Job 14 (UGV3)
1 Aurat se paidā huā insān chand ek din zindā rahtā hai, aur us kī zindagī bechainī se bharī rahtī hai. 2 Phūl kī tarah wuh chand lamhoṅ ke lie phūṭ nikaltā, phir murjhā jātā hai. Sāy kī tarah wuh thoṛī der ke bād ojhal ho jātā aur qāym nahīṅ rahtā. 3 Kyā tū wāqaī ek aisī maḳhlūq kā itne ġhaur se muāynā karnā chāhtā hai? Maiṅ kaun hūṅ ki tū mujhe peshī ke lie apne huzūr lāe? 4 Kaun nāpāk chīz ko pāk-sāf kar saktā hai? Koī nahīṅ! 5 Insān kī umr to muqarrar huī hai, us ke mahīnoṅ kī tādād tujhe mālūm hai, kyoṅki tū hī ne us ke dinoṅ kī wuh had bāndhī hai jis se āge wuh baṛh nahīṅ saktā. 6 Chunāṅche apnī nigāh us se pher le aur use chhoṛ de tāki wuh mazdūr kī tarah apne thoṛe dinoṅ se kuchh mazā le sake. 7 Agar daraḳht ko kāṭā jāe to use thoṛī-bahut ummīd bāqī rahtī hai, kyoṅki ain mumkin hai ki muḍh se koṅpleṅ phūṭ nikleṅ aur us kī naī shāḳheṅ ugtī jāeṅ. 8 Beshak us kī jaṛeṅ purānī ho jāeṅ aur us kā muḍh miṭṭī meṅ ḳhatm hone lage, 9 lekin pānī kī ḳhushbū sūṅghte hī wuh koṅpleṅ nikālne lagegā, aur panīrī kī-sī ṭahniyāṅ us se phūṭne lageṅgī. 10 Lekin insān farq hai. Marte waqt us kī har tarah kī tāqat jātī rahtī hai, dam chhoṛte waqt us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahtā. 11 Wuh us jhīl kī mānind hai jis kā pānī ojhal ho jāe, us nadī kī mānind jo sukaṛ kar ḳhushk ho jāe. 12 Wafāt pāne wāle kā yihī hāl hai. Wuh leṭ jātā aur kabhī nahīṅ uṭhegā. Jab tak āsmān qāym hai na wuh jāg uṭhegā, na use jagāyā jāegā. 13 Kāsh tū mujhe Pātāl meṅ chhupā detā, mujhe wahāṅ us waqt tak poshīdā rakhtā jab tak terā qahr ṭhanḍā na ho jātā! Kāsh tū ek waqt muqarrar kare jab tū merā dubārā ḳhayāl karegā. 14 (Kyoṅki agar insān mar jāe to kyā wuh dubārā zindā ho jāegā?) Phir maiṅ apnī saḳht ḳhidmat ke tamām din bardāsht kartā, us waqt tak intazār kartā jab tak merī sabukdoshī na ho jātī. 15 Tab tū mujhe āwāz detā aur maiṅ jawāb detā, tū apne hāthoṅ ke kām kā ārzūmand hotā. 16 Us waqt bhī tū mere har qadam kā shumār kartā, lekin na sirf is maqsad se ki mere gunāhoṅ par dhyān de. 17 Tū mere jarāym thaile meṅ bāndh kar us par muhr lagā detā, merī har ġhaltī ko ḍhāṅk detā. 18 Lekin afsos! Jis tarah pahāṛ gir kar chūr chūr ho jātā aur chaṭān khisak jātī hai, 19 jis tarah bahtā pānī patthar ko ragaṛ ragaṛ kar ḳhatm kartā aur sailāb miṭṭī ko bahā le jātā hai usī tarah tū insān kī ummīd ḳhāk meṅ milā detā hai. 20 Tū mukammal taur par us par ġhālib ā jātā to wuh kūch kar jātā hai, tū us kā chehrā bigāṛ kar use fāriġh kar detā hai. 21 Agar us ke bachchoṅ ko sarfarāz kiyā jāe to use patā nahīṅ chaltā, agar unheṅ past kiyā jāe to yih bhī us ke ilm meṅ nahīṅ ātā. 22 Wuh sirf apne hī jism kā dard mahsūs kartā aur apne lie hī mātam kartā hai.”
In Other Versions
Job 14 in the ANGEFD
Job 14 in the ANTPNG2D
Job 14 in the AS21
Job 14 in the BAGH
Job 14 in the BBPNG
Job 14 in the BBT1E
Job 14 in the BDS
Job 14 in the BEV
Job 14 in the BHAD
Job 14 in the BIB
Job 14 in the BLPT
Job 14 in the BNT
Job 14 in the BNTABOOT
Job 14 in the BNTLV
Job 14 in the BOATCB
Job 14 in the BOATCB2
Job 14 in the BOBCV
Job 14 in the BOCNT
Job 14 in the BOECS
Job 14 in the BOGWICC
Job 14 in the BOHCB
Job 14 in the BOHCV
Job 14 in the BOHLNT
Job 14 in the BOHNTLTAL
Job 14 in the BOICB
Job 14 in the BOILNTAP
Job 14 in the BOITCV
Job 14 in the BOKCV
Job 14 in the BOKCV2
Job 14 in the BOKHWOG
Job 14 in the BOKSSV
Job 14 in the BOLCB
Job 14 in the BOLCB2
Job 14 in the BOMCV
Job 14 in the BONAV
Job 14 in the BONCB
Job 14 in the BONLT
Job 14 in the BONUT2
Job 14 in the BOPLNT
Job 14 in the BOSCB
Job 14 in the BOSNC
Job 14 in the BOTLNT
Job 14 in the BOVCB
Job 14 in the BOYCB
Job 14 in the BPBB
Job 14 in the BPH
Job 14 in the BSB
Job 14 in the CCB
Job 14 in the CUV
Job 14 in the CUVS
Job 14 in the DBT
Job 14 in the DGDNT
Job 14 in the DHNT
Job 14 in the DNT
Job 14 in the ELBE
Job 14 in the EMTV
Job 14 in the ESV
Job 14 in the FBV
Job 14 in the FEB
Job 14 in the GGMNT
Job 14 in the GNT
Job 14 in the HARY
Job 14 in the HNT
Job 14 in the IRVA
Job 14 in the IRVB
Job 14 in the IRVG
Job 14 in the IRVH
Job 14 in the IRVK
Job 14 in the IRVM
Job 14 in the IRVM2
Job 14 in the IRVO
Job 14 in the IRVP
Job 14 in the IRVT
Job 14 in the IRVT2
Job 14 in the IRVU
Job 14 in the ISVN
Job 14 in the JSNT
Job 14 in the KAPI
Job 14 in the KBT1ETNIK
Job 14 in the KBV
Job 14 in the KJV
Job 14 in the KNFD
Job 14 in the LBA
Job 14 in the LBLA
Job 14 in the LNT
Job 14 in the LSV
Job 14 in the MAAL
Job 14 in the MBV
Job 14 in the MBV2
Job 14 in the MHNT
Job 14 in the MKNFD
Job 14 in the MNG
Job 14 in the MNT
Job 14 in the MNT2
Job 14 in the MRS1T
Job 14 in the NAA
Job 14 in the NASB
Job 14 in the NBLA
Job 14 in the NBS
Job 14 in the NBVTP
Job 14 in the NET2
Job 14 in the NIV11
Job 14 in the NNT
Job 14 in the NNT2
Job 14 in the NNT3
Job 14 in the PDDPT
Job 14 in the PFNT
Job 14 in the RMNT
Job 14 in the SBIAS
Job 14 in the SBIBS
Job 14 in the SBIBS2
Job 14 in the SBICS
Job 14 in the SBIDS
Job 14 in the SBIGS
Job 14 in the SBIHS
Job 14 in the SBIIS
Job 14 in the SBIIS2
Job 14 in the SBIIS3
Job 14 in the SBIKS
Job 14 in the SBIKS2
Job 14 in the SBIMS
Job 14 in the SBIOS
Job 14 in the SBIPS
Job 14 in the SBISS
Job 14 in the SBITS
Job 14 in the SBITS2
Job 14 in the SBITS3
Job 14 in the SBITS4
Job 14 in the SBIUS
Job 14 in the SBIVS
Job 14 in the SBT
Job 14 in the SBT1E
Job 14 in the SCHL
Job 14 in the SNT
Job 14 in the SUSU
Job 14 in the SUSU2
Job 14 in the SYNO
Job 14 in the TBIAOTANT
Job 14 in the TBT1E
Job 14 in the TBT1E2
Job 14 in the TFTIP
Job 14 in the TFTU
Job 14 in the TGNTATF3T
Job 14 in the THAI
Job 14 in the TNFD
Job 14 in the TNT
Job 14 in the TNTIK
Job 14 in the TNTIL
Job 14 in the TNTIN
Job 14 in the TNTIP
Job 14 in the TNTIZ
Job 14 in the TOMA
Job 14 in the TTENT
Job 14 in the UBG
Job 14 in the UGV
Job 14 in the UGV2
Job 14 in the VBL
Job 14 in the VDCC
Job 14 in the YALU
Job 14 in the YAPE
Job 14 in the YBVTP
Job 14 in the ZBP