Mark 13 (UGV3)

1 Us din jab Īsā Baitul-muqaddas se nikal rahā thā to us ke shāgirdoṅ ne kahā, “Ustād, dekheṅ kitne shāndār patthar aur imārateṅ haiṅ!” 2 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ko yih baṛī baṛī imārateṅ nazar ātī haiṅ? Patthar par patthar nahīṅ rahegā. Sab kuchh ḍhā diyā jāegā.” 3 Bād meṅ Īsā Zaitūn ke pahāṛ par Baitul-muqaddas ke muqābil baiṭh gayā. Patras, Yāqūb, Yūhannā aur Andriyās akele us ke pās āe. Unhoṅ ne kahā, 4 “Hameṅ zarā batāeṅ, yih kab hogā? Kyā kyā nazar āegā jis se mālūm hogā ki yih ab pūrā hone ko hai?” 5 Īsā ne jawāb diyā, “Ḳhabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de. 6 Bahut-se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘Maiṅ hī Masīh hūṅ.’ Yoṅ wuh bahutoṅ ko gumrāh kar deṅge. 7 Jab jangoṅ kī ḳhabreṅ aur afwāheṅ tum tak pahuṅcheṅgī to mat ghabrānā. Kyoṅki lāzim hai ki yih sab kuchh pesh āe. To bhī abhī āḳhirat nahīṅ hogī. 8 Ek qaum dūsrī ke ḳhilāf uṭh khaṛī hogī aur ek bādshāhī dūsrī ke ḳhilāf. Jagah jagah zalzale āeṅge, kāl paṛeṅge. Lekin yih sirf dard-e-zah kī ibtidā hī hogī. 9 Tum ḳhud ḳhabardār raho. Tum ko maqāmī adālatoṅ ke hawāle kar diyā jāegā aur log Yahūdī ibādatḳhānoṅ meṅ tumheṅ koṛe lagwāeṅge. Merī ḳhātir tumheṅ hukmrānoṅ aur bādshāhoṅ ke sāmne pesh kiyā jāegā. Yoṅ tum unheṅ merī gawāhī doge. 10 Lāzim hai ki āḳhirat se pahle Allāh kī ḳhushḳhabrī tamām aqwām ko sunāī jāe. 11 Lekin jab log tum ko giriftār karke adālat meṅ pesh kareṅge to yih sochte sochte pareshān na ho jānā ki maiṅ kyā kahūṅ. Bas wuhī kuchh kahnā jo Allāh tumheṅ us waqt batāegā. Kyoṅki us waqt tum nahīṅ balki Rūhul-quds bolne wālā hogā. 12 Bhāī apne bhāī ko aur bāp apne bachche ko maut ke hawāle kar degā. Bachche apne wālidain ke ḳhilāf khaṛe ho kar unheṅ qatl karwāeṅge. 13 Sab tum se nafrat kareṅge, is lie ki tum mere pairokār ho. Lekin jo āḳhir tak qāym rahegā use najāt milegī. 14 Ek din āegā jab tum wahāṅ jahāṅ use nahīṅ honā chāhie wuh kuchh khaṛā dekhoge jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai.” (Qārī is par dhyān de!) “Us waqt Yahūdiyā ke rahne wāle bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. 15 Jo apne ghar kī chhat par ho wuh na utre, na kuchh sāth le jāne ke lie ghar meṅ dāḳhil ho jāe. 16 Jo khet meṅ ho wuh apnī chādar sāth le jāne ke lie wāpas na jāe. 17 Un ḳhawātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bachchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ. 18 Duā karo ki yih wāqiyā sardiyoṅ ke mausam meṅ pesh na āe. 19 Kyoṅki un dinoṅ meṅ aisī musībat hogī ki duniyā kī taḳhlīq se āj tak deḳhne meṅ na āī hogī. Is qism kī musībat bād meṅ bhī kabhī nahīṅ āegī. 20 Aur agar Ḳhudāwand is musībat kā daurāniyā muḳhtasar na kartā to koī na bachtā. Lekin us ne apne chune huoṅ kī ḳhātir us kā daurāniyā muḳhtasar kar diyā hai. 21 Us waqt agar koī tum ko batāe, ‘Dekho, Masīh yahāṅ hai,’ yā ‘Wuh wahāṅ hai’ to us kī bāt na mānanā. 22 Kyoṅki jhūṭe Masīh aur jhūṭe nabī uṭh khaṛe hoṅge jo ajīb-o-ġharīb nishān aur mojize dikhāeṅge tāki Allāh ke chune hue logoṅ ko ġhalat rāste par ḍāl deṅ—agar yih mumkin hotā. 23 Is lie ḳhabardār! Maiṅ ne tum ko pahle hī in sab bātoṅ se āgāh kar diyā hai. 24 Musībat ke un dinoṅ ke bād sūraj tārīk ho jāegā aur chāṅd kī raushnī ḳhatm ho jāegī. 25 Sitāre āsmān par se gir paṛeṅge aur āsmān kī quwwateṅ hilāī jāeṅgī. 26 Us waqt log Ibn-e-Ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth bādaloṅ meṅ āte hue dekheṅge. 27 Aur wuh apne farishtoṅ ko bhej degā tāki us ke chune huoṅ ko chāroṅ taraf se jamā kareṅ, duniyā ke kone kone se āsmān kī intahā tak ikaṭṭhā kareṅ. 28 Anjīr ke daraḳht se sabaq sīkho. Jyoṅ hī us kī shāḳheṅ narm aur lachakdār ho jātī haiṅ aur un se koṅpleṅ phūṭ nikaltī haiṅ to tum ko mālūm ho jātā hai ki garmiyoṅ kā mausam qarīb ā gayā hai. 29 Isī tarah jab tum yih wāqiyāt dekhoge to jān loge ki Ibn-e-Ādam kī āmad qarīb balki darwāze par hai. 30 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, is nasl ke ḳhatm hone se pahle pahle yih sab kuchh wāqe hogā. 31 Āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāym raheṅgī. 32 Lekin kisī ko bhī ilm nahīṅ ki yih kis din yā kaun-sī ghaṛī rūnumā hogā. Āsmān ke farishtoṅ aur Farzand ko bhī ilm nahīṅ balki sirf Bāp ko. 33 Chunāṅche ḳhabardār aur chaukanne raho! Kyoṅki tum ko nahīṅ mālūm ki yih waqt kab āegā. 34 Ibn-e-Ādam kī āmad us ādmī se mutābiqat rakhtī hai jise kisī safr par jānā thā. Ghar chhoṛte waqt us ne apne naukaroṅ ko intazām chalāne kā iḳhtiyār de kar har ek ko us kī apnī zimmedārī sauṅp dī. Darbān ko us ne hukm diyā ki wuh chaukas rahe. 35 Tum bhī isī tarah chaukas raho, kyoṅki tum nahīṅ jānte ki ghar kā mālik kab wāpas āegā, shām ko, ādhī rāt ko, murġh ke bāṅg dete yā pau phaṭte waqt. 36 Aisā na ho ki wuh achānak ā kar tum ko sote pāe. 37 Yih bāt maiṅ na sirf tum ko balki sab ko batātā hūṅ, chaukas raho!”

In Other Versions

Mark 13 in the ANGEFD

Mark 13 in the ANTPNG2D

Mark 13 in the AS21

Mark 13 in the BAGH

Mark 13 in the BBPNG

Mark 13 in the BBT1E

Mark 13 in the BDS

Mark 13 in the BEV

Mark 13 in the BHAD

Mark 13 in the BIB

Mark 13 in the BLPT

Mark 13 in the BNT

Mark 13 in the BNTABOOT

Mark 13 in the BNTLV

Mark 13 in the BOATCB

Mark 13 in the BOATCB2

Mark 13 in the BOBCV

Mark 13 in the BOCNT

Mark 13 in the BOECS

Mark 13 in the BOGWICC

Mark 13 in the BOHCB

Mark 13 in the BOHCV

Mark 13 in the BOHLNT

Mark 13 in the BOHNTLTAL

Mark 13 in the BOICB

Mark 13 in the BOILNTAP

Mark 13 in the BOITCV

Mark 13 in the BOKCV

Mark 13 in the BOKCV2

Mark 13 in the BOKHWOG

Mark 13 in the BOKSSV

Mark 13 in the BOLCB

Mark 13 in the BOLCB2

Mark 13 in the BOMCV

Mark 13 in the BONAV

Mark 13 in the BONCB

Mark 13 in the BONLT

Mark 13 in the BONUT2

Mark 13 in the BOPLNT

Mark 13 in the BOSCB

Mark 13 in the BOSNC

Mark 13 in the BOTLNT

Mark 13 in the BOVCB

Mark 13 in the BOYCB

Mark 13 in the BPBB

Mark 13 in the BPH

Mark 13 in the BSB

Mark 13 in the CCB

Mark 13 in the CUV

Mark 13 in the CUVS

Mark 13 in the DBT

Mark 13 in the DGDNT

Mark 13 in the DHNT

Mark 13 in the DNT

Mark 13 in the ELBE

Mark 13 in the EMTV

Mark 13 in the ESV

Mark 13 in the FBV

Mark 13 in the FEB

Mark 13 in the GGMNT

Mark 13 in the GNT

Mark 13 in the HARY

Mark 13 in the HNT

Mark 13 in the IRVA

Mark 13 in the IRVB

Mark 13 in the IRVG

Mark 13 in the IRVH

Mark 13 in the IRVK

Mark 13 in the IRVM

Mark 13 in the IRVM2

Mark 13 in the IRVO

Mark 13 in the IRVP

Mark 13 in the IRVT

Mark 13 in the IRVT2

Mark 13 in the IRVU

Mark 13 in the ISVN

Mark 13 in the JSNT

Mark 13 in the KAPI

Mark 13 in the KBT1ETNIK

Mark 13 in the KBV

Mark 13 in the KJV

Mark 13 in the KNFD

Mark 13 in the LBA

Mark 13 in the LBLA

Mark 13 in the LNT

Mark 13 in the LSV

Mark 13 in the MAAL

Mark 13 in the MBV

Mark 13 in the MBV2

Mark 13 in the MHNT

Mark 13 in the MKNFD

Mark 13 in the MNG

Mark 13 in the MNT

Mark 13 in the MNT2

Mark 13 in the MRS1T

Mark 13 in the NAA

Mark 13 in the NASB

Mark 13 in the NBLA

Mark 13 in the NBS

Mark 13 in the NBVTP

Mark 13 in the NET2

Mark 13 in the NIV11

Mark 13 in the NNT

Mark 13 in the NNT2

Mark 13 in the NNT3

Mark 13 in the PDDPT

Mark 13 in the PFNT

Mark 13 in the RMNT

Mark 13 in the SBIAS

Mark 13 in the SBIBS

Mark 13 in the SBIBS2

Mark 13 in the SBICS

Mark 13 in the SBIDS

Mark 13 in the SBIGS

Mark 13 in the SBIHS

Mark 13 in the SBIIS

Mark 13 in the SBIIS2

Mark 13 in the SBIIS3

Mark 13 in the SBIKS

Mark 13 in the SBIKS2

Mark 13 in the SBIMS

Mark 13 in the SBIOS

Mark 13 in the SBIPS

Mark 13 in the SBISS

Mark 13 in the SBITS

Mark 13 in the SBITS2

Mark 13 in the SBITS3

Mark 13 in the SBITS4

Mark 13 in the SBIUS

Mark 13 in the SBIVS

Mark 13 in the SBT

Mark 13 in the SBT1E

Mark 13 in the SCHL

Mark 13 in the SNT

Mark 13 in the SUSU

Mark 13 in the SUSU2

Mark 13 in the SYNO

Mark 13 in the TBIAOTANT

Mark 13 in the TBT1E

Mark 13 in the TBT1E2

Mark 13 in the TFTIP

Mark 13 in the TFTU

Mark 13 in the TGNTATF3T

Mark 13 in the THAI

Mark 13 in the TNFD

Mark 13 in the TNT

Mark 13 in the TNTIK

Mark 13 in the TNTIL

Mark 13 in the TNTIN

Mark 13 in the TNTIP

Mark 13 in the TNTIZ

Mark 13 in the TOMA

Mark 13 in the TTENT

Mark 13 in the UBG

Mark 13 in the UGV

Mark 13 in the UGV2

Mark 13 in the VBL

Mark 13 in the VDCC

Mark 13 in the YALU

Mark 13 in the YAPE

Mark 13 in the YBVTP

Mark 13 in the ZBP