Joshua 5 (UGV3)
1 Yih ḳhabar Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ ābād tamām Amorī bādshāhoṅ aur sāhilī ilāqe meṅ ābād tamām Kanānī bādshāhoṅ tak pahuṅch gaī ki Rab ne Isrāīliyoṅ ke sāmne dariyā ko us waqt tak ḳhushk kar diyā jab tak sab ne pār na kar liyā thā. Tab un kī himmat ṭūṭ gaī aur un meṅ Isrāīliyoṅ kā sāmnā karne kī jurrat na rahī. 2 Us waqt Rab ne Yashua se kahā, “Patthar kī chhuriyāṅ banā kar pahle kī tarah Isrāīliyoṅ kā ḳhatnā karwā de.” 3 Chunāṅche Yashua ne patthar kī chhuriyāṅ banā kar ek jagah par Isrāīliyoṅ kā ḳhatnā karwāyā jis kā nām bād meṅ ‘Ḳhatnā Pahāṛ’ rakhā gayā. 4 Bāt yih thī ki jo mard Misr se nikalte waqt jang karne ke qābil the wuh registān meṅ chalte chalte mar chuke the. 5 Misr se rawānā hone wāle in tamām mardoṅ kā ḳhatnā huā thā, lekin jitne laṛkoṅ kī paidāish registān meṅ huī thī un kā ḳhatnā nahīṅ huā thā. 6 Chūṅki Isrāīlī Rab ke tābe nahīṅ rahe the is lie us ne qasam khāī thī ki wuh us mulk ko nahīṅ dekheṅge jis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai aur jis kā wādā us ne qasam khā kar un ke bāpdādā se kiyā thā. Natīje meṅ Isrāīlī fauran mulk meṅ dāḳhil na ho sake balki unheṅ us waqt tak registān meṅ phirnā paṛā jab tak wuh tamām mard mar na gae jo Misr se nikalte waqt jang karne ke qābil the. 7 Un kī jagah Rab ne un ke beṭoṅ ko khaṛā kiyā thā. Yashua ne unhīṅ kā ḳhatnā karwāyā. Un kā ḳhatnā is lie huā ki registān meṅ safr ke daurān un kā ḳhatnā nahīṅ kiyā gayā thā. 8 Pūrī qaum ke mardoṅ kā ḳhatnā hone ke bād wuh us waqt tak ḳhaimāgāh meṅ rahe jab tak un ke zaḳhm ṭhīk nahīṅ ho gae the. 9 Aur Rab ne Yashua se kahā, “Āj maiṅ ne Misr kī ruswāī tum se dūr kar dī hai.” Is lie us jagah kā nām āj tak Jiljāl yānī Luṛhkānā rahā hai. 10 Jab Isrāīlī Yarīhū ke maidānī ilāqe meṅ wāqe Jiljāl meṅ ḳhaimāzan the to unhoṅ ne Fasah kī Īd bhī manāī. Mahīne kā chaudhwāṅ din thā, 11 aur agle hī din wuh pahlī dafā us mulk kī paidāwār meṅ se beḳhamīrī roṭī aur anāj ke bhune hue dāne khāne lage. 12 Us ke bād ke din man kā silsilā ḳhatm huā aur Isrāīliyoṅ ke lie yih sahūlat na rahī. Us sāl se wuh Kanān kī paidāwār se khāne lage. 13 Ek din Yashua Yarīhū Shahr ke qarīb thā. Achānak ek ādmī us ke sāmne khaṛā nazar āyā jis ke hāth meṅ nangī talwār thī. Yashua ne us ke pās jā kar pūchhā, “Kyā āp hamāre sāth yā hamāre dushmanoṅ ke sāth haiṅ?” 14 Ādmī ne kahā, “Nahīṅ, maiṅ Rab ke lashkar kā sardār hūṅ aur abhī abhī tere pās pahuṅchā hūṅ.”Yih sun kar Yashua ne gir kar use sijdā kiyā aur pūchhā, “Mere āqā apne ḳhādim ko kyā farmānā chāhte haiṅ?” 15 Rab ke lashkar ke sardār ne jawāb meṅ kahā, “Apne jūte utār de, kyoṅki jis jagah par tū khaṛā hai wuh muqaddas hai.” Yashua ne aisā hī kiyā.
In Other Versions
Joshua 5 in the ANGEFD
Joshua 5 in the ANTPNG2D
Joshua 5 in the AS21
Joshua 5 in the BAGH
Joshua 5 in the BBPNG
Joshua 5 in the BBT1E
Joshua 5 in the BDS
Joshua 5 in the BEV
Joshua 5 in the BHAD
Joshua 5 in the BIB
Joshua 5 in the BLPT
Joshua 5 in the BNT
Joshua 5 in the BNTABOOT
Joshua 5 in the BNTLV
Joshua 5 in the BOATCB
Joshua 5 in the BOATCB2
Joshua 5 in the BOBCV
Joshua 5 in the BOCNT
Joshua 5 in the BOECS
Joshua 5 in the BOGWICC
Joshua 5 in the BOHCB
Joshua 5 in the BOHCV
Joshua 5 in the BOHLNT
Joshua 5 in the BOHNTLTAL
Joshua 5 in the BOICB
Joshua 5 in the BOILNTAP
Joshua 5 in the BOITCV
Joshua 5 in the BOKCV
Joshua 5 in the BOKCV2
Joshua 5 in the BOKHWOG
Joshua 5 in the BOKSSV
Joshua 5 in the BOLCB
Joshua 5 in the BOLCB2
Joshua 5 in the BOMCV
Joshua 5 in the BONAV
Joshua 5 in the BONCB
Joshua 5 in the BONLT
Joshua 5 in the BONUT2
Joshua 5 in the BOPLNT
Joshua 5 in the BOSCB
Joshua 5 in the BOSNC
Joshua 5 in the BOTLNT
Joshua 5 in the BOVCB
Joshua 5 in the BOYCB
Joshua 5 in the BPBB
Joshua 5 in the BPH
Joshua 5 in the BSB
Joshua 5 in the CCB
Joshua 5 in the CUV
Joshua 5 in the CUVS
Joshua 5 in the DBT
Joshua 5 in the DGDNT
Joshua 5 in the DHNT
Joshua 5 in the DNT
Joshua 5 in the ELBE
Joshua 5 in the EMTV
Joshua 5 in the ESV
Joshua 5 in the FBV
Joshua 5 in the FEB
Joshua 5 in the GGMNT
Joshua 5 in the GNT
Joshua 5 in the HARY
Joshua 5 in the HNT
Joshua 5 in the IRVA
Joshua 5 in the IRVB
Joshua 5 in the IRVG
Joshua 5 in the IRVH
Joshua 5 in the IRVK
Joshua 5 in the IRVM
Joshua 5 in the IRVM2
Joshua 5 in the IRVO
Joshua 5 in the IRVP
Joshua 5 in the IRVT
Joshua 5 in the IRVT2
Joshua 5 in the IRVU
Joshua 5 in the ISVN
Joshua 5 in the JSNT
Joshua 5 in the KAPI
Joshua 5 in the KBT1ETNIK
Joshua 5 in the KBV
Joshua 5 in the KJV
Joshua 5 in the KNFD
Joshua 5 in the LBA
Joshua 5 in the LBLA
Joshua 5 in the LNT
Joshua 5 in the LSV
Joshua 5 in the MAAL
Joshua 5 in the MBV
Joshua 5 in the MBV2
Joshua 5 in the MHNT
Joshua 5 in the MKNFD
Joshua 5 in the MNG
Joshua 5 in the MNT
Joshua 5 in the MNT2
Joshua 5 in the MRS1T
Joshua 5 in the NAA
Joshua 5 in the NASB
Joshua 5 in the NBLA
Joshua 5 in the NBS
Joshua 5 in the NBVTP
Joshua 5 in the NET2
Joshua 5 in the NIV11
Joshua 5 in the NNT
Joshua 5 in the NNT2
Joshua 5 in the NNT3
Joshua 5 in the PDDPT
Joshua 5 in the PFNT
Joshua 5 in the RMNT
Joshua 5 in the SBIAS
Joshua 5 in the SBIBS
Joshua 5 in the SBIBS2
Joshua 5 in the SBICS
Joshua 5 in the SBIDS
Joshua 5 in the SBIGS
Joshua 5 in the SBIHS
Joshua 5 in the SBIIS
Joshua 5 in the SBIIS2
Joshua 5 in the SBIIS3
Joshua 5 in the SBIKS
Joshua 5 in the SBIKS2
Joshua 5 in the SBIMS
Joshua 5 in the SBIOS
Joshua 5 in the SBIPS
Joshua 5 in the SBISS
Joshua 5 in the SBITS
Joshua 5 in the SBITS2
Joshua 5 in the SBITS3
Joshua 5 in the SBITS4
Joshua 5 in the SBIUS
Joshua 5 in the SBIVS
Joshua 5 in the SBT
Joshua 5 in the SBT1E
Joshua 5 in the SCHL
Joshua 5 in the SNT
Joshua 5 in the SUSU
Joshua 5 in the SUSU2
Joshua 5 in the SYNO
Joshua 5 in the TBIAOTANT
Joshua 5 in the TBT1E
Joshua 5 in the TBT1E2
Joshua 5 in the TFTIP
Joshua 5 in the TFTU
Joshua 5 in the TGNTATF3T
Joshua 5 in the THAI
Joshua 5 in the TNFD
Joshua 5 in the TNT
Joshua 5 in the TNTIK
Joshua 5 in the TNTIL
Joshua 5 in the TNTIN
Joshua 5 in the TNTIP
Joshua 5 in the TNTIZ
Joshua 5 in the TOMA
Joshua 5 in the TTENT
Joshua 5 in the UBG
Joshua 5 in the UGV
Joshua 5 in the UGV2
Joshua 5 in the VBL
Joshua 5 in the VDCC
Joshua 5 in the YALU
Joshua 5 in the YAPE
Joshua 5 in the YBVTP
Joshua 5 in the ZBP