Nehemiah 5 (UGV3)
1 Kuchh der bād kuchh mard-o-ḳhawātīn mere pās ā kar apne Yahūdī bhāiyoṅ kī shikāyat karne lage. 2 Bāz ne kahā, “Hamāre bahut zyādā beṭe-beṭiyāṅ haiṅ, is lie hameṅ mazīd anāj milnā chāhie, warnā ham zindā nahīṅ raheṅge.” 3 Dūsroṅ ne shikāyat kī, “Kāl ke daurān hameṅ apne khetoṅ, angūr ke bāġhoṅ aur gharoṅ ko girwī rakhnā paṛā tāki anāj mil jāe.” 4 Kuchh aur bole, “Hameṅ apne khetoṅ aur angūr ke bāġhoṅ par bādshāh kā ṭaiks adā karne ke lie udhār lenā paṛā. 5 Ham bhī dūsroṅ kī tarah Yahūdī qaum ke haiṅ, aur hamāre bachche un se kam haisiyat nahīṅ rakhte. To bhī hameṅ apne bachchoṅ ko ġhulāmī meṅ bechnā paṛtā hai tāki guzārā ho sake. Hamārī kuchh beṭiyāṅ launḍiyāṅ ban chukī haiṅ. Lekin ham ḳhud bebas haiṅ, kyoṅki hamāre khet aur angūr ke bāġh dūsroṅ ke qabze meṅ haiṅ.” 6 Un kā wāwailā aur shikāyateṅ sun kar mujhe baṛā ġhussā āyā. 7 Bahut soch-bichār ke bād maiṅ ne shurafā aur afsaroṅ par ilzām lagāyā, “Āp apne hamwatan bhāiyoṅ se ġhairmunāsib sūd le rahe haiṅ!” Maiṅ ne un se nipaṭne ke lie ek baṛī jamāt ikaṭṭhī karke 8 kahā, “Hamāre kaī hamwatan bhāiyoṅ ko Ġhairyahūdiyoṅ ko bechā gayā thā. Jahāṅ tak mumkin thā ham ne unheṅ wāpas ḳharīd kar āzād karne kī koshish kī. Aur ab āp ḳhud apne hamwatan bhāiyoṅ ko bech rahe haiṅ. Kyā ham ab unheṅ dubārā wāpas ḳharīdeṅ?” Wuh ḳhāmosh rahe aur koī jawāb na de sake. 9 Maiṅ ne bāt jārī rakhī, “Āp kā yih sulūk ṭhīk nahīṅ. Āp ko hamāre Ḳhudā kā ḳhauf mān kar zindagī guzārnā chāhie tāki ham apne Ġhairyahūdī dushmanoṅ kī lān-tān kā nishānā na baneṅ. 10 Maiṅ, mere bhāiyoṅ aur mulāzimoṅ ne bhī dūsroṅ ko udhār ke taur par paise aur anāj diyā hai. Lekin āeṅ, ham un se sūd na leṅ! 11 Āj hī apne qarzdāroṅ ko un ke khet, ghar aur angūr aur zaitūn ke bāġh wāpas kar deṅ. Jitnā sūd āp ne lagāyā thā use bhī wāpas kar deṅ, ḳhāh use paisoṅ, anāj, tāzā mai yā zaitūn ke tel kī sūrat meṅ adā karnā ho.” 12 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham use wāpas kar deṅge aur āindā un se kuchh nahīṅ māṅgeṅge. Jo kuchh āp ne kahā wuh ham kareṅge.”Tab maiṅ ne imāmoṅ ko apne pās bulāyā tāki shurafā aur buzurg un kī maujūdagī meṅ kasm khāeṅ ki ham aisā hī kareṅge. 13 Phir maiṅ ne apne libās kī taheṅ jhāṛ jhāṛ kar kahā, “Jo bhī apnī qasam toṛe use Allāh isī tarah jhāṛ kar us ke ghar aur milkiyat se mahrūm kar de!”Tamām jamāshudā log bole, “Āmīn, aisā hī ho!” Aur Rab kī tārīf karne lage. Sab ne apne wāde pūre kie. 14 Maiṅ kul bārah sāl sūbā Yahūdāh kā gawarnar rahā yānī Artaḳhshastā Bādshāh kī hukūmat ke 20weṅ sāl se us ke 32weṅ sāl tak. Is pūre arse meṅ na maiṅ ne aur na mere bhāiyoṅ ne wuh āmdanī lī jo hamāre lie muqarrar kī gaī thī. 15 Asal meṅ māzī ke gawarnaroṅ ne qaum par baṛā bojh ḍāl diyā thā. Unhoṅ ne riāyā se na sirf roṭī aur mai balki fī din chāṅdī ke 40 sikke bhī lie the. Un ke afsaroṅ ne bhī ām logoṅ se ġhalat fāydā uṭhāyā thā. Lekin chūṅki maiṅ Allāh kā ḳhauf māntā thā, is lie maiṅ ne un se aisā sulūk na kiyā. 16 Merī pūrī tāqat fasīl kī takmīl meṅ sarf huī, aur mere tamām mulāzim bhī is kām meṅ sharīk rahe. Ham meṅ se kisī ne bhī zamīn na ḳharīdī. 17 Maiṅ ne kuchh na māṅgā hālāṅki mujhe rozānā Yahūdāh ke 150 afsaroṅ kī mehmān-nawāzī karnī paṛtī thī. Un meṅ wuh tamām mehmān shāmil nahīṅ haiṅ jo gāhe bagāhe paṛosī mamālik se āte rahe. 18 Rozānā ek bail, chhih behtarīn bheṛ-bakriyāṅ aur bahut-se parinde mere lie zabah karke taiyār kie jāte, aur das das din ke bād hameṅ kaī qism kī bahut-sī mai ḳharīdnī paṛtī thī. In aḳhrājāt ke bāwujūd maiṅ ne gawarnar ke lie muqarrarā wazīfā na māṅgā, kyoṅki qaum par bojh waise bhī bahut zyādā thā. 19 Ai mere Ḳhudā, jo kuchh maiṅ ne is qaum ke lie kiyā hai us ke bāis mujh par mehrbānī kar.
In Other Versions
Nehemiah 5 in the ANGEFD
Nehemiah 5 in the ANTPNG2D
Nehemiah 5 in the AS21
Nehemiah 5 in the BAGH
Nehemiah 5 in the BBPNG
Nehemiah 5 in the BBT1E
Nehemiah 5 in the BDS
Nehemiah 5 in the BEV
Nehemiah 5 in the BHAD
Nehemiah 5 in the BIB
Nehemiah 5 in the BLPT
Nehemiah 5 in the BNT
Nehemiah 5 in the BNTABOOT
Nehemiah 5 in the BNTLV
Nehemiah 5 in the BOATCB
Nehemiah 5 in the BOATCB2
Nehemiah 5 in the BOBCV
Nehemiah 5 in the BOCNT
Nehemiah 5 in the BOECS
Nehemiah 5 in the BOGWICC
Nehemiah 5 in the BOHCB
Nehemiah 5 in the BOHCV
Nehemiah 5 in the BOHLNT
Nehemiah 5 in the BOHNTLTAL
Nehemiah 5 in the BOICB
Nehemiah 5 in the BOILNTAP
Nehemiah 5 in the BOITCV
Nehemiah 5 in the BOKCV
Nehemiah 5 in the BOKCV2
Nehemiah 5 in the BOKHWOG
Nehemiah 5 in the BOKSSV
Nehemiah 5 in the BOLCB
Nehemiah 5 in the BOLCB2
Nehemiah 5 in the BOMCV
Nehemiah 5 in the BONAV
Nehemiah 5 in the BONCB
Nehemiah 5 in the BONLT
Nehemiah 5 in the BONUT2
Nehemiah 5 in the BOPLNT
Nehemiah 5 in the BOSCB
Nehemiah 5 in the BOSNC
Nehemiah 5 in the BOTLNT
Nehemiah 5 in the BOVCB
Nehemiah 5 in the BOYCB
Nehemiah 5 in the BPBB
Nehemiah 5 in the BPH
Nehemiah 5 in the BSB
Nehemiah 5 in the CCB
Nehemiah 5 in the CUV
Nehemiah 5 in the CUVS
Nehemiah 5 in the DBT
Nehemiah 5 in the DGDNT
Nehemiah 5 in the DHNT
Nehemiah 5 in the DNT
Nehemiah 5 in the ELBE
Nehemiah 5 in the EMTV
Nehemiah 5 in the ESV
Nehemiah 5 in the FBV
Nehemiah 5 in the FEB
Nehemiah 5 in the GGMNT
Nehemiah 5 in the GNT
Nehemiah 5 in the HARY
Nehemiah 5 in the HNT
Nehemiah 5 in the IRVA
Nehemiah 5 in the IRVB
Nehemiah 5 in the IRVG
Nehemiah 5 in the IRVH
Nehemiah 5 in the IRVK
Nehemiah 5 in the IRVM
Nehemiah 5 in the IRVM2
Nehemiah 5 in the IRVO
Nehemiah 5 in the IRVP
Nehemiah 5 in the IRVT
Nehemiah 5 in the IRVT2
Nehemiah 5 in the IRVU
Nehemiah 5 in the ISVN
Nehemiah 5 in the JSNT
Nehemiah 5 in the KAPI
Nehemiah 5 in the KBT1ETNIK
Nehemiah 5 in the KBV
Nehemiah 5 in the KJV
Nehemiah 5 in the KNFD
Nehemiah 5 in the LBA
Nehemiah 5 in the LBLA
Nehemiah 5 in the LNT
Nehemiah 5 in the LSV
Nehemiah 5 in the MAAL
Nehemiah 5 in the MBV
Nehemiah 5 in the MBV2
Nehemiah 5 in the MHNT
Nehemiah 5 in the MKNFD
Nehemiah 5 in the MNG
Nehemiah 5 in the MNT
Nehemiah 5 in the MNT2
Nehemiah 5 in the MRS1T
Nehemiah 5 in the NAA
Nehemiah 5 in the NASB
Nehemiah 5 in the NBLA
Nehemiah 5 in the NBS
Nehemiah 5 in the NBVTP
Nehemiah 5 in the NET2
Nehemiah 5 in the NIV11
Nehemiah 5 in the NNT
Nehemiah 5 in the NNT2
Nehemiah 5 in the NNT3
Nehemiah 5 in the PDDPT
Nehemiah 5 in the PFNT
Nehemiah 5 in the RMNT
Nehemiah 5 in the SBIAS
Nehemiah 5 in the SBIBS
Nehemiah 5 in the SBIBS2
Nehemiah 5 in the SBICS
Nehemiah 5 in the SBIDS
Nehemiah 5 in the SBIGS
Nehemiah 5 in the SBIHS
Nehemiah 5 in the SBIIS
Nehemiah 5 in the SBIIS2
Nehemiah 5 in the SBIIS3
Nehemiah 5 in the SBIKS
Nehemiah 5 in the SBIKS2
Nehemiah 5 in the SBIMS
Nehemiah 5 in the SBIOS
Nehemiah 5 in the SBIPS
Nehemiah 5 in the SBISS
Nehemiah 5 in the SBITS
Nehemiah 5 in the SBITS2
Nehemiah 5 in the SBITS3
Nehemiah 5 in the SBITS4
Nehemiah 5 in the SBIUS
Nehemiah 5 in the SBIVS
Nehemiah 5 in the SBT
Nehemiah 5 in the SBT1E
Nehemiah 5 in the SCHL
Nehemiah 5 in the SNT
Nehemiah 5 in the SUSU
Nehemiah 5 in the SUSU2
Nehemiah 5 in the SYNO
Nehemiah 5 in the TBIAOTANT
Nehemiah 5 in the TBT1E
Nehemiah 5 in the TBT1E2
Nehemiah 5 in the TFTIP
Nehemiah 5 in the TFTU
Nehemiah 5 in the TGNTATF3T
Nehemiah 5 in the THAI
Nehemiah 5 in the TNFD
Nehemiah 5 in the TNT
Nehemiah 5 in the TNTIK
Nehemiah 5 in the TNTIL
Nehemiah 5 in the TNTIN
Nehemiah 5 in the TNTIP
Nehemiah 5 in the TNTIZ
Nehemiah 5 in the TOMA
Nehemiah 5 in the TTENT
Nehemiah 5 in the UBG
Nehemiah 5 in the UGV
Nehemiah 5 in the UGV2
Nehemiah 5 in the VBL
Nehemiah 5 in the VDCC
Nehemiah 5 in the YALU
Nehemiah 5 in the YAPE
Nehemiah 5 in the YBVTP
Nehemiah 5 in the ZBP