5 in the NNT2
Ezra 5 in the NNT3
Ezra 5 in the PDDPT
Ezra 5 in the PFNT
Ezra 5 in the RMNT
Ezra 5 in the SBIAS
Ezra 5 in the SBIBS
Ezra 5 in the SBIBS2
Ezra 5 in the SBICS
Ezra 5 in the SBIDS
Ezra 5 in the SBIGS
Ezra 5 in the SBIHS
Ezra 5 in the SBIIS
Ezra 5 in the SBIIS2
Ezra 5 in the SBIIS3
Ezra 5 in the SBIKS
Ezra 5 in the SBIKS2
Ezra 5 in the SBIMS
Ezra 5 in the SBIOS
Ezra 5 in the SBIPS
Ezra 5 in the SBISS
Ezra 5 in the SBITS
Ezra 5 in the SBITS2
Ezra 5 in the SBITS3
Ezra 5 in the SBITS4
Ezra 5 in the SBIUS
Ezra 5 in the SBIVS
Ezra 5 in the SBT
Ezra 5 in the SBT1E
Ezra 5 in the SCHL
Ezra 5 in the SNT
Ezra 5 in the SUSU
Ezra 5 in the SUSU2
Ezra 5 in the SYNO
Ezra 5 in the TBIAOTANT
Ezra 5 in the TBT1E
Ezra 5 in the TBT1E2
Ezra 5 in the TFTIP
Ezra 5 in the TFTU
Ezra 5 in the TGNTATF3T
Ezra 5 in the THAI
Ezra 5 in the TNFD
Ezra 5 in the TNT
Ezra 5 in the TNTIK
Ezra 5 in the TNTIL
Ezra 5 in the TNTIN
Ezra 5 in the TNTIP
Ezra 5 in the TNTIZ
Ezra 5 in the TOMA
Ezra 5 in the TTENT
Ezra 5 in the UBG
Ezra 5 in the UGV
Ezra 5 in the UGV2
Ezra 5 in the VBL
Ezra 5 in the VDCC
Ezra 5 in the YALU
Ezra 5 in the YAPE
Ezra 5 in the YBVTP
Ezra 5 in the ZBP