Numbers 7 (UGV3)
1 Jis din maqdis mukammal huā usī din Mūsā ne use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Is ke lie us ne ḳhaime, us ke tamām sāmān, qurbāngāh aur us ke tamām sāmān par tel chhiṛkā. 2 2-3 Phir qabīloṅ ke bārah sardār maqdis ke lie hadiye le kar āe. Yih wuhī rāhnumā the jinhoṅ ne mardumshumārī ke waqt Mūsā kī madad kī thī. Unhoṅ ne chhat wālī chhih bail gāṛiyāṅ aur bārah bail ḳhaime ke sāmne Rab ko pesh kie, do do sardāroṅ kī taraf se ek bailgāṛī aur har ek sardār kī taraf se ek bail. 4 Rab ne Mūsā se kahā, 5 “Yih tohfe qabūl karke mulāqāt ke ḳhaime ke kām ke lie istemāl kar. Unheṅ Lāwiyoṅ meṅ un kī ḳhidmat kī zarūrat ke mutābiq taqsīm karnā.” 6 Chunāṅche Mūsā ne bail gāṛiyāṅ aur bail Lāwiyoṅ ko de die. 7 Us ne do bail gāṛiyāṅ chār bailoṅ samet Jairsoniyoṅ ko 8 aur chār bail gāṛiyāṅ āṭh bailoṅ samet Mirāriyoṅ ko dīṅ. Mirārī Hārūn Imām ke beṭe Itamar ke taht ḳhidmat karte the. 9 Lekin Mūsā ne Qihātiyoṅ ko na bail gāṛiyāṅ aur na bail die. Wajah yih thī ki jo muqaddas chīzeṅ un ke sapurd thīṅ wuh un ko kandhoṅ par uṭhā kar le jānī thīṅ. 10 Bārah sardār qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke mauqe par bhī hadiye le āe. Unhoṅ ne apne hadiye qurbāngāh ke sāmne pesh kie. 11 Rab ne Mūsā se kahā, “Sardār bārah din ke daurān bārī bārī apne hadiye pesh kareṅ.” 12 Pahle din Yahūdāh ke sardār Nahson bin Ammīnadāb kī bārī thī. Us ke hadiye yih the: 13 chāṅdī kā thāl jis kā wazn ḍeṛh kilogrām thā aur chhiṛkāw kā chāṅdī kā kaṭorā jis kā wazn 800 grām thā. Donoṅ ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāe gae behtarīn maide se bhare hue the. 14 In ke alāwā Nahson ne yih chīzeṅ pesh kīṅ: sone kā pyālā jis kā wazn 110 grām thā aur jo baḳhūr se bharā huā thā, 15 ek jawān bail, ek menḍhā, bhasm hone wālī qurbānī ke lie bheṛ kā ek yaksālā bachchā, 16 gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā 17 aur salāmatī kī qurbānī ke lie do bail, pāṅch menḍhe, pāṅch bakre aur bheṛ ke pāṅch yaksālā bachche. 18 18-23 Agle gyārah din bāqī sardār bhī yihī hadiye maqdis ke pās le āe. Dūsre din Ishkār ke sardār Nataniyel bin Zuġhar kī bārī thī, 24 24-29 tīsre din Zabūlūn ke sardār Iliyāb bin Helon kī, 30 30-47 chauthe din Rūbin ke sardār Ilīsūr bin Shadiyūr kī, pāṅchweṅ din Shamāūn ke sardār Salūmiyel bin Sūrīshaddī kī, chhaṭe din Jad ke sardār Iliyāsaf bin Daūel kī, 48 48-53 sātweṅ din Ifrāīm ke sardār Ilīsamā bin Ammīhūd kī, 54 54-71 āṭhweṅ din Manassī ke sardār Jamliyel bin Fadāhsūr kī, naweṅ din Binyamīn ke sardār Abidān bin Jidāūnī kī, dasweṅ din Dān ke sardār Aḳhiyazar bin Ammīshaddī kī, 72 72-83 gyārhweṅ din Āshar ke sardār Fajiyel bin Akrān kī aur bārhweṅ din Naftālī ke sardār Aḳhīrā bin Enān kī bārī thī. 84 Isrāīl ke in sardāroṅ ne mil kar qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke lie chāṅdī ke 12 thāl, chhiṛkāw ke chāṅdī ke 12 kaṭore aur sone ke 12 pyāle pesh kie. 85 Har thāl kā wazn ḍeṛh kilogrām aur chhiṛkāw ke har kaṭore kā wazn 800 grām thā. In chīzoṅ kā kul wazn taqrīban 28 kilogrām thā. 86 Baḳhūr se bhare hue sone ke pyāloṅ kā kul wazn taqrīban ḍeṛh kilogrām thā (fī pyālā 110 grām). 87 Sardāroṅ ne mil kar bhasm hone wālī qurbānī ke lie 12 jawān bail, 12 menḍhe aur bheṛ ke 12 yaksālā bachche un kī ġhallā kī nazaroṅ samet pesh kie. Gunāh kī qurbānī ke lie unhoṅ ne 12 bakre pesh kie 88 aur salāmatī kī qurbānī ke lie 24 bail, 60 menḍhe, 60 bakre aur bheṛ ke 60 yaksālā bachche. In tamām jānwaroṅ ko qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke mauqe par chaṛhāyā gayā. 89 Jab Mūsā mulāqāt ke ḳhaime meṅ Rab ke sāth bāt karne ke lie dāḳhil hotā thā to wuh Rab kī āwāz ahd ke sandūq ke ḍhakne par se yānī do karūbī farishtoṅ ke darmiyān se suntā thā.
In Other Versions
Numbers 7 in the ANGEFD
Numbers 7 in the ANTPNG2D
Numbers 7 in the AS21
Numbers 7 in the BAGH
Numbers 7 in the BBPNG
Numbers 7 in the BBT1E
Numbers 7 in the BDS
Numbers 7 in the BEV
Numbers 7 in the BHAD
Numbers 7 in the BIB
Numbers 7 in the BLPT
Numbers 7 in the BNT
Numbers 7 in the BNTABOOT
Numbers 7 in the BNTLV
Numbers 7 in the BOATCB
Numbers 7 in the BOATCB2
Numbers 7 in the BOBCV
Numbers 7 in the BOCNT
Numbers 7 in the BOECS
Numbers 7 in the BOGWICC
Numbers 7 in the BOHCB
Numbers 7 in the BOHCV
Numbers 7 in the BOHLNT
Numbers 7 in the BOHNTLTAL
Numbers 7 in the BOICB
Numbers 7 in the BOILNTAP
Numbers 7 in the BOITCV
Numbers 7 in the BOKCV
Numbers 7 in the BOKCV2
Numbers 7 in the BOKHWOG
Numbers 7 in the BOKSSV
Numbers 7 in the BOLCB
Numbers 7 in the BOLCB2
Numbers 7 in the BOMCV
Numbers 7 in the BONAV
Numbers 7 in the BONCB
Numbers 7 in the BONLT
Numbers 7 in the BONUT2
Numbers 7 in the BOPLNT
Numbers 7 in the BOSCB
Numbers 7 in the BOSNC
Numbers 7 in the BOTLNT
Numbers 7 in the BOVCB
Numbers 7 in the BOYCB
Numbers 7 in the BPBB
Numbers 7 in the BPH
Numbers 7 in the BSB
Numbers 7 in the CCB
Numbers 7 in the CUV
Numbers 7 in the CUVS
Numbers 7 in the DBT
Numbers 7 in the DGDNT
Numbers 7 in the DHNT
Numbers 7 in the DNT
Numbers 7 in the ELBE
Numbers 7 in the EMTV
Numbers 7 in the ESV
Numbers 7 in the FBV
Numbers 7 in the FEB
Numbers 7 in the GGMNT
Numbers 7 in the GNT
Numbers 7 in the HARY
Numbers 7 in the HNT
Numbers 7 in the IRVA
Numbers 7 in the IRVB
Numbers 7 in the IRVG
Numbers 7 in the IRVH
Numbers 7 in the IRVK
Numbers 7 in the IRVM
Numbers 7 in the IRVM2
Numbers 7 in the IRVO
Numbers 7 in the IRVP
Numbers 7 in the IRVT
Numbers 7 in the IRVT2
Numbers 7 in the IRVU
Numbers 7 in the ISVN
Numbers 7 in the JSNT
Numbers 7 in the KAPI
Numbers 7 in the KBT1ETNIK
Numbers 7 in the KBV
Numbers 7 in the KJV
Numbers 7 in the KNFD
Numbers 7 in the LBA
Numbers 7 in the LBLA
Numbers 7 in the LNT
Numbers 7 in the LSV
Numbers 7 in the MAAL
Numbers 7 in the MBV
Numbers 7 in the MBV2
Numbers 7 in the MHNT
Numbers 7 in the MKNFD
Numbers 7 in the MNG
Numbers 7 in the MNT
Numbers 7 in the MNT2
Numbers 7 in the MRS1T
Numbers 7 in the NAA
Numbers 7 in the NASB
Numbers 7 in the NBLA
Numbers 7 in the NBS
Numbers 7 in the NBVTP
Numbers 7 in the NET2
Numbers 7 in the NIV11
Numbers 7 in the NNT
Numbers 7 in the NNT2
Numbers 7 in the NNT3
Numbers 7 in the PDDPT
Numbers 7 in the PFNT
Numbers 7 in the RMNT
Numbers 7 in the SBIAS
Numbers 7 in the SBIBS
Numbers 7 in the SBIBS2
Numbers 7 in the SBICS
Numbers 7 in the SBIDS
Numbers 7 in the SBIGS
Numbers 7 in the SBIHS
Numbers 7 in the SBIIS
Numbers 7 in the SBIIS2
Numbers 7 in the SBIIS3
Numbers 7 in the SBIKS
Numbers 7 in the SBIKS2
Numbers 7 in the SBIMS
Numbers 7 in the SBIOS
Numbers 7 in the SBIPS
Numbers 7 in the SBISS
Numbers 7 in the SBITS
Numbers 7 in the SBITS2
Numbers 7 in the SBITS3
Numbers 7 in the SBITS4
Numbers 7 in the SBIUS
Numbers 7 in the SBIVS
Numbers 7 in the SBT
Numbers 7 in the SBT1E
Numbers 7 in the SCHL
Numbers 7 in the SNT
Numbers 7 in the SUSU
Numbers 7 in the SUSU2
Numbers 7 in the SYNO
Numbers 7 in the TBIAOTANT
Numbers 7 in the TBT1E
Numbers 7 in the TBT1E2
Numbers 7 in the TFTIP
Numbers 7 in the TFTU
Numbers 7 in the TGNTATF3T
Numbers 7 in the THAI
Numbers 7 in the TNFD
Numbers 7 in the TNT
Numbers 7 in the TNTIK
Numbers 7 in the TNTIL
Numbers 7 in the TNTIN
Numbers 7 in the TNTIP
Numbers 7 in the TNTIZ
Numbers 7 in the TOMA
Numbers 7 in the TTENT
Numbers 7 in the UBG
Numbers 7 in the UGV
Numbers 7 in the UGV2
Numbers 7 in the VBL
Numbers 7 in the VDCC
Numbers 7 in the YALU
Numbers 7 in the YAPE
Numbers 7 in the YBVTP
Numbers 7 in the ZBP