Numbers 10 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Chāṅdī ke do bigul ghaṛ kar banwā le. Unheṅ jamāt ko jamā karne aur qabīloṅ ko rawānā karne ke lie istemāl kar. 3 Jab donoṅ ko der tak bajāyā jāe to pūrī jamāt mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ā kar tere sāmne jamā ho jāe. 4 Lekin agar ek hī bajāyā jāe to sirf kunboṅ ke buzurg tere sāmne jamā ho jāeṅ. 5 Agar un kī āwāz sirf thoṛī der ke lie sunāī de to maqdis ke mashriq meṅ maujūd qabīle rawānā ho jāeṅ. 6 Phir jab un kī āwāz dūsrī bār thoṛī der ke lie sunāī de to maqdis ke junūb meṅ maujūd qabīle rawānā ho jāeṅ. Jab un kī āwāz thoṛī der ke lie sunāī de to yih rawānā hone kā elān hogā. 7 Is ke muqābale meṅ jab un kī āwāz der tak sunāī de to yih is bāt kā elān hogā ki jamāt jamā ho jāe. 8 Bigul bajāne kī zimmedārī Hārūn ke beṭoṅ yānī imāmoṅ ko dī jāe. Yih tumhāre aur āne wālī nasloṅ ke lie dāymī usūl ho. 9 Un kī āwāz us waqt bhī thoṛī der ke lie sunā do jab tum apne mulk meṅ kisī zālim dushman se jang laṛne ke lie nikloge. Tab Rab tumhārā Ḳhudā tumheṅ yād karke dushman se bachāegā. 10 Isī tarah un kī āwāz maqdis meṅ ḳhushī ke mauqoṅ par sunāī de yānī muqarrarā īdoṅ aur Nae Chāṅd kī Īdoṅ par. In mauqoṅ par wuh bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāte waqt bajāe jāeṅ. Phir tumhārā Ḳhudā tumheṅ yād karegā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.” 11 Isrāīliyoṅ ko Misr se nikle ek sāl se zāyd arsā ho chukā thā. Dūsre mahīne ke bīsweṅ din bādal mulāqāt ke ḳhaime par se uṭhā. 12 Phir Isrāīlī muqarrarā tartīb ke mutābiq Dasht-e-Sīnā se rawānā hue. Chalte chalte bādal Fārān ke registān meṅ utar āyā. 13 Us waqt wuh pahlī dafā us tartīb se rawānā hue jo Rab ne Mūsā kī mārifat muqarrar kī thī. 14 Pahle Yahūdāh ke qabīle ke tīn daste apne alam ke taht chal paṛe. Tīnoṅ kā kamānḍar Nahson bin Ammīnadāb thā. 15 Sāth chalne wāle qabīle Ishkār kā kamānḍar Nataniyel bin Zuġhar thā. 16 Zabūlūn kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Iliyāb bin Helon thā. 17 Is ke bād mulāqāt kā ḳhaimā utārā gayā. Jairsonī aur Mirārī use uṭhā kar chal die. 18 In Lāwiyoṅ ke bād Rūbin ke qabīle ke tīn daste apne alam ke taht chalne lage. Tīnoṅ kā kamānḍar Ilīsūr bin Shadiyūr thā. 19 Sāth chalne wāle qabīle Shamāūn kā kamānḍar Salūmiyel bin Sūrīshaddī thā. 20 Jad kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Iliyāsaf bin Daūel thā. 21 Phir Lāwiyoṅ meṅ se Qihātī maqdis kā sāmān uṭhā kar rawānā hue. Lāzim thā ki un ke aglī manzil par pahuṅchne tak mulāqāt kā ḳhaimā lagā diyā gayā ho. 22 Is ke bād Ifrāīm ke qabīle ke tīn daste apne alam ke taht chal die. Un kā kamānḍar Ilīsamā bin Ammīhūd thā. 23 Ifrāīm ke sāth chalne wāle qabīle Manassī kā kamānḍar Jamliyel bin Fadāhsūr thā. 24 Binyamīn kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Abidān bin Jidāūnī thā. 25 Āḳhir meṅ Dān ke tīn daste aqbī muhāfiz ke taur par apne alam ke taht rawānā hue. Un kā kamānḍar Aḳhiyazar bin Ammīshaddī thā. 26 Dān ke sāth chalne wāle qabīle Āshar kā kamānḍar Fajiyel bin Akrān thā. 27 Naftālī kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Aḳhīrā bin Enān thā. 28 Isrāīlī isī tartīb se rawānā hue. 29 Mūsā ne apne Midiyānī susar Raūel yānī Yitro ke beṭe Hobāb se kahā, “Ham us jagah ke lie rawānā ho rahe haiṅ jis kā wādā Rab ne ham se kiyā hai. Hamāre sāth chaleṅ! Ham āp par ehsān kareṅge, kyoṅki Rab ne Isrāīl par ehsān karne kā wādā kiyā hai.” 30 Lekin Hobāb ne jawāb diyā, “Maiṅ sāth nahīṅ jāūṅgā balki apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas chalā jāūṅgā.” 31 Mūsā ne kahā, “Mehrbānī karke hameṅ na chhoṛeṅ. Kyoṅki āp hī jānte haiṅ ki ham registān meṅ kahāṅ kahāṅ apne ḍere ḍāl sakte haiṅ. Āp registān meṅ hameṅ rāstā dikhā sakte haiṅ. 32 Agar āp hamāre sāth jāeṅ to ham āp ko us ehsān meṅ sharīk kareṅge jo Rab ham par karegā.” 33 Chunāṅche unhoṅ ne Rab ke pahāṛ se rawānā ho kar tīn din safr kiyā. Is daurān Rab kā ahd kā sandūq un ke āge āge chalā tāki un ke lie ārām karne kī jagah mālūm kare. 34 Jab kabhī wuh rawānā hote to Rab kā bādal din ke waqt un ke ūpar rahtā. 35 Sandūq ke rawānā hote waqt Mūsā kahtā, “Ai Rab, uṭh. Tere dushman titar-bitar ho jāeṅ. Tujh se nafrat karne wāle tere sāmne se farār ho jāeṅ.” 36 Aur jab bhī wuh ruk jātā to Mūsā kahtā, “Ai Rab, Isrāīl ke hazāroṅ ḳhāndānoṅ ke pās wāpas ā.”

In Other Versions

Numbers 10 in the ANGEFD

Numbers 10 in the ANTPNG2D

Numbers 10 in the AS21

Numbers 10 in the BAGH

Numbers 10 in the BBPNG

Numbers 10 in the BBT1E

Numbers 10 in the BDS

Numbers 10 in the BEV

Numbers 10 in the BHAD

Numbers 10 in the BIB

Numbers 10 in the BLPT

Numbers 10 in the BNT

Numbers 10 in the BNTABOOT

Numbers 10 in the BNTLV

Numbers 10 in the BOATCB

Numbers 10 in the BOATCB2

Numbers 10 in the BOBCV

Numbers 10 in the BOCNT

Numbers 10 in the BOECS

Numbers 10 in the BOGWICC

Numbers 10 in the BOHCB

Numbers 10 in the BOHCV

Numbers 10 in the BOHLNT

Numbers 10 in the BOHNTLTAL

Numbers 10 in the BOICB

Numbers 10 in the BOILNTAP

Numbers 10 in the BOITCV

Numbers 10 in the BOKCV

Numbers 10 in the BOKCV2

Numbers 10 in the BOKHWOG

Numbers 10 in the BOKSSV

Numbers 10 in the BOLCB

Numbers 10 in the BOLCB2

Numbers 10 in the BOMCV

Numbers 10 in the BONAV

Numbers 10 in the BONCB

Numbers 10 in the BONLT

Numbers 10 in the BONUT2

Numbers 10 in the BOPLNT

Numbers 10 in the BOSCB

Numbers 10 in the BOSNC

Numbers 10 in the BOTLNT

Numbers 10 in the BOVCB

Numbers 10 in the BOYCB

Numbers 10 in the BPBB

Numbers 10 in the BPH

Numbers 10 in the BSB

Numbers 10 in the CCB

Numbers 10 in the CUV

Numbers 10 in the CUVS

Numbers 10 in the DBT

Numbers 10 in the DGDNT

Numbers 10 in the DHNT

Numbers 10 in the DNT

Numbers 10 in the ELBE

Numbers 10 in the EMTV

Numbers 10 in the ESV

Numbers 10 in the FBV

Numbers 10 in the FEB

Numbers 10 in the GGMNT

Numbers 10 in the GNT

Numbers 10 in the HARY

Numbers 10 in the HNT

Numbers 10 in the IRVA

Numbers 10 in the IRVB

Numbers 10 in the IRVG

Numbers 10 in the IRVH

Numbers 10 in the IRVK

Numbers 10 in the IRVM

Numbers 10 in the IRVM2

Numbers 10 in the IRVO

Numbers 10 in the IRVP

Numbers 10 in the IRVT

Numbers 10 in the IRVT2

Numbers 10 in the IRVU

Numbers 10 in the ISVN

Numbers 10 in the JSNT

Numbers 10 in the KAPI

Numbers 10 in the KBT1ETNIK

Numbers 10 in the KBV

Numbers 10 in the KJV

Numbers 10 in the KNFD

Numbers 10 in the LBA

Numbers 10 in the LBLA

Numbers 10 in the LNT

Numbers 10 in the LSV

Numbers 10 in the MAAL

Numbers 10 in the MBV

Numbers 10 in the MBV2

Numbers 10 in the MHNT

Numbers 10 in the MKNFD

Numbers 10 in the MNG

Numbers 10 in the MNT

Numbers 10 in the MNT2

Numbers 10 in the MRS1T

Numbers 10 in the NAA

Numbers 10 in the NASB

Numbers 10 in the NBLA

Numbers 10 in the NBS

Numbers 10 in the NBVTP

Numbers 10 in the NET2

Numbers 10 in the NIV11

Numbers 10 in the NNT

Numbers 10 in the NNT2

Numbers 10 in the NNT3

Numbers 10 in the PDDPT

Numbers 10 in the PFNT

Numbers 10 in the RMNT

Numbers 10 in the SBIAS

Numbers 10 in the SBIBS

Numbers 10 in the SBIBS2

Numbers 10 in the SBICS

Numbers 10 in the SBIDS

Numbers 10 in the SBIGS

Numbers 10 in the SBIHS

Numbers 10 in the SBIIS

Numbers 10 in the SBIIS2

Numbers 10 in the SBIIS3

Numbers 10 in the SBIKS

Numbers 10 in the SBIKS2

Numbers 10 in the SBIMS

Numbers 10 in the SBIOS

Numbers 10 in the SBIPS

Numbers 10 in the SBISS

Numbers 10 in the SBITS

Numbers 10 in the SBITS2

Numbers 10 in the SBITS3

Numbers 10 in the SBITS4

Numbers 10 in the SBIUS

Numbers 10 in the SBIVS

Numbers 10 in the SBT

Numbers 10 in the SBT1E

Numbers 10 in the SCHL

Numbers 10 in the SNT

Numbers 10 in the SUSU

Numbers 10 in the SUSU2

Numbers 10 in the SYNO

Numbers 10 in the TBIAOTANT

Numbers 10 in the TBT1E

Numbers 10 in the TBT1E2

Numbers 10 in the TFTIP

Numbers 10 in the TFTU

Numbers 10 in the TGNTATF3T

Numbers 10 in the THAI

Numbers 10 in the TNFD

Numbers 10 in the TNT

Numbers 10 in the TNTIK

Numbers 10 in the TNTIL

Numbers 10 in the TNTIN

Numbers 10 in the TNTIP

Numbers 10 in the TNTIZ

Numbers 10 in the TOMA

Numbers 10 in the TTENT

Numbers 10 in the UBG

Numbers 10 in the UGV

Numbers 10 in the UGV2

Numbers 10 in the VBL

Numbers 10 in the VDCC

Numbers 10 in the YALU

Numbers 10 in the YAPE

Numbers 10 in the YBVTP

Numbers 10 in the ZBP