John 13 (UGV3)

1 Fasah kī Īd ab shurū hone wālī thī. Īsā jāntā thā ki wuh waqt ā gayā hai ki mujhe is duniyā ko chhoṛ kar Bāp ke pās jānā hai. Go us ne hameshā duniyā meṅ apne logoṅ se muhabbat rakhī thī, lekin ab us ne āḳhirī had tak un par apnī muhabbat kā izhār kiyā. 2 Phir shām kā khānā taiyār huā. Us waqt Iblīs Shamāūn Iskariyotī ke beṭe Yahūdāh ke dil meṅ Īsā ko dushman ke hawāle karne kā irādā ḍāl chukā thā. 3 Īsā jāntā thā ki Bāp ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai aur ki maiṅ Allāh meṅ se nikal āyā aur ab us ke pās wāpas jā rahā hūṅ. 4 Chunāṅche us ne dastarḳhwān se uṭh kar apnā libās utār diyā aur kamr par tauliyā bāndh liyā. 5 Phir wuh bāsan meṅ pānī ḍāl kar shāgirdoṅ ke pāṅw dhone aur bandhe hue tauliyā se poṅchh kar ḳhushk karne lagā. 6 Jab Patras kī bārī āī to us ne kahā, “Ḳhudāwand, āp mere pāṅw dhonā chāhte haiṅ?” 7 Īsā ne jawāb diyā, “Is waqt tū nahīṅ samajhtā ki maiṅ kyā kar rahā hūṅ, lekin bād meṅ yih terī samajh meṅ ā jāegā.” 8 Patras ne etarāz kiyā, “Maiṅ kabhī bhī āp ko mere pāṅw dhone nahīṅ dūṅgā!”Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ tujhe na dho'ūṅ to mere sāth terā koī hissā nahīṅ hogā.” 9 Yih sun kar Patras ne kahā, “To phir Ḳhudāwand, na sirf mere pāṅwoṅ balki mere hāthoṅ aur sar ko bhī dhoeṅ!” 10 Īsā ne jawāb diyā, “Jis shaḳhs ne nahā liyā hai use sirf apne pāṅwoṅ ko dhone kī zarūrat hotī hai, kyoṅki wuh pūre taur par pāk-sāf hai. Tum pāk-sāf ho, lekin sab ke sab nahīṅ.” 11 (Īsā ko mālūm thā ki kaun use dushman ke hawāle karegā. Is lie us ne kahā ki sab ke sab pāk-sāf nahīṅ haiṅ.) 12 Un sab ke pāṅw dhone ke bād Īsā dubārā apnā libās pahan kar baiṭh gayā. Us ne sawāl kiyā, “Kyā tum samajhte ho ki maiṅ ne tumhāre lie kyā kiyā hai? 13 Tum mujhe ‘ustād’ aur ‘Ḳhudāwand’ kah kar muḳhātib karte ho aur yih sahīh hai, kyoṅki maiṅ yihī kuchh hūṅ. 14 Maiṅ, tumhāre Ḳhudāwand aur ustād ne tumhāre pāṅw dhoe. Is lie ab tumhārā farz bhī hai ki ek dūsre ke pāṅw dhoyā karo. 15 Maiṅ ne tum ko ek namūnā diyā hai tāki tum bhī wuhī karo jo maiṅ ne tumhāre sāth kiyā hai. 16 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ġhulām apne mālik se baṛā nahīṅ hotā, na paiġhambar apne bhejne wāle se. 17 Agar tum yih jānte ho to is par amal bhī karo, phir hī tum mubārak hoge. 18 Maiṅ tum sab kī bāt nahīṅ kar rahā. Jinheṅ maiṅ ne chun liyā hai unheṅ maiṅ jāntā hūṅ. Lekin kalām-e-muqaddas kī us bāt kā pūrā honā zarūr hai, ‘Jo merī roṭī khātā hai us ne mujh par lāt uṭhāī hai.’ 19 Maiṅ tum ko is se pahle ki wuh pesh āe yih abhī batā rahā hūṅ, tāki jab wuh pesh āe to tum īmān lāo ki maiṅ wuhī hūṅ. 20 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo shaḳhs use qabūl kartā hai jise maiṅ ne bhejā hai wuh mujhe qabūl kartā hai. Aur jo mujhe qabūl kartā hai wuh use qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai.” 21 In alfāz ke bād Īsā nihāyat muztarib huā aur kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke hawāle kar degā.” 22 Shāgird uljhan meṅ ek dūsre ko dekh kar sochne lage ki Īsā kis kī bāt kar rahā hai. 23 Ek shāgird jise Īsā pyār kartā thā us ke qarībtarīn baiṭhā thā. 24 Patras ne use ishārā kiyā ki wuh us se dariyāft kare ki wuh kis kī bāt kar rahā hai. 25 Us shāgird ne Īsā kī taraf sar jhukā kar pūchhā, “Ḳhudāwand, yih kaun hai?” 26 Īsā ne jawāb diyā, “Jise maiṅ roṭī kā luqmā shorb meṅ ḍubo kar dūṅ, wuhī hai.” Phir luqme ko ḍubo kar us ne Shamāūn Iskariyotī ke beṭe Yahūdāh ko de diyā. 27 Jyoṅ hī Yahūdāh ne yih luqmā le liyā Iblīs us meṅ samā gayā. Īsā ne use batāyā, “Jo kuchh karnā hai wuh jaldī se kar le.” 28 Lekin mez par baiṭhe logoṅ meṅ se kisī ko mālūm na huā ki Īsā ne yih kyoṅ kahā. 29 Bāz kā ḳhayāl thā ki chūṅki Yahūdāh ḳhazāṅchī thā is lie wuh use batā rahā hai ki īd ke lie darkār chīzeṅ ḳharīd le yā ġharīboṅ meṅ kuchh taqsīm kar de. 30 Chunāṅche Īsā se yih luqmā lete hī Yahūdāh bāhar nikal gayā. Rāt kā waqt thā. 31 Yahūdāh ke chale jāne ke bād Īsā ne kahā, “Ab Ibn-e-Ādam ne jalāl pāyā aur Allāh ne us meṅ jalāl pāyā hai. 32 Hāṅ, chūṅki Allāh ko us meṅ jalāl mil gayā hai is lie Allāh apne meṅ Farzand ko jalāl degā. Aur wuh yih jalāl fauran degā. 33 Mere bachcho, maiṅ thoṛī der aur tumhāre pās ṭhahrūṅga. Tum mujhe talāsh karoge, aur jo kuchh maiṅ Yahūdiyoṅ ko batā chukā hūṅ wuh ab tum ko bhī batātā hūṅ, jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tum nahīṅ ā sakte. 34 Maiṅ tum ko ek nayā hukm detā hūṅ, yih ki ek dūsre se muhabbat rakho. Jis tarah maiṅ ne tum se muhabbat rakhī usī tarah tum bhī ek dūsre se muhabbat karo. 35 Agar tum ek dūsre se muhabbat rakhoge to sab jān leṅge ki tum mere shāgird ho.” 36 Patras ne pūchhā, “Ḳhudāwand, āp kahāṅ jā rahe haiṅ?”Īsā ne jawāb diyā, “Jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tū mere pīchhe nahīṅ ā saktā. Lekin bād meṅ tū mere pīchhe ā jāegā.” 37 Patras ne sawāl kiyā, “Ḳhudāwand, maiṅ āp ke pīchhe abhī kyoṅ nahīṅ jā saktā? Maiṅ āp ke lie apnī jān tak dene ko taiyār hūṅ.” 38 Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Tū mere lie apnī jān denā chāhtā hai? Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ ki murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn martabā mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.

In Other Versions

John 13 in the ANGEFD

John 13 in the ANTPNG2D

John 13 in the AS21

John 13 in the BAGH

John 13 in the BBPNG

John 13 in the BBT1E

John 13 in the BDS

John 13 in the BEV

John 13 in the BHAD

John 13 in the BIB

John 13 in the BLPT

John 13 in the BNT

John 13 in the BNTABOOT

John 13 in the BNTLV

John 13 in the BOATCB

John 13 in the BOATCB2

John 13 in the BOBCV

John 13 in the BOCNT

John 13 in the BOECS

John 13 in the BOGWICC

John 13 in the BOHCB

John 13 in the BOHCV

John 13 in the BOHLNT

John 13 in the BOHNTLTAL

John 13 in the BOICB

John 13 in the BOILNTAP

John 13 in the BOITCV

John 13 in the BOKCV

John 13 in the BOKCV2

John 13 in the BOKHWOG

John 13 in the BOKSSV

John 13 in the BOLCB

John 13 in the BOLCB2

John 13 in the BOMCV

John 13 in the BONAV

John 13 in the BONCB

John 13 in the BONLT

John 13 in the BONUT2

John 13 in the BOPLNT

John 13 in the BOSCB

John 13 in the BOSNC

John 13 in the BOTLNT

John 13 in the BOVCB

John 13 in the BOYCB

John 13 in the BPBB

John 13 in the BPH

John 13 in the BSB

John 13 in the CCB

John 13 in the CUV

John 13 in the CUVS

John 13 in the DBT

John 13 in the DGDNT

John 13 in the DHNT

John 13 in the DNT

John 13 in the ELBE

John 13 in the EMTV

John 13 in the ESV

John 13 in the FBV

John 13 in the FEB

John 13 in the GGMNT

John 13 in the GNT

John 13 in the HARY

John 13 in the HNT

John 13 in the IRVA

John 13 in the IRVB

John 13 in the IRVG

John 13 in the IRVH

John 13 in the IRVK

John 13 in the IRVM

John 13 in the IRVM2

John 13 in the IRVO

John 13 in the IRVP

John 13 in the IRVT

John 13 in the IRVT2

John 13 in the IRVU

John 13 in the ISVN

John 13 in the JSNT

John 13 in the KAPI

John 13 in the KBT1ETNIK

John 13 in the KBV

John 13 in the KJV

John 13 in the KNFD

John 13 in the LBA

John 13 in the LBLA

John 13 in the LNT

John 13 in the LSV

John 13 in the MAAL

John 13 in the MBV

John 13 in the MBV2

John 13 in the MHNT

John 13 in the MKNFD

John 13 in the MNG

John 13 in the MNT

John 13 in the MNT2

John 13 in the MRS1T

John 13 in the NAA

John 13 in the NASB

John 13 in the NBLA

John 13 in the NBS

John 13 in the NBVTP

John 13 in the NET2

John 13 in the NIV11

John 13 in the NNT

John 13 in the NNT2

John 13 in the NNT3

John 13 in the PDDPT

John 13 in the PFNT

John 13 in the RMNT

John 13 in the SBIAS

John 13 in the SBIBS

John 13 in the SBIBS2

John 13 in the SBICS

John 13 in the SBIDS

John 13 in the SBIGS

John 13 in the SBIHS

John 13 in the SBIIS

John 13 in the SBIIS2

John 13 in the SBIIS3

John 13 in the SBIKS

John 13 in the SBIKS2

John 13 in the SBIMS

John 13 in the SBIOS

John 13 in the SBIPS

John 13 in the SBISS

John 13 in the SBITS

John 13 in the SBITS2

John 13 in the SBITS3

John 13 in the SBITS4

John 13 in the SBIUS

John 13 in the SBIVS

John 13 in the SBT

John 13 in the SBT1E

John 13 in the SCHL

John 13 in the SNT

John 13 in the SUSU

John 13 in the SUSU2

John 13 in the SYNO

John 13 in the TBIAOTANT

John 13 in the TBT1E

John 13 in the TBT1E2

John 13 in the TFTIP

John 13 in the TFTU

John 13 in the TGNTATF3T

John 13 in the THAI

John 13 in the TNFD

John 13 in the TNT

John 13 in the TNTIK

John 13 in the TNTIL

John 13 in the TNTIN

John 13 in the TNTIP

John 13 in the TNTIZ

John 13 in the TOMA

John 13 in the TTENT

John 13 in the UBG

John 13 in the UGV

John 13 in the UGV2

John 13 in the VBL

John 13 in the VDCC

John 13 in the YALU

John 13 in the YAPE

John 13 in the YBVTP

John 13 in the ZBP