Proverbs 11 (UGV3)
1 Rab ġhalat tarāzū se ghin khātā hai, wuh sahīh tarāzū hī se ḳhush hotā hai. 2 Jahāṅ takabbur hai wahāṅ badnāmī bhī qarīb hī rahtī hai, lekin jo halīm hai us ke dāman meṅ hikmat rahtī hai. 3 Sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī diyānatdārī un kī rāhnumāī kartī jabki bewafāoṅ kī namak-harāmī unheṅ tabāh kartī hai. 4 Ġhazab ke din daulat kā koī fāydā nahīṅ jabki rāstbāzī logoṅ kī jān ko chhuṛātī hai. 5 Be'ilzām kī rāstbāzī us kā rāstā hamwār banā detī hai jabki bedīn kī burī harkateṅ use girā detī haiṅ. 6 Sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī rāstbāzī unheṅ chhuṛā detī jabki bewafāoṅ kā lālach unheṅ phaṅsā detā hai. 7 Dam toṛte waqt bedīn kī sārī ummīd jātī rahtī hai, jis daulat kī tawaqqo us ne kī wuh jātī rahtī hai. 8 Rāstbāz kī jān musībat se chhūṭ jātī hai, aur us kī jagah bedīn phaṅs jātā hai. 9 Kāfir apne muṅh se apne paṛosī ko tabāh kartā hai, lekin rāstbāzoṅ kā ilm unheṅ chhuṛātā hai. 10 Jab rāstbāz kāmyāb hoṅ to pūrā shahr jashn manātā hai, jab bedīn halāk hoṅ to ḳhushī ke nāre buland ho jāte haiṅ. 11 Sīdhī rāh par chalne wāloṅ kī barkat se shahr taraqqī kartā hai, lekin bedīn ke muṅh se wuh mismār ho jātā hai. 12 Nāsamajh ādmī apne paṛosī ko haqīr jāntā hai jabki samajhdār ādmī ḳhāmosh rahtā hai. 13 Tohmat lagāne wālā dūsroṅ ke rāz fāsh kartā hai, lekin qābil-e-etamād shaḳhs wuh bhed poshīdā rakhtā hai jo us ke sapurd kiyā gayā ho. 14 Jahāṅ qiyādat kī kamī hai wahāṅ qaum kā tanazzul yaqīnī hai, jahāṅ mushīroṅ kī kasrat hai wahāṅ qaum fathyāb rahegī. 15 Jo ajnabī kā zāmin ho jāe use yaqīnan nuqsān pahuṅchegā, jo zāmin banane se inkār kare wuh mahfūz rahegā. 16 Nek aurat izzat se aur zālim ādmī daulat se lipṭe rahte haiṅ. 17 Shafīq kā achchhā sulūk usī ke lie fāydāmand hai jabki zālim kā burā sulūk usī ke lie nuqsāndeh hai. 18 Jo kuchh bedīn kamātā hai wuh farebdeh hai, lekin jo rāstī kā bīj boe us kā ajr yaqīnī hai. 19 Rāstbāzī kā phal zindagī hai jabki burāī ke pīchhe bhāgne wāle kā anjām maut hai. 20 Rab kajdiloṅ se ghin khātā hai, wuh be'ilzām rāh par chalne wāloṅ hī se ḳhush hotā hai. 21 Yaqīn karo, badkār sazā se nahīṅ bachegā jabki rāstbāzoṅ ke farzand chhūṭ jāeṅge. 22 Jis tarah suar kī thūthnī meṅ sone kā chhallā khaṭaktā hai usī tarah ḳhūbsūrat aurat kī betamīzī khaṭaktī hai. 23 Allāh rāstbāzoṅ kī ārzū achchhī chīzoṅ se pūrī kartā hai, lekin us kā ġhazab bedīnoṅ kī ummīd par nāzil hotā hai. 24 Ek ādmī kī daulat meṅ izāfā hotā hai, go wuh faiyāzdilī se taqsīm kartā hai. Dūsre kī ġhurbat meṅ izāfā hotā hai, go wuh had se zyādā kanjūs hai. 25 Faiyāzdil ḳhushhāl rahegā, jo dūsroṅ ko tar-o-tāzā kare wuh ḳhud tāzādam rahegā. 26 Log gandum ke zakhīrā'andoz par lānat bhejte haiṅ, lekin jo gandum ko bāzār meṅ āne detā hai us ke sar par barkat ātī hai. 27 Jo bhalāī kī talāsh meṅ rahe wuh Allāh kī manzūrī chāhtā hai, lekin jo burāī kī talāsh meṅ rahe wuh ḳhud burāī ke phande meṅ phaṅs jāegā. 28 Jo apnī daulat par bharosā rakhe wuh gir jāegā, lekin rāstbāz hare-bhare pattoṅ kī tarah phaleṅ-phūleṅge. 29 Jo apne ghar meṅ gaṛbaṛ paidā kare wuh mīrās meṅ hawā hī pāegā. Ahmaq dānishmand kā naukar banegā. 30 Rāstbāz kā phal zindagī kā daraḳht hai, aur dānishmand ādmī jāneṅ jīttā hai. 31 Rāstbāz ko zamīn par hī ajr miltā hai. To phir bedīn aur gunāhgār sazā kyoṅ na pāeṅ?
In Other Versions
Proverbs 11 in the ANGEFD
Proverbs 11 in the ANTPNG2D
Proverbs 11 in the AS21
Proverbs 11 in the BAGH
Proverbs 11 in the BBPNG
Proverbs 11 in the BBT1E
Proverbs 11 in the BDS
Proverbs 11 in the BEV
Proverbs 11 in the BHAD
Proverbs 11 in the BIB
Proverbs 11 in the BLPT
Proverbs 11 in the BNT
Proverbs 11 in the BNTABOOT
Proverbs 11 in the BNTLV
Proverbs 11 in the BOATCB
Proverbs 11 in the BOATCB2
Proverbs 11 in the BOBCV
Proverbs 11 in the BOCNT
Proverbs 11 in the BOECS
Proverbs 11 in the BOGWICC
Proverbs 11 in the BOHCB
Proverbs 11 in the BOHCV
Proverbs 11 in the BOHLNT
Proverbs 11 in the BOHNTLTAL
Proverbs 11 in the BOICB
Proverbs 11 in the BOILNTAP
Proverbs 11 in the BOITCV
Proverbs 11 in the BOKCV
Proverbs 11 in the BOKCV2
Proverbs 11 in the BOKHWOG
Proverbs 11 in the BOKSSV
Proverbs 11 in the BOLCB
Proverbs 11 in the BOLCB2
Proverbs 11 in the BOMCV
Proverbs 11 in the BONAV
Proverbs 11 in the BONCB
Proverbs 11 in the BONLT
Proverbs 11 in the BONUT2
Proverbs 11 in the BOPLNT
Proverbs 11 in the BOSCB
Proverbs 11 in the BOSNC
Proverbs 11 in the BOTLNT
Proverbs 11 in the BOVCB
Proverbs 11 in the BOYCB
Proverbs 11 in the BPBB
Proverbs 11 in the BPH
Proverbs 11 in the BSB
Proverbs 11 in the CCB
Proverbs 11 in the CUV
Proverbs 11 in the CUVS
Proverbs 11 in the DBT
Proverbs 11 in the DGDNT
Proverbs 11 in the DHNT
Proverbs 11 in the DNT
Proverbs 11 in the ELBE
Proverbs 11 in the EMTV
Proverbs 11 in the ESV
Proverbs 11 in the FBV
Proverbs 11 in the FEB
Proverbs 11 in the GGMNT
Proverbs 11 in the GNT
Proverbs 11 in the HARY
Proverbs 11 in the HNT
Proverbs 11 in the IRVA
Proverbs 11 in the IRVB
Proverbs 11 in the IRVG
Proverbs 11 in the IRVH
Proverbs 11 in the IRVK
Proverbs 11 in the IRVM
Proverbs 11 in the IRVM2
Proverbs 11 in the IRVO
Proverbs 11 in the IRVP
Proverbs 11 in the IRVT
Proverbs 11 in the IRVT2
Proverbs 11 in the IRVU
Proverbs 11 in the ISVN
Proverbs 11 in the JSNT
Proverbs 11 in the KAPI
Proverbs 11 in the KBT1ETNIK
Proverbs 11 in the KBV
Proverbs 11 in the KJV
Proverbs 11 in the KNFD
Proverbs 11 in the LBA
Proverbs 11 in the LBLA
Proverbs 11 in the LNT
Proverbs 11 in the LSV
Proverbs 11 in the MAAL
Proverbs 11 in the MBV
Proverbs 11 in the MBV2
Proverbs 11 in the MHNT
Proverbs 11 in the MKNFD
Proverbs 11 in the MNG
Proverbs 11 in the MNT
Proverbs 11 in the MNT2
Proverbs 11 in the MRS1T
Proverbs 11 in the NAA
Proverbs 11 in the NASB
Proverbs 11 in the NBLA
Proverbs 11 in the NBS
Proverbs 11 in the NBVTP
Proverbs 11 in the NET2
Proverbs 11 in the NIV11
Proverbs 11 in the NNT
Proverbs 11 in the NNT2
Proverbs 11 in the NNT3
Proverbs 11 in the PDDPT
Proverbs 11 in the PFNT
Proverbs 11 in the RMNT
Proverbs 11 in the SBIAS
Proverbs 11 in the SBIBS
Proverbs 11 in the SBIBS2
Proverbs 11 in the SBICS
Proverbs 11 in the SBIDS
Proverbs 11 in the SBIGS
Proverbs 11 in the SBIHS
Proverbs 11 in the SBIIS
Proverbs 11 in the SBIIS2
Proverbs 11 in the SBIIS3
Proverbs 11 in the SBIKS
Proverbs 11 in the SBIKS2
Proverbs 11 in the SBIMS
Proverbs 11 in the SBIOS
Proverbs 11 in the SBIPS
Proverbs 11 in the SBISS
Proverbs 11 in the SBITS
Proverbs 11 in the SBITS2
Proverbs 11 in the SBITS3
Proverbs 11 in the SBITS4
Proverbs 11 in the SBIUS
Proverbs 11 in the SBIVS
Proverbs 11 in the SBT
Proverbs 11 in the SBT1E
Proverbs 11 in the SCHL
Proverbs 11 in the SNT
Proverbs 11 in the SUSU
Proverbs 11 in the SUSU2
Proverbs 11 in the SYNO
Proverbs 11 in the TBIAOTANT
Proverbs 11 in the TBT1E
Proverbs 11 in the TBT1E2
Proverbs 11 in the TFTIP
Proverbs 11 in the TFTU
Proverbs 11 in the TGNTATF3T
Proverbs 11 in the THAI
Proverbs 11 in the TNFD
Proverbs 11 in the TNT
Proverbs 11 in the TNTIK
Proverbs 11 in the TNTIL
Proverbs 11 in the TNTIN
Proverbs 11 in the TNTIP
Proverbs 11 in the TNTIZ
Proverbs 11 in the TOMA
Proverbs 11 in the TTENT
Proverbs 11 in the UBG
Proverbs 11 in the UGV
Proverbs 11 in the UGV2
Proverbs 11 in the VBL
Proverbs 11 in the VDCC
Proverbs 11 in the YALU
Proverbs 11 in the YAPE
Proverbs 11 in the YBVTP
Proverbs 11 in the ZBP