Romans 1 (UGV3)
1 Yih ḳhat Masīh Īsā ke ġhulām Paulus kī taraf se hai jise rasūl hone ke lie bulāyā aur Allāh kī ḳhushḳhabrī kī munādī karne ke lie alag kiyā gayā hai. 2 Pāk nawishtoṅ meṅ darj is ḳhushḳhabrī kā wādā Allāh ne pahle hī apne nabiyoṅ se kar rakhā thā. 3 Aur yih paiġhām us ke Farzand Īsā ke bāre meṅ hai. Insānī lihāz se wuh Dāūd kī nasl se paidā huā, 4 jabki Rūhul-quds ke lihāz se wuh qudrat ke sāth Allāh kā Farzand ṭhahrā jab wuh murdoṅ meṅ se jī uṭhā. Yih hai hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke bāre meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī. 5 Masīh se hameṅ rasūlī iḳhtiyār kā yih fazl hāsil huā hai ki ham tamām Ġhairyahūdiyoṅ meṅ munādī kareṅ tāki wuh īmān lā kar us ke tābe ho jāeṅ aur yoṅ Masīh ke nām ko jalāl mile. 6 Āp bhī un Ġhairyahūdiyoṅ meṅ se haiṅ, jo Īsā Masīh ke bulāe hue haiṅ. 7 Maiṅ āp sab ko likh rahā hūṅ jo Rom meṅ Allāh ke pyāre haiṅ aur maḳhsūs-o-muqaddas hone ke lie bulāe gae haiṅ.Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ. 8 Awwal, maiṅ āp sab ke lie Īsā Masīh ke wasīle se apne Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ, kyoṅki pūrī duniyā meṅ āp ke īmān kā charchā ho rahā hai. 9 Ḳhudā hī merā gawāh hai jis kī ḳhidmat maiṅ apnī rūh meṅ kartā hūṅ jab maiṅ us ke Farzand ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī phailātā hūṅ, maiṅ lagātār āp ko yād kartā rahtā hūṅ 10 aur har waqt apnī duāoṅ meṅ minnat kartā hūṅ ki Allāh mujhe āḳhirkār āp ke pās āne kī kāmyābī atā kare. 11 Kyoṅki maiṅ āp se milne kā ārzūmand hūṅ. Maiṅ chāhtā hūṅ ki mere zariye āp ko kuchh ruhānī barkat mil jāe aur yoṅ āp mazbūt ho jāeṅ. 12 Yānī āne kā maqsad yih hai ki mere īmān se āp kī hauslā-afzāī kī jāe aur isī tarah āp ke īmān se merā hauslā bhī baṛh jāe. 13 Bhāiyo, āp ke ilm meṅ ho ki maiṅ ne bahut dafā āp ke pās āne kā irādā kiyā. Kyoṅki jis tarah dīgar Ġhairyahūdī aqwām meṅ merī ḳhidmat se phal paidā huā hai usī tarah āp meṅ bhī phal deḳhnā chāhtā hūṅ. Lekin āj tak mujhe rokā gayā hai. 14 Bāt yih hai ki yih ḳhidmat saranjām denā merā farz hai, ḳhāh Yūnāniyoṅ meṅ ho yā Ġhairyūnāniyoṅ meṅ, ḳhāh dānāoṅ meṅ ho yā nādānoṅ meṅ. 15 Yihī wajah hai ki maiṅ āp ko bhī jo Rom meṅ rahte haiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāne kā mushtāq hūṅ. 16 Maiṅ to ḳhushḳhabrī ke sabab se sharmātā nahīṅ, kyoṅki yih Allāh kī qudrat hai jo har ek ko jo īmān lātā hai najāt detī hai, pahle Yahūdiyoṅ ko, phir Ġhairyahūdiyoṅ ko. 17 Kyoṅki is ḳhushḳhabrī meṅ Allāh kī hī rāstbāzī zāhir hotī hai, wuh rāstbāzī jo shurū se āḳhir tak īmān par mabnī hai. Yihī bāt kalām-e-muqaddas meṅ darj hai jab likhā hai, “Rāstbāz īmān hī se jītā rahegā.” 18 Lekin Allāh kā ġhazab āsmān par se un tamām bedīn aur nārāst logoṅ par nāzil hotā hai jo sachchāī ko apnī nārāstī se dabāe rakhte haiṅ. 19 Jo kuchh Allāh ke bāre meṅ mālūm ho saktā hai wuh to un par zāhir hai, hāṅ Allāh ne ḳhud yih un par zāhir kiyā hai. 20 Kyoṅki duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak insān Allāh kī andekhī fitrat yānī us kī azlī qudrat aur ulūhiyat maḳhlūqāt kā mushāhadā karne se pahchān saktā hai. Is lie un ke pās koī uzr nahīṅ. 21 Allāh ko jānane ke bāwujūd unhoṅ ne use wuh jalāl na diyā jo us kā haq hai, na us kā shukr adā kiyā balki wuh bātil ḳhayālāt meṅ paṛ gae aur un ke besamajh diloṅ par tārīkī chhā gaī. 22 Wuh dāwā to karte the ki ham dānā haiṅ, lekin ahmaq sābit hue. 23 Yoṅ unhoṅ ne ġhairfānī Ḳhudā ko jalāl dene ke bajāe aise butoṅ kī pūjā kī jo fānī insān, parindoṅ, chaupāiyoṅ aur reṅgne wāle jānwaroṅ kī sūrat meṅ banāe gae the. 24 Is lie Allāh ne unheṅ un najis kāmoṅ meṅ chhoṛ diyā jo un ke dil karnā chāhte the. Natīje meṅ un ke jism ek dūsre se behurmat hote rahe. 25 Hāṅ, unhoṅ ne Allāh ke bāre meṅ sachchāī ko radd karke jhūṭ ko apnā liyā aur maḳhlūqāt kī parastish aur ḳhidmat kī, na ki Ḳhāliq kī, jis kī tārīf abad tak hotī rahe, āmīn. 26 Yihī wajah hai ki Allāh ne unheṅ un kī sharmnāk shahwatoṅ meṅ chhoṛ diyā. Un kī ḳhawātīn ne fitratī jinsī tālluqāt ke bajāe ġhairfitratī tālluqāt rakhe. 27 Isī tarah mard ḳhawātīn ke sāth fitratī tālluqāt chhoṛ kar ek dūsre kī shahwat meṅ mast ho gae. Mardoṅ ne mardoṅ ke sāth behayā harkateṅ karke apne badanoṅ meṅ apnī is gumrāhī kā munāsib badlā pāyā. 28 Aur chūṅki unhoṅ ne Allāh ko jānane se inkār kar diyā is lie us ne unheṅ un kī makrūh soch meṅ chhoṛ diyā. Aur is lie wuh aisī harkateṅ karte rahte haiṅ jo kabhī nahīṅ karnī chāhieṅ. 29 Wuh har tarah kī nārāstī, shar, lālach aur burāī se bhare hue haiṅ. Wuh hasad, ḳhūṅrezī, jhagaṛe, fareb aur kīnāwarī se labrez haiṅ. Wuh chuġhlī khāne wāle, 30 tohmat lagāne wāle, Allāh se nafrat karne wāle, sarkash, maġhrūr, sheḳhībāz, badī ko ījād karne wāle, māṅ-bāp ke nāfarmān, 31 besamajh, bewafā, sangdil aur berahm haiṅ. 32 Agarche wuh Allāh kā farmān jānte haiṅ ki aisā karne wāle sazā-e-maut ke mustahiq haiṅ to bhī wuh aisā karte haiṅ. Na sirf yih balki wuh aisā karne wāle dīgar logoṅ ko shābāsh bhī dete haiṅ.