Acts 12 (UGV3)

1 Un dinoṅ meṅ bādshāh Herodes Agrippā jamāt ke kuchh īmāndāroṅ ko giriftār karke un se badsulūkī karne lagā. 2 Is silsile meṅ us ne Yāqūb rasūl (Yūhannā ke bhāī) ko talwār se qatl karwāyā. 3 Jab us ne dekhā ki yih harkat Yahūdiyoṅ ko pasand āī hai to us ne Patras ko bhī giriftār kar liyā. Us waqt Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manāī jā rahī thī. 4 Us ne use jel meṅ ḍāl kar chār dastoṅ ke hawāle kar diyā ki us kī pahrādārī kareṅ. (Har daste meṅ chār faujī the.) Ḳhayāl thā ki īd ke bād hī Patras ko awām ke sāmne khaṛā karke us kī adālat kī jāe. 5 Yoṅ Patras qaidḳhāne meṅ rahā. Lekin īmāndāroṅ kī jamāt lagātār us ke lie duā kartī rahī. 6 Phir adālat kā din qarīb ā gayā. Patras rāt ke waqt so rahā thā. Agle din Herodes use pesh karnā chāhtā thā. Patras do faujiyoṅ ke darmiyān leṭā huā thā jo do zanjīroṅ se us ke sāth bandhe hue the. Dīgar faujī darwāze ke sāmne pahrā de rahe the. 7 Achānak ek tez raushnī koṭhaṛī meṅ chamak uṭhī aur Rab kā ek farishtā Patras ke sāmne ā khaṛā huā. Us ne us ke pahlū ko jhaṭkā de kar use jagā diyā aur kahā, “Jaldī karo! Uṭho!” Tab Patras kī kalāiyoṅ par kī zanjīreṅ gir gaīṅ. 8 Phir farishte ne use batāyā, “Apne kapṛe aur jūte pahan lo.” Patras ne aisā hī kiyā. Farishte ne kahā, “Ab apnī chādar oṛh kar mere pīchhe ho lo.” 9 Chunāṅche Patras koṭhaṛī se nikal kar farishte ke pīchhe ho liyā agarche use ab tak samajh nahīṅ āī thī ki jo kuchh ho rahā hai haqīqī hai. Us kā ḳhayāl thā ki maiṅ royā dekh rahā hūṅ. 10 Donoṅ pahle pahre se guzar gae. Phir dūsre se aur yoṅ shahr meṅ pahuṅchāne wāle lohe ke geṭ ke pās āe. Yih ḳhud baḳhud khul gayā aur wuh donoṅ nikal kar ek galī meṅ chalne lage. Chalte chalte farishte ne achānak Patras ko chhoṛ diyā. 11 Phir Patras hosh meṅ ā gayā. Us ne kahā, “Wāqaī, Ḳhudāwand ne apne farishte ko mere pās bhej kar mujhe Herodes ke hāth se bachāyā hai. Ab Yahūdī qaum kī tawaqqo pūrī nahīṅ hogī.” 12 Jab yih bāt use samajh āī to wuh Yūhannā Marqus kī māṅ Mariyam ke ghar chalā gayā. Wahāṅ bahut-se afrād jamā ho kar duā kar rahe the. 13 Patras ne geṭ khaṭkhaṭāyā to ek naukarānī deḳhne ke lie āī. Us kā nām rudī thā. 14 Jab us ne Patras kī āwāz pahchān lī to wuh ḳhushī ke māre geṭ ko kholne ke bajāe dauṛ kar andar chalī gaī aur batāyā, “Patras geṭ par khaṛe haiṅ!” 15 Hāzirīn ne kahā, “Hosh meṅ āo!” Lekin wuh apnī bāt par aṛī rahī. Phir unhoṅ ne kahā, “Yih us kā farishtā hogā.” 16 Ab tak Patras bāhar khaṛā khaṭkhaṭā rahā thā. Chunāṅche unhoṅ ne geṭ ko khol diyā. Patras ko dekh kar wuh hairān rah gae. 17 Lekin us ne apne hāth se ḳhāmosh rahne kā ishārā kiyā aur unheṅ sārā wāqiyā sunāyā ki Ḳhudāwand mujhe kis tarah jel se nikāl lāyā hai. “Yāqūb aur bāqī bhāiyoṅ ko bhī yih batānā,” yih kah kar wuh kahīṅ aur chalā gayā. 18 Aglī subah jel ke faujiyoṅ meṅ baṛī halchal mach gaī ki Patras kā kyā huā hai. 19 Jab Herodes ne use ḍhūnḍā aur na pāyā to us ne pahredāroṅ kā bayān le kar unheṅ sazā-e-maut de dī.Is ke bād wuh Yahūdiyā se chalā gayā aur Qaisariyā meṅ rahne lagā. 20 Us waqt wuh Sūr aur Saidā ke bāshindoṅ se nihāyat nārāz thā. Is lie donoṅ shahroṅ ke numāinde mil kar sulah kī darḳhāst karne ke lie us ke pās āe. Wajah yih thī ki un kī ḳhurāk Herodes ke mulk se hāsil hotī thī. Unhoṅ ne bādshāh ke mahal ke inchārj blastus ko is par āmādā kiyā ki wuh un kī madad kare 21 aur bādshāh se milne kā din muqarrar kiyā. Jab wuh din āyā to Herodes apnā shāhī libās pahan kar taḳht par baiṭh gayā aur ek alāniyā taqrīr kī. 22 Awām ne nāre lagā lagā kar pukārā, “Yih Allāh kī āwāz hai, insān kī nahīṅ.” 23 Wuh abhī yih kah rahe the ki Rab ke farishte ne Herodes ko mārā, kyoṅki us ne logoṅ kī parastish qabūl karke Allāh ko jalāl nahīṅ diyā thā. Wuh bīmār huā aur kīṛoṅ ne us ke jism ko khā khā kar ḳhatm kar diyā. Isī hālat meṅ wuh mar gayā. 24 Lekin Allāh kā kalām baṛhtā aur phailtā gayā. 25 Itne meṅ Barnabās aur Sāūl Antākiyā kā hadiyā le kar Yarūshalam pahuṅch chuke the. Unhoṅ ne paise wahāṅ ke buzurgoṅ ke sapurd kar die aur phir Yūhannā Marqus ko sāth le kar wāpas chale gae.

In Other Versions

Acts 12 in the ANGEFD

Acts 12 in the ANTPNG2D

Acts 12 in the AS21

Acts 12 in the BAGH

Acts 12 in the BBPNG

Acts 12 in the BBT1E

Acts 12 in the BDS

Acts 12 in the BEV

Acts 12 in the BHAD

Acts 12 in the BIB

Acts 12 in the BLPT

Acts 12 in the BNT

Acts 12 in the BNTABOOT

Acts 12 in the BNTLV

Acts 12 in the BOATCB

Acts 12 in the BOATCB2

Acts 12 in the BOBCV

Acts 12 in the BOCNT

Acts 12 in the BOECS

Acts 12 in the BOGWICC

Acts 12 in the BOHCB

Acts 12 in the BOHCV

Acts 12 in the BOHLNT

Acts 12 in the BOHNTLTAL

Acts 12 in the BOICB

Acts 12 in the BOILNTAP

Acts 12 in the BOITCV

Acts 12 in the BOKCV

Acts 12 in the BOKCV2

Acts 12 in the BOKHWOG

Acts 12 in the BOKSSV

Acts 12 in the BOLCB

Acts 12 in the BOLCB2

Acts 12 in the BOMCV

Acts 12 in the BONAV

Acts 12 in the BONCB

Acts 12 in the BONLT

Acts 12 in the BONUT2

Acts 12 in the BOPLNT

Acts 12 in the BOSCB

Acts 12 in the BOSNC

Acts 12 in the BOTLNT

Acts 12 in the BOVCB

Acts 12 in the BOYCB

Acts 12 in the BPBB

Acts 12 in the BPH

Acts 12 in the BSB

Acts 12 in the CCB

Acts 12 in the CUV

Acts 12 in the CUVS

Acts 12 in the DBT

Acts 12 in the DGDNT

Acts 12 in the DHNT

Acts 12 in the DNT

Acts 12 in the ELBE

Acts 12 in the EMTV

Acts 12 in the ESV

Acts 12 in the FBV

Acts 12 in the FEB

Acts 12 in the GGMNT

Acts 12 in the GNT

Acts 12 in the HARY

Acts 12 in the HNT

Acts 12 in the IRVA

Acts 12 in the IRVB

Acts 12 in the IRVG

Acts 12 in the IRVH

Acts 12 in the IRVK

Acts 12 in the IRVM

Acts 12 in the IRVM2

Acts 12 in the IRVO

Acts 12 in the IRVP

Acts 12 in the IRVT

Acts 12 in the IRVT2

Acts 12 in the IRVU

Acts 12 in the ISVN

Acts 12 in the JSNT

Acts 12 in the KAPI

Acts 12 in the KBT1ETNIK

Acts 12 in the KBV

Acts 12 in the KJV

Acts 12 in the KNFD

Acts 12 in the LBA

Acts 12 in the LBLA

Acts 12 in the LNT

Acts 12 in the LSV

Acts 12 in the MAAL

Acts 12 in the MBV

Acts 12 in the MBV2

Acts 12 in the MHNT

Acts 12 in the MKNFD

Acts 12 in the MNG

Acts 12 in the MNT

Acts 12 in the MNT2

Acts 12 in the MRS1T

Acts 12 in the NAA

Acts 12 in the NASB

Acts 12 in the NBLA

Acts 12 in the NBS

Acts 12 in the NBVTP

Acts 12 in the NET2

Acts 12 in the NIV11

Acts 12 in the NNT

Acts 12 in the NNT2

Acts 12 in the NNT3

Acts 12 in the PDDPT

Acts 12 in the PFNT

Acts 12 in the RMNT

Acts 12 in the SBIAS

Acts 12 in the SBIBS

Acts 12 in the SBIBS2

Acts 12 in the SBICS

Acts 12 in the SBIDS

Acts 12 in the SBIGS

Acts 12 in the SBIHS

Acts 12 in the SBIIS

Acts 12 in the SBIIS2

Acts 12 in the SBIIS3

Acts 12 in the SBIKS

Acts 12 in the SBIKS2

Acts 12 in the SBIMS

Acts 12 in the SBIOS

Acts 12 in the SBIPS

Acts 12 in the SBISS

Acts 12 in the SBITS

Acts 12 in the SBITS2

Acts 12 in the SBITS3

Acts 12 in the SBITS4

Acts 12 in the SBIUS

Acts 12 in the SBIVS

Acts 12 in the SBT

Acts 12 in the SBT1E

Acts 12 in the SCHL

Acts 12 in the SNT

Acts 12 in the SUSU

Acts 12 in the SUSU2

Acts 12 in the SYNO

Acts 12 in the TBIAOTANT

Acts 12 in the TBT1E

Acts 12 in the TBT1E2

Acts 12 in the TFTIP

Acts 12 in the TFTU

Acts 12 in the TGNTATF3T

Acts 12 in the THAI

Acts 12 in the TNFD

Acts 12 in the TNT

Acts 12 in the TNTIK

Acts 12 in the TNTIL

Acts 12 in the TNTIN

Acts 12 in the TNTIP

Acts 12 in the TNTIZ

Acts 12 in the TOMA

Acts 12 in the TTENT

Acts 12 in the UBG

Acts 12 in the UGV

Acts 12 in the UGV2

Acts 12 in the VBL

Acts 12 in the VDCC

Acts 12 in the YALU

Acts 12 in the YAPE

Acts 12 in the YBVTP

Acts 12 in the ZBP