1 Peter 2 (UGV3)

1 Chunāṅche apnī zindagī se tamām tarah kī burāī, dhokebāzī, riyākārī, hasad aur buhtān nikāleṅ. 2 Chūṅki āp naumaulūd bachche haiṅ is lie ḳhālis ruhānī dūdh pīne ke ārzūmand raheṅ, kyoṅki ise pīne se hī āp baṛhte baṛhte najāt kī naubat tak pahuṅcheṅge. 3 Jinhoṅ ne Ḳhudāwand kī bhalāī kā tajrabā kiyā hai un ke lie aisā karnā zarūrī hai. 4 Ḳhudāwand ke pās āeṅ, us zindā patthar ke pās jise insānoṅ ne radd kiyā hai, lekin jo Allāh ke nazdīk chunīdā aur qīmtī hai. 5 Aur āp bhī zindā patthar haiṅ jin ko Allāh apne ruhānī maqdis ko tāmīr karne ke lie istemāl kar rahā hai. Na sirf yih balki āp us ke maḳhsūs-o-muqaddas imām haiṅ. Īsā Masīh ke wasīle se āp aisī ruhānī qurbāniyāṅ pesh kar rahe haiṅ jo Allāh ko pasand haiṅ. 6 Kyoṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai,“Dekho, maiṅ Siyyūn meṅ ek patthar rakh detā hūṅ,kone kā ek chunīdā aur qīmtī patthar.Jo us par īmān lāegāuse sharmindā nahīṅ kiyā jāegā.” 7 Yih patthar āp ke nazdīk jo īmān rakhte haiṅ beshqīmat hai. Lekin jo īmān nahīṅ lāe unhoṅ ne use radd kiyā.“Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyāwuh kone kā buniyādī patthar ban gayā.” 8 Nīz wuh ek aisā patthar hai“Jo ṭhokar kā bāis banegā,ek chaṭān jo ṭhes lagne kā sabab hogī.”Wuh is lie ṭhokar khāte haiṅ kyoṅki wuh kalām-e-muqaddas ke tābe nahīṅ hote. Yihī kuchh Allāh kī un ke lie marzī thī. 9 Lekin āp Allāh kī chunī huī nasl haiṅ, āp āsmānī Bādshāh ke imām aur us kī maḳhsūs-o-muqaddas qaum haiṅ. Āp us kī milkiyat ban gae haiṅ tāki Allāh ke qawī kāmoṅ kā elān kareṅ, kyoṅki wuh āp ko tārīkī se apnī hairatangez raushnī meṅ lāyā hai. 10 Ek waqt thā jab āp us kī qaum nahīṅ the, lekin ab āp Allāh kī qaum haiṅ. Pahle āp par rahm nahīṅ huā thā, lekin ab Allāh ne āp par apne rahm kā izhār kiyā hai. 11 Azīzo, āp is duniyā meṅ ajnabī aur mehmān haiṅ. Is lie maiṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki āp jismānī ḳhāhishāt kā inkār kareṅ. Kyoṅki yih āp kī jān se laṛtī haiṅ. 12 Ġhairīmāndāroṅ ke darmiyān rahte hue itnī achchhī zindagī guzāreṅ ki go wuh āp par ġhalat kām karne kī tohmat bhī lagāeṅ to bhī unheṅ āp ke nek kām nazar āeṅ aur unheṅ Allāh kī āmad ke din us kī tamjīd karnī paṛe. 13 Ḳhudāwand kī ḳhātir har insānī iḳhtiyār ke tābe raheṅ, ḳhāh bādshāh ho jo sab se ālā iḳhtiyār rakhne wālā hai, 14 ḳhāh us ke wazīr jinheṅ us ne is lie muqarrar kiyā hai ki wuh ġhalat kām karne wāloṅ ko sazā aur achchhā kām karne wāloṅ ko shābāsh deṅ. 15 Kyoṅki Allāh kī marzī hai ki āp achchhā kām karne se nāsamajh logoṅ kī jāhil bātoṅ ko band kareṅ. 16 Āp āzād haiṅ, is lie āzādānā zindagī guzāreṅ. Lekin apnī āzādī ko ġhalat kām chhupāne ke lie istemāl na kareṅ, kyoṅki āp Allāh ke ḳhādim haiṅ. 17 Har ek kā munāsib ehtirām kareṅ, apne bahan-bhāiyoṅ se muhabbat rakheṅ, Ḳhudā kā ḳhauf māneṅ, bādshāh kā ehtirām kareṅ. 18 Ai ġhulāmo, har lihāz se apne mālikoṅ kā ehtirām karke un ke tābe raheṅ. Aur yih sulūk na sirf un ke sāth ho jo nek aur narmdil haiṅ balki un ke sāth bhī jo zālim haiṅ. 19 Kyoṅki agar koī Allāh kī marzī kā ḳhayāl karke be'insāf taklīf kā ġham sabar se bardāsht kare to yih Allāh kā fazl hai. 20 Beshak is meṅ faḳhr kī koī bāt nahīṅ agar āp sabar se piṭāī kī wuh sazā bardāsht kareṅ jo āp ko ġhalat kām karne kī wajah se milī ho. Lekin agar āp ko achchhā kām karne kī wajah se dukh sahnā paṛe aur āp yih sazā sabar se bardāsht kareṅ to yih Allāh kā fazl hai. 21 Āp ko isī ke lie bulāyā gayā hai. Kyoṅki Masīh ne āp kī ḳhātir dukh sahne meṅ āp ke lie ek namūnā chhoṛā hai. Aur wuh chāhtā hai ki āp us ke naqsh-e-qadam par chaleṅ. 22 Us ne to koī gunāh na kiyā, aur na koī fareb kī bāt us ke muṅh se niklī. 23 Jab logoṅ ne use gāliyāṅ dīṅ to us ne jawāb meṅ gāliyāṅ na dīṅ. Jab use dukh sahnā paṛā to us ne kisī ko dhamkī na dī balki us ne apne āp ko Allāh ke hawāle kar diyā jo insāf se adālat kartā hai. 24 Masīh ḳhud apne badan par hamāre gunāhoṅ ko salīb par le gayā tāki ham gunāhoṅ ke etibār se mar jāeṅ aur yoṅ hamārā gunāh se tālluq ḳhatm ho jāe. Ab wuh chāhtā hai ki ham rāstbāzī kī zindagī guzāreṅ. Kyoṅki āp ko usī ke zaḳhmoṅ ke wasīle se shifā milī hai. 25 Pahle āp āwārā bheṛoṅ kī tarah āwārā phir rahe the, lekin ab āp apnī jānoṅ ke charwāhe aur nigarān ke pās lauṭ āe haiṅ.

In Other Versions

1 Peter 2 in the ANGEFD

1 Peter 2 in the ANTPNG2D

1 Peter 2 in the AS21

1 Peter 2 in the BAGH

1 Peter 2 in the BBPNG

1 Peter 2 in the BBT1E

1 Peter 2 in the BDS

1 Peter 2 in the BEV

1 Peter 2 in the BHAD

1 Peter 2 in the BIB

1 Peter 2 in the BLPT

1 Peter 2 in the BNT

1 Peter 2 in the BNTABOOT

1 Peter 2 in the BNTLV

1 Peter 2 in the BOATCB

1 Peter 2 in the BOATCB2

1 Peter 2 in the BOBCV

1 Peter 2 in the BOCNT

1 Peter 2 in the BOECS

1 Peter 2 in the BOGWICC

1 Peter 2 in the BOHCB

1 Peter 2 in the BOHCV

1 Peter 2 in the BOHLNT

1 Peter 2 in the BOHNTLTAL

1 Peter 2 in the BOICB

1 Peter 2 in the BOILNTAP

1 Peter 2 in the BOITCV

1 Peter 2 in the BOKCV

1 Peter 2 in the BOKCV2

1 Peter 2 in the BOKHWOG

1 Peter 2 in the BOKSSV

1 Peter 2 in the BOLCB

1 Peter 2 in the BOLCB2

1 Peter 2 in the BOMCV

1 Peter 2 in the BONAV

1 Peter 2 in the BONCB

1 Peter 2 in the BONLT

1 Peter 2 in the BONUT2

1 Peter 2 in the BOPLNT

1 Peter 2 in the BOSCB

1 Peter 2 in the BOSNC

1 Peter 2 in the BOTLNT

1 Peter 2 in the BOVCB

1 Peter 2 in the BOYCB

1 Peter 2 in the BPBB

1 Peter 2 in the BPH

1 Peter 2 in the BSB

1 Peter 2 in the CCB

1 Peter 2 in the CUV

1 Peter 2 in the CUVS

1 Peter 2 in the DBT

1 Peter 2 in the DGDNT

1 Peter 2 in the DHNT

1 Peter 2 in the DNT

1 Peter 2 in the ELBE

1 Peter 2 in the EMTV

1 Peter 2 in the ESV

1 Peter 2 in the FBV

1 Peter 2 in the FEB

1 Peter 2 in the GGMNT

1 Peter 2 in the GNT

1 Peter 2 in the HARY

1 Peter 2 in the HNT

1 Peter 2 in the IRVA

1 Peter 2 in the IRVB

1 Peter 2 in the IRVG

1 Peter 2 in the IRVH

1 Peter 2 in the IRVK

1 Peter 2 in the IRVM

1 Peter 2 in the IRVM2

1 Peter 2 in the IRVO

1 Peter 2 in the IRVP

1 Peter 2 in the IRVT

1 Peter 2 in the IRVT2

1 Peter 2 in the IRVU

1 Peter 2 in the ISVN

1 Peter 2 in the JSNT

1 Peter 2 in the KAPI

1 Peter 2 in the KBT1ETNIK

1 Peter 2 in the KBV

1 Peter 2 in the KJV

1 Peter 2 in the KNFD

1 Peter 2 in the LBA

1 Peter 2 in the LBLA

1 Peter 2 in the LNT

1 Peter 2 in the LSV

1 Peter 2 in the MAAL

1 Peter 2 in the MBV

1 Peter 2 in the MBV2

1 Peter 2 in the MHNT

1 Peter 2 in the MKNFD

1 Peter 2 in the MNG

1 Peter 2 in the MNT

1 Peter 2 in the MNT2

1 Peter 2 in the MRS1T

1 Peter 2 in the NAA

1 Peter 2 in the NASB

1 Peter 2 in the NBLA

1 Peter 2 in the NBS

1 Peter 2 in the NBVTP

1 Peter 2 in the NET2

1 Peter 2 in the NIV11

1 Peter 2 in the NNT

1 Peter 2 in the NNT2

1 Peter 2 in the NNT3

1 Peter 2 in the PDDPT

1 Peter 2 in the PFNT

1 Peter 2 in the RMNT

1 Peter 2 in the SBIAS

1 Peter 2 in the SBIBS

1 Peter 2 in the SBIBS2

1 Peter 2 in the SBICS

1 Peter 2 in the SBIDS

1 Peter 2 in the SBIGS

1 Peter 2 in the SBIHS

1 Peter 2 in the SBIIS

1 Peter 2 in the SBIIS2

1 Peter 2 in the SBIIS3

1 Peter 2 in the SBIKS

1 Peter 2 in the SBIKS2

1 Peter 2 in the SBIMS

1 Peter 2 in the SBIOS

1 Peter 2 in the SBIPS

1 Peter 2 in the SBISS

1 Peter 2 in the SBITS

1 Peter 2 in the SBITS2

1 Peter 2 in the SBITS3

1 Peter 2 in the SBITS4

1 Peter 2 in the SBIUS

1 Peter 2 in the SBIVS

1 Peter 2 in the SBT

1 Peter 2 in the SBT1E

1 Peter 2 in the SCHL

1 Peter 2 in the SNT

1 Peter 2 in the SUSU

1 Peter 2 in the SUSU2

1 Peter 2 in the SYNO

1 Peter 2 in the TBIAOTANT

1 Peter 2 in the TBT1E

1 Peter 2 in the TBT1E2

1 Peter 2 in the TFTIP

1 Peter 2 in the TFTU

1 Peter 2 in the TGNTATF3T

1 Peter 2 in the THAI

1 Peter 2 in the TNFD

1 Peter 2 in the TNT

1 Peter 2 in the TNTIK

1 Peter 2 in the TNTIL

1 Peter 2 in the TNTIN

1 Peter 2 in the TNTIP

1 Peter 2 in the TNTIZ

1 Peter 2 in the TOMA

1 Peter 2 in the TTENT

1 Peter 2 in the UBG

1 Peter 2 in the UGV

1 Peter 2 in the UGV2

1 Peter 2 in the VBL

1 Peter 2 in the VDCC

1 Peter 2 in the YALU

1 Peter 2 in the YAPE

1 Peter 2 in the YBVTP

1 Peter 2 in the ZBP