Micah 1 (UGV3)
1 Zail meṅ Rab kā wuh kalām darj hai jo Mīkāh Morashtī par Yahūdāh ke bādshāhoṅ Yūtām, Āḳhaz aur Hizqiyāh ke daur-e-hukūmat meṅ nāzil huā. Us ne Sāmariya aur Yarūshalam ke bāre meṅ yih bāteṅ royā meṅ dekhīṅ. 2 Ai tamām aqwām, suno! Ai zamīn aur jo kuchh us par hai, dhyān do! Rab Qādir-e-mutlaq tumhāre ḳhilāf gawāhī de, Qādir-e-mutlaq apne muqaddas ghar kī taraf se gawāhī de. 3 Kyoṅki dekho, Rab apnī sukūnatgāh se nikal rahā hai tāki utar kar zamīn kī bulandiyoṅ par chale. 4 Us ke pāṅwoṅ tale pahāṛ pighal jāeṅge aur wādiyāṅ phaṭ jāeṅgī, wuh āg ke sāmne pighalne wāle mom yā ḍhalān par unḍele gae pānī kī mānind hoṅge. 5 Yih sab kuchh Yāqūb ke jurm, Isrāīlī qaum ke gunāhoṅ ke sabab se ho rahā hai. Kaun Yāqūb ke jurm kā zimmedār hai? Sāmariya! Kis ne Yahūdāh ko buland jaghoṅ par butparastī karne kī tahrīk dī? Yarūshalam ne! 6 Is lie Rab farmātā hai, “Maiṅ Sāmariya ko khule maidān meṅ malbe kā ḍher banā dūṅgā, itnī ḳhālī jagah ki log wahāṅ angūr ke bāġh lagāeṅge. Maiṅ us ke patthar wādī meṅ phaiṅk dūṅgā, use itne dhaṛām se girā dūṅgā ki us kī buniyādeṅ hī nazar āeṅgī. 7 Us ke tamām but ṭukṛe ṭukṛe ho jāeṅge, us kī ismatfaroshī kā pūrā ajr nazar-e-ātish ho jāegā. Maiṅ us ke dewatāoṅ ke tamām mujassamoṅ ko tabāh kar dūṅgā. Kyoṅki Sāmariya ne yih tamām chīzeṅ apnī ismatfaroshī se hāsil kī haiṅ, aur ab yih sab us se chhīn lī jāeṅgī aur dīgar ismatfaroshoṅ ko muāwaze ke taur par dī jāeṅgī.” 8 Is lie maiṅ āh-o-zārī karūṅga, nange pāṅw aur barahnā phirūṅga, gīdaṛoṅ kī tarah wāwailā karūṅga, uqābī ullū kī tarah āheṅ bharūṅga. 9 Kyoṅki Sāmariya kā zaḳhm lā'ilāj hai, aur wuh Mulk-e-Yahūdāh meṅ bhī phail gayā hai, wuh merī qaum ke darwāze yānī Yarūshalam tak pahuṅch gayā hai. 10 Filistī shahr Jāt meṅ yih bāt na batāo, unheṅ apne āṅsū na dikhāo. Bait-lāfrā meṅ ḳhāk meṅ loṭ-poṭ ho jāo. 11 Ai Safīr ke rahne wālo, barahnā aur sharmsār ho kar yahāṅ se guzar jāo. Zānān ke bāshinde nikleṅge nahīṅ. Bait-ezal mātam karegā jab tum se har sahārā chhīn liyā jāegā. 12 Mārot ke basne wāle apne māl ke lie pech-o-tāb khā rahe haiṅ, kyoṅki Rab kī taraf se āfat nāzil ho kar Yarūshalam ke darwāze tak pahuṅch gaī hai. 13 Ai Lakīs ke bāshindo, ghoṛoṅ ko rath meṅ jot kar bhāg jāo. Kyoṅki ibtidā meṅ tum hī Siyyūn Beṭī ke lie gunāh kā bāis ban gae. Tumhīṅ meṅ wuh jarāym maujūd the jo Isrāīl se sarzad ho rahe haiṅ. 14 Is lie tumheṅ tohfe de kar Morashat-jāt ko ruḳhsat karnī paṛegī. Akzīb ke ghar Isrāīl ke bādshāhoṅ ke lie farebdeh sābit hoṅge. 15 Ai Maresā ke logo, maiṅ hone dūṅgā ki ek qabzā karne wālā tum par hamlā karegā. Tab Isrāīl kā jalāl Adullām tak pahuṅchegā. 16 Ai Siyyūn Beṭī, apne bāl kaṭwā kar giddh jaisī ganjī ho jā. Apne lāḍle bachchoṅ par mātam kar, kyoṅki wuh qaidī ban kar tujh se dūr ho jāeṅge.
In Other Versions
Micah 1 in the ANGEFD
Micah 1 in the ANTPNG2D
Micah 1 in the AS21
Micah 1 in the BAGH
Micah 1 in the BBPNG
Micah 1 in the BBT1E
Micah 1 in the BDS
Micah 1 in the BEV
Micah 1 in the BHAD
Micah 1 in the BIB
Micah 1 in the BLPT
Micah 1 in the BNT
Micah 1 in the BNTABOOT
Micah 1 in the BNTLV
Micah 1 in the BOATCB
Micah 1 in the BOATCB2
Micah 1 in the BOBCV
Micah 1 in the BOCNT
Micah 1 in the BOECS
Micah 1 in the BOGWICC
Micah 1 in the BOHCB
Micah 1 in the BOHCV
Micah 1 in the BOHLNT
Micah 1 in the BOHNTLTAL
Micah 1 in the BOICB
Micah 1 in the BOILNTAP
Micah 1 in the BOITCV
Micah 1 in the BOKCV
Micah 1 in the BOKCV2
Micah 1 in the BOKHWOG
Micah 1 in the BOKSSV
Micah 1 in the BOLCB
Micah 1 in the BOLCB2
Micah 1 in the BOMCV
Micah 1 in the BONAV
Micah 1 in the BONCB
Micah 1 in the BONLT
Micah 1 in the BONUT2
Micah 1 in the BOPLNT
Micah 1 in the BOSCB
Micah 1 in the BOSNC
Micah 1 in the BOTLNT
Micah 1 in the BOVCB
Micah 1 in the BOYCB
Micah 1 in the BPBB
Micah 1 in the BPH
Micah 1 in the BSB
Micah 1 in the CCB
Micah 1 in the CUV
Micah 1 in the CUVS
Micah 1 in the DBT
Micah 1 in the DGDNT
Micah 1 in the DHNT
Micah 1 in the DNT
Micah 1 in the ELBE
Micah 1 in the EMTV
Micah 1 in the ESV
Micah 1 in the FBV
Micah 1 in the FEB
Micah 1 in the GGMNT
Micah 1 in the GNT
Micah 1 in the HARY
Micah 1 in the HNT
Micah 1 in the IRVA
Micah 1 in the IRVB
Micah 1 in the IRVG
Micah 1 in the IRVH
Micah 1 in the IRVK
Micah 1 in the IRVM
Micah 1 in the IRVM2
Micah 1 in the IRVO
Micah 1 in the IRVP
Micah 1 in the IRVT
Micah 1 in the IRVT2
Micah 1 in the IRVU
Micah 1 in the ISVN
Micah 1 in the JSNT
Micah 1 in the KAPI
Micah 1 in the KBT1ETNIK
Micah 1 in the KBV
Micah 1 in the KJV
Micah 1 in the KNFD
Micah 1 in the LBA
Micah 1 in the LBLA
Micah 1 in the LNT
Micah 1 in the LSV
Micah 1 in the MAAL
Micah 1 in the MBV
Micah 1 in the MBV2
Micah 1 in the MHNT
Micah 1 in the MKNFD
Micah 1 in the MNG
Micah 1 in the MNT
Micah 1 in the MNT2
Micah 1 in the MRS1T
Micah 1 in the NAA
Micah 1 in the NASB
Micah 1 in the NBLA
Micah 1 in the NBS
Micah 1 in the NBVTP
Micah 1 in the NET2
Micah 1 in the NIV11
Micah 1 in the NNT
Micah 1 in the NNT2
Micah 1 in the NNT3
Micah 1 in the PDDPT
Micah 1 in the PFNT
Micah 1 in the RMNT
Micah 1 in the SBIAS
Micah 1 in the SBIBS
Micah 1 in the SBIBS2
Micah 1 in the SBICS
Micah 1 in the SBIDS
Micah 1 in the SBIGS
Micah 1 in the SBIHS
Micah 1 in the SBIIS
Micah 1 in the SBIIS2
Micah 1 in the SBIIS3
Micah 1 in the SBIKS
Micah 1 in the SBIKS2
Micah 1 in the SBIMS
Micah 1 in the SBIOS
Micah 1 in the SBIPS
Micah 1 in the SBISS
Micah 1 in the SBITS
Micah 1 in the SBITS2
Micah 1 in the SBITS3
Micah 1 in the SBITS4
Micah 1 in the SBIUS
Micah 1 in the SBIVS
Micah 1 in the SBT
Micah 1 in the SBT1E
Micah 1 in the SCHL
Micah 1 in the SNT
Micah 1 in the SUSU
Micah 1 in the SUSU2
Micah 1 in the SYNO
Micah 1 in the TBIAOTANT
Micah 1 in the TBT1E
Micah 1 in the TBT1E2
Micah 1 in the TFTIP
Micah 1 in the TFTU
Micah 1 in the TGNTATF3T
Micah 1 in the THAI
Micah 1 in the TNFD
Micah 1 in the TNT
Micah 1 in the TNTIK
Micah 1 in the TNTIL
Micah 1 in the TNTIN
Micah 1 in the TNTIP
Micah 1 in the TNTIZ
Micah 1 in the TOMA
Micah 1 in the TTENT
Micah 1 in the UBG
Micah 1 in the UGV
Micah 1 in the UGV2
Micah 1 in the VBL
Micah 1 in the VDCC
Micah 1 in the YALU
Micah 1 in the YAPE
Micah 1 in the YBVTP
Micah 1 in the ZBP