Exodus 38 (UGV3)
1 Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī ek aur qurbāngāh banāī jo bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke lie thī. Us kī ūṅchāī sāṛhe chār fuṭ, us kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe sāt sāt fuṭ thī. 2 Us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the. Sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe ke the, aur us par pītal chaṛhāyā gayā. 3 Us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke the yānī rākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ, belche, kāṅṭe, jalte hue koele ke lie bartan aur chhiṛkāw ke kaṭore. 4 Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie us ne pītal kā janglā banāyā. Wuh ūpar se khulā thā aur yoṅ banāyā gayā ki jab qurbāngāh us meṅ rakhī jāe to wuh us kināre tak pahuṅche jo qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par lagī thī. 5 Us ne qurbāngāh ko uṭhāne ke lie chār kaṛe banā kar unheṅ jangle ke chār konoṅ par lagāyā. 6 Phir us ne kīkar kī do lakaṛiyāṅ banā kar un par pītal chaṛhāyā 7 aur qurbāngāh ke donoṅ taraf lage in kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ. Yoṅ use uṭhāyā jā saktā thā. Qurbāngāh lakaṛī kī thī lekin khokhlī thī. 8 Bazliyel ne dhone kā hauz aur us kā ḍhāṅchā bhī pītal se banāyā. Us kā pītal un auratoṅ ke āīnoṅ se milā thā jo mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ḳhidmat kartī thīṅ. 9 Phir Bazliyel ne sahan banāyā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī gaī. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ thī. 10 Kapṛe ko lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ, paṭṭiyāṅ, lakaṛī ke khambe aur un ke pāe banāe gae. 11 Chārdīwārī shimāl kī taraf bhī isī tarah banāī gaī. 12 Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ thī. Kapṛe ke alāwā us ke lie 10 khambe, 10 pāe aur kapṛā lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ. 13 Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ thī. 14 14-15 Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā thā aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn khamboṅ ke sāth lagāyā gayā jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the. 16 Chārdīwārī ke tamām pardoṅ ke lie bārīk katān istemāl huā. 17 Khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the, aur parde chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se khamboṅ ke sāth lage the. Khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī. Sahan ke tamām khamboṅ par chāṅdī kī paṭṭiyāṅ lagī thīṅ. 18 Chārdīwārī ke darwāze kā pardā nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. Wuh 30 fuṭ chauṛā aur chārdīwārī ke dūsre pardoṅ kī tarah sāṛhe sāt fuṭ ūṅchā thā. 19 Us ke chār khambe aur pītal ke chār pāe the. Us kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ chāṅdī kī thīṅ, aur khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī. 20 Ḳhaime aur chārdīwārī kī tamām meḳheṅ pītal kī thīṅ. 21 Zail meṅ us sāmān kī fahrist hai jo maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā. Mūsā ke hukm par imām-e-āzam Hārūn ke beṭe Itamar ne Lāwiyoṅ kī mārifat yih fahrist taiyār kī. 22 (Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ne wuh sab kuchh banāyā jo Rab ne Mūsā ko batāyā thā. 23 Us ke sāth Dān ke qabīle kā Uhliyāb bin Aḳhīsamak thā jo kārīgarī ke har kām aur kaṛhāī ke kām meṅ māhir thā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne meṅ bhī māhir thā.) 24 Us sone kā wazn jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā. (Use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) 25 Tāmīr ke lie chāṅdī jo mardumshumārī ke hisāb se wasūl huī, us kā wazn taqrīban 3,430 kilogrām thā. (Use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) 26 Jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. Mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. 27 Chūṅki dīwāroṅ ke taḳhtoṅ ke pāe aur Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke satūnoṅ ke pāe chāṅdī ke the is lie taqrīban pūrī chāṅdī in 100 pāiyoṅ ke lie sarf huī. 28 Taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bach gaī. Is se chārdīwārī ke khamboṅ kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, aur yih khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par bhī chaṛhāī gaī. 29 Jo pītal hadiyoṅ se jamā huā us kā wazn taqrīban 2,425 kilogrām thā. 30 Ḳhaime ke darwāze ke pāe, jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā janglā, bartan aur sāz-o-sāmān, 31 chārdīwārī ke pāe, sahan ke darwāze ke pāe aur ḳhaime aur chārdīwārī kī tamām meḳheṅ isī se banāī gaīṅ.