Numbers 13 (UGV3)
1 Phir Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Kuchh ādmī Mulk-e-Kanān kā jāyzā lene ke lie bhej de, kyoṅki maiṅ use Isrāīliyoṅ ko dene ko hūṅ. Har qabīle meṅ se ek rāhnumā ko chun kar bhej de.” 3 Mūsā ne Rab ke kahne par unheṅ Dasht-e-Fārān se bhejā. Sab Isrāīlī rāhnumā the. 4 Un ke nām yih haiṅ: Rūbin ke qabīle se Sammua bin Zakkūr, 5 Shamāūn ke qabīle se Sāfat bin Horī, 6 Yahūdāh ke qabīle se Kālib bin Yafunnā, 7 Ishkār ke qabīle se Ijāl bin Yūsuf, 8 Ifrāīm ke qabīle se Hosea bin Nūn, 9 Binyamīn ke qabīle se Faltī bin Rafū, 10 Zabūlūn ke qabīle se Jaddiyel bin Sodī, 11 Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle se Jiddī bin Sūsī, 12 Dān ke qabīle se Ammiyel bin Jamallī, 13 Āshar ke qabīle se Satūr bin Mīkāel, 14 Naftālī ke qabīle se Naḳhbī bin Wufsī, 15 Jad ke qabīle se Jiyuel bin Mākī. 16 Mūsā ne inhīṅ bārah ādmiyoṅ ko mulk kā jāyzā lene ke lie bhejā. Us ne Hosea kā nām Yashua yānī ‘Rab Najāt Hai’ meṅ badal diyā. 17 Unheṅ ruḳhsat karne se pahle us ne kahā, “Dasht-e-Najab se guzar kar pahāṛī ilāqe tak pahuṅcho. 18 Mālūm karo ki yih kis tarah kā mulk hai aur us ke bāshinde kaise haiṅ. Kyā wuh tāqatwar haiṅ yā kamzor, tādād meṅ kam haiṅ yā zyādā? 19 Jis mulk meṅ wuh baste haiṅ kyā wuh achchhā hai ki nahīṅ? Wuh kis qism ke shahroṅ meṅ rahte haiṅ? Kyā un kī chārdīwāriyāṅ haiṅ ki nahīṅ? 20 Mulk kī zamīn zarḳhez hai yā banjar? Us meṅ daraḳht haiṅ ki nahīṅ? Aur jurrat karke mulk kā kuchh phal chun kar le āo.” Us waqt pahle angūr pak gae the. 21 Chunāṅche in ādmiyoṅ ne safr karke Dasht-e-Sīn se Rahob tak mulk kā jāyzā liyā. Rahob Labo-hamāt ke qarīb hai. 22 Wuh Dasht-e-Najab se guzar kar Habrūn pahuṅche jahāṅ Anāq ke beṭe Aḳhīmān, Sīsī aur Talmī rahte the. (Habrūn ko Misr ke shahr Zuan se sāt sāl pahle tāmīr kiyā gayā thā.) 23 Jab wuh Wādī-e-Iskāl tak pahuṅche to unhoṅ ne ek ḍālī kāṭ lī jis par angūr kā guchchhā lagā huā thā. Do ādmiyoṅ ne yih angūr, kuchh anār aur kuchh anjīr lāṭhī par laṭkāe aur use uṭhā kar chal paṛe. 24 Us jagah kā nām us guchchhe ke sabab se jo Isrāīliyoṅ ne wahāṅ se kāṭ liyā Iskāl yānī Guchchhā rakhā gayā. 25 Chālīs din tak mulk kā khoj lagāte lagāte wuh lauṭ āe. 26 Wuh Mūsā, Hārūn aur Isrāīl kī pūrī jamāt ke pās āe jo Dasht-e-Fārān meṅ Qādis kī jagah par intazār kar rahe the. Wahāṅ unhoṅ ne sab kuchh batāyā jo unhoṅ ne mālūm kiyā thā aur unheṅ wuh phal dikhāe jo le kar āe the. 27 Unhoṅ ne Mūsā ko riporṭ dī, “Ham us mulk meṅ gae jahāṅ āp ne hameṅ bhejā thā. Wāqaī us mulk meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Yahāṅ hamāre pās us ke kuchh phal bhī haiṅ. 28 Lekin us ke bāshinde tāqatwar haiṅ. Un ke shahroṅ kī fasīleṅ haiṅ, aur wuh nihāyat baṛe haiṅ. Ham ne wahāṅ Anāq kī aulād bhī dekhī. 29 Amālīqī Dasht-e-Najab meṅ rahte haiṅ jabki Hittī, Yabūsī aur Amorī pahāṛī ilāqe meṅ ābād haiṅ. Kanānī sāhilī ilāqe aur Dariyā-e-Yardan ke kināre kināre baste haiṅ.” 30 Kālib ne Mūsā ke sāmne jamāshudā logoṅ ko ishārā kiyā ki wuh ḳhāmosh ho jāeṅ. Phir us ne kahā, “Āeṅ, ham mulk meṅ dāḳhil ho jāeṅ aur us par qabzā kar leṅ, kyoṅki ham yaqīnan yih karne ke qābil haiṅ.” 31 Lekin dūsre ādmiyoṅ ne jo us ke sāth mulk ko deḳhne gae the kahā, “Ham un logoṅ par hamlā nahīṅ kar sakte, kyoṅki wuh ham se tāqatwar haiṅ.” 32 Unhoṅ ne Isrāīliyoṅ ke darmiyān us mulk ke bāre meṅ ġhalat afwāheṅ phailāīṅ jis kī taftīsh unhoṅ ne kī thī. Unhoṅ ne kahā, “Jis mulk meṅ se ham guzare tāki us kā jāyzā leṅ wuh apne bāshindoṅ ko haṛap kar letā hai. Jo bhī us meṅ rahtā hai nihāyat darāzqad hai. 33 Ham ne wahāṅ dewqāmat afrād bhī dekhe. (Anāq ke beṭe dewqāmat ke afrād kī aulād the.) Un ke sāmne ham apne āp ko ṭiḍḍī jaisā mahsūs kar rahe the, aur ham un kī nazar meṅ aise the bhī.”
In Other Versions
Numbers 13 in the ANGEFD
Numbers 13 in the ANTPNG2D
Numbers 13 in the AS21
Numbers 13 in the BAGH
Numbers 13 in the BBPNG
Numbers 13 in the BBT1E
Numbers 13 in the BDS
Numbers 13 in the BEV
Numbers 13 in the BHAD
Numbers 13 in the BIB
Numbers 13 in the BLPT
Numbers 13 in the BNT
Numbers 13 in the BNTABOOT
Numbers 13 in the BNTLV
Numbers 13 in the BOATCB
Numbers 13 in the BOATCB2
Numbers 13 in the BOBCV
Numbers 13 in the BOCNT
Numbers 13 in the BOECS
Numbers 13 in the BOGWICC
Numbers 13 in the BOHCB
Numbers 13 in the BOHCV
Numbers 13 in the BOHLNT
Numbers 13 in the BOHNTLTAL
Numbers 13 in the BOICB
Numbers 13 in the BOILNTAP
Numbers 13 in the BOITCV
Numbers 13 in the BOKCV
Numbers 13 in the BOKCV2
Numbers 13 in the BOKHWOG
Numbers 13 in the BOKSSV
Numbers 13 in the BOLCB
Numbers 13 in the BOLCB2
Numbers 13 in the BOMCV
Numbers 13 in the BONAV
Numbers 13 in the BONCB
Numbers 13 in the BONLT
Numbers 13 in the BONUT2
Numbers 13 in the BOPLNT
Numbers 13 in the BOSCB
Numbers 13 in the BOSNC
Numbers 13 in the BOTLNT
Numbers 13 in the BOVCB
Numbers 13 in the BOYCB
Numbers 13 in the BPBB
Numbers 13 in the BPH
Numbers 13 in the BSB
Numbers 13 in the CCB
Numbers 13 in the CUV
Numbers 13 in the CUVS
Numbers 13 in the DBT
Numbers 13 in the DGDNT
Numbers 13 in the DHNT
Numbers 13 in the DNT
Numbers 13 in the ELBE
Numbers 13 in the EMTV
Numbers 13 in the ESV
Numbers 13 in the FBV
Numbers 13 in the FEB
Numbers 13 in the GGMNT
Numbers 13 in the GNT
Numbers 13 in the HARY
Numbers 13 in the HNT
Numbers 13 in the IRVA
Numbers 13 in the IRVB
Numbers 13 in the IRVG
Numbers 13 in the IRVH
Numbers 13 in the IRVK
Numbers 13 in the IRVM
Numbers 13 in the IRVM2
Numbers 13 in the IRVO
Numbers 13 in the IRVP
Numbers 13 in the IRVT
Numbers 13 in the IRVT2
Numbers 13 in the IRVU
Numbers 13 in the ISVN
Numbers 13 in the JSNT
Numbers 13 in the KAPI
Numbers 13 in the KBT1ETNIK
Numbers 13 in the KBV
Numbers 13 in the KJV
Numbers 13 in the KNFD
Numbers 13 in the LBA
Numbers 13 in the LBLA
Numbers 13 in the LNT
Numbers 13 in the LSV
Numbers 13 in the MAAL
Numbers 13 in the MBV
Numbers 13 in the MBV2
Numbers 13 in the MHNT
Numbers 13 in the MKNFD
Numbers 13 in the MNG
Numbers 13 in the MNT
Numbers 13 in the MNT2
Numbers 13 in the MRS1T
Numbers 13 in the NAA
Numbers 13 in the NASB
Numbers 13 in the NBLA
Numbers 13 in the NBS
Numbers 13 in the NBVTP
Numbers 13 in the NET2
Numbers 13 in the NIV11
Numbers 13 in the NNT
Numbers 13 in the NNT2
Numbers 13 in the NNT3
Numbers 13 in the PDDPT
Numbers 13 in the PFNT
Numbers 13 in the RMNT
Numbers 13 in the SBIAS
Numbers 13 in the SBIBS
Numbers 13 in the SBIBS2
Numbers 13 in the SBICS
Numbers 13 in the SBIDS
Numbers 13 in the SBIGS
Numbers 13 in the SBIHS
Numbers 13 in the SBIIS
Numbers 13 in the SBIIS2
Numbers 13 in the SBIIS3
Numbers 13 in the SBIKS
Numbers 13 in the SBIKS2
Numbers 13 in the SBIMS
Numbers 13 in the SBIOS
Numbers 13 in the SBIPS
Numbers 13 in the SBISS
Numbers 13 in the SBITS
Numbers 13 in the SBITS2
Numbers 13 in the SBITS3
Numbers 13 in the SBITS4
Numbers 13 in the SBIUS
Numbers 13 in the SBIVS
Numbers 13 in the SBT
Numbers 13 in the SBT1E
Numbers 13 in the SCHL
Numbers 13 in the SNT
Numbers 13 in the SUSU
Numbers 13 in the SUSU2
Numbers 13 in the SYNO
Numbers 13 in the TBIAOTANT
Numbers 13 in the TBT1E
Numbers 13 in the TBT1E2
Numbers 13 in the TFTIP
Numbers 13 in the TFTU
Numbers 13 in the TGNTATF3T
Numbers 13 in the THAI
Numbers 13 in the TNFD
Numbers 13 in the TNT
Numbers 13 in the TNTIK
Numbers 13 in the TNTIL
Numbers 13 in the TNTIN
Numbers 13 in the TNTIP
Numbers 13 in the TNTIZ
Numbers 13 in the TOMA
Numbers 13 in the TTENT
Numbers 13 in the UBG
Numbers 13 in the UGV
Numbers 13 in the UGV2
Numbers 13 in the VBL
Numbers 13 in the VDCC
Numbers 13 in the YALU
Numbers 13 in the YAPE
Numbers 13 in the YBVTP
Numbers 13 in the ZBP