Genesis 4 (UGV3)
1 Ādam Hawwā se hambistar huā to un kā pahlā beṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.” 2 Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā. 3 Kuchh der ke bād Qābīl ne Rab ko apnī fasloṅ meṅ se kuchh pesh kiyā. 4 Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā, 5 magar Qābīl kā nazarānā manzūr na huā. Yih dekh kar Qābīl baṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kā muṅh bigaṛ gayā. 6 Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai? 7 Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.” 8 Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham bāhar khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā. 9 Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” 10 Rab ne kahā, “Tū ne kyā kiyā hai? Tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅ se pukār kar mujh se fariyād kar rahā hai. 11 Is lie tujh par lānat hai aur zamīn ne tujhe radd kiyā hai, kyoṅki zamīn ko muṅh khol kar tere hāth se qatl kie hue bhāī kā ḳhūn pīnā paṛā. 12 Ab se jab tū khetībāṛī karegā to zamīn apnī paidāwār dene se inkār karegī. Tū mafrūr ho kar mārā mārā phiregā.” 13 Qābīl ne kahā, “Merī sazā nihāyat saḳht hai. Maiṅ ise bardāsht nahīṅ kar pāūṅgā. 14 Āj tū mujhe zamīn kī satah se bhagā rahā hai aur mujhe tere huzūr se bhī chhup jānā hai. Maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārā mārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhī patā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuh mujhe qatl kar ḍālegā.” 15 Lekin Rab ne us se kahā, “Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de. 16 Is ke bād Qābīl Rab ke huzūr se chalā gayā aur Adan ke mashriq kī taraf Nod ke ilāqe meṅ jā basā. 17 Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā. 18 Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā. 19 Lamak kī do bīwiyāṅ thīṅ, Adā aur Zillā. 20 Adā kā beṭā Yābal thā. Us kī nasl ke log ḳhaimoṅ meṅ rahte aur maweshī pālte the. 21 Yābal kā bhāī Yūbal thā. Us kī nasl ke log sarod aur bāṅsrī bajāte the. 22 Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. 23 Ek din Lamak ne apnī bīwiyoṅ se kahā, “Adā aur Zillā, merī bāt suno! Lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaur karo! 24 Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.” 25 Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl kī jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.” 26 Set ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Anūs rakhā.Un dinoṅ meṅ log Rab kā nām le kar ibādat karne lage.
In Other Versions
Genesis 4 in the ANGEFD
Genesis 4 in the ANTPNG2D
Genesis 4 in the AS21
Genesis 4 in the BAGH
Genesis 4 in the BBPNG
Genesis 4 in the BBT1E
Genesis 4 in the BDS
Genesis 4 in the BEV
Genesis 4 in the BHAD
Genesis 4 in the BIB
Genesis 4 in the BLPT
Genesis 4 in the BNT
Genesis 4 in the BNTABOOT
Genesis 4 in the BNTLV
Genesis 4 in the BOATCB
Genesis 4 in the BOATCB2
Genesis 4 in the BOBCV
Genesis 4 in the BOCNT
Genesis 4 in the BOECS
Genesis 4 in the BOGWICC
Genesis 4 in the BOHCB
Genesis 4 in the BOHCV
Genesis 4 in the BOHLNT
Genesis 4 in the BOHNTLTAL
Genesis 4 in the BOICB
Genesis 4 in the BOILNTAP
Genesis 4 in the BOITCV
Genesis 4 in the BOKCV
Genesis 4 in the BOKCV2
Genesis 4 in the BOKHWOG
Genesis 4 in the BOKSSV
Genesis 4 in the BOLCB
Genesis 4 in the BOLCB2
Genesis 4 in the BOMCV
Genesis 4 in the BONAV
Genesis 4 in the BONCB
Genesis 4 in the BONLT
Genesis 4 in the BONUT2
Genesis 4 in the BOPLNT
Genesis 4 in the BOSCB
Genesis 4 in the BOSNC
Genesis 4 in the BOTLNT
Genesis 4 in the BOVCB
Genesis 4 in the BOYCB
Genesis 4 in the BPBB
Genesis 4 in the BPH
Genesis 4 in the BSB
Genesis 4 in the CCB
Genesis 4 in the CUV
Genesis 4 in the CUVS
Genesis 4 in the DBT
Genesis 4 in the DGDNT
Genesis 4 in the DHNT
Genesis 4 in the DNT
Genesis 4 in the ELBE
Genesis 4 in the EMTV
Genesis 4 in the ESV
Genesis 4 in the FBV
Genesis 4 in the FEB
Genesis 4 in the GGMNT
Genesis 4 in the GNT
Genesis 4 in the HARY
Genesis 4 in the HNT
Genesis 4 in the IRVA
Genesis 4 in the IRVB
Genesis 4 in the IRVG
Genesis 4 in the IRVH
Genesis 4 in the IRVK
Genesis 4 in the IRVM
Genesis 4 in the IRVM2
Genesis 4 in the IRVO
Genesis 4 in the IRVP
Genesis 4 in the IRVT
Genesis 4 in the IRVT2
Genesis 4 in the IRVU
Genesis 4 in the ISVN
Genesis 4 in the JSNT
Genesis 4 in the KAPI
Genesis 4 in the KBT1ETNIK
Genesis 4 in the KBV
Genesis 4 in the KJV
Genesis 4 in the KNFD
Genesis 4 in the LBA
Genesis 4 in the LBLA
Genesis 4 in the LNT
Genesis 4 in the LSV
Genesis 4 in the MAAL
Genesis 4 in the MBV
Genesis 4 in the MBV2
Genesis 4 in the MHNT
Genesis 4 in the MKNFD
Genesis 4 in the MNG
Genesis 4 in the MNT
Genesis 4 in the MNT2
Genesis 4 in the MRS1T
Genesis 4 in the NAA
Genesis 4 in the NASB
Genesis 4 in the NBLA
Genesis 4 in the NBS
Genesis 4 in the NBVTP
Genesis 4 in the NET2
Genesis 4 in the NIV11
Genesis 4 in the NNT
Genesis 4 in the NNT2
Genesis 4 in the NNT3
Genesis 4 in the PDDPT
Genesis 4 in the PFNT
Genesis 4 in the RMNT
Genesis 4 in the SBIAS
Genesis 4 in the SBIBS
Genesis 4 in the SBIBS2
Genesis 4 in the SBICS
Genesis 4 in the SBIDS
Genesis 4 in the SBIGS
Genesis 4 in the SBIHS
Genesis 4 in the SBIIS
Genesis 4 in the SBIIS2
Genesis 4 in the SBIIS3
Genesis 4 in the SBIKS
Genesis 4 in the SBIKS2
Genesis 4 in the SBIMS
Genesis 4 in the SBIOS
Genesis 4 in the SBIPS
Genesis 4 in the SBISS
Genesis 4 in the SBITS
Genesis 4 in the SBITS2
Genesis 4 in the SBITS3
Genesis 4 in the SBITS4
Genesis 4 in the SBIUS
Genesis 4 in the SBIVS
Genesis 4 in the SBT
Genesis 4 in the SBT1E
Genesis 4 in the SCHL
Genesis 4 in the SNT
Genesis 4 in the SUSU
Genesis 4 in the SUSU2
Genesis 4 in the SYNO
Genesis 4 in the TBIAOTANT
Genesis 4 in the TBT1E
Genesis 4 in the TBT1E2
Genesis 4 in the TFTIP
Genesis 4 in the TFTU
Genesis 4 in the TGNTATF3T
Genesis 4 in the THAI
Genesis 4 in the TNFD
Genesis 4 in the TNT
Genesis 4 in the TNTIK
Genesis 4 in the TNTIL
Genesis 4 in the TNTIN
Genesis 4 in the TNTIP
Genesis 4 in the TNTIZ
Genesis 4 in the TOMA
Genesis 4 in the TTENT
Genesis 4 in the UBG
Genesis 4 in the UGV
Genesis 4 in the UGV2
Genesis 4 in the VBL
Genesis 4 in the VDCC
Genesis 4 in the YALU
Genesis 4 in the YAPE
Genesis 4 in the YBVTP
Genesis 4 in the ZBP