Isaiah 44 (UGV3)

1 Lekin ab sun, ai Yāqūb mere ḳhādim! Merī bāt par tawajjuh de, ai Isrāīl jise maiṅ ne chun liyā hai. 2 Rab jis ne tujhe banāyā aur māṅ ke peṭ se hī tashkīl de kar terī madad kartā āyā hai wuh farmātā hai, ‘Ai Yāqūb mere ḳhādim, mat ḍar! Ai Yasūrūn jise maiṅ ne chun liyā hai, ḳhauf na khā. 3 Kyoṅki maiṅ pyāsī zamīn par pānī ḍālūṅgā aur ḳhushkī par nadiyāṅ bahne dūṅgā. Maiṅ apnā Rūh terī aulād par nāzil karūṅga, apnī barkat tere bachchoṅ ko baḳhshūṅgā. 4 Tab wuh pānī ke darmiyān kī hariyālī kī tarah phūṭ nikleṅge, nahroṅ par safedā ke daraḳhtoṅ kī tarah phaleṅ-phūleṅge.’ 5 Ek kahegā, ‘Maiṅ Rab kā hūṅ,’ dūsrā Yāqūb kā nām le kar pukāregā aur tīsrā apne hāth par ‘Rab kā bandā’ likh kar Isrāīl kā ezāzī nām rakhegā.” 6 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Bādshāh aur Chhuṛāne Wālā hai farmātā hai, “Maiṅ Awwal aur Āḳhir hūṅ. Mere siwā koī aur Ḳhudā nahīṅ hai. 7 Kaun merī mānind hai? Wuh āwāz de kar batāe aur apne dalāyl pesh kare. Wuh tartīb se sab kuchh sunāe jo us qadīm waqt se huā hai jab maiṅ ne apnī qaum ko qāym kiyā. Wuh āne wālī bātoṅ kā elān karke batāe ki āindā kyā kuchh pesh āegā. 8 Ghabrā kar dahshatzadā na ho. Kyā maiṅ ne bahut der pahle tujhe ittalā nahīṅ dī thī ki yih kuchh pesh āegā? Tum ḳhud mere gawāh ho. Kyā mere siwā koī aur Ḳhudā hai? Hargiz nahīṅ! Aur koī Chaṭān nahīṅ hai, maiṅ kisī aur ko nahīṅ jāntā.” 9 But banāne wāle sab hech hī haiṅ, aur jo chīzeṅ unheṅ pyārī lagtī haiṅ wuh befāydā haiṅ. Un ke gawāh na dekh aur na jān sakte haiṅ, lihāzā āḳhirkār sharmindā ho jāeṅge. 10 Yih kis tarah ke log haiṅ jo apne lie dewatā banāte aur befāydā but ḍhāl lete haiṅ? 11 Un ke tamām sāthī sharmindā ho jāeṅge. Āḳhir but banāne wāle insān hī to haiṅ. Āo, wuh sab jamā ho kar Ḳhudā ke huzūr khaṛe ho jāeṅ. Kyoṅki wuh dahshat khā kar saḳht sharmindā ho jāeṅge. 12 Lohār auzār le kar use jalte hue koeloṅ meṅ istemāl kartā hai. Phir wuh apne hathauṛe se ṭhoṅk ṭhoṅk kar but ko tashkīl detā hai. Pūre zor se kām karte karte wuh tāqat ke jawāb dene tak bhūkā ho jātā, pānī na pīne kī wajah se niḍhāl ho jātā hai. 13 Jab but ko lakaṛī se banānā hai to kārīgar fīte se nāp kar pensil se lakaṛī par ḳhākā khīṅchtā hai. Parkār bhī kām ā jātā hai. Phir kārīgar lakaṛī ko chhurī se tarāsh tarāsh kar ādmī kī shakl banātā hai. Yoṅ shāndār ādmī kā mujassamā kisī ke ghar meṅ lagne ke lie taiyār ho jātā hai. 14 Kārīgar but banāne ke lie deodār kā daraḳht kāṭ letā hai. Kabhī kabhī wuh balūt yā kisī aur qism kā daraḳht chun kar use jangal ke dīgar daraḳhtoṅ ke bīch meṅ ugne detā hai. Yā wuh sanobar kā daraḳht lagātā hai, aur bārish use phalne-phūlne detī hai. 15 Dhyān do ki insān lakaṛī ko īṅdhan ke lie bhī istemāl kartā, kuchh le kar āg tāptā, kuchh jalā kar roṭī pakātā hai. Bāqī hisse se wuh but banā kar use sijdā kartā, dewatā kā mujassamā taiyār karke us ke sāmne jhuk jātā hai. 16 Wuh lakaṛī kā ādhā hissā jalā kar us par apnā gosht bhūntā, phir jī bhar kar khānā khātā hai. Sāth sāth wuh āg seṅk kar kahtā hai, “Wāh, āg kī garmī kitnī achchhī lag rahī hai, ab garmī mahsūs ho rahī hai.” 17 Lekin bāqī lakaṛī se wuh apne lie dewatā kā but banātā hai jis ke sāmne wuh jhuk kar pūjā kartā hai. Us se wuh iltamās kartā hai, “Mujhe bachā, kyoṅki tū merā dewatā hai.” 18 Yih log kuchh nahīṅ jānte, kuchh nahīṅ samajhte. Un kī āṅkhoṅ aur diloṅ par pardā paṛā hai, is lie na wuh dekh sakte, na samajh sakte haiṅ. 19 Wuh is par ġhaur nahīṅ karte, unheṅ fahm aur samajh tak nahīṅ ki socheṅ, “Maiṅ ne lakaṛī kā ādhā hissā āg meṅ jhoṅk kar us ke koeloṅ par roṭī pakāī aur gosht bhūn liyā. Yih chīzeṅ khāne ke bād maiṅ bāqī lakaṛī se qābil-e-ghin but kyoṅ banāūṅ, lakaṛī ke ṭukṛe ke sāmne kyoṅ jhuk jāūṅ?” 20 Jo yoṅ rākh meṅ mulawwas ho jāe us ne dhokā khāyā, us ke dil ne use fareb diyā hai. Wuh apnī jān chhuṛā kar nahīṅ mān saktā ki jo but maiṅ dahne hāth meṅ thāme hue hūṅ wuh jhūṭ hai. 21 “Ai Yāqūb kī aulād, ai Isrāīl, yād rakh ki tū merā ḳhādim hai. Maiṅ ne tujhe tashkīl diyā, tū merā hī ḳhādim hai. Ai Isrāīl, maiṅ tujhe kabhī nahīṅ bhūlūṅgā. 22 Maiṅ ne tere jarāym aur gunāhoṅ ko miṭā ḍālā hai, wuh dhūp meṅ dhund yā tez hawā se bikhre bādaloṅ kī tarah ojhal ho gae haiṅ. Ab mere pās wāpas ā, kyoṅki maiṅ ne ewazānā de kar tujhe chhuṛāyā hai.” 23 Ai āsmān, ḳhushī ke nāre lagā, kyoṅki Rab ne sab kuchh kiyā hai. Ai zamīn kī gahrāiyo, shādiyānā bajāo! Ai pahāṛo aur janglo, apne tamām daraḳhtoṅ samet ḳhushī ke gīt gāo, kyoṅki Rab ne ewazānā de kar Yāqūb ko chhuṛāyā hai, Isrāīl meṅ us ne apnā jalāl zāhir kiyā hai. 24 Rab terā Chhuṛāne Wālā jis ne tujhe māṅ ke peṭ se hī tashkīl diyā farmātā hai, “Maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ hī sab kuchh wujūd meṅ lāyā, maiṅ ne akele hī āsmān ko zamīn ke ūpar tān liyā aur zamīn ko bichhāyā. 25 Maiṅ hī qismat kā hāl batāne wāloṅ ke ajīb-o-ġharīb nishān nākām hone detā, fāl kholne wāloṅ ko ahmaq sābit kartā aur dānāoṅ ko pīchhe haṭā kar un ke ilm kī hamāqat zāhir kartā hūṅ. 26 Maiṅ hī apne ḳhādim kā kalām pūrā hone detā aur apne paiġhambaroṅ kā mansūbā takmīl tak pahuṅchātā hūṅ, maiṅ hī Yarūshalam ke bāre meṅ farmātā hūṅ, ‘Wuh dubārā ābād ho jāegā,’ aur Yahūdāh ke shahroṅ ke bāre meṅ, ‘Wuh nae sire se tāmīr ho jāeṅge, maiṅ un ke khanḍarāt dubārā khaṛe karūṅga.’ 27 Maiṅ hī gahre samundar ko hukm detā hūṅ, ‘Sūkh jā, maiṅ terī gahrāiyoṅ ko ḳhushk kartā hūṅ.’ 28 Aur maiṅ hī ne Ḳhoras ke bāre meṅ farmāyā, ‘Yih merā gallābān hai! Yihī merī marzī pūrī karke kahegā ki Yarūshalam dubārā tāmīr kiyā jāe, Rab ke ghar kī buniyād nae sire se rakhī jāe’!”

In Other Versions

Isaiah 44 in the ANGEFD

Isaiah 44 in the ANTPNG2D

Isaiah 44 in the AS21

Isaiah 44 in the BAGH

Isaiah 44 in the BBPNG

Isaiah 44 in the BBT1E

Isaiah 44 in the BDS

Isaiah 44 in the BEV

Isaiah 44 in the BHAD

Isaiah 44 in the BIB

Isaiah 44 in the BLPT

Isaiah 44 in the BNT

Isaiah 44 in the BNTABOOT

Isaiah 44 in the BNTLV

Isaiah 44 in the BOATCB

Isaiah 44 in the BOATCB2

Isaiah 44 in the BOBCV

Isaiah 44 in the BOCNT

Isaiah 44 in the BOECS

Isaiah 44 in the BOGWICC

Isaiah 44 in the BOHCB

Isaiah 44 in the BOHCV

Isaiah 44 in the BOHLNT

Isaiah 44 in the BOHNTLTAL

Isaiah 44 in the BOICB

Isaiah 44 in the BOILNTAP

Isaiah 44 in the BOITCV

Isaiah 44 in the BOKCV

Isaiah 44 in the BOKCV2

Isaiah 44 in the BOKHWOG

Isaiah 44 in the BOKSSV

Isaiah 44 in the BOLCB

Isaiah 44 in the BOLCB2

Isaiah 44 in the BOMCV

Isaiah 44 in the BONAV

Isaiah 44 in the BONCB

Isaiah 44 in the BONLT

Isaiah 44 in the BONUT2

Isaiah 44 in the BOPLNT

Isaiah 44 in the BOSCB

Isaiah 44 in the BOSNC

Isaiah 44 in the BOTLNT

Isaiah 44 in the BOVCB

Isaiah 44 in the BOYCB

Isaiah 44 in the BPBB

Isaiah 44 in the BPH

Isaiah 44 in the BSB

Isaiah 44 in the CCB

Isaiah 44 in the CUV

Isaiah 44 in the CUVS

Isaiah 44 in the DBT

Isaiah 44 in the DGDNT

Isaiah 44 in the DHNT

Isaiah 44 in the DNT

Isaiah 44 in the ELBE

Isaiah 44 in the EMTV

Isaiah 44 in the ESV

Isaiah 44 in the FBV

Isaiah 44 in the FEB

Isaiah 44 in the GGMNT

Isaiah 44 in the GNT

Isaiah 44 in the HARY

Isaiah 44 in the HNT

Isaiah 44 in the IRVA

Isaiah 44 in the IRVB

Isaiah 44 in the IRVG

Isaiah 44 in the IRVH

Isaiah 44 in the IRVK

Isaiah 44 in the IRVM

Isaiah 44 in the IRVM2

Isaiah 44 in the IRVO

Isaiah 44 in the IRVP

Isaiah 44 in the IRVT

Isaiah 44 in the IRVT2

Isaiah 44 in the IRVU

Isaiah 44 in the ISVN

Isaiah 44 in the JSNT

Isaiah 44 in the KAPI

Isaiah 44 in the KBT1ETNIK

Isaiah 44 in the KBV

Isaiah 44 in the KJV

Isaiah 44 in the KNFD

Isaiah 44 in the LBA

Isaiah 44 in the LBLA

Isaiah 44 in the LNT

Isaiah 44 in the LSV

Isaiah 44 in the MAAL

Isaiah 44 in the MBV

Isaiah 44 in the MBV2

Isaiah 44 in the MHNT

Isaiah 44 in the MKNFD

Isaiah 44 in the MNG

Isaiah 44 in the MNT

Isaiah 44 in the MNT2

Isaiah 44 in the MRS1T

Isaiah 44 in the NAA

Isaiah 44 in the NASB

Isaiah 44 in the NBLA

Isaiah 44 in the NBS

Isaiah 44 in the NBVTP

Isaiah 44 in the NET2

Isaiah 44 in the NIV11

Isaiah 44 in the NNT

Isaiah 44 in the NNT2

Isaiah 44 in the NNT3

Isaiah 44 in the PDDPT

Isaiah 44 in the PFNT

Isaiah 44 in the RMNT

Isaiah 44 in the SBIAS

Isaiah 44 in the SBIBS

Isaiah 44 in the SBIBS2

Isaiah 44 in the SBICS

Isaiah 44 in the SBIDS

Isaiah 44 in the SBIGS

Isaiah 44 in the SBIHS

Isaiah 44 in the SBIIS

Isaiah 44 in the SBIIS2

Isaiah 44 in the SBIIS3

Isaiah 44 in the SBIKS

Isaiah 44 in the SBIKS2

Isaiah 44 in the SBIMS

Isaiah 44 in the SBIOS

Isaiah 44 in the SBIPS

Isaiah 44 in the SBISS

Isaiah 44 in the SBITS

Isaiah 44 in the SBITS2

Isaiah 44 in the SBITS3

Isaiah 44 in the SBITS4

Isaiah 44 in the SBIUS

Isaiah 44 in the SBIVS

Isaiah 44 in the SBT

Isaiah 44 in the SBT1E

Isaiah 44 in the SCHL

Isaiah 44 in the SNT

Isaiah 44 in the SUSU

Isaiah 44 in the SUSU2

Isaiah 44 in the SYNO

Isaiah 44 in the TBIAOTANT

Isaiah 44 in the TBT1E

Isaiah 44 in the TBT1E2

Isaiah 44 in the TFTIP

Isaiah 44 in the TFTU

Isaiah 44 in the TGNTATF3T

Isaiah 44 in the THAI

Isaiah 44 in the TNFD

Isaiah 44 in the TNT

Isaiah 44 in the TNTIK

Isaiah 44 in the TNTIL

Isaiah 44 in the TNTIN

Isaiah 44 in the TNTIP

Isaiah 44 in the TNTIZ

Isaiah 44 in the TOMA

Isaiah 44 in the TTENT

Isaiah 44 in the UBG

Isaiah 44 in the UGV

Isaiah 44 in the UGV2

Isaiah 44 in the VBL

Isaiah 44 in the VDCC

Isaiah 44 in the YALU

Isaiah 44 in the YAPE

Isaiah 44 in the YBVTP

Isaiah 44 in the ZBP