Luke 12 (UGV3)

1 Itne meṅ kaī hazār log jamā ho gae the. Baṛī tādād kī wajah se wuh ek dūsre par gire paṛte the. Phir Īsā apne shāgirdoṅ se yih bāt karne lagā, “Farīsiyoṅ ke ḳhamīr yānī riyākārī se ḳhabardār! 2 Jo kuchh bhī abhī chhupā huā hai use āḳhir meṅ zāhir kiyā jāegā aur jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai us kā rāz āḳhir meṅ khul jāegā. 3 Is lie jo kuchh tum ne andhere meṅ kahā hai wuh roz-e-raushan meṅ sunāyā jāegā aur jo kuchh tum ne andarūnī kamroṅ kā darwāzā band karke āhistā āhistā kān meṅ bayān kiyā hai us kā chhatoṅ se elān kiyā jāegā. 4 Mere azīzo, un se mat ḍarnā jo sirf jism ko qatl karte haiṅ aur mazīd nuqsān nahīṅ pahuṅchā sakte. 5 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki kis se ḍarnā hai. Allāh se ḍaro, jo tumheṅ halāk karne ke bād jahannum meṅ phaiṅkne kā iḳhtiyār bhī rakhtā hai. Jī hāṅ, usī se ḳhauf khāo. 6 Kyā pāṅch chiṛiyāṅ do paisoṅ meṅ nahīṅ biktīṅ? To bhī Allāh har ek kī fikr karke ek ko bhī nahīṅ bhūltā. 7 Hāṅ, balki tumhāre sar ke sab bāl bhī gine hue haiṅ. Lihāzā mat ḍaro. Tumhārī qadar-o-qīmat bahut-sī chiṛiyoṅ se kahīṅ zyādā hai. 8 Maiṅ tum ko batātā hūṅ, jo bhī logoṅ ke sāmne merā iqrār kare us kā iqrār Ibn-e-Ādam bhī farishtoṅ ke sāmne karegā. 9 Lekin jo logoṅ ke sāmne merā inkār kare us kā bhī Allāh ke farishtoṅ ke sāmne inkār kiyā jāegā. 10 Aur jo bhī Ibn-e-Ādam ke ḳhilāf bāt kare use muāf kiyā jā saktā hai. Lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bake use muāf nahīṅ kiyā jāegā. 11 Jab log tum ko ibādatḳhānoṅ meṅ aur hākimoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ ke sāmne ghasīṭ kar le jāeṅge to yih sochte sochte pareshān na ho jānā ki maiṅ kis tarah apnā difā karūṅ yā kyā kahūṅ, 12 kyoṅki Rūhul-quds tum ko usī waqt sikhā degā ki tum ko kyā kahnā hai.” 13 Kisī ne bhīṛ meṅ se kahā, “Ustād, mere bhāī se kaheṅ ki mīrās kā merā hissā mujhe de.” 14 Īsā ne jawāb diyā, “Bhaī, kis ne mujhe tum par jaj yā taqsīm karne wālā muqarrar kiyā hai?” 15 Phir us ne un se mazīd kahā, “Ḳhabardār! Har qism ke lālach se bache rahnā, kyoṅki insān kī zindagī us ke māl-o-daulat kī kasrat par munhasir nahīṅ.” 16 Us ne unheṅ ek tamsīl sunāī. “Kisī amīr ādmī kī zamīn meṅ achchhī fasal paidā huī. 17 Chunāṅche wuh sochne lagā, ‘Ab maiṅ kyā karūṅ? Mere pās to itnī jagah nahīṅ jahāṅ maiṅ sab kuchh jamā karke rakhūṅ.’ 18 Phir us ne kahā, ‘Maiṅ yih karūṅga ki apne godāmoṅ ko ḍhā kar in se baṛe tāmīr karūṅga. Un meṅ apnā tamām anāj aur bāqī paidāwār jamā kar lūṅgā. 19 Phir maiṅ apne āp se kahūṅgā ki lo, in achchhī chīzoṅ se terī zarūriyāt bahut sāloṅ tak pūrī hotī raheṅgī. Ab ārām kar. Khā, pī aur ḳhushī manā.’ 20 Lekin Allāh ne us se kahā, ‘Ahmaq! Isī rāt tū mar jāegā. To phir jo chīzeṅ tū ne jamā kī haiṅ wuh kis kī hoṅgī?’ 21 Yihī us shaḳhs kā anjām hai jo sirf apne lie chīzeṅ jamā kartā hai jabki wuh Allāh ke sāmne ġharīb hai.” 22 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Is lie apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke lie pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ. Aur jism ke lie fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahnūṅ. 23 Zindagī to khāne se zyādā aham hai aur jism poshāk se zyādā. 24 Kawwoṅ par ġhaur karo. Na wuh bīj bote, na fasleṅ kāṭte haiṅ. Un ke pās na sṭor hotā hai, na godām. To bhī Allāh ḳhud unheṅ khānā khilātā hai. Aur tumhārī qadar-o-qīmat to parindoṅ se kahīṅ zyādā hai. 25 Kyā tum meṅ se koī fikr karte karte apnī zindagī meṅ ek lamhe kā bhī izāfā kar saktā hai? 26 Agar tum fikr karne se itnī chhoṭī-sī tabdīlī bhī nahīṅ lā sakte to phir tum bāqī bātoṅ ke bāre meṅ kyoṅ fikrmand ho? 27 Ġhaur karo ki sosan ke phūl kis tarah ugte haiṅ. Na wuh mehnat karte, na kātte haiṅ. Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki Sulemān Bādshāh apnī pūrī shān-o-shaukat ke bāwujūd aise shāndār kapṛoṅ se mulabbas nahīṅ thā jaise un meṅ se ek. 28 Agar Allāh us ghās ko jo āj maidān meṅ hai aur kal āg meṅ jhoṅkī jāegī aisā shāndār libās pahnātā hai to ai kam-etaqādo, wuh tum ko pahnāne ke lie kyā kuchh nahīṅ karegā? 29 Is kī talāsh meṅ na rahnā ki kyā khāoge yā kyā piyoge. Aisī bātoṅ kī wajah se bechain na raho. 30 Kyoṅki duniyā meṅ jo īmān nahīṅ rakhte wuhī in tamām chīzoṅ ke pīchhe bhāgte rahte haiṅ, jabki tumhāre Bāp ko pahle se mālūm hai ki tum ko in kī zarūrat hai. 31 Chunāṅche usī kī bādshāhī kī talāsh meṅ raho. Phir yih tamām chīzeṅ bhī tum ko mil jāeṅgī. 32 Ai chhoṭe galle, mat ḍarnā, kyoṅki tumhāre Bāp ne tum ko bādshāhī denā pasand kiyā. 33 Apnī milkiyat bech kar ġharīboṅ ko de denā. Apne lie aise baṭwe banwāo jo nahīṅ ghiste. Apne lie āsmān par aisā ḳhazānā jamā karo jo kabhī ḳhatm nahīṅ hogā aur jahāṅ na koī chor āegā, na koī kīṛā use ḳharāb karegā. 34 Kyoṅki jahāṅ tumhārā ḳhazānā hai wahīṅ tumhārā dil bhī lagā rahegā. 35 Ḳhidmat ke lie taiyār khaṛe raho aur is par dhyān do ki tumhāre charāġh jalte raheṅ. 36 Yānī aise naukaroṅ kī mānind jin kā mālik kisī shādī se wāpas āne wālā hai aur wuh us ke lie taiyār khaṛe haiṅ. Jyoṅ hī wuh ā kar dastak de wuh darwāze ko khol deṅge. 37 Wuh naukar mubārak haiṅ jinheṅ mālik ā kar jāgte hue aur chaukas pāegā. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih dekh kar mālik apne kapṛe badal kar unheṅ biṭhāegā aur mez par un kī ḳhidmat karegā. 38 Ho saktā hai mālik ādhī rāt yā is ke bād āe. Agar wuh is sūrat meṅ bhī unheṅ musta'id pāe to wuh mubārak haiṅ. 39 Yaqīn jāno, agar kisī ghar ke mālik ko patā hotā ki chor kab āegā to wuh zarūr use ghar meṅ naqb lagāne na detā. 40 Tum bhī taiyār raho, kyoṅki Ibn-e-Ādam aise waqt āegā jab tum is kī tawaqqo nahīṅ karoge.” 41 Patras ne pūchhā, “Ḳhudāwand, kyā yih tamsīl sirf hamāre lie hai yā sab ke lie?” 42 Ḳhudāwand ne jawāb diyā, “Kaun-sā naukar wafādār aur samajhdār hai? Farz karo ki ghar ke mālik ne kisī naukar ko bāqī naukaroṅ par muqarrar kiyā ho. Us kī ek zimmedārī yih bhī hai ki unheṅ waqt par munāsib khānā khilāe. 43 Wuh naukar mubārak hogā jo mālik kī wāpasī par yih sab kuchh kar rahā hogā. 44 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih dekh kar mālik use apnī pūrī jāydād par muqarrar karegā. 45 Lekin farz karo ki naukar apne dil meṅ soche, ‘Mālik kī wāpasī meṅ abhī der hai.’ Wuh naukaroṅ aur naukarāniyoṅ ko pīṭne lage aur khāte-pīte wuh nashe meṅ rahe. 46 Agar wuh aisā kare to mālik aise din aur waqt āegā jis kī tawaqqo naukar ko nahīṅ hogī. In hālāt ko dekh kar wuh naukar ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍālegā aur use ġhairīmāndāroṅ meṅ shāmil karegā. 47 Jo naukar apne mālik kī marzī ko jāntā hai, lekin us ke lie taiyāriyāṅ nahīṅ kartā, na use pūrī karne kī koshish kartā hai, us kī ḳhūb piṭāī kī jāegī. 48 Is ke muqābale meṅ wuh jo mālik kī marzī ko nahīṅ jāntā aur is binā par koī qābil-e-sazā kām kare us kī kam piṭāī kī jāegī. Kyoṅki jise bahut diyā gayā ho us se bahut talab kiyā jāegā. Aur jis ke sapurd bahut kuchh kiyā gayā ho us se kahīṅ zyādā māṅgā jāegā. 49 Maiṅ zamīn par āg lagāne āyā hūṅ, aur kāsh wuh pahle hī bhaṛak rahī hotī! 50 Lekin ab tak mere sāmne ek baptismā hai jise lenā zarūrī hai. Aur mujh par kitnā dabāw hai jab tak us kī takmīl na ho jāe. 51 Kyā tum samajhte ho ki maiṅ duniyā meṅ sulah-salāmatī qāym karne āyā hūṅ? Nahīṅ, maiṅ tum ko batātā hūṅ ki is kī bajāe maiṅ iḳhtilāf paidā karūṅga. 52 Kyoṅki ab se ek gharāne ke pāṅch afrād meṅ iḳhtilāf hogā. Tīn do ke ḳhilāf aur do tīn ke ḳhilāf hoṅge. 53 Bāp beṭe ke ḳhilāf hogā aur beṭā bāp ke ḳhilāf, māṅ beṭī ke ḳhilāf aur beṭī māṅ ke ḳhilāf, sās bahū ke ḳhilāf aur bahū sās ke ḳhilāf.” 54 Īsā ne hujūm se yih bhī kahā, “Jyoṅ hī koī bādal maġhribī ufaq se chaṛhtā huā nazar āe to tum kahte ho ki bārish hogī. Aur aisā hī hotā hai. 55 Aur jab junūbī lū chaltī hai to tum kahte ho ki saḳht garmī hogī. Aur aisā hī hotā hai. 56 Ai riyākāro! Tum āsmān-o-zamīn ke hālāt par ġhaur karke sahīh natījā nikāl lete ho. To phir tum maujūdā zamāne ke hālāt par ġhaur karke sahīh natījā kyoṅ nahīṅ nikāl sakte? 57 Tum ḳhud sahīh faislā kyoṅ nahīṅ kar sakte? 58 Farz karo ki kisī ne tujh par muqaddamā chalāyā hai. Agar aisā ho to pūrī koshish kar ki kachahrī meṅ pahuṅchne se pahle pahle muāmalā hal karke muḳhālif se fāriġh ho jāe. Aisā na ho ki wuh tujh ko jaj ke sāmne ghasīṭ kar le jāe, jaj tujhe pulis afsar ke hawāle kare aur pulis afsar tujhe jel meṅ ḍāl de. 59 Maiṅ tujhe batātā hūṅ, wahāṅ se tū us waqt tak nahīṅ nikal pāegā jab tak jurmāne kī pūrī pūrī raqam adā na kar de.”

In Other Versions

Luke 12 in the ANGEFD

Luke 12 in the ANTPNG2D

Luke 12 in the AS21

Luke 12 in the BAGH

Luke 12 in the BBPNG

Luke 12 in the BBT1E

Luke 12 in the BDS

Luke 12 in the BEV

Luke 12 in the BHAD

Luke 12 in the BIB

Luke 12 in the BLPT

Luke 12 in the BNT

Luke 12 in the BNTABOOT

Luke 12 in the BNTLV

Luke 12 in the BOATCB

Luke 12 in the BOATCB2

Luke 12 in the BOBCV

Luke 12 in the BOCNT

Luke 12 in the BOECS

Luke 12 in the BOGWICC

Luke 12 in the BOHCB

Luke 12 in the BOHCV

Luke 12 in the BOHLNT

Luke 12 in the BOHNTLTAL

Luke 12 in the BOICB

Luke 12 in the BOILNTAP

Luke 12 in the BOITCV

Luke 12 in the BOKCV

Luke 12 in the BOKCV2

Luke 12 in the BOKHWOG

Luke 12 in the BOKSSV

Luke 12 in the BOLCB

Luke 12 in the BOLCB2

Luke 12 in the BOMCV

Luke 12 in the BONAV

Luke 12 in the BONCB

Luke 12 in the BONLT

Luke 12 in the BONUT2

Luke 12 in the BOPLNT

Luke 12 in the BOSCB

Luke 12 in the BOSNC

Luke 12 in the BOTLNT

Luke 12 in the BOVCB

Luke 12 in the BOYCB

Luke 12 in the BPBB

Luke 12 in the BPH

Luke 12 in the BSB

Luke 12 in the CCB

Luke 12 in the CUV

Luke 12 in the CUVS

Luke 12 in the DBT

Luke 12 in the DGDNT

Luke 12 in the DHNT

Luke 12 in the DNT

Luke 12 in the ELBE

Luke 12 in the EMTV

Luke 12 in the ESV

Luke 12 in the FBV

Luke 12 in the FEB

Luke 12 in the GGMNT

Luke 12 in the GNT

Luke 12 in the HARY

Luke 12 in the HNT

Luke 12 in the IRVA

Luke 12 in the IRVB

Luke 12 in the IRVG

Luke 12 in the IRVH

Luke 12 in the IRVK

Luke 12 in the IRVM

Luke 12 in the IRVM2

Luke 12 in the IRVO

Luke 12 in the IRVP

Luke 12 in the IRVT

Luke 12 in the IRVT2

Luke 12 in the IRVU

Luke 12 in the ISVN

Luke 12 in the JSNT

Luke 12 in the KAPI

Luke 12 in the KBT1ETNIK

Luke 12 in the KBV

Luke 12 in the KJV

Luke 12 in the KNFD

Luke 12 in the LBA

Luke 12 in the LBLA

Luke 12 in the LNT

Luke 12 in the LSV

Luke 12 in the MAAL

Luke 12 in the MBV

Luke 12 in the MBV2

Luke 12 in the MHNT

Luke 12 in the MKNFD

Luke 12 in the MNG

Luke 12 in the MNT

Luke 12 in the MNT2

Luke 12 in the MRS1T

Luke 12 in the NAA

Luke 12 in the NASB

Luke 12 in the NBLA

Luke 12 in the NBS

Luke 12 in the NBVTP

Luke 12 in the NET2

Luke 12 in the NIV11

Luke 12 in the NNT

Luke 12 in the NNT2

Luke 12 in the NNT3

Luke 12 in the PDDPT

Luke 12 in the PFNT

Luke 12 in the RMNT

Luke 12 in the SBIAS

Luke 12 in the SBIBS

Luke 12 in the SBIBS2

Luke 12 in the SBICS

Luke 12 in the SBIDS

Luke 12 in the SBIGS

Luke 12 in the SBIHS

Luke 12 in the SBIIS

Luke 12 in the SBIIS2

Luke 12 in the SBIIS3

Luke 12 in the SBIKS

Luke 12 in the SBIKS2

Luke 12 in the SBIMS

Luke 12 in the SBIOS

Luke 12 in the SBIPS

Luke 12 in the SBISS

Luke 12 in the SBITS

Luke 12 in the SBITS2

Luke 12 in the SBITS3

Luke 12 in the SBITS4

Luke 12 in the SBIUS

Luke 12 in the SBIVS

Luke 12 in the SBT

Luke 12 in the SBT1E

Luke 12 in the SCHL

Luke 12 in the SNT

Luke 12 in the SUSU

Luke 12 in the SUSU2

Luke 12 in the SYNO

Luke 12 in the TBIAOTANT

Luke 12 in the TBT1E

Luke 12 in the TBT1E2

Luke 12 in the TFTIP

Luke 12 in the TFTU

Luke 12 in the TGNTATF3T

Luke 12 in the THAI

Luke 12 in the TNFD

Luke 12 in the TNT

Luke 12 in the TNTIK

Luke 12 in the TNTIL

Luke 12 in the TNTIN

Luke 12 in the TNTIP

Luke 12 in the TNTIZ

Luke 12 in the TOMA

Luke 12 in the TTENT

Luke 12 in the UBG

Luke 12 in the UGV

Luke 12 in the UGV2

Luke 12 in the VBL

Luke 12 in the VDCC

Luke 12 in the YALU

Luke 12 in the YAPE

Luke 12 in the YBVTP

Luke 12 in the ZBP