Philippians 1 (UGV3)

1 Yih ḳhat Masīh Īsā ke ġhulāmoṅ Paulus aur Tīmuthiyus kī taraf se hai.Maiṅ Filippī meṅ maujūd un tamām logoṅ ko likh rahā hūṅ jinheṅ Allāh ne Masīh Īsā ke zariye maḳhsūs-o-muqaddas kiyā hai. Maiṅ un ke buzurgoṅ aur ḳhādimoṅ ko bhī likh rahā hūṅ. 2 Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ. 3 Jab bhī maiṅ āp ko yād kartā hūṅ to apne Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ. 4 Āp ke lie tamām duāoṅ meṅ maiṅ hameshā ḳhushī se duā kartā hūṅ, 5 is lie ki āp pahle din se le kar āj tak Allāh kī ḳhushḳhabrī phailāne meṅ mere sharīk rahe haiṅ. 6 Aur mujhe yaqīn hai ki Allāh jis ne āp meṅ yih achchhā kām shurū kiyā hai ise us din takmīl tak pahuṅchāegā jab Masīh Īsā wāpas āegā. 7 Aur munāsib hai ki āp sab ke bāre meṅ merā yihī ḳhayāl ho, kyoṅki āp mujhe azīz rakhte haiṅ. Hāṅ, jab mujhe jel meṅ ḍālā gayā yā maiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī kā difā yā us kī tasdīq kar rahā thā to āp bhī mere is ḳhās fazl meṅ sharīk hue. 8 Allāh merā gawāh hai ki maiṅ kitnī shiddat se āp sab kā ārzūmand hūṅ. Hāṅ, maiṅ Masīh kī-sī dilī shafqat ke sāth āp kā ḳhāhishmand hūṅ. 9 Aur merī duā hai ki āp kī muhabbat meṅ ilm-o-irfān aur har tarah kī ruhānī basīrat kā yahāṅ tak izāfā ho jāe ki wuh baṛhtī baṛhtī dil se chhalak uṭhe. 10 Kyoṅki yih zarūrī hai tāki āp wuh bāteṅ qabūl kareṅ jo buniyādī ahmiyat kī hāmil haiṅ aur āp Masīh kī āmad tak belaus aur be'ilzām zindagī guzāreṅ. 11 Aur yoṅ āp us rāstbāzī ke phal se bhare raheṅge jo āp ko Īsā Masīh ke wasīle se hāsil hotī hai. Phir āp apnī zindagī se Allāh ko jalāl deṅge aur us kī tamjīd kareṅge. 12 Bhāiyo, maiṅ chāhtā hūṅ ki yih bāt āp ke ilm meṅ ho ki jo kuchh bhī mujh par guzarā hai wuh haqīqat meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke phailāo kā bāis ban gayā hai. 13 Kyoṅki Praiṭoriyum ke tamām afrād aur bāqī sab ko mālūm ho gayā hai ki maiṅ Masīh kī ḳhātir qaidī hūṅ. 14 Aur mere qaid meṅ hone kī wajah se Ḳhudāwand meṅ zyādātar bhāiyoṅ kā etamād itnā baṛh gayā hai ki wuh mazīd dilerī ke sāth bilāḳhauf Allāh kā kalām sunāte haiṅ. 15 Beshak bāz to hasad aur muḳhālafat ke bāis Masīh kī munādī kar rahe haiṅ, lekin bāqiyoṅ kī nīyat achchhī hai, 16 kyoṅki wuh jānte haiṅ ki maiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke difā kī wajah se yahāṅ paṛā hūṅ. Is lie wuh muhabbat kī rūh meṅ tablīġh karte haiṅ. 17 Is ke muqābale meṅ dūsre ḳhulūsdilī se Masīh ke bāre meṅ paiġhām nahīṅ sunāte balki ḳhudġharzī se. Yih samajhte haiṅ ki ham is tarah Paulus kī giriftārī ko mazīd taklīfdeh banā sakte haiṅ. 18 Lekin is se kyā farq paṛtā hai! Aham bāt to yih hai ki Masīh kī munādī har tarah se kī jā rahī hai, ḳhāh munād kī nīyat purḳhulūs ho yā na. Aur is wajah se maiṅ ḳhush hūṅ. Aur ḳhush rahūṅgā bhī, 19 kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki yih mere lie rihāī kā bāis banegā, is lie ki āp mere lie duā kar rahe haiṅ aur Īsā Masīh kā Rūh merī himāyat kar rahā hai. 20 Hāṅ, yih merī pūrī tawaqqo aur ummīd hai. Maiṅ yih bhī jāntā hūṅ ki mujhe kisī bhī bāt meṅ sharmindā nahīṅ kiyā jāegā balki jaisā māzī meṅ hameshā huā ab bhī mujhe baṛī dilerī se Masīh ko jalāl dene kā fazl milegā, ḳhāh maiṅ zindā rahūṅ yā mar jāūṅ. 21 Kyoṅki mere lie Masīh zindagī hai aur maut nafā kā bāis. 22 Agar maiṅ zindā rahūṅ to is kā fāydā yih hogā ki maiṅ mehnat karke mazīd phal lā sakūṅgā. Chunāṅche maiṅ nahīṅ kah saktā ki kyā behtar hai. 23 Maiṅ baṛī kash-ma-kash meṅ rahtā hūṅ. Ek taraf maiṅ kūch karke Masīh ke pās hone kī ārzū rakhtā hūṅ, kyoṅki yih mere lie sab se behtar hotā. 24 Lekin dūsrī taraf zyādā zarūrī yih hai ki maiṅ āp kī ḳhātir zindā rahūṅ. 25 Aur chūṅki mujhe is zarūrat kā yaqīn hai, is lie maiṅ jāntā hūṅ ki maiṅ zindā rah kar dubārā āp sab ke sāth rahūṅgā tāki āp taraqqī kareṅ aur īmān meṅ ḳhush raheṅ. 26 Hāṅ, mere āp ke pās wāpas āne se āp mere sabab se Masīh Īsā par had se zyādā faḳhr kareṅge. 27 Lekin āp har sūrat meṅ Masīh kī ḳhushḳhabrī aur āsmān ke shahriyoṅ ke lāyq zindagī guzāreṅ. Phir ḳhāh maiṅ ā kar āp ko dekhūṅ, ḳhāh ġhairmaujūdagī meṅ āp ke bāre meṅ sunūṅ, mujhe mālūm hogā ki āp ek Rūh meṅ qāym haiṅ, āp mil kar yakdilī se us īmān ke lie jāṅfishānī kar rahe haiṅ jo Allāh kī ḳhushḳhabrī se paidā huā hai, 28 aur āp kisī sūrat meṅ apne muḳhālifoṅ se dahshat nahīṅ khāte. Yih un ke lie ek nishān hogā ki wuh halāk ho jāeṅge jabki āp ko najāt hāsil hogī, aur wuh bhī Allāh se. 29 Kyoṅki āp ko na sirf Masīh par īmān lāne kā fazl hāsil huā hai balki us kī ḳhātir dukh uṭhāne kā bhī. 30 Āp bhī us muqābale meṅ jāṅfishānī kar rahe haiṅ jis meṅ āp ne mujhe dekhā hai aur jis ke bāre meṅ āp ne ab sun liyā hai ki maiṅ ab tak us meṅ masrūf hūṅ.

In Other Versions

Philippians 1 in the ANGEFD

Philippians 1 in the ANTPNG2D

Philippians 1 in the AS21

Philippians 1 in the BAGH

Philippians 1 in the BBPNG

Philippians 1 in the BBT1E

Philippians 1 in the BDS

Philippians 1 in the BEV

Philippians 1 in the BHAD

Philippians 1 in the BIB

Philippians 1 in the BLPT

Philippians 1 in the BNT

Philippians 1 in the BNTABOOT

Philippians 1 in the BNTLV

Philippians 1 in the BOATCB

Philippians 1 in the BOATCB2

Philippians 1 in the BOBCV

Philippians 1 in the BOCNT

Philippians 1 in the BOECS

Philippians 1 in the BOGWICC

Philippians 1 in the BOHCB

Philippians 1 in the BOHCV

Philippians 1 in the BOHLNT

Philippians 1 in the BOHNTLTAL

Philippians 1 in the BOICB

Philippians 1 in the BOILNTAP

Philippians 1 in the BOITCV

Philippians 1 in the BOKCV

Philippians 1 in the BOKCV2

Philippians 1 in the BOKHWOG

Philippians 1 in the BOKSSV

Philippians 1 in the BOLCB

Philippians 1 in the BOLCB2

Philippians 1 in the BOMCV

Philippians 1 in the BONAV

Philippians 1 in the BONCB

Philippians 1 in the BONLT

Philippians 1 in the BONUT2

Philippians 1 in the BOPLNT

Philippians 1 in the BOSCB

Philippians 1 in the BOSNC

Philippians 1 in the BOTLNT

Philippians 1 in the BOVCB

Philippians 1 in the BOYCB

Philippians 1 in the BPBB

Philippians 1 in the BPH

Philippians 1 in the BSB

Philippians 1 in the CCB

Philippians 1 in the CUV

Philippians 1 in the CUVS

Philippians 1 in the DBT

Philippians 1 in the DGDNT

Philippians 1 in the DHNT

Philippians 1 in the DNT

Philippians 1 in the ELBE

Philippians 1 in the EMTV

Philippians 1 in the ESV

Philippians 1 in the FBV

Philippians 1 in the FEB

Philippians 1 in the GGMNT

Philippians 1 in the GNT

Philippians 1 in the HARY

Philippians 1 in the HNT

Philippians 1 in the IRVA

Philippians 1 in the IRVB

Philippians 1 in the IRVG

Philippians 1 in the IRVH

Philippians 1 in the IRVK

Philippians 1 in the IRVM

Philippians 1 in the IRVM2

Philippians 1 in the IRVO

Philippians 1 in the IRVP

Philippians 1 in the IRVT

Philippians 1 in the IRVT2

Philippians 1 in the IRVU

Philippians 1 in the ISVN

Philippians 1 in the JSNT

Philippians 1 in the KAPI

Philippians 1 in the KBT1ETNIK

Philippians 1 in the KBV

Philippians 1 in the KJV

Philippians 1 in the KNFD

Philippians 1 in the LBA

Philippians 1 in the LBLA

Philippians 1 in the LNT

Philippians 1 in the LSV

Philippians 1 in the MAAL

Philippians 1 in the MBV

Philippians 1 in the MBV2

Philippians 1 in the MHNT

Philippians 1 in the MKNFD

Philippians 1 in the MNG

Philippians 1 in the MNT

Philippians 1 in the MNT2

Philippians 1 in the MRS1T

Philippians 1 in the NAA

Philippians 1 in the NASB

Philippians 1 in the NBLA

Philippians 1 in the NBS

Philippians 1 in the NBVTP

Philippians 1 in the NET2

Philippians 1 in the NIV11

Philippians 1 in the NNT

Philippians 1 in the NNT2

Philippians 1 in the NNT3

Philippians 1 in the PDDPT

Philippians 1 in the PFNT

Philippians 1 in the RMNT

Philippians 1 in the SBIAS

Philippians 1 in the SBIBS

Philippians 1 in the SBIBS2

Philippians 1 in the SBICS

Philippians 1 in the SBIDS

Philippians 1 in the SBIGS

Philippians 1 in the SBIHS

Philippians 1 in the SBIIS

Philippians 1 in the SBIIS2

Philippians 1 in the SBIIS3

Philippians 1 in the SBIKS

Philippians 1 in the SBIKS2

Philippians 1 in the SBIMS

Philippians 1 in the SBIOS

Philippians 1 in the SBIPS

Philippians 1 in the SBISS

Philippians 1 in the SBITS

Philippians 1 in the SBITS2

Philippians 1 in the SBITS3

Philippians 1 in the SBITS4

Philippians 1 in the SBIUS

Philippians 1 in the SBIVS

Philippians 1 in the SBT

Philippians 1 in the SBT1E

Philippians 1 in the SCHL

Philippians 1 in the SNT

Philippians 1 in the SUSU

Philippians 1 in the SUSU2

Philippians 1 in the SYNO

Philippians 1 in the TBIAOTANT

Philippians 1 in the TBT1E

Philippians 1 in the TBT1E2

Philippians 1 in the TFTIP

Philippians 1 in the TFTU

Philippians 1 in the TGNTATF3T

Philippians 1 in the THAI

Philippians 1 in the TNFD

Philippians 1 in the TNT

Philippians 1 in the TNTIK

Philippians 1 in the TNTIL

Philippians 1 in the TNTIN

Philippians 1 in the TNTIP

Philippians 1 in the TNTIZ

Philippians 1 in the TOMA

Philippians 1 in the TTENT

Philippians 1 in the UBG

Philippians 1 in the UGV

Philippians 1 in the UGV2

Philippians 1 in the VBL

Philippians 1 in the VDCC

Philippians 1 in the YALU

Philippians 1 in the YAPE

Philippians 1 in the YBVTP

Philippians 1 in the ZBP