Luke 11 (UGV3)

1 Ek din Īsā kahīṅ duā kar rahā thā. Jab wuh fāriġh huā to us ke kisī shāgird ne kahā, “Ḳhudāwand, hameṅ duā karnā sikhāeṅ, jis tarah Yahyā ne bhī apne shāgirdoṅ ko duā karne kī tālīm dī.” 2 Īsā ne kahā, “Duā karte waqt yoṅ kahnā,Ai Bāp,terā nām muqaddas mānā jāe.Terī bādshāhī āe. 3 Har roz hameṅ hamārī roz kī roṭī de. 4 Hamāre gunāhoṅ ko muāf kar.Kyoṅki ham bhī har ek ko muāf karte haiṅjo hamārā gunāh kartā hai. Aur hameṅ āzmāish meṅ na paṛne de.” 5 Phir us ne un se kahā, “Agar tum meṅ se koī ādhī rāt ke waqt apne dost ke ghar jā kar kahe, ‘Bhāī, mujhe tīn roṭiyāṅ de, bād meṅ maiṅ yih wāpas kar dūṅgā. 6 Kyoṅki merā dost safr karke mere pās āyā hai aur maiṅ use khāne ke lie kuchh nahīṅ de saktā.’ 7 Ab farz karo ki yih dost andar se jawāb de, ‘Mehrbānī karke mujhe tang na kar. Darwāze par tālā lagā hai aur mere bachche mere sāth bistar par haiṅ, is lie maiṅ tujhe dene ke lie uṭh nahīṅ saktā.’ 8 Lekin maiṅ tum ko yih batātā hūṅ ki agar wuh dostī kī ḳhātir na bhī uṭhe, to bhī wuh apne dost ke bejā isrār kī wajah se us kī tamām zarūrat pūrī karegā. 9 Chunāṅche māṅgte raho to tum ko diyā jāegā, ḍhūṅḍte raho to tum ko mil jāegā. Khaṭkhaṭāte raho to tumhāre lie darwāzā khol diyā jāegā. 10 Kyoṅki jo bhī māṅgtā hai wuh pātā hai, jo ḍhūṅḍtā hai use miltā hai aur jo khaṭkhaṭātā hai us ke lie darwāzā khol diyā jātā hai. 11 Tum bāpoṅ meṅ se kaun apne beṭe ko sāṅp degā agar wuh machhlī māṅge? 12 Yā kaun use bichchhū degā agar wuh anḍā māṅge? Koī nahīṅ! 13 Jab tum bure hone ke bāwujūd itne samajhdār ho ki apne bachchoṅ ko achchhī chīzeṅ de sakte ho to phir kitnī zyādā yaqīnī bāt hai ki āsmānī Bāp apne māṅgne wāloṅ ko Rūhul-quds degā.” 14 Ek din Īsā ne ek aisī badrūh nikāl dī jo gūṅgī thī. Jab wuh gūṅge ādmī meṅ se niklī to wuh bolne lagā. Wahāṅ par jamā log hakkā-bakkā rah gae. 15 Lekin bāz ne kahā, “Yih to badrūhoṅ ke sardār Bāl-zabūl kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hai.” 16 Auroṅ ne use āzmāne ke lie kisī ilāhī nishān kā mutālabā kiyā. 17 Lekin Īsā ne un ke ḳhayālāt jān kar kahā, “Jis bādshāhī meṅ bhī phūṭ paṛ jāe wuh tabāh ho jāegī, aur jis gharāne kī aisī hālat ho wuh bhī ḳhāk meṅ mil jāegā. 18 Tum kahte ho ki maiṅ Bāl-zabūl kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hūṅ. Lekin agar Iblīs meṅ phūṭ paṛ gaī hai to phir us kī bādshāhī kis tarah qāym rah saktī hai? 19 Dūsrā sawāl yih hai, agar maiṅ Bāl-zabūl kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hūṅ to tumhāre beṭe unheṅ kis ke zariye nikālte haiṅ? Chunāṅche wuhī is bāt meṅ tumhāre munsif hoṅge. 20 Lekin agar maiṅ Allāh kī qudrat se badrūhoṅ ko nikāltā hūṅ to phir Allāh kī bādshāhī tumhāre pās pahuṅch chukī hai. 21 Jab tak koī zorāwar ādmī hathiyāroṅ se lais apne ḍere kī pahrādārī kare us waqt tak us kī milkiyat mahfūz rahtī hai. 22 Lekin agar koī zyādā tāqatwar shaḳhs hamlā karke us par ġhālib āe to wuh us ke aslāh par qabzā karegā jis par us kā bharosā thā, aur lūṭā huā māl apne logoṅ meṅ taqsīm kar degā. 23 Jo mere sāth nahīṅ wuh mere ḳhilāf hai aur jo mere sāth jamā nahīṅ kartā wuh bikhertā hai. 24 Jab koī badrūh kisī shaḳhs meṅ se nikaltī hai to wuh wīrān ilāqoṅ meṅ se guzartī huī ārām kī jagah talāsh kartī hai. Lekin jab use koī aisā maqām nahīṅ miltā to wuh kahtī hai, ‘Maiṅ apne us ghar meṅ wāpas chalī jāūṅgī jis meṅ se niklī thī.’ 25 Wuh wāpas ā kar deḳhtī hai ki kisī ne jhāṛū de kar sab kuchh salīqe se rakh diyā hai. 26 Phir wuh jā kar sāt aur badrūheṅ ḍhūnḍ lātī hai jo us se badtar hotī haiṅ, aur wuh sab us shaḳhs meṅ ghus kar rahne lagtī haiṅ. Chunāṅche ab us ādmī kī hālat pahle kī nisbat zyādā burī ho jātī hai.” 27 Īsā abhī yih bāt kar hī rahā thā ki ek aurat ne ūṅchī āwāz se kahā, “Āp kī māṅ mubārak hai jis ne āp ko janm diyā aur āp ko dūdh pilāyā.” 28 Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Bāt yih nahīṅ hai. Haqīqat meṅ wuh mubārak haiṅ jo Allāh kā kalām sun kar us par amal karte haiṅ.” 29 Sunane wāloṅ kī tādād bahut baṛh gaī to wuh kahne lagā, “Yih nasl sharīr hai, kyoṅki yih mujh se ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. Lekin ise koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā siwāe Yūnus ke nishān ke. 30 Kyoṅki jis tarah Yūnus Nīnwā Shahr ke bāshindoṅ ke lie nishān thā bilkul usī tarah Ibn-e-Ādam is nasl ke lie nishān hogā. 31 Qiyāmat ke din junūbī mulk Sabā kī malikā is nasl ke logoṅ ke sāth khaṛī ho kar unheṅ mujrim qarār degī. Kyoṅki wuh dūr-darāz mulk se Sulemān kī hikmat sunane ke lie āī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Sulemān se bhī baṛā hai. 32 Us din Nīnwā ke bāshinde bhī is nasl ke logoṅ ke sāth khaṛe ho kar unheṅ mujrim ṭhahrāeṅge. Kyoṅki Yūnus ke elān par unhoṅ ne taubā kī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Yūnus se bhī baṛā hai. 33 Jab koī shaḳhs charāġh jalātā hai to na wuh use chhupātā, na bartan ke nīche rakhtā balki use shamādān par rakh detā hai tāki us kī raushnī andar āne wāloṅ ko nazar āe. 34 Terī āṅkh tere badan kā charāġh hai. Agar terī āṅkh ṭhīk ho to terā pūrā jism raushan hogā. Lekin agar āṅkh ḳharāb ho to pūrā jism andherā hī andherā hogā. 35 Ḳhabardār! Aisā na ho ki jo raushnī tere andar hai wuh haqīqat meṅ tārīkī ho. 36 Chunāṅche agar terā pūrā jism raushan ho aur koī bhī hissā tārīk na ho to phir wuh bilkul raushan hogā, aisā jaisā us waqt hotā hai jab charāġh tujhe apne chamakne-damakne se raushan kar detā hai.” 37 Īsā abhī bāt kar rahā thā ki kisī Farīsī ne use khāne kī dāwat dī. Chunāṅche wuh us ke ghar meṅ jā kar khāne ke lie baiṭh gayā. 38 Mezbān baṛā hairān huā, kyoṅki us ne dekhā ki Īsā hāth dhoe baġhair khāne ke lie baiṭh gayā hai. 39 Lekin Ḳhudāwand ne us se kahā, “Dekho, tum Farīsī bāhar se har pyāle aur bartan kī safāī karte ho, lekin andar se tum lūṭ-mār aur sharārat se bhare hote ho. 40 Nādāno! Allāh ne bāhar wāle hisse ko ḳhalaq kiyā, to kyā us ne andar wāle hisse ko nahīṅ banāyā? 41 Chunāṅche jo kuchh bartan ke andar hai use ġharīboṅ ko de do. Phir tumhāre lie sab kuchh pāk-sāf hogā. 42 Farīsiyo, tum par afsos! Kyoṅki ek taraf tum paudīnā, sadāb aur bāġh kī har qism kī tarkārī kā daswāṅ hissā Allāh ke lie maḳhsūs karte ho, lekin dūsrī taraf tum insāf aur Allāh kī muhabbat ko nazarandāz karte ho. Lāzim hai ki tum yih kām bhī karo aur pahlā bhī na chhoṛo. 43 Farīsiyo, tum par afsos! Kyoṅki tum ibādatḳhānoṅ kī izzat kī kursiyoṅ par baiṭhne ke lie bechain rahte aur bāzār meṅ logoṅ kā salām sunane ke lie taṛapte ho. 44 Hāṅ, tum par afsos! Kyoṅki tum poshīdā qabroṅ kī mānind ho jin par se log nādānistā taur par guzarte haiṅ.” 45 Sharīat ke ek ālim ne etarāz kiyā, “Ustād, āp yih kah kar hamārī bhī be'izzatī karte haiṅ.” 46 Īsā ne jawāb diyā, “Tum sharīat ke ālimoṅ par bhī afsos! Kyoṅki tum logoṅ par bhārī bojh ḍāl dete ho jo mushkil se uṭhāyā jā saktā hai. Na sirf yih balki tum ḳhud is bojh ko apnī ek unglī bhī nahīṅ lagāte. 47 Tum par afsos! Kyoṅki tum nabiyoṅ ke mazār banā dete ho, un ke jinheṅ tumhāre bāpdādā ne mār ḍālā. 48 Is se tum gawāhī dete ho ki tum wuh kuchh pasand karte ho jo tumhāre bāpdādā ne kiyā. Unhoṅ ne nabiyoṅ ko qatl kiyā jabki tum un ke mazār tāmīr karte ho. 49 Is lie Allāh kī hikmat ne kahā, ‘Maiṅ un meṅ nabī aur rasūl bhej dūṅgī. Un meṅ se bāz ko wuh qatl kareṅge aur bāz ko satāeṅge.’ 50 Natīje meṅ yih nasl tamām nabiyoṅ ke qatl kī zimmedār ṭhahregī—duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak, 51 yānī Hābīl ke qatl se le kar Zakariyāh ke qatl tak, jise Baitul-muqaddas ke sahan meṅ maujūd qurbāngāh aur Baitul-muqaddas ke darwāze ke darmiyān qatl kiyā gayā. Hāṅ, maiṅ tum ko batātā hūṅ ki yih nasl zarūr un kī zimmedār ṭhahregī. 52 Sharīat ke ālimo, tum par afsos! Kyoṅki tum ne ilm kī kunjī ko chhīn liyā hai. Na sirf yih ki tum ḳhud dāḳhil nahīṅ hue, balki tum ne dāḳhil hone wāloṅ ko bhī rok liyā.” 53 Jab Īsā wahāṅ se niklā to ālim aur Farīsī us ke saḳht muḳhālif ho gae aur baṛe ġhaur se us kī pūchh-gachh karne lage. 54 Wuh is tāk meṅ rahe ki use muṅh se niklī kisī bāt kī wajah se pakaṛeṅ.

In Other Versions

Luke 11 in the ANGEFD

Luke 11 in the ANTPNG2D

Luke 11 in the AS21

Luke 11 in the BAGH

Luke 11 in the BBPNG

Luke 11 in the BBT1E

Luke 11 in the BDS

Luke 11 in the BEV

Luke 11 in the BHAD

Luke 11 in the BIB

Luke 11 in the BLPT

Luke 11 in the BNT

Luke 11 in the BNTABOOT

Luke 11 in the BNTLV

Luke 11 in the BOATCB

Luke 11 in the BOATCB2

Luke 11 in the BOBCV

Luke 11 in the BOCNT

Luke 11 in the BOECS

Luke 11 in the BOGWICC

Luke 11 in the BOHCB

Luke 11 in the BOHCV

Luke 11 in the BOHLNT

Luke 11 in the BOHNTLTAL

Luke 11 in the BOICB

Luke 11 in the BOILNTAP

Luke 11 in the BOITCV

Luke 11 in the BOKCV

Luke 11 in the BOKCV2

Luke 11 in the BOKHWOG

Luke 11 in the BOKSSV

Luke 11 in the BOLCB

Luke 11 in the BOLCB2

Luke 11 in the BOMCV

Luke 11 in the BONAV

Luke 11 in the BONCB

Luke 11 in the BONLT

Luke 11 in the BONUT2

Luke 11 in the BOPLNT

Luke 11 in the BOSCB

Luke 11 in the BOSNC

Luke 11 in the BOTLNT

Luke 11 in the BOVCB

Luke 11 in the BOYCB

Luke 11 in the BPBB

Luke 11 in the BPH

Luke 11 in the BSB

Luke 11 in the CCB

Luke 11 in the CUV

Luke 11 in the CUVS

Luke 11 in the DBT

Luke 11 in the DGDNT

Luke 11 in the DHNT

Luke 11 in the DNT

Luke 11 in the ELBE

Luke 11 in the EMTV

Luke 11 in the ESV

Luke 11 in the FBV

Luke 11 in the FEB

Luke 11 in the GGMNT

Luke 11 in the GNT

Luke 11 in the HARY

Luke 11 in the HNT

Luke 11 in the IRVA

Luke 11 in the IRVB

Luke 11 in the IRVG

Luke 11 in the IRVH

Luke 11 in the IRVK

Luke 11 in the IRVM

Luke 11 in the IRVM2

Luke 11 in the IRVO

Luke 11 in the IRVP

Luke 11 in the IRVT

Luke 11 in the IRVT2

Luke 11 in the IRVU

Luke 11 in the ISVN

Luke 11 in the JSNT

Luke 11 in the KAPI

Luke 11 in the KBT1ETNIK

Luke 11 in the KBV

Luke 11 in the KJV

Luke 11 in the KNFD

Luke 11 in the LBA

Luke 11 in the LBLA

Luke 11 in the LNT

Luke 11 in the LSV

Luke 11 in the MAAL

Luke 11 in the MBV

Luke 11 in the MBV2

Luke 11 in the MHNT

Luke 11 in the MKNFD

Luke 11 in the MNG

Luke 11 in the MNT

Luke 11 in the MNT2

Luke 11 in the MRS1T

Luke 11 in the NAA

Luke 11 in the NASB

Luke 11 in the NBLA

Luke 11 in the NBS

Luke 11 in the NBVTP

Luke 11 in the NET2

Luke 11 in the NIV11

Luke 11 in the NNT

Luke 11 in the NNT2

Luke 11 in the NNT3

Luke 11 in the PDDPT

Luke 11 in the PFNT

Luke 11 in the RMNT

Luke 11 in the SBIAS

Luke 11 in the SBIBS

Luke 11 in the SBIBS2

Luke 11 in the SBICS

Luke 11 in the SBIDS

Luke 11 in the SBIGS

Luke 11 in the SBIHS

Luke 11 in the SBIIS

Luke 11 in the SBIIS2

Luke 11 in the SBIIS3

Luke 11 in the SBIKS

Luke 11 in the SBIKS2

Luke 11 in the SBIMS

Luke 11 in the SBIOS

Luke 11 in the SBIPS

Luke 11 in the SBISS

Luke 11 in the SBITS

Luke 11 in the SBITS2

Luke 11 in the SBITS3

Luke 11 in the SBITS4

Luke 11 in the SBIUS

Luke 11 in the SBIVS

Luke 11 in the SBT

Luke 11 in the SBT1E

Luke 11 in the SCHL

Luke 11 in the SNT

Luke 11 in the SUSU

Luke 11 in the SUSU2

Luke 11 in the SYNO

Luke 11 in the TBIAOTANT

Luke 11 in the TBT1E

Luke 11 in the TBT1E2

Luke 11 in the TFTIP

Luke 11 in the TFTU

Luke 11 in the TGNTATF3T

Luke 11 in the THAI

Luke 11 in the TNFD

Luke 11 in the TNT

Luke 11 in the TNTIK

Luke 11 in the TNTIL

Luke 11 in the TNTIN

Luke 11 in the TNTIP

Luke 11 in the TNTIZ

Luke 11 in the TOMA

Luke 11 in the TTENT

Luke 11 in the UBG

Luke 11 in the UGV

Luke 11 in the UGV2

Luke 11 in the VBL

Luke 11 in the VDCC

Luke 11 in the YALU

Luke 11 in the YAPE

Luke 11 in the YBVTP

Luke 11 in the ZBP