Haggai 1 (UGV3)
1 Fāras ke bādshāh Dārā kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Hajjī Nabī par Rab kā kalām nāzil huā. Chhaṭe mahīne kā pahlā din thā. Kalām meṅ Allāh Yahūdāh ke gawarnar Zarubbābal bin Siyāltiyel aur imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq se muḳhātib huā. 2 2-3 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Yih qaum kahtī hai, ‘Abhī Rab ke ghar ko dubārā tāmīr karne kā waqt nahīṅ āyā.’ 4 Kyā yih ṭhīk hai ki tum ḳhud lakaṛī se saje hue gharoṅ meṅ rahte ho jabki merā ghar ab tak malbe kā ḍher hai?” 5 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Apne hāl par ġhaur karo. 6 Tum ne bahut bīj boyā lekin kam fasal kāṭī hai. Tum khānā to khāte ho lekin bhūke rahte ho, pānī to pīte ho lekin pyāse rahte ho, kapṛe to pahante ho lekin sardī lagtī hai. Aur jab koī paise kamā kar unheṅ apne baṭwe meṅ ḍāltā hai to us meṅ sūrāḳh haiṅ.” 7 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Apne hāl par dhyān de kar us kā sahīh natījā nikālo! 8 Pahāṛoṅ par chaṛh kar lakaṛī le āo aur Rab ke ghar kī tāmīr shurū karo. Aisā hī rawaiyā mujhe pasand hogā, aur is tarah hī tum mujhe jalāl doge.” Yih Rab kā farmān hai. 9 “Dekho, tum ne bahut barkat pāne kī tawaqqo kī, lekin kyā huā? Kam hī hāsil huā. Aur jo kuchh tum apne ghar wāpas lāe use maiṅ ne hawā meṅ uṛā diyā. Kyoṅ ? Maiṅ, Rabbul-afwāj tumheṅ is kī asal wajah batātā hūṅ. Merā ghar ab tak malbe kā ḍher hai jabki tum meṅ se har ek apnā apnā ghar mazbūt karne ke lie bhāg-dauṛ kar rahā hai. 10 Isī lie āsmān ne tumheṅ os se aur zamīn ne tumheṅ fasloṅ se mahrūm kar rakhā hai. 11 Isī lie maiṅ ne hukm diyā ki khetoṅ meṅ aur pahāṛoṅ par kāl paṛe, ki mulk kā anāj, angūr, zaitūn balki zamīn kī har paidāwār us kī lapeṭ meṅ ā jāe. Insān-o-haiwān us kī zad meṅ ā gae haiṅ, aur tumhārī mehnat-mashaqqat zāe ho rahī hai.” 12 Tab Zarubbābal bin Siyāltiyel, imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq aur qaum ke pūre bache hue hisse ne Rab apne Ḳhudā kī sunī. Jo bhī bāt Rab un ke Ḳhudā ne Hajjī Nabī ko sunāne ko kahā thā use unhoṅ ne mān liyā. Rab kā ḳhauf pūrī qaum par tārī huā. 13 Tab Rab ne apne paiġhambar Hajjī kī mārifat unheṅ yih paiġhām diyā, “Rab farmātā hai, maiṅ tumhāre sāth hūṅ.” 14 14-15 Yoṅ Rab ne Yahūdāh ke gawarnar Zarubbābal bin Siyāltiyel, imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq aur qaum ke bache hue hisse ko Rab ke ghar kī tāmīr karne kī tahrīk dī. Dārā Bādshāh kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ wuh ā kar Rabbul-afwāj apne Ḳhudā ke ghar par kām karne lage. Chhaṭe mahīne kā 24wāṅ din thā.
In Other Versions
Haggai 1 in the ANGEFD
Haggai 1 in the ANTPNG2D
Haggai 1 in the AS21
Haggai 1 in the BAGH
Haggai 1 in the BBPNG
Haggai 1 in the BBT1E
Haggai 1 in the BDS
Haggai 1 in the BEV
Haggai 1 in the BHAD
Haggai 1 in the BIB
Haggai 1 in the BLPT
Haggai 1 in the BNT
Haggai 1 in the BNTABOOT
Haggai 1 in the BNTLV
Haggai 1 in the BOATCB
Haggai 1 in the BOATCB2
Haggai 1 in the BOBCV
Haggai 1 in the BOCNT
Haggai 1 in the BOECS
Haggai 1 in the BOGWICC
Haggai 1 in the BOHCB
Haggai 1 in the BOHCV
Haggai 1 in the BOHLNT
Haggai 1 in the BOHNTLTAL
Haggai 1 in the BOICB
Haggai 1 in the BOILNTAP
Haggai 1 in the BOITCV
Haggai 1 in the BOKCV
Haggai 1 in the BOKCV2
Haggai 1 in the BOKHWOG
Haggai 1 in the BOKSSV
Haggai 1 in the BOLCB
Haggai 1 in the BOLCB2
Haggai 1 in the BOMCV
Haggai 1 in the BONAV
Haggai 1 in the BONCB
Haggai 1 in the BONLT
Haggai 1 in the BONUT2
Haggai 1 in the BOPLNT
Haggai 1 in the BOSCB
Haggai 1 in the BOSNC
Haggai 1 in the BOTLNT
Haggai 1 in the BOVCB
Haggai 1 in the BOYCB
Haggai 1 in the BPBB
Haggai 1 in the BPH
Haggai 1 in the BSB
Haggai 1 in the CCB
Haggai 1 in the CUV
Haggai 1 in the CUVS
Haggai 1 in the DBT
Haggai 1 in the DGDNT
Haggai 1 in the DHNT
Haggai 1 in the DNT
Haggai 1 in the ELBE
Haggai 1 in the EMTV
Haggai 1 in the ESV
Haggai 1 in the FBV
Haggai 1 in the FEB
Haggai 1 in the GGMNT
Haggai 1 in the GNT
Haggai 1 in the HARY
Haggai 1 in the HNT
Haggai 1 in the IRVA
Haggai 1 in the IRVB
Haggai 1 in the IRVG
Haggai 1 in the IRVH
Haggai 1 in the IRVK
Haggai 1 in the IRVM
Haggai 1 in the IRVM2
Haggai 1 in the IRVO
Haggai 1 in the IRVP
Haggai 1 in the IRVT
Haggai 1 in the IRVT2
Haggai 1 in the IRVU
Haggai 1 in the ISVN
Haggai 1 in the JSNT
Haggai 1 in the KAPI
Haggai 1 in the KBT1ETNIK
Haggai 1 in the KBV
Haggai 1 in the KJV
Haggai 1 in the KNFD
Haggai 1 in the LBA
Haggai 1 in the LBLA
Haggai 1 in the LNT
Haggai 1 in the LSV
Haggai 1 in the MAAL
Haggai 1 in the MBV
Haggai 1 in the MBV2
Haggai 1 in the MHNT
Haggai 1 in the MKNFD
Haggai 1 in the MNG
Haggai 1 in the MNT
Haggai 1 in the MNT2
Haggai 1 in the MRS1T
Haggai 1 in the NAA
Haggai 1 in the NASB
Haggai 1 in the NBLA
Haggai 1 in the NBS
Haggai 1 in the NBVTP
Haggai 1 in the NET2
Haggai 1 in the NIV11
Haggai 1 in the NNT
Haggai 1 in the NNT2
Haggai 1 in the NNT3
Haggai 1 in the PDDPT
Haggai 1 in the PFNT
Haggai 1 in the RMNT
Haggai 1 in the SBIAS
Haggai 1 in the SBIBS
Haggai 1 in the SBIBS2
Haggai 1 in the SBICS
Haggai 1 in the SBIDS
Haggai 1 in the SBIGS
Haggai 1 in the SBIHS
Haggai 1 in the SBIIS
Haggai 1 in the SBIIS2
Haggai 1 in the SBIIS3
Haggai 1 in the SBIKS
Haggai 1 in the SBIKS2
Haggai 1 in the SBIMS
Haggai 1 in the SBIOS
Haggai 1 in the SBIPS
Haggai 1 in the SBISS
Haggai 1 in the SBITS
Haggai 1 in the SBITS2
Haggai 1 in the SBITS3
Haggai 1 in the SBITS4
Haggai 1 in the SBIUS
Haggai 1 in the SBIVS
Haggai 1 in the SBT
Haggai 1 in the SBT1E
Haggai 1 in the SCHL
Haggai 1 in the SNT
Haggai 1 in the SUSU
Haggai 1 in the SUSU2
Haggai 1 in the SYNO
Haggai 1 in the TBIAOTANT
Haggai 1 in the TBT1E
Haggai 1 in the TBT1E2
Haggai 1 in the TFTIP
Haggai 1 in the TFTU
Haggai 1 in the TGNTATF3T
Haggai 1 in the THAI
Haggai 1 in the TNFD
Haggai 1 in the TNT
Haggai 1 in the TNTIK
Haggai 1 in the TNTIL
Haggai 1 in the TNTIN
Haggai 1 in the TNTIP
Haggai 1 in the TNTIZ
Haggai 1 in the TOMA
Haggai 1 in the TTENT
Haggai 1 in the UBG
Haggai 1 in the UGV
Haggai 1 in the UGV2
Haggai 1 in the VBL
Haggai 1 in the VDCC
Haggai 1 in the YALU
Haggai 1 in the YAPE
Haggai 1 in the YBVTP
Haggai 1 in the ZBP