Numbers 34 (UGV3)
1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ mīrās meṅ dūṅgā to us kī sarhaddeṅ yih hoṅgī: 3 Us kī junūbī sarhad Dasht-e-Sīn meṅ Adom kī sarhad ke sāth sāth chalegī. Mashriq meṅ wuh Bahīrā-e-Murdār ke junūbī sāhil se shurū hogī, phir in jaghoṅ se ho kar maġhrib kī taraf guzaregī: 4 Darrā-e-Aqrabbīm ke junūb meṅ se, Dasht-e-Sīn meṅ se, Qādis-barnīa ke junūb meṅ se Hasar-addār aur Azmūn meṅ se. 5 Wahāṅ se wuh muṛ kar Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr ke sāth sāth Bahīrā-e-Rūm tak pahuṅchegī. 6 Us kī maġhribī sarhad Bahīrā-e-Rūm kā sāhil hogā. 7 Us kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se le kar in jaghoṅ se ho kar mashriq kī taraf guzaregī: Hor Pahāṛ, 8 Labo-hamāt, Sidād, 9 Zifrūn aur Hasar-enān. Hasar-enān shimālī sarhad kā sab se mashriqī maqām hogā. 10 Us kī mashriqī sarhad shimāl meṅ Hasar-enān se shurū hogī. Phir wuh in jaghoṅ se ho kar junūb kī taraf guzaregī: Sifām, 11 Riblā jo Ain ke mashriq meṅ hai aur Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl ke mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqā. 12 Is ke bād wuh Dariyā-e-Yardan ke kināre kināre guzartī huī Bahīrā-e-Murdār tak pahuṅchegī. Yih tumhāre mulk kī sarhaddeṅ hoṅgī.” 13 Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Yih wuhī mulk hai jise tumheṅ qurā ḍāl kar taqsīm karnā hai. Rab ne hukm diyā hai ki use bāqī sāṛhe nau qabīloṅ ko denā hai. 14 Kyoṅki aṛhāī qabīloṅ ke ḳhāndānoṅ ko un kī mīrās mil chukī hai yānī Rūbin aur Jad ke pūre qabīle aur Manassī ke ādhe qabīle ko. 15 Unheṅ yahāṅ, Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke sāmne zamīn mil chukī hai.” 16 Rab ne Mūsā se kahā, 17 “Iliyazar Imām aur Yashua bin Nūn logoṅ ke lie mulk taqsīm kareṅ. 18 Har qabīle ke ek ek rāhnumā ko bhī chunanā tāki wuh taqsīm karne meṅ madad kare. Jin ko tumheṅ chunanā hai un ke nām yih haiṅ: 19 Yahūdāh ke qabīle kā Kālib bin Yafunnā, 20 Shamāūn ke qabīle kā Samuel bin Ammīhūd, 21 Binyamīn ke qabīle kā Ilīdād bin Kislon, 22 Dān ke qabīle kā Buqqī bin Yuglī, 23 Manassī ke qabīle kā Hanniyel bin Afūd, 24 Ifrāīm ke qabīle kā Qamuel bin Siftān, 25 Zabūlūn ke qabīle kā Ilīsafan bin Farnāk, 26 Ishkār ke qabīle kā Faltiyel bin Azzān, 27 Āshar ke qabīle kā Aḳhīhūd bin Shalūmī, 28 Naftālī ke qabīle kā Fidāhel bin Ammīhūd.” 29 Rab ne inhīṅ ādmiyoṅ ko mulk ko Isrāīliyoṅ meṅ taqsīm karne kī zimmedārī dī.
In Other Versions
Numbers 34 in the ANGEFD
Numbers 34 in the ANTPNG2D
Numbers 34 in the AS21
Numbers 34 in the BAGH
Numbers 34 in the BBPNG
Numbers 34 in the BBT1E
Numbers 34 in the BDS
Numbers 34 in the BEV
Numbers 34 in the BHAD
Numbers 34 in the BIB
Numbers 34 in the BLPT
Numbers 34 in the BNT
Numbers 34 in the BNTABOOT
Numbers 34 in the BNTLV
Numbers 34 in the BOATCB
Numbers 34 in the BOATCB2
Numbers 34 in the BOBCV
Numbers 34 in the BOCNT
Numbers 34 in the BOECS
Numbers 34 in the BOGWICC
Numbers 34 in the BOHCB
Numbers 34 in the BOHCV
Numbers 34 in the BOHLNT
Numbers 34 in the BOHNTLTAL
Numbers 34 in the BOICB
Numbers 34 in the BOILNTAP
Numbers 34 in the BOITCV
Numbers 34 in the BOKCV
Numbers 34 in the BOKCV2
Numbers 34 in the BOKHWOG
Numbers 34 in the BOKSSV
Numbers 34 in the BOLCB
Numbers 34 in the BOLCB2
Numbers 34 in the BOMCV
Numbers 34 in the BONAV
Numbers 34 in the BONCB
Numbers 34 in the BONLT
Numbers 34 in the BONUT2
Numbers 34 in the BOPLNT
Numbers 34 in the BOSCB
Numbers 34 in the BOSNC
Numbers 34 in the BOTLNT
Numbers 34 in the BOVCB
Numbers 34 in the BOYCB
Numbers 34 in the BPBB
Numbers 34 in the BPH
Numbers 34 in the BSB
Numbers 34 in the CCB
Numbers 34 in the CUV
Numbers 34 in the CUVS
Numbers 34 in the DBT
Numbers 34 in the DGDNT
Numbers 34 in the DHNT
Numbers 34 in the DNT
Numbers 34 in the ELBE
Numbers 34 in the EMTV
Numbers 34 in the ESV
Numbers 34 in the FBV
Numbers 34 in the FEB
Numbers 34 in the GGMNT
Numbers 34 in the GNT
Numbers 34 in the HARY
Numbers 34 in the HNT
Numbers 34 in the IRVA
Numbers 34 in the IRVB
Numbers 34 in the IRVG
Numbers 34 in the IRVH
Numbers 34 in the IRVK
Numbers 34 in the IRVM
Numbers 34 in the IRVM2
Numbers 34 in the IRVO
Numbers 34 in the IRVP
Numbers 34 in the IRVT
Numbers 34 in the IRVT2
Numbers 34 in the IRVU
Numbers 34 in the ISVN
Numbers 34 in the JSNT
Numbers 34 in the KAPI
Numbers 34 in the KBT1ETNIK
Numbers 34 in the KBV
Numbers 34 in the KJV
Numbers 34 in the KNFD
Numbers 34 in the LBA
Numbers 34 in the LBLA
Numbers 34 in the LNT
Numbers 34 in the LSV
Numbers 34 in the MAAL
Numbers 34 in the MBV
Numbers 34 in the MBV2
Numbers 34 in the MHNT
Numbers 34 in the MKNFD
Numbers 34 in the MNG
Numbers 34 in the MNT
Numbers 34 in the MNT2
Numbers 34 in the MRS1T
Numbers 34 in the NAA
Numbers 34 in the NASB
Numbers 34 in the NBLA
Numbers 34 in the NBS
Numbers 34 in the NBVTP
Numbers 34 in the NET2
Numbers 34 in the NIV11
Numbers 34 in the NNT
Numbers 34 in the NNT2
Numbers 34 in the NNT3
Numbers 34 in the PDDPT
Numbers 34 in the PFNT
Numbers 34 in the RMNT
Numbers 34 in the SBIAS
Numbers 34 in the SBIBS
Numbers 34 in the SBIBS2
Numbers 34 in the SBICS
Numbers 34 in the SBIDS
Numbers 34 in the SBIGS
Numbers 34 in the SBIHS
Numbers 34 in the SBIIS
Numbers 34 in the SBIIS2
Numbers 34 in the SBIIS3
Numbers 34 in the SBIKS
Numbers 34 in the SBIKS2
Numbers 34 in the SBIMS
Numbers 34 in the SBIOS
Numbers 34 in the SBIPS
Numbers 34 in the SBISS
Numbers 34 in the SBITS
Numbers 34 in the SBITS2
Numbers 34 in the SBITS3
Numbers 34 in the SBITS4
Numbers 34 in the SBIUS
Numbers 34 in the SBIVS
Numbers 34 in the SBT
Numbers 34 in the SBT1E
Numbers 34 in the SCHL
Numbers 34 in the SNT
Numbers 34 in the SUSU
Numbers 34 in the SUSU2
Numbers 34 in the SYNO
Numbers 34 in the TBIAOTANT
Numbers 34 in the TBT1E
Numbers 34 in the TBT1E2
Numbers 34 in the TFTIP
Numbers 34 in the TFTU
Numbers 34 in the TGNTATF3T
Numbers 34 in the THAI
Numbers 34 in the TNFD
Numbers 34 in the TNT
Numbers 34 in the TNTIK
Numbers 34 in the TNTIL
Numbers 34 in the TNTIN
Numbers 34 in the TNTIP
Numbers 34 in the TNTIZ
Numbers 34 in the TOMA
Numbers 34 in the TTENT
Numbers 34 in the UBG
Numbers 34 in the UGV
Numbers 34 in the UGV2
Numbers 34 in the VBL
Numbers 34 in the VDCC
Numbers 34 in the YALU
Numbers 34 in the YAPE
Numbers 34 in the YBVTP
Numbers 34 in the ZBP