Genesis 25 (UGV3)
1 Ibrāhīm ne ek aur shādī kī. Naī bīwī kā nām Qatūrā thā. 2 Qatūrā ke chhih beṭe paidā hue, Zimrān, Yuqsān, Midān, Midiyān, Isbāq aur Sūḳh. 3 Yuqsān ke do beṭe the, Sabā aur Dadān. Asūrī, Latūsī aur Lūmī Dadān kī aulād haiṅ. 4 Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Yih sab Qatūrā kī aulād the. 5 Ibrāhīm ne apnī sārī milkiyat Is'hāq ko de dī. 6 Apnī maut se pahle us ne apnī dūsrī bīwiyoṅ ke beṭoṅ ko tohfe de kar apne beṭe se dūr mashriq kī taraf bhej diyā. 7 7-8 Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā. 9 9-10 Us ke beṭoṅ Is'hāq aur Ismāīl ne use Makfīlā ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī ġhār thā jise khet samet Hittī ādmī Ifron bin Suhar se ḳharīdā gayā thā. Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā donoṅ ko us meṅ dafn kiyā gayā. 11 Ibrāhīm kī wafāt ke bād Allāh ne Is'hāq ko barkat dī. Us waqt Is'hāq Bair-lahī-roī ke qarīb ābād thā. 12 Ibrāhīm kā beṭā Ismāīl jo Sārā kī Misrī launḍī Hājirā ke hāṅ paidā huā us kā nasabnāmā yih hai. 13 Ismāīl ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak yih haiṅ: Nabāyot, Qīdār, Adbiyel, Mibsām, 14 Mishmā, Dūmā, Massā, 15 Hadad, Taimā, Yatūr, Nafīs aur Qidmā. 16 Yih beṭe bārah qabīloṅ ke bānī ban gae. Aur jahāṅ jahāṅ wuh ābād hue un jaghoṅ kā wuhī nām paṛ gayā. 17 Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā. 18 Us kī aulād us ilāqe meṅ ābād thī jo Hawīlā aur Shūr ke darmiyān hai aur jo Misr ke mashriq meṅ Asūr kī taraf hai. Yoṅ Ismāīl apne tamām bhāiyoṅ ke sāmne hī ābād huā. 19 Yih Ibrāhīm ke beṭe Is'hāq kā bayān hai. 20 Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.) 21 Ribqā ke bachche paidā na hue. Lekin Is'hāq ne apnī bīwī ke lie duā kī to Rab ne us kī sunī, aur Ribqā ummīd se huī. 22 Us ke peṭ meṅ bachche ek dūsre se zorāzmāī karne lage to wuh Rab se pūchhne gaī, “Agar yih merī hālat rahegī to phir maiṅ yahāṅ tak kyoṅ pahuṅch gaī hūṅ?” 23 Rab ne us se kahā, “Tere andar do qaumeṅ haiṅ. Wuh tujh se nikal kar ek dūsrī se alag alag ho jāeṅgī. Un meṅ se ek zyādā tāqatwar hogī, aur baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.” 24 Paidāish kā waqt ā gayā to juṛwāṅ beṭe paidā hue. 25 Pahlā bachchā niklā to surḳh-sā thā, aur aisā lag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kā koṭ hī pahne hue hai. Is lie us kā nām Esau yānī ‘Bāloṅ Wālā’ rakhā gayā. 26 Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā. 27 Laṛke jawān hue. Esau māhir shikārī ban gayā aur khule maidān meṅ ḳhush rahtā thā. Us ke muqābale meṅ Yāqūb shāystā thā aur ḍere meṅ rahnā pasand kartā thā. 28 Is'hāq Esau ko pyār kartā thā, kyoṅki wuh shikār kā gosht pasand kartā thā. Lekin Ribqā Yāqūb ko pyār kartī thī. 29 Ek din Yāqūb sālan pakā rahā thā ki Esau thakāhārā jangal se āyā. 30 Us ne kahā, “Mujhe jaldī se lāl sālan, hāṅ isī lāl sālan se kuchh khāne ko do. Maiṅ to bedam ho rahā hūṅ.” (Isī lie bād meṅ us kā nām Adom yānī Surḳh paṛ gayā.) 31 Yāqūb ne kahā, “Pahle mujhe pahlauṭhe kā haq bech do.” 32 Esau ne kahā, “Maiṅ to bhūk se mar rahā hūṅ, pahlauṭhe kā haq mere kis kām kā?” 33 Yāqūb ne kahā, “Pahle qasam khā kar mujhe yih haq bech do.” Esau ne qasam khā kar use pahlauṭhe kā haq muntaqil kar diyā. 34 Tab Yāqūb ne use kuchh roṭī aur dāl de dī, aur Esau ne khāyā aur piyā. Phir wuh uṭh kar chalā gayā. Yoṅ us ne pahlauṭhe ke haq ko haqīr jānā.
In Other Versions
Genesis 25 in the ANGEFD
Genesis 25 in the ANTPNG2D
Genesis 25 in the AS21
Genesis 25 in the BAGH
Genesis 25 in the BBPNG
Genesis 25 in the BBT1E
Genesis 25 in the BDS
Genesis 25 in the BEV
Genesis 25 in the BHAD
Genesis 25 in the BIB
Genesis 25 in the BLPT
Genesis 25 in the BNT
Genesis 25 in the BNTABOOT
Genesis 25 in the BNTLV
Genesis 25 in the BOATCB
Genesis 25 in the BOATCB2
Genesis 25 in the BOBCV
Genesis 25 in the BOCNT
Genesis 25 in the BOECS
Genesis 25 in the BOGWICC
Genesis 25 in the BOHCB
Genesis 25 in the BOHCV
Genesis 25 in the BOHLNT
Genesis 25 in the BOHNTLTAL
Genesis 25 in the BOICB
Genesis 25 in the BOILNTAP
Genesis 25 in the BOITCV
Genesis 25 in the BOKCV
Genesis 25 in the BOKCV2
Genesis 25 in the BOKHWOG
Genesis 25 in the BOKSSV
Genesis 25 in the BOLCB
Genesis 25 in the BOLCB2
Genesis 25 in the BOMCV
Genesis 25 in the BONAV
Genesis 25 in the BONCB
Genesis 25 in the BONLT
Genesis 25 in the BONUT2
Genesis 25 in the BOPLNT
Genesis 25 in the BOSCB
Genesis 25 in the BOSNC
Genesis 25 in the BOTLNT
Genesis 25 in the BOVCB
Genesis 25 in the BOYCB
Genesis 25 in the BPBB
Genesis 25 in the BPH
Genesis 25 in the BSB
Genesis 25 in the CCB
Genesis 25 in the CUV
Genesis 25 in the CUVS
Genesis 25 in the DBT
Genesis 25 in the DGDNT
Genesis 25 in the DHNT
Genesis 25 in the DNT
Genesis 25 in the ELBE
Genesis 25 in the EMTV
Genesis 25 in the ESV
Genesis 25 in the FBV
Genesis 25 in the FEB
Genesis 25 in the GGMNT
Genesis 25 in the GNT
Genesis 25 in the HARY
Genesis 25 in the HNT
Genesis 25 in the IRVA
Genesis 25 in the IRVB
Genesis 25 in the IRVG
Genesis 25 in the IRVH
Genesis 25 in the IRVK
Genesis 25 in the IRVM
Genesis 25 in the IRVM2
Genesis 25 in the IRVO
Genesis 25 in the IRVP
Genesis 25 in the IRVT
Genesis 25 in the IRVT2
Genesis 25 in the IRVU
Genesis 25 in the ISVN
Genesis 25 in the JSNT
Genesis 25 in the KAPI
Genesis 25 in the KBT1ETNIK
Genesis 25 in the KBV
Genesis 25 in the KJV
Genesis 25 in the KNFD
Genesis 25 in the LBA
Genesis 25 in the LBLA
Genesis 25 in the LNT
Genesis 25 in the LSV
Genesis 25 in the MAAL
Genesis 25 in the MBV
Genesis 25 in the MBV2
Genesis 25 in the MHNT
Genesis 25 in the MKNFD
Genesis 25 in the MNG
Genesis 25 in the MNT
Genesis 25 in the MNT2
Genesis 25 in the MRS1T
Genesis 25 in the NAA
Genesis 25 in the NASB
Genesis 25 in the NBLA
Genesis 25 in the NBS
Genesis 25 in the NBVTP
Genesis 25 in the NET2
Genesis 25 in the NIV11
Genesis 25 in the NNT
Genesis 25 in the NNT2
Genesis 25 in the NNT3
Genesis 25 in the PDDPT
Genesis 25 in the PFNT
Genesis 25 in the RMNT
Genesis 25 in the SBIAS
Genesis 25 in the SBIBS
Genesis 25 in the SBIBS2
Genesis 25 in the SBICS
Genesis 25 in the SBIDS
Genesis 25 in the SBIGS
Genesis 25 in the SBIHS
Genesis 25 in the SBIIS
Genesis 25 in the SBIIS2
Genesis 25 in the SBIIS3
Genesis 25 in the SBIKS
Genesis 25 in the SBIKS2
Genesis 25 in the SBIMS
Genesis 25 in the SBIOS
Genesis 25 in the SBIPS
Genesis 25 in the SBISS
Genesis 25 in the SBITS
Genesis 25 in the SBITS2
Genesis 25 in the SBITS3
Genesis 25 in the SBITS4
Genesis 25 in the SBIUS
Genesis 25 in the SBIVS
Genesis 25 in the SBT
Genesis 25 in the SBT1E
Genesis 25 in the SCHL
Genesis 25 in the SNT
Genesis 25 in the SUSU
Genesis 25 in the SUSU2
Genesis 25 in the SYNO
Genesis 25 in the TBIAOTANT
Genesis 25 in the TBT1E
Genesis 25 in the TBT1E2
Genesis 25 in the TFTIP
Genesis 25 in the TFTU
Genesis 25 in the TGNTATF3T
Genesis 25 in the THAI
Genesis 25 in the TNFD
Genesis 25 in the TNT
Genesis 25 in the TNTIK
Genesis 25 in the TNTIL
Genesis 25 in the TNTIN
Genesis 25 in the TNTIP
Genesis 25 in the TNTIZ
Genesis 25 in the TOMA
Genesis 25 in the TTENT
Genesis 25 in the UBG
Genesis 25 in the UGV
Genesis 25 in the UGV2
Genesis 25 in the VBL
Genesis 25 in the VDCC
Genesis 25 in the YALU
Genesis 25 in the YAPE
Genesis 25 in the YBVTP
Genesis 25 in the ZBP