John 10 (UGV3)

1 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo darwāze se bheṛoṅ ke bāṛe meṅ dāḳhil nahīṅ hotā balki phalāṅg kar andar ghus ātā hai wuh chor aur ḍākū hai. 2 Lekin jo darwāze se dāḳhil hotā hai wuh bheṛoṅ kā charwāhā hai. 3 Chaukīdār us ke lie darwāzā khol detā hai aur bheṛeṅ us kī āwāz suntī haiṅ. Wuh apnī har ek bheṛ kā nām le kar unheṅ bulātā aur bāhar le jātā hai. 4 Apne pūre galle ko bāhar nikālne ke bād wuh un ke āge āge chalne lagtā hai aur bheṛeṅ us ke pīchhe pīchhe chal paṛtī haiṅ, kyoṅki wuh us kī āwāz pahchāntī haiṅ. 5 Lekin wuh kisī ajnabī ke pīchhe nahīṅ chaleṅgī balki us se bhāg jāeṅgī, kyoṅki wuh us kī āwāz nahīṅ pahchāntīṅ.” 6 Īsā ne unheṅ yih tamsīl pesh kī, lekin wuh na samjhe ki wuh unheṅ kyā batānā chāhtā hai. 7 Is lie Īsā dubārā is par bāt karne lagā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki bheṛoṅ ke lie darwāzā maiṅ hūṅ. 8 Jitne bhī mujh se pahle āe wuh chor aur ḍākū haiṅ. Lekin bheṛoṅ ne un kī na sunī. 9 Maiṅ hī darwāzā hūṅ. Jo bhī mere zariye andar āe use najāt milegī. Wuh ātā jātā aur harī charāgāheṅ pātā rahegā. 10 Chor to sirf chorī karne, zabah karne aur tabāh karne ātā hai. Lekin maiṅ is lie āyā hūṅ ki wuh zindagī pāeṅ, balki kasrat kī zindagī pāeṅ. 11 Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Achchhā charwāhā apnī bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hai. 12 Mazdūr charwāhe kā kirdār adā nahīṅ kartā, kyoṅki bheṛeṅ us kī apnī nahīṅ hotīṅ. Is lie jyoṅ hī koī bheṛiyā ātā hai to mazdūr use deḳhte hī bheṛoṅ ko chhoṛ kar bhāg jātā hai. Natīje meṅ bheṛiyā kuchh bheṛeṅ pakaṛ letā aur bāqiyoṅ ko muntashir kar detā hai. 13 Wajah yih hai ki wuh mazdūr hī hai aur bheṛoṅ kī fikr nahīṅ kartā. 14 Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Maiṅ apnī bheṛoṅ ko jāntā hūṅ aur wuh mujhe jāntī haiṅ, 15 bilkul usī tarah jis tarah Bāp mujhe jāntā hai aur maiṅ Bāp ko jāntā hūṅ. Aur maiṅ bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hūṅ. 16 Merī aur bhī bheṛeṅ haiṅ jo is bāṛe meṅ nahīṅ haiṅ. Lāzim hai ki unheṅ bhī le āūṅ. Wuh bhī merī āwāz suneṅgī. Phir ek hī gallā aur ek hī gallābān hogā. 17 Merā Bāp mujhe is lie pyār kartā hai ki maiṅ apnī jān detā hūṅ tāki use phir le lūṅ. 18 Koī merī jān mujh se chhīn nahīṅ saktā balki maiṅ use apnī marzī se de detā hūṅ. Mujhe use dene kā iḳhtiyār hai aur use wāpas lene kā bhī. Yih hukm mujhe apne Bāp kī taraf se milā hai.” 19 In bātoṅ par Yahūdiyoṅ meṅ dubārā phūṭ paṛ gaī. 20 Bahutoṅ ne kahā, “Yih badrūh kī girift meṅ hai, yih dīwānā hai. Is kī kyoṅ suneṅ!” 21 Lekin auroṅ ne kahā, “Yih aisī bāteṅ nahīṅ haiṅ jo badrūh-giriftā shaḳhs kar sake. Kyā badrūheṅ andhoṅ kī āṅkheṅ bahāl kar saktī haiṅ?” 22 Sardiyoṅ kā mausam thā aur Īsā Baitul-muqaddas kī Maḳhsūsiyat kī Īd banām Hanūkā ke daurān Yarūshalam meṅ thā. 23 Wuh Baitul-muqaddas ke us barāmde meṅ phir rahā thā jis kā nām Sulemān kā barāmdā thā. 24 Yahūdī use gher kar kahne lage, “Āp hameṅ kab tak uljhan meṅ rakheṅge? Agar āp Masīh haiṅ to hameṅ sāf sāf batā deṅ.” 25 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ, lekin tum ko yaqīn nahīṅ āyā. Jo kām maiṅ apne Bāp ke nām se kartā hūṅ wuh mere gawāh haiṅ. 26 Lekin tum īmān nahīṅ rakhte kyoṅki tum merī bheṛeṅ nahīṅ ho. 27 Merī bheṛeṅ merī āwāz suntī haiṅ. Maiṅ unheṅ jāntā hūṅ aur wuh mere pīchhe chaltī haiṅ. 28 Maiṅ unheṅ abadī zindagī detā hūṅ, is lie wuh kabhī halāk nahīṅ hoṅgī. Koī unheṅ mere hāth se chhīn na legā, 29 kyoṅki mere Bāp ne unheṅ mere sapurd kiyā hai aur wuhī sab se baṛā hai. Koī unheṅ Bāp ke hāth se chhīn nahīṅ saktā. 30 Maiṅ aur Bāp ek haiṅ.” 31 Yih sun kar Yahūdī dubārā patthar uṭhāne lage tāki Īsā ko sangsār kareṅ. 32 Us ne un se kahā, “Maiṅ ne tumheṅ Bāp kī taraf se kaī ilāhī nishān dikhāe haiṅ. Tum mujhe in meṅ se kis nishān kī wajah se sangsār kar rahe ho?” 33 Yahūdiyoṅ ne jawāb diyā, “Ham tum ko kisī achchhe kām kī wajah se sangsār nahīṅ kar rahe balki kufr bakne kī wajah se. Tum jo sirf insān ho Allāh hone kā dāwā karte ho.” 34 Īsā ne kahā, “Kyā yih tumhārī sharīat meṅ nahīṅ likhā hai ki Allāh ne farmāyā, ‘Tum Ḳhudā ho’? 35 Unheṅ ‘Ḳhudā’ kahā gayā jin tak Allāh kā yih paiġhām pahuṅchāyā gayā. Aur ham jānte haiṅ ki kalām-e-muqaddas ko mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā. 36 To phir tum kufr bakne kī bāt kyoṅ karte ho jab maiṅ kahtā hūṅ ki maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ? Āḳhir Bāp ne ḳhud mujhe maḳhsūs karke duniyā meṅ bhejā hai. 37 Agar maiṅ apne Bāp ke kām na karūṅ to merī bāt na māno. 38 Lekin agar us ke kām karūṅ to beshak merī bāt na māno, lekin kam az kam un kāmoṅ kī gawāhī to māno. Phir tum jān loge aur samajh jāoge ki Bāp mujh meṅ hai aur maiṅ Bāp meṅ hūṅ.” 39 Ek bār phir unhoṅ ne use giriftār karne kī koshish kī, lekin wuh un ke hāth se nikal gayā. 40 Phir Īsā dubārā Dariyā-e-Yardan ke pār us jagah chalā gayā jahāṅ Yahyā shurū meṅ baptismā diyā kartā thā. Wahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā. 41 Bahut-se log us ke pās āte rahe. Unhoṅ ne kahā, “Yahyā ne kabhī koī ilāhī nishān na dikhāyā, lekin jo kuchh us ne is ke bāre meṅ bayān kiyā, wuh bilkul sahīh niklā.” 42 Aur wahāṅ bahut-se log Īsā par īmān lāe.

In Other Versions

John 10 in the ANGEFD

John 10 in the ANTPNG2D

John 10 in the AS21

John 10 in the BAGH

John 10 in the BBPNG

John 10 in the BBT1E

John 10 in the BDS

John 10 in the BEV

John 10 in the BHAD

John 10 in the BIB

John 10 in the BLPT

John 10 in the BNT

John 10 in the BNTABOOT

John 10 in the BNTLV

John 10 in the BOATCB

John 10 in the BOATCB2

John 10 in the BOBCV

John 10 in the BOCNT

John 10 in the BOECS

John 10 in the BOGWICC

John 10 in the BOHCB

John 10 in the BOHCV

John 10 in the BOHLNT

John 10 in the BOHNTLTAL

John 10 in the BOICB

John 10 in the BOILNTAP

John 10 in the BOITCV

John 10 in the BOKCV

John 10 in the BOKCV2

John 10 in the BOKHWOG

John 10 in the BOKSSV

John 10 in the BOLCB

John 10 in the BOLCB2

John 10 in the BOMCV

John 10 in the BONAV

John 10 in the BONCB

John 10 in the BONLT

John 10 in the BONUT2

John 10 in the BOPLNT

John 10 in the BOSCB

John 10 in the BOSNC

John 10 in the BOTLNT

John 10 in the BOVCB

John 10 in the BOYCB

John 10 in the BPBB

John 10 in the BPH

John 10 in the BSB

John 10 in the CCB

John 10 in the CUV

John 10 in the CUVS

John 10 in the DBT

John 10 in the DGDNT

John 10 in the DHNT

John 10 in the DNT

John 10 in the ELBE

John 10 in the EMTV

John 10 in the ESV

John 10 in the FBV

John 10 in the FEB

John 10 in the GGMNT

John 10 in the GNT

John 10 in the HARY

John 10 in the HNT

John 10 in the IRVA

John 10 in the IRVB

John 10 in the IRVG

John 10 in the IRVH

John 10 in the IRVK

John 10 in the IRVM

John 10 in the IRVM2

John 10 in the IRVO

John 10 in the IRVP

John 10 in the IRVT

John 10 in the IRVT2

John 10 in the IRVU

John 10 in the ISVN

John 10 in the JSNT

John 10 in the KAPI

John 10 in the KBT1ETNIK

John 10 in the KBV

John 10 in the KJV

John 10 in the KNFD

John 10 in the LBA

John 10 in the LBLA

John 10 in the LNT

John 10 in the LSV

John 10 in the MAAL

John 10 in the MBV

John 10 in the MBV2

John 10 in the MHNT

John 10 in the MKNFD

John 10 in the MNG

John 10 in the MNT

John 10 in the MNT2

John 10 in the MRS1T

John 10 in the NAA

John 10 in the NASB

John 10 in the NBLA

John 10 in the NBS

John 10 in the NBVTP

John 10 in the NET2

John 10 in the NIV11

John 10 in the NNT

John 10 in the NNT2

John 10 in the NNT3

John 10 in the PDDPT

John 10 in the PFNT

John 10 in the RMNT

John 10 in the SBIAS

John 10 in the SBIBS

John 10 in the SBIBS2

John 10 in the SBICS

John 10 in the SBIDS

John 10 in the SBIGS

John 10 in the SBIHS

John 10 in the SBIIS

John 10 in the SBIIS2

John 10 in the SBIIS3

John 10 in the SBIKS

John 10 in the SBIKS2

John 10 in the SBIMS

John 10 in the SBIOS

John 10 in the SBIPS

John 10 in the SBISS

John 10 in the SBITS

John 10 in the SBITS2

John 10 in the SBITS3

John 10 in the SBITS4

John 10 in the SBIUS

John 10 in the SBIVS

John 10 in the SBT

John 10 in the SBT1E

John 10 in the SCHL

John 10 in the SNT

John 10 in the SUSU

John 10 in the SUSU2

John 10 in the SYNO

John 10 in the TBIAOTANT

John 10 in the TBT1E

John 10 in the TBT1E2

John 10 in the TFTIP

John 10 in the TFTU

John 10 in the TGNTATF3T

John 10 in the THAI

John 10 in the TNFD

John 10 in the TNT

John 10 in the TNTIK

John 10 in the TNTIL

John 10 in the TNTIN

John 10 in the TNTIP

John 10 in the TNTIZ

John 10 in the TOMA

John 10 in the TTENT

John 10 in the UBG

John 10 in the UGV

John 10 in the UGV2

John 10 in the VBL

John 10 in the VDCC

John 10 in the YALU

John 10 in the YAPE

John 10 in the YBVTP

John 10 in the ZBP