Hebrews 9 (UGV3)

1 Jab pahlā ahd bāndhā gayā to ibādat karne ke lie hidāyāt dī gaīṅ. Zamīn par ek maqdis bhī banāyā gayā, 2 ek ḳhaimā jis ke pahle kamre meṅ shamādān, mez aur us par paṛī maḳhsūs kī gaī roṭiyāṅ thīṅ. Us kā nām “Muqaddas Kamrā” thā. 3 Us ke pīchhe ek aur kamrā thā jis kā nām “Muqaddastarīn Kamrā” thā. Pahle aur dūsre kamre ke darmiyān wāqe darwāze par pardā lagā thā. 4 Is pichhle kamre meṅ baḳhūr jalāne ke lie sone kī qurbāngāh aur ahd kā sandūq thā. Ahd ke sandūq par sonā manḍhā huā thā aur us meṅ tīn chīzeṅ thīṅ: sone kā martabān jis meṅ man bharā thā, Hārūn kā wuh asā jis se koṅpleṅ phūṭ niklī thīṅ aur patthar kī wuh do taḳhtiyāṅ jin par ahd ke ahkām likhe the. 5 Sandūq par ilāhī jalāl ke do karūbī farishte lage the jo sandūq ke ḍhakne ko sāyā dete the jis kā nām “Kaffārā kā ḍhaknā” thā. Lekin is jagah par ham sab kuchh mazīd tafsīl se bayān nahīṅ karnā chāhte. 6 Yih chīzeṅ isī tartīb se rakhī jātī haiṅ. Jab imām apnī ḳhidmat ke farāyz adā karte haiṅ to bāqāydagī se pahle kamre meṅ jāte haiṅ. 7 Lekin sirf imām-e-āzam hī dūsre kamre meṅ dāḳhil hotā hai, aur wuh bhī sāl meṅ sirf ek dafā. Jab bhī wuh jātā hai wuh apne sāth ḳhūn le kar jātā hai jise wuh apne aur qaum ke lie pesh kartā hai tāki wuh gunāh miṭ jāeṅ jo logoṅ ne ġhairirādī taur par kie hote haiṅ. 8 Is se Rūhul-quds dikhātā hai ki Muqaddastarīn Kamre tak rasāī us waqt tak zāhir nahīṅ kī gaī thī jab tak pahlā kamrā istemāl meṅ thā. 9 Yih majāzan maujūdā zamāne kī taraf ishārā hai. Is kā matlab yih hai ki jo nazarāne aur qurbāniyāṅ pesh kī jā rahī haiṅ wuh parastār ke zamīr ko pāk-sāf karke kāmil nahīṅ banā saktīṅ. 10 Kyoṅki in kā tālluq sirf khāne-pīne wālī chīzoṅ aur ġhusl kī muḳhtalif rasmoṅ se hotā hai, aisī zāhirī hidāyāt jo sirf nae nizām ke āne tak lāgū haiṅ. 11 Lekin ab Masīh ā chukā hai, un achchhī chīzoṅ kā imām-e-āzam jo ab hāsil huī haiṅ. Jis ḳhaime meṅ wuh ḳhidmat kartā hai wuh kahīṅ zyādā azīm aur kāmil hai. Yih ḳhaimā insānī hāthoṅ se nahīṅ banāyā gayā yānī yih is kāynāt kā hissā nahīṅ hai. 12 Jab Masīh ek bār sadā ke lie ḳhaime ke Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil huā to us ne qurbāniyāṅ pesh karne ke lie bakroṅ aur bachhṛoṅ kā ḳhūn istemāl na kiyā. Is ke bajāe us ne apnā hī ḳhūn pesh kiyā aur yoṅ hamāre lie abadī najāt hāsil kī. 13 Purāne nizām meṅ bail-bakroṅ kā ḳhūn aur jawān gāy kī rākh nāpāk logoṅ par chhiṛke jāte the tāki un ke jism pāk-sāf ho jāeṅ. 14 Agar in chīzoṅ kā yih asar thā to phir Masīh ke ḳhūn kā kyā zabardast asar hogā! Azlī Rūh ke zariye us ne apne āp ko bedāġh qurbānī ke taur par pesh kiyā. Yoṅ us kā ḳhūn hamāre zamīr ko maut tak pahuṅchāne wāle kāmoṅ se pāk-sāf kartā hai tāki ham zindā Ḳhudā kī ḳhidmat kar sakeṅ. 15 Yihī wajah hai ki Masīh ek nae ahd kā darmiyānī hai. Maqsad yih thā ki jitne logoṅ ko Allāh ne bulāyā hai unheṅ Allāh kī mau'ūdā aur abadī mīrās mile. Aur yih sirf is lie mumkin huā hai ki Masīh ne mar kar fidyā diyā tāki log un gunāhoṅ se chhuṭkārā pāeṅ jo un se us waqt sarzad hue jab wuh pahle ahd ke taht the. 16 Jahāṅ wasiyat hai wahāṅ zarūrī hai ki wasiyat karne wāle kī maut kī tasdīq kī jāe. 17 Kyoṅki jab tak wasiyat karne wālā zindā ho wasiyat beasar hotī hai. Is kā asar wasiyat karne wāle kī maut hī se shurū hotā hai. 18 Yihī wajah hai ki pahlā ahd bāndhte waqt bhī ḳhūn istemāl huā. 19 Kyoṅki pūrī qaum ko sharīat kā har hukm sunāne ke bād Mūsā ne bachhṛoṅ kā ḳhūn pānī se milā kar use zūfe ke guchchhe aur qirmizī rang ke dhāge ke zariye Sharīat kī Kitāb aur pūrī qaum par chhiṛkā. 20 Us ne kahā, “Yih ḳhūn us ahd kī tasdīq kartā hai jis kī pairawī karne kā hukm Allāh ne tumheṅ diyā hai.” 21 Isī tarah Mūsā ne yih ḳhūn mulāqāt ke ḳhaime aur ibādat ke tamām sāmān par chhiṛkā. 22 Na sirf yih balki sharīat taqāzā kartī hai ki taqrīban har chīz ko ḳhūn hī se pāk-sāf kiyā jāe balki Allāh ke huzūr ḳhūn pesh kie baġhair muāfī mil hī nahīṅ saktī. 23 Ġharz, lāzim thā ki yih chīzeṅ jo āsmān kī aslī chīzoṅ kī naqlī sūrateṅ haiṅ pāk-sāf kī jāeṅ. Lekin āsmānī chīzeṅ ḳhud aisī qurbāniyoṅ kā mutālabā kartī haiṅ jo in se kahīṅ behtar hoṅ. 24 Kyoṅki Masīh sirf insānī hāthoṅ se bane maqdis meṅ dāḳhil nahīṅ huā jo aslī maqdis kī sirf naqlī sūrat thī balki wuh āsmān meṅ hī dāḳhil huā tāki ab se hamārī ḳhātir Allāh ke sāmne hāzir ho. 25 Duniyā kā imām-e-āzam to sālānā kisī aur (yānī jānwar) kā ḳhūn le kar Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil hotā hai. Lekin Masīh is lie āsmān meṅ dāḳhil na huā ki wuh apne āp ko bār bār qurbānī ke taur par pesh kare. 26 Agar aisā hotā to use duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak bahut dafā dukh sahnā paṛtā. Lekin aisā nahīṅ hai balki ab wuh zamānoṅ ke iḳhtitām par ek hī bār sadā ke lie zāhir huā tāki apne āp ko qurbān karne se gunāh ko dūr kare. 27 Ek bār marnā aur Allāh kī adālat meṅ hāzir honā har insān ke lie muqarrar hai. 28 Isī tarah Masīh ko bhī ek hī bār bahutoṅ ke gunāhoṅ ko uṭhā kar le jāne ke lie qurbān kiyā gayā. Dūsrī bār jab wuh zāhir hogā to gunāhoṅ ko dūr karne ke lie zāhir nahīṅ hogā balki unheṅ najāt dene ke lie jo shiddat se us kā intazār kar rahe haiṅ.

In Other Versions

Hebrews 9 in the ANGEFD

Hebrews 9 in the ANTPNG2D

Hebrews 9 in the AS21

Hebrews 9 in the BAGH

Hebrews 9 in the BBPNG

Hebrews 9 in the BBT1E

Hebrews 9 in the BDS

Hebrews 9 in the BEV

Hebrews 9 in the BHAD

Hebrews 9 in the BIB

Hebrews 9 in the BLPT

Hebrews 9 in the BNT

Hebrews 9 in the BNTABOOT

Hebrews 9 in the BNTLV

Hebrews 9 in the BOATCB

Hebrews 9 in the BOATCB2

Hebrews 9 in the BOBCV

Hebrews 9 in the BOCNT

Hebrews 9 in the BOECS

Hebrews 9 in the BOGWICC

Hebrews 9 in the BOHCB

Hebrews 9 in the BOHCV

Hebrews 9 in the BOHLNT

Hebrews 9 in the BOHNTLTAL

Hebrews 9 in the BOICB

Hebrews 9 in the BOILNTAP

Hebrews 9 in the BOITCV

Hebrews 9 in the BOKCV

Hebrews 9 in the BOKCV2

Hebrews 9 in the BOKHWOG

Hebrews 9 in the BOKSSV

Hebrews 9 in the BOLCB

Hebrews 9 in the BOLCB2

Hebrews 9 in the BOMCV

Hebrews 9 in the BONAV

Hebrews 9 in the BONCB

Hebrews 9 in the BONLT

Hebrews 9 in the BONUT2

Hebrews 9 in the BOPLNT

Hebrews 9 in the BOSCB

Hebrews 9 in the BOSNC

Hebrews 9 in the BOTLNT

Hebrews 9 in the BOVCB

Hebrews 9 in the BOYCB

Hebrews 9 in the BPBB

Hebrews 9 in the BPH

Hebrews 9 in the BSB

Hebrews 9 in the CCB

Hebrews 9 in the CUV

Hebrews 9 in the CUVS

Hebrews 9 in the DBT

Hebrews 9 in the DGDNT

Hebrews 9 in the DHNT

Hebrews 9 in the DNT

Hebrews 9 in the ELBE

Hebrews 9 in the EMTV

Hebrews 9 in the ESV

Hebrews 9 in the FBV

Hebrews 9 in the FEB

Hebrews 9 in the GGMNT

Hebrews 9 in the GNT

Hebrews 9 in the HARY

Hebrews 9 in the HNT

Hebrews 9 in the IRVA

Hebrews 9 in the IRVB

Hebrews 9 in the IRVG

Hebrews 9 in the IRVH

Hebrews 9 in the IRVK

Hebrews 9 in the IRVM

Hebrews 9 in the IRVM2

Hebrews 9 in the IRVO

Hebrews 9 in the IRVP

Hebrews 9 in the IRVT

Hebrews 9 in the IRVT2

Hebrews 9 in the IRVU

Hebrews 9 in the ISVN

Hebrews 9 in the JSNT

Hebrews 9 in the KAPI

Hebrews 9 in the KBT1ETNIK

Hebrews 9 in the KBV

Hebrews 9 in the KJV

Hebrews 9 in the KNFD

Hebrews 9 in the LBA

Hebrews 9 in the LBLA

Hebrews 9 in the LNT

Hebrews 9 in the LSV

Hebrews 9 in the MAAL

Hebrews 9 in the MBV

Hebrews 9 in the MBV2

Hebrews 9 in the MHNT

Hebrews 9 in the MKNFD

Hebrews 9 in the MNG

Hebrews 9 in the MNT

Hebrews 9 in the MNT2

Hebrews 9 in the MRS1T

Hebrews 9 in the NAA

Hebrews 9 in the NASB

Hebrews 9 in the NBLA

Hebrews 9 in the NBS

Hebrews 9 in the NBVTP

Hebrews 9 in the NET2

Hebrews 9 in the NIV11

Hebrews 9 in the NNT

Hebrews 9 in the NNT2

Hebrews 9 in the NNT3

Hebrews 9 in the PDDPT

Hebrews 9 in the PFNT

Hebrews 9 in the RMNT

Hebrews 9 in the SBIAS

Hebrews 9 in the SBIBS

Hebrews 9 in the SBIBS2

Hebrews 9 in the SBICS

Hebrews 9 in the SBIDS

Hebrews 9 in the SBIGS

Hebrews 9 in the SBIHS

Hebrews 9 in the SBIIS

Hebrews 9 in the SBIIS2

Hebrews 9 in the SBIIS3

Hebrews 9 in the SBIKS

Hebrews 9 in the SBIKS2

Hebrews 9 in the SBIMS

Hebrews 9 in the SBIOS

Hebrews 9 in the SBIPS

Hebrews 9 in the SBISS

Hebrews 9 in the SBITS

Hebrews 9 in the SBITS2

Hebrews 9 in the SBITS3

Hebrews 9 in the SBITS4

Hebrews 9 in the SBIUS

Hebrews 9 in the SBIVS

Hebrews 9 in the SBT

Hebrews 9 in the SBT1E

Hebrews 9 in the SCHL

Hebrews 9 in the SNT

Hebrews 9 in the SUSU

Hebrews 9 in the SUSU2

Hebrews 9 in the SYNO

Hebrews 9 in the TBIAOTANT

Hebrews 9 in the TBT1E

Hebrews 9 in the TBT1E2

Hebrews 9 in the TFTIP

Hebrews 9 in the TFTU

Hebrews 9 in the TGNTATF3T

Hebrews 9 in the THAI

Hebrews 9 in the TNFD

Hebrews 9 in the TNT

Hebrews 9 in the TNTIK

Hebrews 9 in the TNTIL

Hebrews 9 in the TNTIN

Hebrews 9 in the TNTIP

Hebrews 9 in the TNTIZ

Hebrews 9 in the TOMA

Hebrews 9 in the TTENT

Hebrews 9 in the UBG

Hebrews 9 in the UGV

Hebrews 9 in the UGV2

Hebrews 9 in the VBL

Hebrews 9 in the VDCC

Hebrews 9 in the YALU

Hebrews 9 in the YAPE

Hebrews 9 in the YBVTP

Hebrews 9 in the ZBP