Jeremiah 40 (UGV3)
1 Āzād hone ke bād bhī Rab kā kalām Yarmiyāh par nāzil huā. Shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ne use Rāmā meṅ rihā kiyā thā. Kyoṅki jab Yarūshalam aur bāqī Yahūdāh ke qaidiyoṅ ko Mulk-e-Bābal meṅ le jāne ke lie jamā kiyā gayā to mālūm huā ki Yarmiyāh bhī zanjīroṅ meṅ jakaṛā huā un meṅ shāmil hai. 2 Tab Nabūzarādān ne Yarmiyāh ko bulā kar us se kahā, “Rab āp ke Ḳhudā ne elān kiyā thā ki is jagah par āfat āegī. 3 Aur ab wuh yih āfat usī tarah hī lāyā jis tarah us ne farmāyā thā. Sab kuchh is lie huā ki āp kī qaum Rab kā gunāh kartī rahī aur us kī na sunī. 4 Lekin āj maiṅ wuh zanjīreṅ khol detā hūṅ jin se āp ke hāth jakaṛe hue haiṅ. Āp āzād haiṅ. Agar chāheṅ to mere sāth Bābal jāeṅ. Tab maiṅ hī āp kī nigarānī karūṅga. Bāqī āp kī marzī. Agar yihīṅ rahnā pasand kareṅge to yihīṅ raheṅ. Pūre mulk meṅ jahāṅ bhī jānā chāheṅ jāeṅ. Koī āp ko nahīṅ rokegā.” 5 Yarmiyāh ab tak jhijak rahā thā, is lie Nabūzarādān ne kahā, “Phir Jidaliyāh bin Aḳhīqām bin Sāfan ke pās chale jāeṅ! Shāh-e-Bābal ne use sūbā Yahūdāh ke shahroṅ par muqarrar kiyā hai. Us ke sāth raheṅ. Yā phir jahāṅ bhī rahnā pasand kareṅ wahīṅ raheṅ.”Nabūzarādān ne Yarmiyāh ko kuchh ḳhurāk aur ek tohfā de kar use ruḳhsat kar diyā. 6 Jidaliyāh Misfāh meṅ ṭhahrā huā thā. Yarmiyāh us ke pās jā kar mulk ke bache hue logoṅ ke bīch meṅ basne lagā. 7 Dehāt meṅ ab tak Yahūdāh ke kuchh faujī afsar apne dastoṅ samet chhupe rahte the. Jab unheṅ ḳhabar milī ki Shāh-e-Bābal ne Jidaliyāh bin Aḳhīqām ko Yahūdāh kā gawarnar banā kar un ġharīb ādmiyoṅ aur bāl-bachchoṅ par muqarrar kiyā hai jo jilāwatan nahīṅ hue haiṅ 8 to wuh Misfāh meṅ Jidaliyāh ke pās āe. Afsaroṅ ke nām Ismāīl bin Nataniyāh, Qarīh ke beṭe Yūhanān aur Yūnatan, Sirāyāh bin Tanhūmat, Īphī Natūfātī ke beṭe aur Yāzaniyāh bin Mākātī the. Un ke faujī bhī sāth āe. 9 Jidaliyāh bin Aḳhīqām bin Sāfan ne qasam khā kar un se wādā kiyā, “Bābal ke tābe ho jāne se mat ḍarnā! Mulk meṅ ābād ho kar Shāh-e-Bābal kī ḳhidmat kareṅ to āp kī salāmatī hogī. 10 Maiṅ ḳhud Misfāh meṅ ṭhahar kar āp kī sifārish karūṅga jab Bābal ke numāinde āeṅge. Itne meṅ angūr, mausam-e-garmā kā phal aur zaitūn kī fasleṅ jamā karke apne bartanoṅ meṅ mahfūz rakheṅ. Un shahroṅ meṅ ābād raheṅ jin par āp ne qabzā kar liyā hai.” 11 Yahūdāh ke muta'addid bāshinde Moāb, Ammon, Adom aur dīgar paṛosī mamālik meṅ hijrat kar gae the. Ab jab unheṅ ittalā milī ki Shāh-e-Bābal ne kuchh bache hue logoṅ ko Yahūdāh meṅ chhoṛ kar Jidaliyāh bin Aḳhīqām bin Sāfan ko gawarnar banā diyā hai 12 to wuh sab Yahūdāh meṅ wāpas āe. Jin mamālik meṅ bhī wuh muntashir hue the wahāṅ se wuh Misfāh āe tāki Jidaliyāh se mileṅ. Us mausam-e-garmā meṅ wuh angūr aur bāqī phal kī baṛī fasal jamā kar sake. 13 Ek din Yūhanān bin Qarīh aur wuh tamām faujī afsar jo ab tak dehāt meṅ ṭhahre hue the Jidaliyāh se milne āe. 14 Misfāh meṅ pahuṅch kar wuh Jidaliyāh se kahne lage, “Kyā āp ko nahīṅ mālūm ki Ammon ke bādshāh Bālīs ne Ismāīl bin Nataniyāh ko āp ko qatl karne ke lie bhejā hai?” Lekin Jidaliyāh bin Aḳhīqām ne un kī bāt kā yaqīn na kiyā. 15 Tab Yūhanān bin Qarīh Misfāh āyā aur alahdagī meṅ Jidaliyāh se milā. Wuh bolā, “Mujhe Ismāīl bin Nataniyāh ke pās jā kar use mār dene kī ijāzat deṅ. Kisī ko bhī patā nahīṅ chalegā. Kyā zarūrat hai ki wuh āp ko qatl kare? Agar wuh is meṅ kāmyāb ho jāe to āp ke pās jamāshudā hamwatan sab ke sab muntashir ho jāeṅge aur Yahūdāh kā bachā huā hissā halāk ho jāegā.” 16 Jidaliyāh ne Yūhanān ko ḍāṅṭ kar kahā, “Aisā mat karnā! Jo kuchh āp Ismāīl ke bāre meṅ batā rahe haiṅ wuh jhūṭ hai.”
In Other Versions
Jeremiah 40 in the ANGEFD
Jeremiah 40 in the ANTPNG2D
Jeremiah 40 in the AS21
Jeremiah 40 in the BAGH
Jeremiah 40 in the BBPNG
Jeremiah 40 in the BBT1E
Jeremiah 40 in the BDS
Jeremiah 40 in the BEV
Jeremiah 40 in the BHAD
Jeremiah 40 in the BIB
Jeremiah 40 in the BLPT
Jeremiah 40 in the BNT
Jeremiah 40 in the BNTABOOT
Jeremiah 40 in the BNTLV
Jeremiah 40 in the BOATCB
Jeremiah 40 in the BOATCB2
Jeremiah 40 in the BOBCV
Jeremiah 40 in the BOCNT
Jeremiah 40 in the BOECS
Jeremiah 40 in the BOGWICC
Jeremiah 40 in the BOHCB
Jeremiah 40 in the BOHCV
Jeremiah 40 in the BOHLNT
Jeremiah 40 in the BOHNTLTAL
Jeremiah 40 in the BOICB
Jeremiah 40 in the BOILNTAP
Jeremiah 40 in the BOITCV
Jeremiah 40 in the BOKCV
Jeremiah 40 in the BOKCV2
Jeremiah 40 in the BOKHWOG
Jeremiah 40 in the BOKSSV
Jeremiah 40 in the BOLCB
Jeremiah 40 in the BOLCB2
Jeremiah 40 in the BOMCV
Jeremiah 40 in the BONAV
Jeremiah 40 in the BONCB
Jeremiah 40 in the BONLT
Jeremiah 40 in the BONUT2
Jeremiah 40 in the BOPLNT
Jeremiah 40 in the BOSCB
Jeremiah 40 in the BOSNC
Jeremiah 40 in the BOTLNT
Jeremiah 40 in the BOVCB
Jeremiah 40 in the BOYCB
Jeremiah 40 in the BPBB
Jeremiah 40 in the BPH
Jeremiah 40 in the BSB
Jeremiah 40 in the CCB
Jeremiah 40 in the CUV
Jeremiah 40 in the CUVS
Jeremiah 40 in the DBT
Jeremiah 40 in the DGDNT
Jeremiah 40 in the DHNT
Jeremiah 40 in the DNT
Jeremiah 40 in the ELBE
Jeremiah 40 in the EMTV
Jeremiah 40 in the ESV
Jeremiah 40 in the FBV
Jeremiah 40 in the FEB
Jeremiah 40 in the GGMNT
Jeremiah 40 in the GNT
Jeremiah 40 in the HARY
Jeremiah 40 in the HNT
Jeremiah 40 in the IRVA
Jeremiah 40 in the IRVB
Jeremiah 40 in the IRVG
Jeremiah 40 in the IRVH
Jeremiah 40 in the IRVK
Jeremiah 40 in the IRVM
Jeremiah 40 in the IRVM2
Jeremiah 40 in the IRVO
Jeremiah 40 in the IRVP
Jeremiah 40 in the IRVT
Jeremiah 40 in the IRVT2
Jeremiah 40 in the IRVU
Jeremiah 40 in the ISVN
Jeremiah 40 in the JSNT
Jeremiah 40 in the KAPI
Jeremiah 40 in the KBT1ETNIK
Jeremiah 40 in the KBV
Jeremiah 40 in the KJV
Jeremiah 40 in the KNFD
Jeremiah 40 in the LBA
Jeremiah 40 in the LBLA
Jeremiah 40 in the LNT
Jeremiah 40 in the LSV
Jeremiah 40 in the MAAL
Jeremiah 40 in the MBV
Jeremiah 40 in the MBV2
Jeremiah 40 in the MHNT
Jeremiah 40 in the MKNFD
Jeremiah 40 in the MNG
Jeremiah 40 in the MNT
Jeremiah 40 in the MNT2
Jeremiah 40 in the MRS1T
Jeremiah 40 in the NAA
Jeremiah 40 in the NASB
Jeremiah 40 in the NBLA
Jeremiah 40 in the NBS
Jeremiah 40 in the NBVTP
Jeremiah 40 in the NET2
Jeremiah 40 in the NIV11
Jeremiah 40 in the NNT
Jeremiah 40 in the NNT2
Jeremiah 40 in the NNT3
Jeremiah 40 in the PDDPT
Jeremiah 40 in the PFNT
Jeremiah 40 in the RMNT
Jeremiah 40 in the SBIAS
Jeremiah 40 in the SBIBS
Jeremiah 40 in the SBIBS2
Jeremiah 40 in the SBICS
Jeremiah 40 in the SBIDS
Jeremiah 40 in the SBIGS
Jeremiah 40 in the SBIHS
Jeremiah 40 in the SBIIS
Jeremiah 40 in the SBIIS2
Jeremiah 40 in the SBIIS3
Jeremiah 40 in the SBIKS
Jeremiah 40 in the SBIKS2
Jeremiah 40 in the SBIMS
Jeremiah 40 in the SBIOS
Jeremiah 40 in the SBIPS
Jeremiah 40 in the SBISS
Jeremiah 40 in the SBITS
Jeremiah 40 in the SBITS2
Jeremiah 40 in the SBITS3
Jeremiah 40 in the SBITS4
Jeremiah 40 in the SBIUS
Jeremiah 40 in the SBIVS
Jeremiah 40 in the SBT
Jeremiah 40 in the SBT1E
Jeremiah 40 in the SCHL
Jeremiah 40 in the SNT
Jeremiah 40 in the SUSU
Jeremiah 40 in the SUSU2
Jeremiah 40 in the SYNO
Jeremiah 40 in the TBIAOTANT
Jeremiah 40 in the TBT1E
Jeremiah 40 in the TBT1E2
Jeremiah 40 in the TFTIP
Jeremiah 40 in the TFTU
Jeremiah 40 in the TGNTATF3T
Jeremiah 40 in the THAI
Jeremiah 40 in the TNFD
Jeremiah 40 in the TNT
Jeremiah 40 in the TNTIK
Jeremiah 40 in the TNTIL
Jeremiah 40 in the TNTIN
Jeremiah 40 in the TNTIP
Jeremiah 40 in the TNTIZ
Jeremiah 40 in the TOMA
Jeremiah 40 in the TTENT
Jeremiah 40 in the UBG
Jeremiah 40 in the UGV
Jeremiah 40 in the UGV2
Jeremiah 40 in the VBL
Jeremiah 40 in the VDCC
Jeremiah 40 in the YALU
Jeremiah 40 in the YAPE
Jeremiah 40 in the YBVTP
Jeremiah 40 in the ZBP