Psalms 124 (UGV3)
1 Dāūd kā ziyārat kā gīt.Isrāīl kahe, “Agar Rab hamāre sāth na hotā, 2 agar Rab hamāre sāth na hotā jab log hamāre ḳhilāf uṭhe 3 aur āg-bagūlā ho kar apnā pūrā ġhussā ham par utārā, to wuh hameṅ zindā haṛap kar lete. 4 Phir sailāb ham par ṭūṭ paṛtā, nadī kā tez dhārā ham par ġhālib ā jātā 5 aur mutalātim pānī ham par se guzar jātā.” 6 Rab kī hamd ho jis ne hameṅ un ke dāṅtoṅ ke hawāle na kiyā, warnā wuh hameṅ phāṛ khāte. 7 Hamārī jān us chiṛiyā kī tarah chhūṭ gaī hai jo chiṛīmār ke phande se nikal kar uṛ gaī hai. Phandā ṭūṭ gayā hai, aur ham bach nikle haiṅ. 8 Rab kā nām, hāṅ usī kā nām hamārā sahārā hai jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.