Proverbs 6 (UGV3)
1 Mere beṭe, kyā tū apne paṛosī kā zāmin banā hai? Kyā tū ne hāth milā kar wādā kiyā hai ki maiṅ kisī dūsre kā zimmedār ṭhahrūṅga? 2 Kyā tū apne wāde se bandhā huā, apne muṅh ke alfāz se phaṅsā huā hai? 3 Aisā karne se tū apne paṛosī ke hāth meṅ ā gayā hai, is lie apnī jān ko chhuṛāne ke lie us ke sāmne aundhe muṅh ho kar use apnī minnat-samājat se tang kar. 4 Apnī āṅkhoṅ ko sone na de, apne papoṭoṅ ko ūṅghne na de jab tak tū is zimmedārī se fāriġh na ho jāe. 5 Jis tarah ġhazāl shikārī ke hāth se aur parindā chiṛīmār ke hāth se chhūṭ jātā hai usī tarah sirtoṛ koshish kar tāki terī jān chhūṭ jāe. 6 Ai kāhil, chiyūṅṭī ke pās jā kar us kī rāhoṅ par ġhaur kar! Us ke namūne se hikmat sīkh le. 7 Us par na sardār, na afsar yā hukmrān muqarrar hai, 8 to bhī wuh garmiyoṅ meṅ sardiyoṅ ke lie khāne kā zaḳhīrā kar rakhtī, fasal ke dinoṅ meṅ ḳhūb ḳhurāk ikaṭṭhī kartī hai. 9 Ai kāhil, tū mazīd kab tak soyā rahegā, kab jāg uṭhegā? 10 Tū kahtā hai, “Mujhe thoṛī der sone de, thoṛī der ūṅghne de, thoṛī der hāth par hāth dhare baiṭhne de tāki ārām kar sakūṅ.” 11 Lekin ḳhabardār, jald hī ġhurbat rāhzan kī tarah tujh par āegī, muflisī hathiyār se lais ḍākū kī tarah tujh par ṭūṭ paṛegī. 12 Badmāsh aur kamīnā kis tarah pahchānā jātā hai? Wuh muṅh meṅ jhūṭ lie phirtā hai, 13 apnī āṅkhoṅ, pāṅwoṅ aur ungliyoṅ se ishārā karke tujhe fareb ke jāl meṅ phaṅsāne kī koshish kartā hai. 14 Us ke dil meṅ kajī hai, aur wuh har waqt bure mansūbe bāndhne meṅ lagā rahtā hai. Jahāṅ bhī jāe wahāṅ jhagaṛe chhiṛ jāte haiṅ. 15 Lekin aise shaḳhs par achānak hī āfat āegī. Ek hī lamhe meṅ wuh pāsh pāsh ho jāegā. Tab us kā ilāj nāmumkin hogā. 16 Rab chhih chīzoṅ se nafrat balki sāt chīzoṅ se ghin khātā hai, 17 wuh āṅkheṅ jo ġhurūr se deḳhtī haiṅ, wuh zabān jo jhūṭ boltī hai, wuh hāth jo begunāhoṅ ko qatl karte haiṅ, 18 wuh dil jo bure mansūbe bāndhtā hai, wuh pāṅw jo dūsroṅ ko nuqsān pahuṅchāne ke lie bhāgte haiṅ, 19 wuh gawāh jo adālat meṅ jhūṭ boltā aur wuh jo bhāiyoṅ meṅ jhagaṛā paidā kartā hai. 20 Mere beṭe, apne bāp ke hukm se lipṭā rah, aur apnī māṅ kī hidāyat nazarandāz na kar. 21 Unheṅ yoṅ apne dil ke sāth bāndhe rakh ki kabhī dūr na ho jāeṅ. Unheṅ hār kī tarah apne gale meṅ ḍāl le. 22 Chalte waqt wuh terī rāhnumāī kareṅ, ārām karte waqt terī pahrādārī kareṅ, jāgte waqt tujh se hamkalām hoṅ. 23 Kyoṅki bāp kā hukm charāġh aur māṅ kī hidāyat raushnī hai, tarbiyat kī ḍānṭ-ḍapaṭ zindagībaḳhsh rāh hai. 24 Yoṅ tū badkār aurat aur dūsre kī zinākār bīwī kī chiknī-chupṛī bātoṅ se mahfūz rahegā. 25 Dil meṅ us ke husn kā lālach na kar, aisā na ho ki wuh palak mār mār kar tujhe pakaṛ le. 26 Kyoṅki go kasbī ādmī ko us ke paise se mahrūm kartī hai, lekin dūsre kī zinākār bīwī us kī qīmtī jān kā shikār kartī hai. 27 Kyā insān apnī jholī meṅ bhaṛaktī āg yoṅ uṭhā kar phir saktā hai ki us ke kapṛe na jaleṅ? 28 Yā kyā koī dahakte koeloṅ par yoṅ phir saktā hai ki us ke pāṅw jhulas na jāeṅ? 29 Isī tarah jo kisī dūsre kī bīwī se hambistar ho jāe us kā anjām burā hai, jo bhī dūsre kī bīwī ko chheṛe use sazā milegī. 30 Jo bhūk ke māre apnā peṭ bharne ke lie chorī kare use log had se zyādā haqīr nahīṅ jānte, 31 hālāṅki use chorī kie hue māl ko sāt gunā wāpas karnā hai aur us ke ghar kī daulat jātī rahegī. 32 Lekin jo kisī dūsre kī bīwī ke sāth zinā kare wuh beaql hai. Jo apnī jān ko tabāh karnā chāhe wuhī aisā kartā hai. 33 Us kī piṭāī aur be'izzatī kī jāegī, aur us kī sharmindagī kabhī nahīṅ miṭegī. 34 Kyoṅki shauhar ġhairat khā kar aur taish meṅ ā kar berahmī se badlā legā. 35 Na wuh koī muāwazā qabūl karegā, na rishwat legā, ḳhāh kitnī zyādā kyoṅ na ho.
In Other Versions
Proverbs 6 in the ANGEFD
Proverbs 6 in the ANTPNG2D
Proverbs 6 in the AS21
Proverbs 6 in the BAGH
Proverbs 6 in the BBPNG
Proverbs 6 in the BBT1E
Proverbs 6 in the BDS
Proverbs 6 in the BEV
Proverbs 6 in the BHAD
Proverbs 6 in the BIB
Proverbs 6 in the BLPT
Proverbs 6 in the BNT
Proverbs 6 in the BNTABOOT
Proverbs 6 in the BNTLV
Proverbs 6 in the BOATCB
Proverbs 6 in the BOATCB2
Proverbs 6 in the BOBCV
Proverbs 6 in the BOCNT
Proverbs 6 in the BOECS
Proverbs 6 in the BOGWICC
Proverbs 6 in the BOHCB
Proverbs 6 in the BOHCV
Proverbs 6 in the BOHLNT
Proverbs 6 in the BOHNTLTAL
Proverbs 6 in the BOICB
Proverbs 6 in the BOILNTAP
Proverbs 6 in the BOITCV
Proverbs 6 in the BOKCV
Proverbs 6 in the BOKCV2
Proverbs 6 in the BOKHWOG
Proverbs 6 in the BOKSSV
Proverbs 6 in the BOLCB
Proverbs 6 in the BOLCB2
Proverbs 6 in the BOMCV
Proverbs 6 in the BONAV
Proverbs 6 in the BONCB
Proverbs 6 in the BONLT
Proverbs 6 in the BONUT2
Proverbs 6 in the BOPLNT
Proverbs 6 in the BOSCB
Proverbs 6 in the BOSNC
Proverbs 6 in the BOTLNT
Proverbs 6 in the BOVCB
Proverbs 6 in the BOYCB
Proverbs 6 in the BPBB
Proverbs 6 in the BPH
Proverbs 6 in the BSB
Proverbs 6 in the CCB
Proverbs 6 in the CUV
Proverbs 6 in the CUVS
Proverbs 6 in the DBT
Proverbs 6 in the DGDNT
Proverbs 6 in the DHNT
Proverbs 6 in the DNT
Proverbs 6 in the ELBE
Proverbs 6 in the EMTV
Proverbs 6 in the ESV
Proverbs 6 in the FBV
Proverbs 6 in the FEB
Proverbs 6 in the GGMNT
Proverbs 6 in the GNT
Proverbs 6 in the HARY
Proverbs 6 in the HNT
Proverbs 6 in the IRVA
Proverbs 6 in the IRVB
Proverbs 6 in the IRVG
Proverbs 6 in the IRVH
Proverbs 6 in the IRVK
Proverbs 6 in the IRVM
Proverbs 6 in the IRVM2
Proverbs 6 in the IRVO
Proverbs 6 in the IRVP
Proverbs 6 in the IRVT
Proverbs 6 in the IRVT2
Proverbs 6 in the IRVU
Proverbs 6 in the ISVN
Proverbs 6 in the JSNT
Proverbs 6 in the KAPI
Proverbs 6 in the KBT1ETNIK
Proverbs 6 in the KBV
Proverbs 6 in the KJV
Proverbs 6 in the KNFD
Proverbs 6 in the LBA
Proverbs 6 in the LBLA
Proverbs 6 in the LNT
Proverbs 6 in the LSV
Proverbs 6 in the MAAL
Proverbs 6 in the MBV
Proverbs 6 in the MBV2
Proverbs 6 in the MHNT
Proverbs 6 in the MKNFD
Proverbs 6 in the MNG
Proverbs 6 in the MNT
Proverbs 6 in the MNT2
Proverbs 6 in the MRS1T
Proverbs 6 in the NAA
Proverbs 6 in the NASB
Proverbs 6 in the NBLA
Proverbs 6 in the NBS
Proverbs 6 in the NBVTP
Proverbs 6 in the NET2
Proverbs 6 in the NIV11
Proverbs 6 in the NNT
Proverbs 6 in the NNT2
Proverbs 6 in the NNT3
Proverbs 6 in the PDDPT
Proverbs 6 in the PFNT
Proverbs 6 in the RMNT
Proverbs 6 in the SBIAS
Proverbs 6 in the SBIBS
Proverbs 6 in the SBIBS2
Proverbs 6 in the SBICS
Proverbs 6 in the SBIDS
Proverbs 6 in the SBIGS
Proverbs 6 in the SBIHS
Proverbs 6 in the SBIIS
Proverbs 6 in the SBIIS2
Proverbs 6 in the SBIIS3
Proverbs 6 in the SBIKS
Proverbs 6 in the SBIKS2
Proverbs 6 in the SBIMS
Proverbs 6 in the SBIOS
Proverbs 6 in the SBIPS
Proverbs 6 in the SBISS
Proverbs 6 in the SBITS
Proverbs 6 in the SBITS2
Proverbs 6 in the SBITS3
Proverbs 6 in the SBITS4
Proverbs 6 in the SBIUS
Proverbs 6 in the SBIVS
Proverbs 6 in the SBT
Proverbs 6 in the SBT1E
Proverbs 6 in the SCHL
Proverbs 6 in the SNT
Proverbs 6 in the SUSU
Proverbs 6 in the SUSU2
Proverbs 6 in the SYNO
Proverbs 6 in the TBIAOTANT
Proverbs 6 in the TBT1E
Proverbs 6 in the TBT1E2
Proverbs 6 in the TFTIP
Proverbs 6 in the TFTU
Proverbs 6 in the TGNTATF3T
Proverbs 6 in the THAI
Proverbs 6 in the TNFD
Proverbs 6 in the TNT
Proverbs 6 in the TNTIK
Proverbs 6 in the TNTIL
Proverbs 6 in the TNTIN
Proverbs 6 in the TNTIP
Proverbs 6 in the TNTIZ
Proverbs 6 in the TOMA
Proverbs 6 in the TTENT
Proverbs 6 in the UBG
Proverbs 6 in the UGV
Proverbs 6 in the UGV2
Proverbs 6 in the VBL
Proverbs 6 in the VDCC
Proverbs 6 in the YALU
Proverbs 6 in the YAPE
Proverbs 6 in the YBVTP
Proverbs 6 in the ZBP