Genesis 14 (UGV3)
1 Kanān meṅ jang huī. Bairūn-e-mulk ke chār bādshāhoṅ ne Kanān ke pāṅch bādshāhoṅ se jang kī. Bairūn-e-mulk ke bādshāh yih the: Sinār se Amrāfil, Illāsar se Aryūk, Ailām se Kidarlāumar aur Joyim se Tidāl. 2 Kanān ke bādshāh yih the: Sadūm se Birā, Amūrā se Birshā, Admā se Siniyāb, Zaboīm se Shimebar aur Bālā yānī Zuġhar kā bādshāh. 3 Kanān ke in pāṅch bādshāhoṅ kā ittahād huā thā aur wuh Wādī-e-Siddīm meṅ jamā hue the. (Ab Siddīm nahīṅ hai, kyoṅki us kī jagah Bahīrā-e-Murdār ā gayā hai.) 4 Kidarlāumar ne bārah sāl tak un par hukūmat kī thī, lekin terhweṅ sāl wuh bāġhī ho gae the. 5 Ab ek sāl ke bād Kidarlāumar aur us ke ittahādī apnī faujoṅ ke sāth āe. Pahle unhoṅ ne Astārāt-qarnaim meṅ Rafāiyoṅ ko, Hām meṅ Zūziyoṅ ko, Sawī-qiriyatāym meṅ Aimiyoṅ ko 6 aur Horiyoṅ ko un ke pahāṛī ilāqe Saīr meṅ shikast dī. Yoṅ wuh El-fārān tak pahuṅch gae jo registān ke kināre par hai. 7 Phir wuh wāpas āe aur Ain-misfāt yānī Qādis pahuṅche. Unhoṅ ne Amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāh kar diyā aur Hassūn-tamr meṅ ābād Amoriyoṅ ko bhī shikast dī. 8 Us waqt Sadūm, Amūrā, Admā, Zaboīm aur Bālā yānī Zuġhar ke bādshāh un se laṛne ke lie Siddīm kī Wādī meṅ jamā hue. 9 In pāṅch bādshāhoṅ ne Ailām ke bādshāh Kidarlāumar, Joyim ke bādshāh Tidāl, Sinār ke bādshāh Amrāfil aur Illāsar ke bādshāh Aryūk kā muqābalā kiyā. 10 Is wādī meṅ tārkol ke muta'addid gaṛhe the. Jab bāġhī bādshāh shikast khā kar bhāgne lage to Sadūm aur Amūrā ke bādshāh in gaṛhoṅ meṅ gir gae jabki bāqī tīn bādshāh bach kar pahāṛī ilāqe meṅ farār hue. 11 Fathmand bādshāh Sadūm aur Amūrā kā tamām māl tamām khāne wālī chīzoṅ samet lūṭ kar wāpas chal die. 12 Abrām kā bhatījā Lūt Sadūm meṅ rahtā thā, is lie wuh use bhī us kī milkiyat samet chhīn kar sāth le gae. 13 Lekin ek ādmī ne jo bach niklā thā Ibrānī mard Abrām ke pās ā kar use sab kuchh batā diyā. Us waqt wuh Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās ābād thā. Mamre Amorī thā. Wuh aur us ke bhāī Iskāl aur Āner Abrām ke ittahādī the. 14 Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the. 15 Wahāṅ us ne apne bandoṅ ko gurohoṅ meṅ taqsīm karke rāt ke waqt dushman par hamlā kiyā. Dushman shikast khā kar bhāg gayā aur Abrām ne Damishq ke shimāl meṅ wāqe Ḳhūbā tak us kā tāqqub kiyā. 16 Wuh un se lūṭā huā tamām māl wāpas le āyā. Lūt, us kī jāydād, aurateṅ aur bāqī qaidī bhī dushman ke qabze se bach nikle. 17 Jab Abrām Kidarlāumar aur us ke ittahādiyoṅ par fatah pāne ke bād wāpas pahuṅchā to Sadūm kā bādshāh us se milne ke lie Wādī-e-Sawī meṅ āyā. (Ise ājkal Bādshāh kī Wādī kahā jātā hai.) 18 Sālim kā bādshāh Malik-e-sidq bhī wahāṅ pahuṅchā. Wuh apne sāth roṭī aur mai le āyā. Malik-e-sidq Allāh T'ālā kā imām thā. 19 Us ne Abrām ko barkat de kar kahā, “Abrām par Allāh T'ālā kī barkat ho, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai. 20 Allāh T'ālā mubārak ho jis ne tere dushmanoṅ ko tere hāth meṅ kar diyā hai.” Abrām ne use tamām māl kā daswāṅ hissā diyā. 21 Sadūm ke bādshāh ne Abrām se kahā, “Mujhe mere log wāpas kar deṅ aur bāqī chīzeṅ apne pās rakh leṅ.” 22 Lekin Abrām ne us se kahā, “Maiṅ ne Rab se qasam khāī hai, Allāh T'ālā se jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai 23 ki maiṅ us meṅ se kuchh nahīṅ lūṅgā jo āp kā hai, chāhe wuh dhāgā yā jūtī kā tasmā hī kyoṅ na ho. Aisā na ho ki āp kaheṅ, ‘Maiṅ ne Abrām ko daulatmand banā diyā hai.’ 24 Siwāe us khāne ke jo mere ādmiyoṅ ne rāste meṅ khāyā hai maiṅ kuchh qabūl nahīṅ karūṅga. Lekin mere ittahādī Āner, Iskāl aur Mamre zarūr apnā apnā hissā leṅ.”
In Other Versions
Genesis 14 in the ANGEFD
Genesis 14 in the ANTPNG2D
Genesis 14 in the AS21
Genesis 14 in the BAGH
Genesis 14 in the BBPNG
Genesis 14 in the BBT1E
Genesis 14 in the BDS
Genesis 14 in the BEV
Genesis 14 in the BHAD
Genesis 14 in the BIB
Genesis 14 in the BLPT
Genesis 14 in the BNT
Genesis 14 in the BNTABOOT
Genesis 14 in the BNTLV
Genesis 14 in the BOATCB
Genesis 14 in the BOATCB2
Genesis 14 in the BOBCV
Genesis 14 in the BOCNT
Genesis 14 in the BOECS
Genesis 14 in the BOGWICC
Genesis 14 in the BOHCB
Genesis 14 in the BOHCV
Genesis 14 in the BOHLNT
Genesis 14 in the BOHNTLTAL
Genesis 14 in the BOICB
Genesis 14 in the BOILNTAP
Genesis 14 in the BOITCV
Genesis 14 in the BOKCV
Genesis 14 in the BOKCV2
Genesis 14 in the BOKHWOG
Genesis 14 in the BOKSSV
Genesis 14 in the BOLCB
Genesis 14 in the BOLCB2
Genesis 14 in the BOMCV
Genesis 14 in the BONAV
Genesis 14 in the BONCB
Genesis 14 in the BONLT
Genesis 14 in the BONUT2
Genesis 14 in the BOPLNT
Genesis 14 in the BOSCB
Genesis 14 in the BOSNC
Genesis 14 in the BOTLNT
Genesis 14 in the BOVCB
Genesis 14 in the BOYCB
Genesis 14 in the BPBB
Genesis 14 in the BPH
Genesis 14 in the BSB
Genesis 14 in the CCB
Genesis 14 in the CUV
Genesis 14 in the CUVS
Genesis 14 in the DBT
Genesis 14 in the DGDNT
Genesis 14 in the DHNT
Genesis 14 in the DNT
Genesis 14 in the ELBE
Genesis 14 in the EMTV
Genesis 14 in the ESV
Genesis 14 in the FBV
Genesis 14 in the FEB
Genesis 14 in the GGMNT
Genesis 14 in the GNT
Genesis 14 in the HARY
Genesis 14 in the HNT
Genesis 14 in the IRVA
Genesis 14 in the IRVB
Genesis 14 in the IRVG
Genesis 14 in the IRVH
Genesis 14 in the IRVK
Genesis 14 in the IRVM
Genesis 14 in the IRVM2
Genesis 14 in the IRVO
Genesis 14 in the IRVP
Genesis 14 in the IRVT
Genesis 14 in the IRVT2
Genesis 14 in the IRVU
Genesis 14 in the ISVN
Genesis 14 in the JSNT
Genesis 14 in the KAPI
Genesis 14 in the KBT1ETNIK
Genesis 14 in the KBV
Genesis 14 in the KJV
Genesis 14 in the KNFD
Genesis 14 in the LBA
Genesis 14 in the LBLA
Genesis 14 in the LNT
Genesis 14 in the LSV
Genesis 14 in the MAAL
Genesis 14 in the MBV
Genesis 14 in the MBV2
Genesis 14 in the MHNT
Genesis 14 in the MKNFD
Genesis 14 in the MNG
Genesis 14 in the MNT
Genesis 14 in the MNT2
Genesis 14 in the MRS1T
Genesis 14 in the NAA
Genesis 14 in the NASB
Genesis 14 in the NBLA
Genesis 14 in the NBS
Genesis 14 in the NBVTP
Genesis 14 in the NET2
Genesis 14 in the NIV11
Genesis 14 in the NNT
Genesis 14 in the NNT2
Genesis 14 in the NNT3
Genesis 14 in the PDDPT
Genesis 14 in the PFNT
Genesis 14 in the RMNT
Genesis 14 in the SBIAS
Genesis 14 in the SBIBS
Genesis 14 in the SBIBS2
Genesis 14 in the SBICS
Genesis 14 in the SBIDS
Genesis 14 in the SBIGS
Genesis 14 in the SBIHS
Genesis 14 in the SBIIS
Genesis 14 in the SBIIS2
Genesis 14 in the SBIIS3
Genesis 14 in the SBIKS
Genesis 14 in the SBIKS2
Genesis 14 in the SBIMS
Genesis 14 in the SBIOS
Genesis 14 in the SBIPS
Genesis 14 in the SBISS
Genesis 14 in the SBITS
Genesis 14 in the SBITS2
Genesis 14 in the SBITS3
Genesis 14 in the SBITS4
Genesis 14 in the SBIUS
Genesis 14 in the SBIVS
Genesis 14 in the SBT
Genesis 14 in the SBT1E
Genesis 14 in the SCHL
Genesis 14 in the SNT
Genesis 14 in the SUSU
Genesis 14 in the SUSU2
Genesis 14 in the SYNO
Genesis 14 in the TBIAOTANT
Genesis 14 in the TBT1E
Genesis 14 in the TBT1E2
Genesis 14 in the TFTIP
Genesis 14 in the TFTU
Genesis 14 in the TGNTATF3T
Genesis 14 in the THAI
Genesis 14 in the TNFD
Genesis 14 in the TNT
Genesis 14 in the TNTIK
Genesis 14 in the TNTIL
Genesis 14 in the TNTIN
Genesis 14 in the TNTIP
Genesis 14 in the TNTIZ
Genesis 14 in the TOMA
Genesis 14 in the TTENT
Genesis 14 in the UBG
Genesis 14 in the UGV
Genesis 14 in the UGV2
Genesis 14 in the VBL
Genesis 14 in the VDCC
Genesis 14 in the YALU
Genesis 14 in the YAPE
Genesis 14 in the YBVTP
Genesis 14 in the ZBP